SEARCH RESULTS
Showing search results for "parvaana"
Ghazal MATCHES FOR "parvaana"
Ghazal
kuchh soch ke parvaana mahfil me.n jalaa hogaa
shaayad isii marne me.n jiine kaa mazaa hogaa
Hafeez Banarasi
Ghazal
huu.n mai.n parvaana magar sham.a to ho raat to ho
jaan dene ko huu.n maujuud ko.ii baat to ho
Akbar Allahabadi
Ghazal
husn kab ishq kaa mamnuun-e-vafaa hotaa hai
laakh parvaana mare sham.a pe kyaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Ghazal
jab bhii jalegii sham.a to parvaana aa.egaa
diivaana le ke jaan kaa nazraana aa.egaa
Hakeem Nasir
Ghazal
jaan jaane ko hai aur raqs me.n parvaana hai
kitnaa ra.ngiin mohabbat tiraa afsaana hai
Saghar Khayyami
Ghazal
Bedam Shah Warsi
Ghazal
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
vafaa kaa banda huu.n ulfat kaa paasdaar huu.n mai.n
Hariif-e-qamrii-o-parvaana-e-hazaar huu.n mai.n
Saail Dehlvi
Ghazal
dil ko ma.aal-e-'ishq se begaana kiijiye
parvaana kah rahaa hai ki parvaa na kiijiye
Jawad Sheikh
Ghazal
dil ko hu.aa hai ishq mohabbat ke daaG se
parvaana lau lagaa.e hu.e hai.n charaaG se
Natiq Lakhnavi
Ghazal
kitnii be-nuur thii din bhar nazar-e-parvaana
raat aa.ii to hu.ii hai sahar-e-parvaana
Shahzad Ahmad
Ghazal
KHayaal-e-yaar jab aataa hai betaabaana aataa hai
ki jaise sham.a kii jaanib ko.ii parvaana aataa hai
Jagan Nath Azad
Ghazal
Deepti Mishra
Ghazal
jab ashk tirii yaad me.n aa.nkho.n se Dhale hai.n
taaro.n ke diye suurat-e-parvaana jale hai.n
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Ghazal
Naresh Shandilya
Ghazal
bazm-e-aduu me.n suurat-e-parvaana dil miraa
go rashk se jalaa tire qurbaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
mai.n Dhuu.nDh rahaa huu.n mirii vo sham.a kahaa.n hai
jo bazm kii har chiiz ko parvaana banaa de
Behzad Lakhnavi
Ghazal
dekh le bulbul o parvaana kii betaabii ko
hijr achchhaa na hasiino.n kaa visaal achchhaa hai
Ameer Minai
Ghazal
aa.iina dekhte hii vo diivaana ho gayaa
dekhaa kise ki sham.a se parvaana ho gayaa