SEARCH RESULTS
Showing search results for "jahaalat"
Ghazal MATCHES FOR "jahaalat"
Ghazal
dono.n jahaan terii mohabbat me.n haar ke
vo jaa rahaa hai ko.ii shab-e-Gam guzaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
zamaane me.n zaruurii hai bahut taa'liim kaa honaa
jahaalat aadmii se aadmiyyat chhiin letii hai
Aalam Nizami
Ghazal
jahaa.n se ilm kaa ham ko Guruur hotaa hai
vahii.n se hotii hai bas ibtidaa jahaalat kii
Azhar Inayati
Ghazal
mujh ko hairat hai ki kii umr basar us ne kahaa.n
is jahaalat pe to ne turk na taajiik hai dil
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
ye alag baat vo thaa daur-e-jahaalat lekin
log an-pa.Dh bhii samajhdaar hu.aa karte the
ruKHsaar Nazimabadi
Ghazal
aql kar detii hai insaa.n kii jahaalat zaa.il
maut se jaan chhupaane ko sipar letaa hai
Haidar Ali Aatish
Ghazal
Zafar Kamali
Ghazal
aa.nkho.n ke aar-paar jahaalat kii dhuup hai
sar se ridaa-e-ilm-o-hunar le gayaa ko.ii
Sultan Akhtar
Ghazal
jahaalat me.n palii duniyaa me.n shaayad
ta.aqqul se ba.Dii ne.amat nahii.n hai
Aditya Pant Naaqid
Ghazal
is zamaane me.n jahaalat se guzar hotii hai
ab hunar se to ko.ii ghar ko chalaane se rahaa
Nafas Ambalvi
Ghazal
kitne hii khule fahm-o-faraasat ke dariiche
hai.n qaid-e-jahaalat me.n ham insaan abhii tak
Dr. Azam
Ghazal
ilm hotaa hai haqiiqat me.n jahaalat kaa javaab
mai.n to asbaaq pa.Dhaate hu.e thak jaataa huu.n
Adeeb Damohi
Ghazal
karuu.n to kis se karuu.n mai.n gilaa jahaalat kaa
ye aarzuu thii ki mai.n bhii pa.Dhaa-likhaa hotaa
Hasan Rizvi
Ghazal
qadam qadam pe jahaalat use sataa.egii
jo duur ho gayaa taa'liim aur ta.allum se