Sher of Shaikh Zahuruddin Hatim
ham siiñ mastoñ ko bas hai terī nigāh
sub.h uTh kar ḳhumār kī ḳhātir
hum sin maston ko bas hai teri nigah
subh uTh kar KHumar ki KHatir
maiñ us kī chashm se aisā girā huuñ
mire rone pe hañstā hai mirā dil
main us ki chashm se aisa gira hun
mere rone pe hansta hai mera dil
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gulshan-e-dahr meñ sau rañg haiñ 'hātim' us ke
vo kahīñ gul hai kahīñ bū hai kahīñ buuTā hai
gulshan-e-dahr mein sau rang hain 'hatim' us ke
wo kahin gul hai kahin bu hai kahin buTa hai
qayāmat tak judā hove na yā-rab
junūñ ke dast se merā garebāñ
qayamat tak juda howe na ya-rab
junun ke dast se mera gareban
raat din jaarī haiñ kuchh paidā nahīñ in kā kanār
mere chashmoñ kā do-ābā majma-ul-bahrain hai
raat din jari hain kuchh paida nahin in ka kanar
mere chashmon ka do-aba majma-ul-bahrain hai
-
Tag : Girya-o-zari
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nahīñ hai shikva agar vo nazar nahīñ aatā
kisū ne dekhī nahīñ apnī jaan kī sūrat
nahin hai shikwa agar wo nazar nahin aata
kisu ne dekhi nahin apni jaan ki surat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kohkan jāñ-kanī hai mushkil kaam
varna bahtere haiñ pathar phoḌe
kohkan jaan-kani hai mushkil kaam
warna bahtere hain pathar phoDe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nāseh baġhal meñ aa kar dushman huā hamārā
jā.egā kab ilāhī majlis se ḳhaar dil kā
naseh baghal mein aa kar dushman hua hamara
jaega kab ilahi majlis se KHar dil ka
gadā ko gar qanā.at ho to phāTā chīthaḌā bas hai
vagarna hirs aage thaan sau gaz kā lañgoTī hai
gada ko gar qanaat ho to phaTa chithaDa bas hai
wagarna hirs aage than sau gaz ka langoTi hai
jis ke muñh kī utar ga.ī loī
ġham nahīñ us ko kuchh kaho koī
jis ke munh ki utar gai loi
gham nahin us ko kuchh kaho koi
rishta-e-umar-darāz apnā maiñ kotāh karūñ
aave ye taar agar tere ba-kār-e-dāman
rishta-e-umar-daraaz apna main kotah karun
aawe ye tar agar tere ba-kar-e-daman
tirī mehrāb meñ abrū kī ye ḳhaal
kidhar se aa gayā masjid meñ hindū
teri mehrab mein abru ki ye KHal
kidhar se aa gaya masjid mein hindu
kyūñkar in kaalī balāoñ se bachegā āshiq
ḳhat siyah ḳhaal siyah zulf siyah chashm siyāh
kyunkar in kali balaon se bachega aashiq
KHat siyah KHal siyah zulf siyah chashm siyah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aariz se us ke zulf meñ kyūñ-kar hai raushnī
zulmāt meñ to naam nahīñ āftāb kā
aariz se us ke zulf mein kyun-kar hai raushni
zulmat mein to nam nahin aaftab ka
kyuuñ mozāhim hai mere aane se
kui tirā ghar nahīñ ye rastā hai
kyun mozahim hai mere aane se
kui tera ghar nahin ye rasta hai
-
Tag : Bekasi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kapḌe safed dho ke jo pahne to kyā huā
dhonā vahī jo dil kī siyāhī ko dhoiye
kapDe safed dho ke jo pahne to kya hua
dhona wahi jo dil ki siyahi ko dhoiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
phaḌkūñ to sar phaTe hai na phaḌkūñ to jī ghaTe
tañg is qadar diyā mujhe sayyād ne qafas
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diya mujhe sayyaad ne qafas
-
Tag : Kashmakash
kabhū jo shaiḳh dikhā.ūñ maiñ apne but ke ta.iiñ
ba-rabb-e-ka.aba tujhe hasrat-e-haram na rahe
kabhu jo shaiKH dikhaun main apne but ke tain
ba-rabb-e-kaba tujhe hasrat-e-haram na rahe
na maiñ ne kuchh kahā tujh se na tū ne mujh se kuchh pūchhā
yūñhī din raat milte mujh ko tujh ko merī jaañ guzrā
na main ne kuchh kaha tujh se na tu ne mujh se kuchh puchha
yunhi din raat milte mujh ko tujh ko meri jaan guzra
TuuTe dil ko banā dikhāve
aisā koī kārī-gar na dekhā
TuTe dil ko bana dikhawe
aisa koi kari-gar na dekha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kis se kahūñ maiñ hāl-e-dil apnā ki tā sune
is shahr meñ rahā bhī koī dard-mañd hai
kis se kahun main haal-e-dil apna ki ta sune
is shahr mein raha bhi koi dard-mand hai
zāhid ko ham ne dekh ḳharābāt meñ kahā
masjid ko apnī chhoḌ kaho tum yahāñ kahāñ
zahid ko hum ne dekh KHarabaat mein kaha
masjid ko apni chhoD kaho tum yahan kahan
kyā madrase meñ dahr ke ulTī havā bahī
vaa.iz nahī ko amr kahe amr ko nahī
kya madrase mein dahr ke ulTi hawa bahi
waiz nahi ko amr kahe amr ko nahi
kesar meñ is tarah se ālūda hai sarāpā
sunte the ham so dekhā to shāḳh-e-za.afarāñ hai
kesar mein is tarah se aaluda hai sarapa
sunte the hum so dekha to shaKH-e-zafaran hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil-e-ushshāq parindoñ kī tarah uḌte haiñ
is bayābān meñ kyā ek bhī sayyād nahīñ
dil-e-ushshaq parindon ki tarah uDte hain
is bayaban mein kya ek bhi sayyaad nahin
dostoñ se dushmanī aur dushmanoñ se dostī
be-muravvat bevafā be-rahm ye kyā Dhañg hai
doston se dushmani aur dushmanon se dosti
be-murawwat bewafa be-rahm ye kya Dhang hai
sabr bin aur kuchh na lo hamrāh
kūcha-e-ishq tañg hai yaaro
sabr bin aur kuchh na lo hamrah
kucha-e-ishq tang hai yaro
ḳhūbān-e-jahāñ hoñ jis se tasḳhīr
aisā koī ham ne hunar na dekhā
KHuban-e-jahan hon jis se tasKHir
aisa koi hum ne hunar na dekha
mirī bātoñ se ab āzurda na honā saaqī
is ghaḌī aql mirī mujh se judā phirtī hai
meri baaton se ab aazurda na hona saqi
is ghaDi aql meri mujh se juda phirti hai
rone talak to kis ko hai fursat yahāñ sahāb
tūfāñ huā bhī jo Tuk ik āb-dīda huuñ
rone talak to kis ko hai fursat yahan sahab
tufan hua bhi jo Tuk ek aab-dida hun
-
Tag : Aab Deedah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dekh kar har uzv un kā dil ho paanī bah chalā
khol chhātī be-takalluf jab nahā.eñ baaġh meñ
dekh kar har uzw un ka dil ho pani bah chala
khol chhati be-takalluf jab nahaen bagh mein
hastī se tā-adam hai safar do qadam kī raah
kyā chāhiye hai ham ko sar anjām ke liye
hasti se ta-adam hai safar do qadam ki rah
kya chahiye hai hum ko sar anjam ke liye
ham bahut dekhe farañgistān ke husn-e-sabīh
charb hai sab par butān-e-hind kā rañg-e-malīh
hum bahut dekhe farangistan ke husn-e-sabih
charb hai sab par butan-e-hind ka rang-e-malih
dil kī lahroñ kā tūl-o-arz na pūchh
kabhū dariyā kabhū safīnā hai
dil ki lahron ka tul-o-arz na puchh
kabhu dariya kabhu safina hai
vo vahshī is qadar bhaḌkā hai sūrat se mire yaaro
ki apne dekh saa.e ko mujhe hamrāh jaane hai
wo wahshi is qadar bhaDka hai surat se mere yaro
ki apne dekh sae ko mujhe hamrah jaane hai
-
Tag : Saya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ilāhī tujh se ab kahtā hai 'hātim' is zamāne meñ
sharam rakhnā bharam rakhnā dharam rakhnā karam rakhnā
ilahi tujh se ab kahta hai 'hatim' is zamane mein
sharam rakhna bharam rakhna dharam rakhna karam rakhna
itnā maiñ intizār kiyā us kī raah meñ
jo rafta rafta dil mirā bīmār ho gayā
itna main intizar kiya us ki rah mein
jo rafta rafta dil mera bimar ho gaya
tere aane se yū ḳhushī hai dil
juuñ ki bulbul bahār kī ḳhātir
tere aane se yu KHushi hai dil
jun ki bulbul bahaar ki KHatir
koī hai surḳh-posh koī zard-posh hai
aa dekh bazm meñ ki huī hai bahār-e-jām
koi hai surKH-posh koi zard-posh hai
aa dekh bazm mein ki hui hai bahaar-e-jam
vasf añkhiyoñ kā likhā ham ne gul-e-bādām par
kar ke nargis ko qalam aur chashm-e-āhū kī davāt
wasf ankhiyon ka likha hum ne gul-e-baadam par
kar ke nargis ko qalam aur chashm-e-ahu ki dawat
rahn-e-sharāb-ḳhāna kiyā shaiḳh haif hai
jo pairahan banāyā thā ehrām ke liye
rahn-e-sharab-KHana kiya shaiKH haif hai
jo pairahan banaya tha ehram ke liye
mastoñ kā dil hai shīsha aur sañg-dil hai saaqī
achraj hai jo na TuuTe patthar se ābgīna
maston ka dil hai shisha aur sang-dil hai saqi
achraj hai jo na TuTe patthar se aabgina
tirī nigah se ga.e khul kivāḌ chhātī ke
hisār-e-qalb kī goyā thī fat.h tere naam
teri nigah se gae khul kiwaD chhati ke
hisar-e-qalb ki goya thi fath tere nam
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bas nahīñ chaltā jo us dam un ke uupar gar paḌe
āshiq o ma.ashūq ko jab ek jā paatā hai charḳh
bas nahin chalta jo us dam un ke upar gar paDe
aashiq o mashuq ko jab ek ja pata hai charKH
suno hindū musalmāno ki faiz-e-ishq se 'hātim'
huā āzād qaid-e-maz.hab-o-mashrab se ab fāriġh
suno hindu musalmano ki faiz-e-ishq se 'hatim'
hua aazad qaid-e-mazhab-o-mashrab se ab farigh
jā bhiḌātā hai hamesha mujhe ḳhūñ-ḳhvāroñ se
dil baġhal-bīch mirā dushman-e-jāñ hai goyā
ja bhiData hai hamesha mujhe KHun-KHwaron se
dil baghal-bich mera dushman-e-jaan hai goya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
fānūs tan meñ dekh le raushan haiñ juuñ charāġh
jo daaġh dil pe ishq meñ tere diye haiñ ham
fanus tan mein dekh le raushan hain jun charagh
jo dagh dil pe ishq mein tere diye hain hum
hājat charāg kī hai kab anjuman meñ dil ke
mānind-e-sham.a raushan har ek ustuḳhvāñ hai
hajat charag ki hai kab anjuman mein dil ke
manind-e-shama raushan har ek ustuKHwan hai
kabhū pahuñchī na us ke dil talak rah hī meñ thak baiThī
bajā is āh-e-be-tāsīr par tāsīr hañstī hai
kabhu pahunchi na us ke dil talak rah hi mein thak baiThi
baja is aah-e-be-tasir par tasir hansti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sham.a har shaam tere rone par
sub.h-dam tak charāġh hañstā hai
shama har sham tere rone par
subh-dam tak charagh hansta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download