SEARCH RESULTS
Showing search results for "zarf-e-aab"
Ghazal MATCHES FOR "zarf-e-aab"
Ghazal
jo zarf-e-aab hame.n mai-kade me.n mil jaataa
namaaz ka.abe me.n pa.Dhte yahaa.n vuzuu karte
Riyaz Khairabadi
Ghazal
murattab ho rahaa hai is tarah afsaana-e-hastii
bharaa jaataa hai jaise zarf-e-aab aahista aahista
Nihal Rizvi Lucknowi
Ghazal
tuu us kii zad me.n jo aayaa to Duub jaa.egaa
ba-qadr-e-aab hai har aa.ina bahut gahraa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
ye mauj taa-ki safiine ko garm-rau rakkhe
kuchh aag KHema-e-aab-e-ravaa.n me.n rakh denaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
is qadar mazbuut mausam par rahii kis kii giraft
mai.n ki mujh se siina-e-aab-o-havaa raushan hu.aa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
dekhaa gayaa na mujh se ma.aanii kaa qatl-e-aam
chup-chaap mai.n hii lafzo.n ke lashkar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
TuuTaa ta.alluqaat kaa aa.iina is tarah
aks-e-nashaat-e-lamaha-e-faanii bhii le gayaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
soz-e-ehsaas bahut hai ise kam-tar mat jaan
yahii sho.ala tujhe baaliida-nigaahii degaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
ruuh aur badan dono.n daaG daaG hai.n yaaro
phir bhii apne baam-o-dar be-charaaG hai.n yaaro
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
jis taraf dekho hujuum-e-chehra-e-be-chehragaa.n
kis ghane jangal me.n yaaro gum hu.aa sab kaa hunar
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
baiThe hai.n rang ra.ng ujaale taraashne
rakh kar lahuu kii sham.a sar-e-rahguzaar log
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
chand saa.nse.n hai.n miraa raKHt-e-safar hii kitnaa
chaahiye zindagii karne ko hunar hii kitnaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
bisaat-e-daanish-o-harf-o-hunar kahaa.n khole.n
ye sochte hai.n lab-e-mo'tabar kahaa.n khole.n
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
abhii to saaz ke taaro.n ko kas rahaa hai shu.uur
abhii na qarya-e-aavaaz me.n bulaa.o hame.n