SEARCH RESULTS
Showing search results for "barg-e-gul-e-tar"
Ghazal MATCHES FOR "barg-e-gul-e-tar"
Ghazal
shabnam se nahii.n, rang diyaa dil ke lahuu se
har KHaar ko barg-e-gul-e-tar ham ne banaayaa
Saghar Nizami
Ghazal
hassaas ho duniyaa to jo nashtar se hai maKHsuus
vo kaam bhii mai.n barg-e-gul-e-tar se nikaaluu.n
Mahir Abdul Hayee
Ghazal
shaffaaf bhii rakhnaa hai gulshan kii fazaa.o.n ko
har barg-e-gul-e-tar ko talvaar bhii karnaa hai
Roohi Kanjahi
Ghazal
siina-e-barg-e-gul-e-tar pe nazar thii apnii
zindagii aag ke saa.nche me.n Dhalii kyaa na hu.aa
Farooq Nazki
Ghazal
Waheed Akhtar
Ghazal
ai sabaa de tuu mire soKHta-jaano.n ko KHiraaj
un kii turbat pe hii kuchh barg-e-gul-e-tar rakh de
Shahid Kamal
Ghazal
jaa.n-baKHsh sii us barg-e-gul-e-tar kii taraavat
vo lams-e-aziiz-e-do-jahaa.n yaad rahegaa
Ibn۔e۔Insha
Ghazal
jis varaq par hai hadiis-e-lab-o-ruKHsaar raqam
us varaq par ko.ii barg-e-gul-e-tar rakh denaa
Mazhar Imam
Ghazal
barg-haa-e-gul-e-tar kaa ye pareshaa.n honaa
jurm hai gul-kada-e-dahr me.n KHandaa.n honaa
Tilok Chand Mahroom
Ghazal
ai rashk-e-gul-e-tar tuu kabhii dekh idhar bhii
kaafii hai mire dil pe tirii ek nazar bhii
Rahbar Jadeed
Ghazal
gul dekhnaa to chashm-e-gul-e-tar bhii dekhnaa
shabnam ne jo piro.e hai.n gauhar bhii dekhnaa
Zaigham Hameedi
Ghazal
kam ranj mausam-e-gul-e-tar ne nahii.n diyaa
dil ke kisii bhii zaKHm ko bharne nahii.n diyaa
Saleem Sarfaraz
Ghazal
vo kabhii shaaKH-e-gul-e-tar kii tarah lagtaa hai
aur kabhii dashna-o-KHanjar kii tarah lagtaa hai
Bashir Farooq
Ghazal
barg-haa-e-gul-e-tar kaise bikhar jaate hai.n
girya-e-bulbul-e-naalaa.n me.n asar hotaa hai