SEARCH RESULTS
Showing search results for "تیشہ"
Ghazal MATCHES FOR "تیشہ"
Ghazal
ham-suKHan tesha ne farhaad ko shiirii.n se kiyaa
jis tarah kaa ki kisii me.n ho kamaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Ghazal
be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaa.n
har naqsh-e-paa buland hai diivaar kii tarah
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
Meraj Faizabadi
Ghazal
be-sutuu.n ik navaahii me.n hai shahr-e-dil kii
tesha in.aam kare.n aur ko.ii farhaad rakhe.n
Jaun Eliya
Ghazal
arsa-e-hastii me.n ab tesha-zano.n kaa daur hai
rasm-e-cha.ngezii uThii tauqiir-e-daaraa.ii ga.ii
Sahir Ludhianvi
Ghazal
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
duusro.n se kab talak ham pyaas kaa shikva kare.n
laa.o tesha ek dariyaa duusraa paidaa kare.n
Nazeer Banarasi
Ghazal
ek zarb aur bhii ai zindagii-e-tesha-ba-dast
saa.ns lene kii sakat ab bhii mirii jaan me.n hai
Ahmad Faraz
Ghazal
pahaa.D bhaa.np rahaa thaa mire iraade ko
vo is liye bhii ki tesha mujhe uThaanaa thaa
Akhtar Shumar
Ghazal
tamaam tesha-ba-dast hairat me.n gum hu.e hai.n
charaaG se kaaT dii havaa kii chaTaan mai.n ne
Jamal Ehsani
Ghazal
saakit kha.Daa thaa vaqt magar tesha-zan havaa
patthar kii tah se 'zeb' nikaale ga.ii mujhe
Zeb Ghauri
Ghazal
kaaT kar raato.n ke parbat asr-e-nau ke tesha-zan
juu-e-shiir-o-chashma-e-nuur-e-sahar laate rahe
Ali Sardar Jafri
Ghazal
miraa tesha zamii.n me.n ga.D gayaa hai
junuu.n kii haar hotii jaa rahii huu.n
Ambarin Salahuddin
Ghazal
vo kohkan hai na hai us ke haath me.n tesha
magar zabaan se jab chaahe vo shigaaf kare