SEARCH RESULTS
Showing search results for "'jauhar'"
Nazm MATCHES FOR "'jauhar'"
Nazm
shikwa
apne parvaano.n ko phir zauq-e-KHud-afrozii de
barq-e-deriina ko farmaan-e-jigar-sozii de
Allama Iqbal
Nazm
jawab-e-shikwa
tarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.n
jis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.n
Allama Iqbal
Nazm
walida marhuma ki yaad mein
jauhar-e-insaa.n adam se aashnaa hotaa nahii.n
aa.nkh se Gaa.eb to hotaa hai fanaa hotaa nahii.n
Allama Iqbal
Nazm
apni malka-e-suKHan se
chashm-e-siyaah me.n vo talaatum hai nuur kaa
jaise sharaab-e-naab me.n jauhar suruur kaa
Josh Malihabadi
Nazm
aurat
detii hai masarrat kaa dil-e-zaar ko paiGaam
hai ruuh ko taskiin jigar kaa hai ye aaraam
Rahbar Jaunpuri
Nazm
muqabla-e-husn
kuulho.n me.n bha.nvar jo hai.n to kyaa hai
sar me.n bhii hai justujuu kaa jauhar
Fahmida Riaz
Nazm
apni taswir mujhe aap banani hogi
jitne jauhar hai.n numuu ke
mirii ta.amiir me.n hai.n
Naseem Syed
Nazm
sarojini-naidu
aziiz maa.n mirii ha.nsmukh mirii bahaadur maa.n
tamaam jauhar-e-fitrat jagaa diye tuu ne
Kaifi Azmi
Nazm
ab KHub hansega diwana
ab KHuun ke saagar khole.nge
insaan ke jauhar khole.nge
Hafeez Jalandhari
Nazm
naya sal
isii gulsitaa.n ke hai.n sab phuul 'jauhar'
khile.n muskuraa.e.n ha.nse.n aur ha.nsaa.e.n
Jauhar Rahmani
Nazm
nae sur ki tamsil
jis me.n raago.n kaa jauhar ba.ndhaa hai
kahii.n aimanii ras kahii.n maarvaa ThaaTh bhageshirii
Akhtar Usman
Nazm
numaish mein
ko.ii aa.iina-daar-e-husn-e-faaras
kisii me.n husn-e-yuunaanii ke jauhar