SEARCH RESULTS
Showing search results for "sarokaar"
Ghazal MATCHES FOR "sarokaar"
Ghazal
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii.n
ki us shajar pe shaguufe samar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
jise na husn se matlab na ishq se sarokaar
vo shaKHs mujh ko bahut bad-nasiib lagtaa hai
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
tiirgii chaahe sitaaro.n kii sifaarish laa.e
raat se mujh ko sarokaar nahii.n ho saktaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
ab TuuT rahaa hai mirii hastii kaa tasavvur
is vaqt mujhe tujh se sarokaar bahut hai
Farhat Ehsas
Ghazal
saame.a-e-sadaa-e-jaa.n be-sarokaar thaa ki thaa
ek gumaa.n kii daastaa.n bar-lab niim-vaa bhii thii
Jaun Eliya
Ghazal
aa.nkho.n me.n hasii.n KHvaab to hai.n aaj bhii lekin
ta.abiir se ab ko.ii sarokaar nahii.n hai
Alam Khursheed
Ghazal
kuchh sarokaar nahii.n jaan rahe yaa na rahe
na rahaa un se to phir kis se sarokaar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Ghazal
Zafar Iqbal
Ghazal
hushiyaar ho ai be-KHud-o-sarshaar-e-mohabbat
iz.haar-e-mohabbat! are iz.haar-e-mohabbat
Jigar Moradabadi
Ghazal
maa.nge hai du.aa KHalq tujhe dekh ke zaalim
yaarab kaso ko us se sarokaar na hove
Meer Taqi Meer
Ghazal
kis ke gumaan me.n the na.e mausamo.n ke ra.ng
kis kaa mire sivaa sarokaar intizaar thaa
Zafar Iqbal
Ghazal
duniyaa se kuchh nahii.n hai sarokaar ab mujhe
be-shak mire liye mujhe tanhaa.ii chaahiye
Anjum Saleemi
Ghazal
taufiiq se kab ko.ii sarokaar chale hai
duniyaa me.n faqat taala-e-bedaar chale hai
Ada Jafarey
Ghazal
tumhaarii KHush-dahnii se hai asl me.n sarokaar
ye lab kaa bosa to bas ibtidaa-e-bosa hai
Syed Kashif Raza
Ghazal
aalam tirii nigah se hai sarshaar dekhnaa
merii taraf bhii Tuk to bhalaa yaar dekhnaa
Mah Laqa Chanda
Ghazal
be-ta.alluq hii sahii us ko magar hai mujh se
ik sarokaar sarokaar bhii aisaa vaisaa
Javed Saba
Ghazal
dil ko duniyaa se sarokaar kabhii thaa hii nahii.n
aa.nkh ne bhii magar is ruKH ko ajab batlaayaa