SEARCH RESULTS
Showing search results for "kam-zarf"
Ghazal MATCHES FOR "kam-zarf"
Ghazal
kyaa ko.ii kam-zarf hai yaa be-navaa hai aa.ina
pher detaa hai vahii jo dekhtaa hai aa.ina
Mukhtaruddin
Ghazal
kam-zarf bhii hai pii ke bahaktaa bhii bahut hai
bhartaa bhii nahii.n aur chhalaktaa bhii bahut hai
Sajjad Baqar Rizvi
Ghazal
kam-zarf ehtiyaat kii manzil se aa.e hai.n
ham zindagii ke jaada-e-mushkil se aa.e hai.n
Ali Jawad Zaidi
Ghazal
ahd-e-kam-zarf me.n tuu KHvaab liye phirtaa hai
pe.D aise me.n samar-baar kahaa.n hote hai.n
Noman Badr
Ghazal
labrez kar is daur me.n ai saaqii-e-kam-zarf
mat rakh mai-e-gulguu.n se tahii jaam hamaaraa
Shah Naseer
Ghazal
ik uchaTtii sii nazar ek tabassum kii kiran
dil-e-kam-zarf vafaa.o.n kaa silaa maa.nge hai
Mumtaz Mirza
Ghazal
pii kar na zabt vaa.iz-e-kam-zarf se hu.aa
kyaa apne saath mai kii bhii miTTii KHaraab kii
Waseem Khairabadi
Ghazal
phir bai'at-e-kam-zarf mohabbat se hai matluub
sajne ko hai phir ek na.ii karb-o-balaa dekh
Ahmad Sageer
Ghazal
sochtaa huu.n mar na jaa.uu.n bojh se dab kar kahii.n
aaj ik kam-zarf ne ehsaan sar par rakh diyaa
Sajid Safdar
Ghazal
jo apnii nazar tishna-labo.n par nahii.n rakhtaa
us saaqii-e-kam-zarf ko mahfil se uThaa do
Bashir Farooq
Ghazal
Sahir Siyalkoti
Ghazal
kam-zarf naa-KHudaa.o.n ke ehsaa.n se bach gayaa
haalaa.n ki kashtiyo.n ko Dubonaa pa.Daa mujhe
Nawaz Deobandi
Ghazal
kam-zarf pur-Guruur zaraa apnaa zarf dekh
maanind josh-e-Gam na ziyaada ubal ke chal
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
mu.nh pe laa.uu.n to ye kam-zarf bahak jaa.e.n abhii
baat jo piir-e-KHaraabaat ne samjhaa.ii hai
Ismail Merathi
Ghazal
ham ne chup rahne kaa ahd kiyaa hai aur kam-zarf
ham se suKHan-aaraa.o.n jaisii baate.n karte hai.n
Iftikhar Arif
Ghazal
sab ahl-e-zarf raah-e-'amal par hu.e ravaa.n
kam-zarf idhar udhar ke KHayaalo.n me.n ghir ga.e
Jigar Jalandhari
Ghazal
kam-zarf bhii aa nikle hai.n maiKHaane kii jaanib
is se to ye achchhaa thaa ki barsaat na hotii
Jauhar Siddiqui
Ghazal
chand sikko.n ke evaz jo bech dete hai.n zamiir
aise hii kam-zarf duniyaa me.n zaliil-o-KHvaar hai.n