SEARCH RESULTS
Showing search results for "thak-thakaa"
Ghazal MATCHES FOR "thak-thakaa"
Ghazal
'haqqii' bechaara aaKHir thak-thakaa kar so gayaa
apne zaKHmo.n kii vo kartaa parda-daarii aur kyaa
Abul Hasanat Haqqi
Ghazal
masjid ke zer-e-saaya baiThe to thak-thakaa kar
bolaa har ik minaara tujh se hazaar guzre
Meena Kumari Naz
Ghazal
mai.n tere paas bahut thak-thakaa ke aataa huu.n
tuu apnii god me.n le ke mujhe sulaa diyaa kar
Shakeel Azmi
Ghazal
kal raat pii-pilaa ke ba.Dii mastiyaa.n hu.ii.n
aaKHir ko thak-thakaa ke phir apne hii ghar ga.e
Nadeem Siddiqui
Ghazal
thak thakaa kar ruk gayaa pur-josh raahii kaa safar
dhuup ke saa.e me.n jis dam garm sahraa ho gayaa
Shabana zaidi shabeen
Ghazal
ab na liije naam us kaa dil ki jis kii zid kiye
so gayaa hai thak-thakaa kar rote chillaate hu.e
Dinesh Kumar Drouna
Ghazal
Amir Hamza Saqib
Ghazal
thak thak ga.e hai.n aashiq darmanda-e-fuGaa.n ho
yaarab kahii.n vo Gaflat fariyaad-e-be-kasaa.n ho
Qalaq Merathi
Ghazal
Shaayar Lakhnavi
Ghazal
mai.n Thiik-Thaak huu.n vo bhii na kuchh malaal kare
bas us se kahnaa ki paudho.n ki dekh-bhaal kare
Vishnu Virat
Ghazal
Obaidurrahman Niyazi
Ghazal
Hina Ambareen
Ghazal
qaasid aane jaane me.n thak thak kar ghabraa.egaa
jaa.egaa phir aa.egaa aa.egaa phir jaa.egaa
Nooh Narvi
Ghazal
miTii miTii sii umiide.n thake thake se KHayaal
bujhe bujhe se nigaaho.n me.n Gam ke afsaane
Nasir Kazmi
Ghazal
kiyaa thaa zabt magar to.D kar bahaa dariyaa
thake thake se kinaaro.n ne KHud-kushii kar lii