aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "'asraa'"
jii me.n aataa hai ki ab ahd-e-vafaa bhii to.D duu.nun ko paa saktaa huu.n mai.n ye aasraa bhii to.D duu.nhaa.n munaasib hai ye zanjiir-e-havaa bhii to.D duu.nai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n
kahii.n nahii.n hai kahii.n bhii nahii.n lahuu kaa suraaGna dast-o-naaKHun-e-qaatil na aastii.n pe nishaa.nna surKHi-e-lab-e-KHanjar na ra.ng-e-nok-e-sinaa.nna KHaak par ko.ii dhabbaa na baam par ko.ii daaGkahii.n nahii.n hai kahii.n bhii nahii.n lahuu kaa suraaGna sarf-e-KHidmat-e-shaahaa.n ki KHuu.n-bahaa detena dii.n kii nazr ki bai.aana-e-jazaa detena razm-gaah me.n barsaa ki mo'tabar hotaakisii alam pe raqam ho ke mushtahar hotaapukaartaa rahaa be-aasraa yatiim lahuukisii ko bahr-e-samaa.at na vaqt thaa na dimaaGna mudda.ii na shahaadat hisaab paak hu.aaye KHuun-e-KHaak-nashiinaa.n thaa rizq-e-KHaak hu.aa
dil kii qurbaan gaah ke aageek TuuTaa hu.aa diyaa bhii nahii.nkisii piipal ke narm saa.e me.nko.ii patthar kaa devtaa bhii nahii.nruuh ke kaasa-e-gadaa.ii kochaar Tuk.Do.n kaa aasraa bhii nahii.n
merii himmat the hausla the tumzinda rahne kaa aasraa the tum
siraf haraam kii kau.Dii kaa jin kaa hai bevpaarunho.n ne khaayaa hai is din ke vaaste hai udhaarkahe hai ha.ns ke qaraz-KHvaah se har ik ik baardivaalii aa.ii hai sab de dilaa.e.nge ai yaarKHudaa ke fazl se hai aasraa divaalii kaa
saal-haa-saal ye be-aasraa jak.De hu.e haathraat ke saKHt o siyah siine mai.n paivast rahejis tarah tinkaa samundar se ho sargarm-e-satiizjis tarah tiitarii kohsaar pe yalGaar kareaur ab raat ke sa.ngiin o siyah siine me.nitne ghaav hai.n ki jis samt nazar jaatii haijaa-ba-jaa nuur nai ik jaal saa bun rakhaa haiduur se sub.h kii dha.Dkan kii sadaa aatii haiteraa sarmaaya tirii aas yahii haath to hai.naur kuchh bhii to nahii.n paas yahii haath to hai.ntujh ko manzuur nahii.n Galba-e-zulmat lekintujh ko manzuur hai ye haath qalam ho jaa.e.naur mashriq kii kamii.n-gah me.n dha.Daktaa hu.aa dinraat kii aahanii mayyat ke tale dab jaa.e!
maathe pe saKHt-koshi-e-paiham kii daastaa.naa.nkho.n me.n huzn o yaas kii ghanghor badliyaa.nchehro.n pe taazyaana-e-iflaas ke nishaa.nhar har adaa se bhuuk kii betaabiyaa.n ayaa.npaisa agar mile to hamiiyat bhii bech de.nroTii kaa aasraa ho to izzat bhii bech de.n
KHamoshii se dabe paa.nvbharii mahfil se uThte hokhule aakaash ke niiche kahii.n par baiTh jaate hophir apnaa haath haule se ba.Dhaate hochamakte chaa.nd kii jaanibkabhii to muskuraate ho kabhii kuchh gungunaate hojo 'miir'-o-'dard' kii Gazle.n kabhii ham ko sunaate thevahii sargoshiyaa.n mujh se jo aksar karte rahte thehavaa ke dosh par baiThii kiran se karne lagte hosunaa hai be-qaraarii me.nTahalte ho kabhii chhat parkabhii har aks me.n meraa saraapaa Dhuu.nDhte ho tumhavaa.o.n me.n mirii KHushbuu kabhii mahsuus karte hokabhii be aas ho kar phir zamii.n par baiTh jaate hobahut fariyaad karte homujhe hii yaad karte homagar ye saarii baate.n to mahz KHvaabo.n kii baate.n hai.nkhulii jab aa.nkh merii to nazaara aur hii dekhaako.ii paiGaam aayaa thaahamaare naam aayaa thaalikhaa thaa us me.n dekho naaki ab kii chaa.nd jo niklaause nazdiik se dekhaause mahsuus kar paayaamukammal paa liyaa us ko jo shah-rag me.n machaltaa thaamubaarakbaad to de do vo meraa ho gayaa ab kiisunaa hai chaa.ndnii-raato.n me.n tum bhii so nahii.n paatiituu ab kii chain se sonaa ki ab mai.n bhii nahii.n jagtaa
uf-rii maayuusii kisii kaa aasraa rakhtii nahii.nshubah hotaa hai ki tuu shaayad KHudaa rakhtii nahii.n
letaa huu.n naam us kaakartaa huu.n us kii puujaavo meraa rahnumaa haivo meraa aasraa haihaa.n vo miraa KHudaa hai
na jaane kaun se ho.nTo.n kaa aasraa paa kartumhaare ho.nT mirii tishnagii ko bhuul ga.evahii usuul jo mohkam the narm saa.e me.nzaraa sii dhuup me.n nikle to jhuul jhuul ga.e
be-kivaa.D darvaazeraah dekhte ho.ngetaaq be-charaaGo.n keik kiran ujaale kiibhiik maa.ngte ho.ngekyo.n jhijak ga.e raahiikyo.n ThiThuk ga.e raahiiDhuu.nDne kise jaa.ointizaar kis kaa horaaste me.n kuchh saathiirah badal bhii jaate hai.nphir kabhii na milne kokuchh bichha.D bhii jaate hai.nqaafila kabhii Thahraaqaafila kahaa.n Thahraaraah kyo.n kare khoTiikis kaa aasraa dekhechand kaa.nch ke Tuk.Deik bilor kii goliinanhe munne haatho.n kaajin pe lams baaqii haizaad-e-raah kaafii haiKHushk ho chuke gajrekis gale me.n Daalogiibhuulii bhaTkii KHushbuu.okis kii raah rokogiikis ne ashk po.nchhe hai.nkis ne haath thaamaa haiapnaa raasta naapobe-kivaa.D darvaazeraah dekhte ho.ngekal na.ii sahar hogiilaaj se bharii kaliyaa.nkal bhii muskuraa.e.ngiikal ko.ii na.ii goriiadh-khilii na.ii kaliyaa.nhaar me.n piro.egii
KHizaa.n mausam nahii.n haiek lamha hai ki jis kii aarzuu me.nsabz pattehavaa kii aahaTo.n par kaan dharte hai.nguzarte vaqt me.n saa.at-ba-saa.atna.e pairaahano.n me.ngulaabii aur gahre surKH unnaabiidahakte KHushnumaa ra.ngo.n se le kar zard hone takkabhii dhiime kabhii uu.nche suro.n me.n baat kartiiKHushbu.o.n me.n bas-basaa karhavaa ke saath mahv-e-raqs honaa chaahte hai.nzamii.n kaa rizq ban jaane se pahlevahii ik ajnabii vaaraftagii aur raqs kaa lamhakahii.n par daur-e-aa.inda ke mausam kii samaa.at me.nkisii so.e hu.e ik biij me.nKHvaahish numuu kii sar uThaatii haibahut hii pyaar se har shaaKH ke patte se kahtii haiki ab rizq-e-zamii.n ban karkisii ik narm ko.npal kii numuu kaa aasraa ban jaaKHizaa.n mausam nahii.n haiik masarrat-KHez taKHliiq-e-amal kaa aasraa hai
raat jaise bahrii haisiskiyaa.n nahii.n suntiihausla nahii.n detiijin kii kashtiyo.n ko Gamzabt ke jaziire parTherne nahii.n detaajin ko baar-e-bad-baKHtiiziist ke samundar me.ntairne nahii.n detaareg-e-saahil-e-shab parkaise sar paTaKHte hai.nraat jaise andhii haiaasraa nahii.n detiidost hii nahii.n bantiiraat kitnii behis hai
ek duuje pe aasraa kare.ngeham-safar dar-ba-dar rahaa kare.nge
zavaal par thii bahaar kii rutKHizaa.n kaa mausam uruuj par thaaudaasiyaa.n thii.n har ek shai parchaman se shaadaabiyaa.n KHafaa thii.nun hii dino.n me.n thii mai.n bhii tanhaaudaasii mujh ko bhii Das rahii thiivo girte patto.n kii suukhii aahaTye sahraa sahraa bikhartii haalathamii ko merii kuchal rahii thiimai.n lamha lamha sulag rahii thiimujhe ye irfaan ho gayaa thaahaqiiqat apnii bhii khul rahii thiiki zaat apnii hai yuu.n hii faaniijo ek jhaTkaa KHizaa.n kaa aa.eto zindagii kaa shajar bhii is pulKHamosh-o-tanhaa kha.Daa milegaamizaaj aur KHush-ravii ke pattedilo.n me.n logo.n ke misl-e-sahraaphire.nge maare ye yaad ban karkuchh hii dino.n takmagar muqaddar hai un kaa faaniike laakh patte ye shor kar le.nmizaaj me.n sar-kashii bhii rakh le.nyaa girya kar le.n udaas ho le.nto farq use ye bas pa.Degaazamiin un ko sameT legiizaraa sii phir ye jagah bhii degiikarishma qudrat kaa hai ye aisaauruuj par hai zavaal apnaahar ek ko hai palaT ke jaanaa
bichha.D ga.e tum badal ga.e tumye rut jo badlii badal gayaa sabvafaa kii baate.n milan kii raate.nvahii hu.aa naa ki jis kaa Dar thaaudaasii aa.nkho.n me.n bas ga.ii haira.ng saare pa.De hai.n phiiketumhaare jazbe kii ik lahar seuja.D ga.ii hai hamaarii duniyaavahii hu.aa hai ki jis kaa Dar thaa
jo arsa pahle TuuT gayaakuchh yaade.n un me.n baaqii hai.nfariyaade.n bhii kuchh baaqii hai.nshahnaa.ii kaa hai ko.ii maddham surun diivaaro.n me.n guu.nj rahaaaa.o chale.n us kha.nDar me.njo arsa pahle TuuT gayaakuchh saa.e hamaare bachpan kekuchh yaad hamaare logo.n kiiis kha.nDar se vaabasta hai.nthii naqsh bahut sii tasviire.nis kha.nDar kii diivaaro.n partum jaante ho vo kis kii thii.nkuchh bachcho.n kii kuchh buu.Dho.n kiikuchh mere apne bachpan kiiaa.o chale.n us kha.nDar me.njo arsa pahle TuuT gayaaaursaath bahut kuchh luuT gayaavo dekh rahe ho banjar tilis kha.nDar kaa vo hissa thaatab sahn use ham kahte thesab mil ke us me.n rote theshaam kii aksar chaa.e hamus jaa par baiTh ke piite theaa.o chale.n us hisse me.njahaa.n baiTh ke ham sab pa.Dhte theshor machaayaa karte theaur sab ko ha.nsaayaa karte thekabhii la.Dte the kabhii rote theye dekho ye jo miTTii haiham is me.n khelaa karte theaur ghanTo.n khelaa karte thevo dekho vo TuuTii Dev.Dhiimere ghar kii chaukhaT haihar saal nayaa saa rang ko.iiham log cha.Dhaate the is parjaante ho ye kha.nDar kabhiiaabaad bhii thaa shaadaab bhii thaaham log isii me.n rahte theye ghar thaa hamaaraa pyaaraa saaaur pyaare pyaare log bahut sesaath hamaare rahte theham jashn manaayaa karte theun chaahne vaale logo.n kelahje kii lahak aa.nkho.n kii chamakqadmo.n kii dhamakus ghar kii fazaa me.n guu.nj rahiitum Gaur karo aahista chaloye kha.nDar nahii.n hai ghar hai miraais gardish-e-dauraa.n ne jis koyuu.n luuT liyaa barbaad kiyaamai.n lauT ke ab jo aa.ii huu.nasbaab bahut se laa.ii huu.npar sun.ne vaalaa ko.ii nahii.nnaayaab hu.e vo log sabhiivo aa.nkhe.n thak ke mu.nd bhii ga.iijo raat ko jaagaa kartii thii.nab ye to bas ik kha.nDar haiaa.o chale.n is kha.nDar me.n
dariyaa cha.Dhaav par haiaur bojh naav par haipahnaa-e-aab saaraahai kuuch kaa ishaaraahosh-aazmaa nazaaraamaujo.n ke mu.nh me.n kaf haiik shor har taraf haimarg-aafrii.n hai dhaaraaaur duur hai kinaaraako.ii nahii.n sahaaraateG-aazmaa hai.n lahre.nteGe.n hai.n yaa hai.n lahre.ntauba havaa kii teziimauj-e-fanaa kii teziihai kis balaa kii teziitadbiir-e-naaKHudaa kyaachappuu kaa aasraa kyaagirdaab pa.D rahe hai.nkashtii se la.D rahe hai.ntaKHte ukha.D rahe hai.nnaGmo.n kaa josh KHaamoshsab naav-nosh KHaamoshhai ye baraat kis kiinau-shaah aur baraatiilauTe hai.n le ke Doliimaayuus hai.n nigaahe.nraqsaa.n labo.n pe aahe.nDolii me.n huur paikarkyaa kaa.nptii hai thartharlekin hai muhr lab parduulhaa ke sar pe sahraalekin udaas chehraishrat kii aarzuu thiiulfat kii justujuu thiiummiid ruu-ba-ruu thiiye inqalaab kyaa haiaaGosh-e-marg vaa haiafsos yaa-ilaahiikyaa aa ga.ii tabaahiiqismat kii kam nigaahiidil sard ho rahe hai.nruKH zard ho rahe hai.nis mahshar-e-balaa me.nis lahja-e-fanaa me.nis sail-e-baad-paa me.nsab ahl-e-yaas gum hai.nhosh-o-havaas gum hai.nkuchh mahv hai.n du.aa me.nkuchh naala-o-bukaa me.nkuchh shikva-e-KHudaa me.nbaiThii hai ek bevahai sabr jis kaa shevadil haath se dabaa.ebachcha gale lagaa.etiir-e-umiid khaa.eye baap kii nishaaniisarmaaya-e-javaaniiik din javaan hogaaammaa.n kaa maan hogaahaq mehrbaan hogaaik naujavaa.n bad-aKHtarbhaagaa hai ghar se la.D karchho.De the baap-maa.n bhiibiivii bhii aur makaa.n bhiiab chho.Dtaa hai jaa.n bhiiai kaash mai.n na aataaai kaash lauT jaataaai tab-e-KHud-sar afsosai taish tujh par afsosafsos yaksar afsosye dev-zaad mauje.nye nau-nihaad mauje.naayaa phir ek relaakashtii banii hai tinkaabas ho chalaa safaayaatadbiir ro rahii haitaqdiir so rahii haimallaah tair nikledariyaa me.n pair nikleafsos Gair nikle
kyaa yahii zindagii hai ki hamapne hone kii KHushiyaa.n manaate rahe.njism kii lazzato.n nafs kii shahvato.n me.n bhaTakte rahe.nsaare be-aasraa Gam-gaziido.n ko ibrat kaa zariya samajh karapnii aasaa.isho.n ne.amato.n ke liye sajda-e-shukr me.n apne sar ko jhukaate rahe.nkyaa yahii zindagii haikyaa yahii zindagii hai ki hamGaasibo.n zar-parasto.n se nazre.n churaa karbe-kaso.n be-sahaaro.n ko sabr-o-qanaa.at kii talqiin karte rahe.ngar yahii zindagii hai to mere KHudaachhiin le ham se apnii KHilaafat kaa mansabki ham vaaqa.ii is ke laa.eq nahii.nvarna ai mere rab rahm kar rahm karzindagii dii hai ham ko to phirzindagii kaa saliiqa sikhaa de
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books