SEARCH RESULTS
Showing search results for "nuskhe"
Ghazal MATCHES FOR "nuskhe"
Ghazal
yuu.n kah rahii hai nargis-e-biimaar kii adaa
nusKHe to mujh ko yaad hazaaro.n shifaa ke hai.n
Ismail Merathi
Ghazal
daanish-mandii hai vo karnaa jo bhii kahe tabiib
nusKHe jeb me.n rakhne se biimaar badalte na.ii.n
Mubarik Siddiqi
Ghazal
kuchh tap-e-Gam ko ghaTaa kyaa faa.eda is se tabiib
roz nusKHe me.n agar KHurfa ghaTe kaahuu ba.Dhe
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
baap daadaa ke hii nusKHe me.n hai apnii bhii shifaa
ham ko deriina ta'alluq KHaana-daamaadii se hai
Zafar Kamali
Ghazal
haath se ab to qalam rashk-e-masiihaa rakh de
nusKHe badle hai.n jahaa.n ke hukamaa tiisre din
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
Kanwal Feroz
Ghazal
vo aduu ko saath laa.e hai.n mire ghar dekhiye
sharbat-e-diidaar ke nusKHe me.n daaKHil sam hu.aa
Sher Singh Naaz Dehlvi
Ghazal
tabiib ne mire nusKHe me.n ye likhaa 'sarmad'
mariiz-e-ishq hai Gazlo.n kaa dam kiyaa jaa.e
Sarmad Khan
Ghazal
nusKHe me.n tabiibo.n ne likhaa aur hii kuchh hai
biimaar-e-mohabbat kii davaa aur hii kuchh hai
Raunaq Tonkvi
Ghazal
nusKHe par nusKHe badal kar mujhe kahte hai.n tabiib
apnii taasiir dikhaatii hai davaa tiisre din
Abul Baqa Sabr Saharanpuri
Ghazal
kholaa jo KHalish ne kabhii sanduuq-e-judaa.ii
imkaa.n se likhe vasl ke nusKHe nikal aa.e
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
Ghazal
biimaar-e-'ishq huu.n lab-o-dandaan-e-yaar kaa
nusKHe me.n mere chaahiye sharbat anaar kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
zikr teraa tark karnaa hai mire Gam kii davaa
muntazir huu.n is mujarrab nusKHe kii taasiir kaa
Ain Seen
Ghazal
Ratan Kumar Ratan
Ghazal
tabiib nusKHe me.n 'aazaad' likh rahaa hai junuu.n
KHushaa vo dard ki jis se najaat raqs me.n hai
Abul Husain Azad
Ghazal
Farhan Khan
Ghazal
samajh ke soch ke Dharre badal diye jaa.e.n
ab inqalaab ke nusKHe badal diye jaa.e.n