SEARCH RESULTS
Showing search results for "استفادہ"
Ghazal MATCHES FOR "استفادہ"
Ghazal
bas ek chehra kitaabii nazar me.n hai 'naasir'
kisii kitaab se mai.n istifaada kyaa kartaa
Nasir Kazmi
Ghazal
tamaam agle zamaano.n ko ye ijaazat hai
hamaare ahd-e-guzishta se istifaada kare.n
Manzoor Hashmi
Ghazal
jab apnii aag hii kaafii hai mere jiine ko
to mahr o maah se bhii istifaada kyaa karnaa
Zeeshan Sahil
Ghazal
kisii ke dosh na markab se istifaada kiyaa
yahaa.n talak kaa safar ham ne paa-pyaada kiyaa
Mohsin Zaidi
Ghazal
na sirf ahl-e-KHirad hii kaa ham pe ehsaa.n hai
ki ahmaqo.n se bhii ham istifaada karte rahe
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
samaataa hii nahii.n ko.ii mirii naaqis nazar me.n
mai.n apnii zaat hii se istifaada kar rahaa huu.n
Waqar Manvi
Ghazal
Aurang zeb
Ghazal
samajh sako jo zamaane ke tum nasheb-o-faraaz
to apne ahd ke bachcho.n se istifaada ho
Shams Tabrezi
Ghazal
kabhii falak kabhii dhartii ne dii panaah mujhe
kabhii KHudaa se kabhii KHud se istifaada kiyaa
Jamal Ehsani
Ghazal
shab-e-siyaah se jo istifaada karte hai.n
vahii charaaGo.n kaa maatam ziyaada karte hai.n
Asad Badayuni
Ghazal
badan pe zaKHm sajaa.e lahuu labaada kiyaa
har ek sang se yuu.n ham ne istifaada kiyaa
Bilqis Zafirul Hasan
Ghazal
jahaan-e-sher-o-adab me.n hamaaraa zikr bhii hai
ki ham ne 'miir' se 'Gaalib' se istifaada kiyaa
Habab Hashmi
Ghazal
ye ra.ng-zaar hai apnaa paro.n pe titlii ke
dhanak ho KHud me.n to phuulo.n se istifaada kyaa
Azhar Inayati
Ghazal
mire hariifo.n ke dam-KHam me.n ho kamii to unhe.n
mire Guruur se taufiiq-e-istifaada de