SEARCH RESULTS
Showing search results for "meva"
Ghazal MATCHES FOR "meva"
Ghazal
sivayyaa.n duudh shakar meva sab muhayyaa hai
magar ye sab hai mujhe naagavaar eid ke din
Akbar Allahabadi
Ghazal
naa-rasiida hai tiraa meva-e-jannat zaahid
puKHta maGzo.n ko talaash-e-samr-e-KHaam nahii.n
Safi Lakhnavi
Ghazal
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
pahu.nche thaa apnaa dast-e-havas jis pe gaah gaah
vo shaaKH-e-meva-daar bhii haihaat ba.Dh ga.ii
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
zaqan hai seb to unnaab hai lab-e-shiirii.n
nahii.n hai sarv vo KHush-qad jo meva-daar na ho
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
kyaa maze kaa hai tire seb-e-zanaKHdaa.n kaa KHaal
lazzat-e-meva-e-firdaus hai is daane me.n
Siraj Aurangabadi
Ghazal
mausam-e-gul aa.ii niyyat ser diivaano.n kii ho
meva-e-sahraa.ii par hai.n mu.nh pasaare shahr se
Haidar Ali Aatish
Ghazal
tumhaare meva-e-lab ko nigah se chhuute hii
ajiib lazzat-e-naayaab paane lagte hai.n
Amir Hamza Saqib
Ghazal
tarz-e-karam kii shaahid hai.n meva-daar shaaKHe.n
is tarah sar jhukaa kar saa.il ko Dhuu.nDte hai.n
Nazm Tabatabai
Ghazal
nikaale un se gul o meva shaaKH o barg-o-baar
sab us ke lutf-o-karam ke hai.n aam ye in.aam
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
KHvaahish-e-meva-e-tar ho ye zaruurii to nahii.n
har ko.ii KHuld-badar ho ye zaruurii to nahii.n
Hadis Salsal
Ghazal
sabr kii shaaKH me.n lagtaa hai vo miiThaa meva
sab se duniyaa me.n alag jis kaa mazaa hotaa hai
Bebak Bhojpuri
Ghazal
ek neze pe lagaane hai.n ka.ii meva-e-sar
ek Tahnii ko samar-daar shajar karnaa hai
Rafiq Raaz
Ghazal
jannat ko chho.Dnaa to ko.ii chiiz hii nahii.n
mamnuu.a meva ko.ii katarte to dekhte
Muztar Majaz
Ghazal
agar tum bosa-e-seb-e-zaqan se ho ga.e qaatil
gale par pher diije mere chaaquu meva-KHorii kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
meva-e-baaG-e-iram us ko na bhaave hargiz
taubar-e-bosa kiyaa jis ne vo seb-e-zaqnii
Meer Mohammadi Bedar
Ghazal
iizaa hai saa.ilo.n se mudaam ahl-e-faiz ko
patthar lagaate hai.n shajar-e-meva-daar me.n
Nawab Nazeer Al-Daula
Ghazal
qanaa.at jis kii fitrat ho use naan-e-javii.n tak bhii
hamesha meva-e-qandhaar sii maa'luum hotii hai