SEARCH RESULTS
Showing search results for "alamnaak"
Ghazal MATCHES FOR "alamnaak"
Ghazal
hamaare dil kaa alamnaak daur hai shaayad
samajh rahe hai.n jise khel sab javaanii kaa
Zeeshan Sahil
Ghazal
mu.nh zard badan KHushk jigar chaak alamnaak
Gul shor tapish naala-o-afGaan tamaashaa
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
aarzuu ek alamnaak kahaanii hii sahii
phir se ik baar sunaa do ki mai.n zinda huu.n abhii
Tanveer Ahmad Alvi
Ghazal
jaavedaa.n ishq ho apnaa ye du.aa maa.ngii thii
phir hu.aa ishq kaa anjaam alamnaak miyaa.n
Khan Janbaz
Ghazal
dekh kar qarya-e-viiraa.n me.n zamistaa.n kaa chaa.nd
shaam ke saa.e alam-naak hu.e jaate hai.n
Farasat Rizwi
Ghazal
vahshate.n aisii alamnaak nataa.ej me.n milii.n
jin ke imkaan pe asbaab kii chiiKHe.n niklii.n
Ikram Azam
Ghazal
na puuchh kaise guzaarii hai zindagii ham ne
qadam qadam pe alamnaak raat Thahrii hai
Akhtar Gwaliori
Ghazal
kyuu.n sogvaar ab bhii hai marg-e-zamiir par
vo vaaqi.a thaa utnaa alamnaak bhii nahii.n
Saleem Sarfaraz
Ghazal
ik alamnaak fasaana hai junuun-e-ulfat
jis kii tafsiir ke iz.haar se Dar lagtaa hai
Azeem Hyderabadi
Ghazal
itne bhii alam-naak na the shaam ke saa.e
kis vahm kii KHaatir ye junuu.n sar se nikaalaa
Shiv Om Misra Anvar
Ghazal
insaa.n ko apnii zaat kaa idraak hii nahii.n
ab ko.ii vaardaat alamnaak hii nahii.n
Anwar Kaifi
Ghazal
gulshan me.n phuul khilte hii sad-chaak ho ga.e
ra.ngiin haadse the alamnaak ho ga.e
Muslim Ansari
Ghazal
andaaz-e-numuu kaisaa alamnaak nikaalaa
paivand-e-badan meraa sar-e-KHaak nikaalaa
Afeef Siraj
Ghazal
be-ravaa be-sar-o-paa ek alam-naak sadaa
zindagii qaafila-e-shaam-e-Gariibaa.n jaise
Syed Amin Ashraf
Ghazal
kuchh der hu.ii hai ki mai.n bebaak hu.aa huu.n
jab apne hii maazii pe alamnaak hu.aa huu.n
Syed Tamjeed Haider Tamjeed
Ghazal
mai.n daastaan-e-alamnaak kah nahii.n saktaa
ye ruuh daaKHil-e-musht-e-Gubaar hone kii
Khizr Abbas
Ghazal
haTtaa nahii.n nigaah-e-alamnaak se kabhii
chehra ko.ii KHumaar-e-tarab se bharaa hu.aa
Afzaal Naveed
Ghazal
ye alamnaak fazaa bhii hai qayaamat 'raahii'
sab hai.n chup-chaap makii.n aur makaa.n bolte hai.n