SEARCH RESULTS
Showing search results for "khudaavand"
Ghazal MATCHES FOR "khudaavand"
Ghazal
hame.n karnaa hai KHudaavand kii imdaad so ham
dair-o-ka.aba ko la.Daane ke liye nikle hai.n
Jaun Eliya
Ghazal
go is kii KHudaa.ii me.n mahaajan kaa bhii hai haath
duniyaa to samajhtii hai fara.ngii ko KHudaavand
Allama Iqbal
Ghazal
hairaa.n hai jabii.n aaj kidhar sajda ravaa hai
sar par hai.n KHudaavand sar-e-arsh KHudaa hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
nazr maa.nge jo gulistaa.n se KHudaa-vand-e-jahaa.n
saaGar-e-mai me.n liye KHuun-e-bahaaraa.n chaliye
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
qibla-o-kaa'ba KHudaa-vand-o-malaaz-o-mushfiq
muztarib ho ke use mai.n ne likhaa kyaa kyaa kuchh
Meer Taqi Meer
Ghazal
ye bhii ik turfa tamaashaa hai KHudaa-vand-e-jahaa.n
terii duniyaa ko gunahgaar sambhaale hu.e hai.n
Sultan Akhtar
Ghazal
rabb-e-izzat ke liye bhii ko.ii rahne do KHitaab
tum KHudaavand hii kahlaa.o KHudaa aur sahii
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Ghazal
tuu KHudaavand-e-mohabbat hai mai.n pahchaan gayaa
dil saa ziddii tirii nazro.n kaa kahaa maan gayaa
Saba Akbarabadi
Ghazal
ab kabuutar faaKHtaa.e.n jaa chukii hai.n gaa.nv se
ai KHudaavand pe.D kii aur bastiyo.n kii KHair ho
Ahmad Sajjad Babar
Ghazal
de to sakte hai.n sabhii jaan KHudaa kii KHaatir
par KHudaavand ke ahkaam nahii.n jaante hai.n
Zeeshaan sajid
Ghazal
terii rahmat ke sahaaro.n ne KHudaavand-e-kariim
Garq hone se safiine ko bachaa rakkhaa hai
Syed Abdus Sattar Mufti
Ghazal
'ra.iis' daad KHudaavand-e-aafriinash ko!
agar milii to ba-juz harf-e-aafrii.n na milii
Rais Amrohvi
Ghazal
ye apne KHudaavand se bichh.Daa hu.aa banda
puujaa ke liye roz banaataa hai KHudaa aur
Naim Siddiqi
Ghazal
ai KHudaavand mire sher kii qiimat kyaa hai
ek roTii kaa nivaala jise tuu detaa hai
Hasan Abidi
Ghazal
patthar ke sanam puujo ki miTTii ke KHudaavand
har baab-e-karam der hu.ii band pa.Daa hai
Zubair Rizvi
Ghazal
nannhii sii kalii qaid-e-salaasil aur yatiimii
ai qahr-e-KHudaavand tuu kahaa.n hai tuu kahaa.n hai
Kazim Wasti
Ghazal
yuu.n qahr-e-KHudaavand se Dartaa to bahut huu.n
lekin kabhii taufiiq-e-ibaadat nahii.n hotii