SEARCH RESULTS
Showing search results for "izaafii"
Ghazal MATCHES FOR "izaafii"
Ghazal
daf.atan ik na.e ehsaas ne chau.nkaa saa diyaa
mai.n to samjhaa thaa ki har saa.ns izaafii hai mujhe
Jawad Sheikh
Ghazal
chaa.nd taaro.n me.n bhii tab nuur izaafii ho jaa.e
chhat pe jab zikr tiraa yaar sunaane lag jaa.e.n
Nadim Nadeem
Ghazal
izaafii e'tibaar hai ta.ayyun-e-maqaam bhii
hai past bhii buland-qad nazar nazar kii baat hai
Akbar Hyderabadi
Ghazal
ye mah-o-mehr izaafii hai.n tire sar kii qasam
vaqt batlaatii hai.n aa.nkhe.n tirii chehraa mausam
Idris Babar
Ghazal
ye kisii shaKHs ko khone kii talaafii Thahraa
meraa honaa mire hone me.n izaafii Thahraa
Ameer Imam
Ghazal
kitne aKHbaar-farosho.n ko sahaafii likkhaa
naa-mukammal ko bhii KHaadim ne izaafii likkhaa
Shakeel Jamali
Ghazal
'mus.hafii' ko nahii.n kuchh vasf-e-izaafii se to kaam
sher kahnaa zi-bas us kaa sifat-e-zaatii hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
baaqii to jo bhii kuchh hai izaafii hai sab yahaa.n
ik aa.nkh hai aur ek nazaaraa zamiin par
Jamal Ehsani
Ghazal
jo guftuguu me.n sab se zaruurii thaa vo suKHan
un kii samaa.ato.n ne izaafii samajh liyaa
Shakeel Jazib
Ghazal
ba.Dii hii ‘umda likhii daastaa.n mohabbat kii
magar jo lafz izaafii likhaa hai Dar kaaTo
Komal Joya
Ghazal
Noon Meem Danish
Ghazal
Danish Aziz
Ghazal
is chain se jiine me.n ko.ii bhed nahii.n hai
bas ye ki tamannaa.e.n izaafii nahii.n rakhte
Anjum Khaleeq
Ghazal
saamne rah kar na honaa mas.ala meraa bhii hai
is kahaanii me.n izaafii tazkira meraa bhii hai
Asim Wasti
Ghazal
tumhaarii yaad tumhaaraa KHayaal kaafii hai
sukuun-e-dil ke liye aur sab izaafii hai