SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-vuzuu"
Ghazal MATCHES FOR "be-vuzuu"
Ghazal
is tarah merii aa.nkho.n se aa.nsuu bahe
be-vuzuu hii adaa ho ga.ii har namaaz
Asrarul Haq Asrar
Ghazal
mai.n be-vuzuu huu.n aur vo nazdiik hai mire
aaKHir use haraam kaa matlab nahii.n pata
Kartikey Singh
Ghazal
zamiin us ke liye ta.ng hotii jaa.egii
KHudaa-e-ishq ko jo be-vuzuu pukaaregaa
Rashid Anwar Rashid
Ghazal
aise hii be-KHuluus ke hai dostii haraam
jaise ki ham namaaz adaa be-vuzuu kare.n
Shola Kararvi
Ghazal
vazaahate.n nahii.n hotii.n ko.ii tahaarat kii
vuzuu bhii mai.n ne kisii be-vuzuu se siikhaa hai
Rasheed Sandeelvi
Ghazal
be-vuzuu ishq kii takmiil hai tauhiin-e-sanam
kar rahe hai.n to saliiqe se ibaadat kariye
Arzoo Ashraf Sultanpuri
Ghazal
na tan me.n KHuun faraaham na ashk aa.nkho.n me.n
namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vuzuu hii sahii
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
namaaz-e-ishq adaa ho rahii hai maqtal me.n
ye pur-KHuluus ibaadat hai be-vuzuu hii sahii
Saba Naqvi
Ghazal
kar liyaa hotaa tayammum hii agar paanii na thaa
ishq thaa kaar-e-ibaadat be-vuzuu karte rahe
Naushad Ashhar
Ghazal
Garaz thii kyaa tire tiiro.n ko aab-e-paikaa.n se
magar ziyaarat-e-dil kyuu.n ki be-vuzuu karte
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
ye but-kada na sahii phir bhii mai-kada to nahii.n
yahaa.n to ham ko ka.ii ri.nd be-vuzuu bhii mile
Haneef Akhgar
Ghazal
Maroof Raebarelvi
Ghazal
be-vuzuu paa-e-KHum-e-baada ko chhuu letaa hai
KHaak aatii hai tujhe martaba-daanii vaa'iz