Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shahab Sarmadi's Photo'

Shahab Sarmadi

1914 - 1994

Sher of Shahab Sarmadi

nahīñ ki zindagī hameñ kahāñ kahāñ liye phirī

hai yuuñ ki ham ga.e use kahāñ kahāñ liye hue

nahin ki zindagi hamein kahan kahan liye phiri

hai yun ki hum gae use kahan kahan liye hue

is ehtimām se aksar uThe haiñ paimāne

ki buuñd buuñd ko maiñ jānoñ ḳhudā jaane

is ehtimam se aksar uThe hain paimane

ki bund bund ko main jaanon ya KHuda jaane

chāñd hai terā ham-safar koī nahīñ hai rāhbar

aage qadam baḌhā ke rakh duur raushnī na dekh

chand hai tera ham-safar koi nahin hai rahbar

aage qadam baDha ke rakh dur ki raushni na dekh

tum ḳhud chale aaoge shāyad sar-e-manzil

ik raah nikālī hai mirī dar-badarī ne

tum KHud hi chale aaoge shayad sar-e-manzil

ek rah nikali hai meri dar-badari ne

baaġh dard usī phuul ke dil se pūchho

muskurātā huā jo daur-e-ḳhizāñ se guzre

bagh ka dard usi phul ke dil se puchho

muskuraata hua jo daur-e-KHizan se guzre

tirā ḳhayāl de gayā hai aasrā kahīñ kahīñ

tirā firāq hausle baḌhā gayā kabhī kabhī

tera KHayal de gaya hai aasra kahin kahin

tera firaq hausle baDha gaya kabhi kabhi

Recitation

Speak Now