aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ".libi"
naam bhuule se jo meraa kahii.n aayaa hogaaGair-mahsuus tariiqe se vo chau.nkaa hogaaek jumle ko ka.ii baar sunaayaa hogaabaat karte hu.e sau baar vo bhuulaa hogaaye jo la.Dkii na.ii aa.ii hai kahii.n vo to nahii.nus ne har chehra yahii soch ke dekhaa hogaajaan-e-mahfil hai magar aaj faqat mere baGairhaa.e kis darja vahii bazm me.n tanhaa hogaakabhii sannaaTo.n se vahshat jo hu.ii hogii useus ne be-saaKHta phir mujh ko pukaaraa hogaachalte chalte ko.ii maanuus sii aahaT paa kardosto.n ko bhii kis uzr se rokaa hogaayaad kar ke mujhe nam ho ga.ii ho.ngii palke.n''aa.nkh me.n pa.D gayaa kuchh'' kah ke ye Taalaa hogaaaur ghabraa ke kitaabo.n me.n jo lii hogii panaahhar satar me.n miraa chehra ubhar aayaa hogaajab milii hogii use merii alaalat kii KHabarus ne aahista se diivaar ko thaamaa hogaasoch kar ye ki bahal jaa.e pareshaanii-e-dilyuu.nhii be-vaj.h kisii shaKHs ko rokaa hogaa!
kuchh aisaa hai ye mai.n jo huu.n ye mai.n apne sivaa huu.n ''mai.n''so apne aap me.n shaayad nahii.n vaaq.e hu.aa huu.n mai.njo hone me.n ho vo har lamha apnaa Gair hotaa haiki hone ko to hone se ajab kuchh bair hotaa haiyuu.nhii bas yuu.nhii 'zenuu' ne yakaayak KHud-kushii kar liiajab hiss-e-zaraafat ke the maalik ye ravaaqii bhii
aaj ke naamauraaj ke Gam ke naamaaj kaa Gam ki hai zindagii ke bhare gulsitaa.n se KHafaazard patto.n kaa banzard patto.n kaa ban jo miraa des haidard kii anjuman jo miraa des haiclerko.n kii afsurda jaano.n ke naamkirm-KHurda dilo.n aur zabaano.n ke naampost-mano.n ke naamtaa.nge vaalo.n kaa naamrail-baano.n ke naamkaar-KHaano.n ke bhuuke jiyaalo.n ke naambaadshaah-e-jahaa.n vaalii-e-maa-sivaa, naa.eb-ul-allaah fil-arzdahqaa.n ke naamjis ke Dhoro.n ko zaalim ha.nkaa le ga.ejis kii beTii ko Daaku uThaa le ga.ehaath bhar khet se ek a.ngusht paTvaar ne kaaT lii haiduusrii maaliye ke bahaane se sarkaar ne kaaT lii haijis kii pag zor vaalo.n ke paa.nv-taledhajjiyaa.n ho ga.ii haiun dukhii maa.o.n ke naamraat me.n jin ke bachche bilakte hai.n aurnii.nd kii maar khaa.e hu.e baazu.o.n me.n sambhalte nahii.ndukh bataate nahii.nminnato.n zaariyo.n se bahalte nahii.n
hijaab-e-fitna-parvar ab uThaa letii to achchhaa thaaKHud apne husn ko pardaa banaa letii to achchhaa thaatirii niichii nazar KHud terii ismat kii muhaafiz haituu is nashtar kii tezii aazmaa letii to achchhaa thaatirii chiin-e-jabii.n KHud ik sazaa qaanuun-e-fitrat me.nisii shamshiir se kaar-e-sazaa letii to achchhaa thaaye teraa zard ruKH ye KHushk lab ye vahm ye vahshattuu apne sar se ye baadal haTaa letii to achchhaa thaadil-e-majruuh ko majruuh-tar karne se kyaa haasiltuu aa.nsuu po.nchh kar ab muskuraa letii to achchhaa thaatire zer-e-nagii.n ghar ho mahal ho qasr ho kuchh homai.n ye kahtaa huu.n tuu arz-o-samaa letii to achchhaa thaaagar KHalvat me.n tuu ne sar uThaayaa bhii to kyaa haasilbharii mahfil me.n aa kar sar jhukaa letii to achchhaa thaatire maathe kaa Tiikaa mard kii qismat kaa taaraa haiagar tuu saaz-e-bedaarii uThaa letii to achchhaa thaaayaa.n hai.n dushmano.n ke KHanjaro.n par KHuun ke dhabbeunhe.n tuu ra.ng-e-aariz se milaa letii to achchhaa thaasanaane.n khii.nch lii hai.n sar-phire baaGii javaano.n netuu saamaan-e-jaraahat ab uThaa letii to achchhaa thaatire maathe pe ye aa.nchal bahut hii KHuub hai lekintuu is aa.nchal se ik parcham banaa letii to achchhaa thaa
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
raat bhar diida-e-namnaak me.n lahraate rahesaa.ns kii tarah se aap aate rahe jaate raheKHush the ham apnii tamannaa.o.n kaa KHvaab aa.egaaapnaa armaan bar-afganda-naqaab aa.egaanazre.n niichii kiye sharmaa.e hu.e aa.egaakaakule.n chehre pe bikhraa.e hu.e aa.egaaaa ga.ii thii dil-e-muztar me.n shakebaa.ii siibaj rahii thii mire Gam-KHaane me.n shahnaa.ii siipatiyaa.n kha.Dkii.n to samjhaa ki lo aap aa hii ga.esajde masruur ki ma.abuud ko ham paa hii ga.eshab ke jaage hu.e taaro.n ko bhii nii.nd aane lagiiaap ke aane kii ik aas thii ab jaane lagiisub.h ne sej se uThte hu.e lii a.ng.Daa.iio sabaa! tuu bhii jo aa.ii to akelii aa.iimere mahbuub mirii nii.nd u.Daane vaalemere masjuud mirii ruuh pe chhaane vaaleaa bhii jaa, taaki mire sajdo.n kaa armaa.n nikleaa bhii jaa, ki tire qadmo.n pe mirii jaa.n nikle
ek hii KHvaab ka.ii baar yuu.nhii dekhaa mai.n netuu ne saa.Dii me.n u.Das lii hai.n mirii chaabiyaa.n ghar kiiaur chalii aa.ii hai bas yuu.nhii miraa haath paka.D karghar kii har chiiz sambhaale hu.e apnaa.e hu.e tuu
(2)mat ro bachchero ro ke abhiiterii ammii kii aa.nkh lagii haimat ro bachchekuchh hii pahletere abbaa neapne Gam se ruKHsat lii haimat ro bachcheteraa bhaa.iiapne KHvaab kii titlii piichheduur kahii.n pardes gayaa haimat ro bachcheterii baajii kaaDolaa paraa.e des gayaa haimat ro bachchetere aa.ngan me.nmurda suuraj nahlaa ke ga.e hai.nchandarmaa dafnaa ke ga.e hai.nmat ro bachcheammii, abbaa, baajii, bhaa.iichaa.nd aur suurajtuu gar ro.egaa to ye sabaur bhii tujh ko rulvaa.e.ngetuu muskaa.egaa to shaayadsaare ik din bhes badal kartujh se khelne lauT aa.e.nge
mai.n kyaa bataa.uu.n vo kitnii hasiin duniyaa thiijo ba.Dhtii umr ke haatho.n ne chhiin lii mujh sesamajh sake ko.ii ai kaash ahd-e-tiflii kojahaan dekhnaa miTTii ke ek reze konumuud-e-laala-e-KHud-rau me.n dekhnaa jannatkare nazaara-e-kaunain ik gharau.nde me.n
ruKHsat hu.aa vo baap se le kar KHudaa kaa naamraah-e-vafaa kii manzil-e-avval hu.ii tamaammanzuur thaa jo maa.n kii ziyaarat kaa intizaamdaaman se ashk po.nchh ke dil se kiyaa kalaamiz.haar-e-be-kasii se sitam hogaa aur bhiidekhaa hame.n udaas to Gam hogaa aur bhiidil ko sa.nbhaaltaa hu.aa aaKHir vo naunihaalKHaamosh maa.n ke paas gayaa suurat-e-KHayaaldekhaa to ek dar me.n hai baiThii vo KHasta-haalsaktaa saa ho gayaa hai ye hai shiddat-e-malaaltan me.n lahuu kaa naam nahii.n zard rang haigoyaa bashar nahii.n ko.ii tasviir-e-sa.ng haikyaa jaane kis KHayaal me.n gum thii vo be-gunaahnuur-e-nazar ye diida-e-hasrat se kii nigaahjumbish hu.ii labo.n ko bharii ek sard aahlii gosha-ha-e-chashm se ashko.n ne ruKH kii raahchehre kaa rang haalat-e-dil kholne lagaahar muu-e-tan zabaa.n kii tarah bolne lagaaaaKHir asiir-e-yaas kaa qufl-e-dahan khulaaafsaana-e-shadaa.id-e-ra.nj-o-mehan khulaaik daftar-e-mazaalim-e-charKH-e-kuhan khulaavaa thaa dahaan-e-zaKHm ki baab-e-suKHan khulaadard-e-dil-e-Gariib jo sarf-e-bayaa.n hu.aaKHuun-e-jigar kaa rang suKHan se 'ayaa.n hu.aaro kar kahaa KHamosh kha.De kyuu.n ho merii jaa.nmai.n jaantii huu.n jis liye aa.e ho tum yahaa.nsab kii KHushii yahii hai to sahraa ko ho ravaa.nlekin mai.n apne mu.nh se na hargiz kahuu.ngii haa.nkis tarah ban me.n aa.nkho.n ke taare ko bhej duu.njogii banaa ke raaj-dulaare ko bhej duu.nduniyaa kaa ho gayaa hai ye kaisaa lahuu sapiidandhaa kiye hu.e hai zar-o-maal kii umiidanjaam kyaa ho ko.ii nahii.n jaantaa ye bhedsoche bashar to jism ho larzaa.n misaal-e-biidlikkhii hai kyaa hayaat-e-abad in ke vaastephailaa rahe hai.n jaal ye kis din ke vaasteletii kisii faqiir ke ghar me.n agar janamhote na merii jaan ko saamaan ye bahamDastaa na saa.np ban ke mujhe shaukat-o-hashamtum mere laal the mujhe kis saltanat se kammai.n KHush huu.n phuu.nk de ko.ii is taKHt-o-taaj kotum hii nahii.n to aag lagaa duu.ngii raaj kokin kin riyaazato.n se guzaare hai.n maah-o-saaldekhii tumhaarii shakl jab ai mere naunihaalpuuraa hu.aa jo byaah kaa armaan thaa kamaalaafat ye aa.ii mujh pe hu.e jab safed baalchhaTtii huu.n un se jog liyaa jin ke vaastekyaa sab kiyaa thaa mai.n ne isii din ke vaasteaise bhii naa-muraad bahut aa.e.nge nazarghar jin ke be-charaaG rahe aah 'umr bharrahtaa miraa bhii naKHl-e-tamannaa jo be-samarye jaa-e-sabr thii ki du'aa me.n nahii.n asarlekin yahaa.n to ban ke muqaddar biga.D gayaaphal phuul laa ke baaG-e-tamannaa uja.D gayaasarzad hu.e the mujh se KHudaa jaane kyaa gunaahma.njdhaar me.n jo yuu.n mirii kashtii hu.ii tabaahaatii nazar nahii.n ko.ii amn-o-amaa.n kii raahab yaa.n se kuuch ho to 'adam me.n mile panaahtaqsiir merii KHaaliq-e-aalam bahal kareaasaan mujh Gariib kii mushkil ajal karesun kar zabaa.n se maa.n kii ye fariyaad-e-dard-KHezus KHasta-jaa.n ke dil pe chalii Gam kii teG-e-tez'aalam ye thaa qariib ki aa.nkhe.n ho.n ashk-rezlekin hazaar zabt se rone se kii gurezsochaa yahii ki jaan se bekas guzar na jaa.enaashaad ham ko dekh ke maa.n aur mar na jaa.ephir arz kii ye maadar-e-naashaad ke huzuurmaayuus kyuu.n hai.n aap alam kaa hai kyuu.n vafuursadma ye shaaq 'aalam-e-piirii me.n hai zaruurlekin na dil se kiijiye sabr-o-qaraar duurshaayad KHizaa.n se shakl 'ayaa.n ho bahaar kiikuchh maslahat isii me.n ho parvardigaar kiiye jaa'l ye fareb ye saazish ye shor-o-sharhonaa jo hai sab us ke bahaane hai.n sar-ba-sarasbaab-e-zaahirii me.n na in par karo nazarkyaa jaane kyaa hai parda-e-qudrat me.n jalva-garKHaas us kii maslahat ko.ii pahchaantaa nahii.nmanzuur kyaa use hai ko.ii jaantaa nahii.nraahat ho yaa ki ranj KHushii ho ki intishaarvaajib har ek rang me.n hai shukr-e-kird-gaartum hii nahii.n ho kushta-e-naira.ng-e-rozgaarmaatam-kade me.n dahr ke laakho.n hai.n sogvaarsaKHtii sahii nahii.n ki uThaa.ii ka.Dii nahii.nduniyaa me.n kyaa kisii pe musiibat pa.Dii nahii.n
uruus-e-shab kii zulfe.n thii.n abhii naa-aashnaa KHam sesitaare aasmaa.n ke be-KHabar the lazzat-e-ram seqamar apne libaas-e-nau me.n begaana saa lagtaa thaana thaa vaaqif abhii gardish ke aa.iin-e-musallam seabhii imkaa.n ke zulmat-KHaane se ubhrii hii thii duniyaamazaaq-e-zindagii poshiida thaa pahnaa-e-aalam sekamaal-e-nazm-e-hastii kii abhii thii ibtidaa goyaahuvaidaa thii nagiine kii tamannaa chashm-e-KHaatam sesunaa hai aalam-e-baalaa me.n ko.ii kiimiyaa-gar thaasafaa thii jis kii KHaak-e-paa me.n ba.Dh kar saaGar-e-jam selikhaa thaa arsh ke paa.e pe ik iksiir kaa nusKHachhupaate the farishte jis ko chashm-e-ruuh-e-aadam senigaahe.n taak me.n rahtii thii.n lekin kiimiyaa-gar kiivo is nusKHe ko ba.Dh kar jaantaa thaa ism-e-aazam seba.Dhaa tasbiih-KHvaanii ke bahaane arsh kii jaanibtamannaa-e-dilii aaKHir bar aa.ii sa.i-e-paiham sephiraayaa fikr-e-ajzaa ne use maidaan-e-imkaa.n me.nchhupegii kyaa ko.ii shai baargaah-e-haq ke mahram sechamak taare se maa.ngii chaa.nd se daaG-e-jigar maa.ngaau.Daa.ii tiirgii tho.Dii sii shab kii zulf-e-barham seta.Dap bijlii se paa.ii huur se paakiizgii paa.iiharaarat lii nafas-haa-e-masiih-e-ibn-e-maryam sezaraa sii phir rubuubiyat se shaan-e-be-niyaazii liimalak se aajizii uftaadgii taqdiir shabnam sephir in ajzaa ko gholaa chashma-e-haivaa.n ke paanii me.nmurkkab ne mohabbat naam paayaa arsh-e-aazam semuhavvis ne ye paanii hasti-e-nau-KHez par chhi.Dkaagirah kholii hunar ne us ke goyaa kaar-e-aalam sehu.ii jumbish ayaa.n zarro.n ne lutf-e-KHvaab ko chho.Daagale milne lage uTh uTh ke apne apne hamdam seKHiraam-e-naaz paayaa aaftaabo.n ne sitaaro.n nechaTak Guncho.n ne paa.ii daaG paa.e laala-zaaro.n ne
aa.nkh bojhal haimagar nii.nd nahii.n aatii haimerii gardan me.n hamaa.il tirii baa.nhe.n jo nahii.nkisii karvaT bhii mujhe chain nahii.n pa.Dtaa haisard pa.Dtii hu.ii raatmaa.ngne aa.ii hai phir mujh setire narm badan kii garmiiaur dariicho.n se jhijaktii hu.ii aahista havaakhojtii hai mire Gam-KHaane me.nterii saa.nso.n kii gulaabii KHushbuu!meraa bistar hii nahii.ndil bhii bahut KHaalii haiik KHalaa hai ki mirii ruuh me.n dahshat kii tarah utraa haiteraa nanhaa saa vajuudkaise us ne mujhe bhar rakkhaa thaatire hote hu.e duniyaa se ta'alluq kii zaruurat hii na thiisaarii vaabastagiyaa.n tujh se thii.ntuu mirii soch bhii, tasviir bhii aur bolii bhiimai.n tirii maa.n, bhii tirii dost bhii ham-jolii bhiitere jaane pe khulaalafz hii ko.ii mujhe yaad nahii.nbaat karnaa hii mujhe bhuul gayaa!tuu mirii ruuh kaa hissa thaamire chaaro.n tarafchaa.nd kii tarah se raqsaa.n thaa magarkis qadar jald tirii hastii nemire atraaf me.n suuraj kii jagah le lii haiab tire gird mai.n raqsinda huu.n!vaqt kaa faisla thaatire fardaa kii rifaaqat ke liyemeraa imroz akelaa rah jaa.emire bachche, mire laalfarz to mujh ko nibhaanaa hai magardekh ki kitnii akelii huu.n mai.n!
vo chaa.e kii pyaalii pe yaaro.n ke jalsevo sardii kii raate.n vo zulfo.n ke qissekabhii tazkire husn-e-sho.ala-ruKHaa.n kemohabbat hu.ii thii kisii ko kisii sehar ik dil vahaa.n thaa nazar kaa nishaanabahut yaad aataa hai guzraa zamaanabahut apnaa andaaz thaa laa-ubaaliikabhii the jalaalii kabhii the jamaaliikabhii baat me.n baat yuu.nhii nikaaliisar-e-raah ko.ii qayaamat uThaa liikisii ko la.Daanaa kisii ko bachaanaabahut yaad aataa hai guzraa zamaanakabhii sachchii baato.n ko jhuuTaa bataayaakabhii jhuuTii baato.n ko sach kar dikhaayaakabhii raaz-e-dil kah ke us ko chhupaayaakabhii dosto.n me.n yuu.nhii kuchh u.Daayaabataa kar chhupaanaa chhupaa kar bataanaabahut yaad aataa hai guzraa zamaanakabhii bazm-e-ahbaab me.n sho.ala-afshaa.nkabhii union me.n the shamshiir-e-burraa.nkabhii bazm-e-vaa.iz me.n the paa-ba-jaulaa.nbadalte the har roz taqdiir-e-dauraa.njahaa.n jaisii Daflii vahaa.n vaisaa gaanaabahut yaad aataa hai guzraa zamaanazamaana thaa vo ek haivaaniyat kaavo daur-e-malaamat thaa shaitaaniyat kaahame.n dard thaa ek insaaniyat kaauThaa.e alam ham the haqqaaniyat kaaba.Dhe jaa rahe the magar baaGiyaanabahut yaad aataa hai guzraa zamaanamuqaabil me.n aa.e jasaarat thii kis koko.ii rok de ba.Dh ke himmat thii kis kopukaare ko.ii ham ko taaqat thii kis koki har bul-havas ko the ham taaziyaanabahut yaad aataa hai guzraa zamaanaKHayaalaat-e-pur-shauq kaa silsila thaabadal de.n zamaane ko vo hausla thaahar ik dil me.n paidaa nayaa valvala thaahar ik gaam ahbaab kaa qaafila thaaidhar da.avaa karnaa udhar kar dikhaanaabahut yaad aataa hai guzraa zamaanavo shah-raah-e-marrice ke pur-pech chakkarvo shamshaad building pe ik shor-e-mahsharvo mub.ham sii baate.n vo poshiida nashtarvo be-fikr duniyaa vo lafzo.n ke daftarki jin kaa siraa thaa na ko.ii Thikaanabahut yaad aataa hai guzraa zamaanakisii ko hu.ii thii kisii se mohabbatko.ii kar rahaa thaa kisii kii shikaayatGaraz roz Dhaatii thii taaza qayaamatkisii kii shabaahat kisii kii malaamatkisii kii tasallii kisii kaa sataanaabahut yaad aataa hai guzraa zamaanako.ii Gam-zada thaa ko.ii ha.ns rahaa thaako.ii husn-e-naahiid par mar miTaa thaako.ii chashm-e-nargis kaa biimaar saa thaako.ii bas yuu.nhii taaktaa jhaa.nktaa thaakabhii choT khaanaa kabhii muskuraanaabahut yaad aataa hai guzraa zamaanavo har january me.n numaa.ish ke charchevo pur-shauq aa.nkhe.n vo hairaan jalvevo chakkar pe chakkar the baara-darii kevo hasrat ki sau baar mil kar bhii miltehazaaro.n bahaano.n kaa vo ik bahaanaabahut yaad aataa hai guzraa zamaanavo ruKH aaftaabii pe abruu hilaaliivo timsaal-e-siimii.n vo husn-misaaliishaguufo.n me.n khelii gulaabo.n me.n paaliivo KHud ik adaa thii adaa bhii niraaliinigaahe.n bachaa kar nigaahe.n milaa karbahut yaad aataa hai guzraa zamaanavo har-chand mujh ko nahii.n jaantii thiimagar merii nazro.n ko pahchaantii thiiagarche mire dil me.n vo bas ga.ii thiimagar baat bas dil kii dil me.n rahii thiimagar aaj ahbaab se kyaa chhupaanaabahut yaad aataa hai guzraa zamaanavo ik shaam barsaat kii din Dhalaa thaaabhii raat aa.ii na thii jhuTpuTaa thaavo baad-e-bahaarii se ik gul khilaa thaadha.Dakte hu.e dil se ik dil milaa thaanazar sun rahii thii nazar kaa fasaanabahut yaad aataa hai guzraa zamaanajavaanii adaa.o.n me.n bal khaa rahii thiikahaanii nigaaho.n me.n lahraa rahii thiimohabbat mohabbat ko samjhaa rahii thiivo chashm-e-tamannaa jhukii jaa rahii thiiqayaamat se pahle qayaamat vo Dhaanaabahut yaad aataa hai guzraa zamaanahame.n biitii baate.n jo yaad aa rahii thii.nvo maKHmuur nazre.n jo sharmaa rahii thii.nbahut aql-e-saada ko bahkaa rahii thii.nba.Dii be-niyaazii se farmaa rahii thii.nunhe.n yaad rakhnaa hame.n bhuul jaanaabahut yaad aataa hai guzraa zamaanaab vo uma.nge.n na dil me.n muraade.nab rah ga.ii.n chand maazii kii yaade.nye jii chaahtaa hai unhe.n bhii bhalaa de.nGam-e-zindagii ko kahaa.n tak du.aa de.nhaqiiqat bhii ab ban ga.ii hai fasaanabahut yaad aataa hai guzraa zamaanaaligarh hai ba.Dh kar hame.n kul jahaa.n sehame.n ishq hai apnii urdu zabaa.n sehame.n pyaar hai apne naam-o-nishaa.n seyahaa.n aa ga.e ham na jaane kahaa.n seqasam de ke ham ko kasii kaa bulaanaabahut yaad aataa hai guzraa zamaanamohabbat se yaksar hai anjaan duniyaaye viiraan bastii pareshaan duniyaakamaal-e-KHirad se ye hairaan duniyaaKHud apne kiye par pashemaan duniyaakahaa.n le ke aayaa hame.n aab-o-daanabahut yaad aataa hai guzraa zamaana
jahaa.n-zaad kaise hazaaro.n baras ba.adik shahr-e-madfuun kii har galii me.nmere jaam o miinaa o gul-daa.n ke reze mile hai.nki jaise vo is shahr-e-barbaad kaa haafiza ho.nhasan naam kaa ik javaa.n kuuza-gar ik na.e shahr me.napne kuuze banaataa hu.aa ishq kartaa hu.aaapne maazii ke taaro.n me.n ham se piroyaa gayaa haihamii.n me.n ki jaise hamii.n ho.n samoyaa gayaa haiki ham tum vo baarish ke qatre the jo raat bhar sehazaaro.n baras re.ngtii raat bharik dariiche ke shiisho.n pe girte hu.e saa.np lahre.nbanaate rahe hai.naur ab is jagah vaqt kii sub.h hone se pahleye ham aur ye naujavaa.n kuuza-garek ruuyaa me.n phir se piro.e ga.e hai.njahaa.n-zaadye kaisaa kohna-parasto.n kaa ambohkuuzo.n kii laasho.n me.n utraa haidekhoye vo log hai.n jin kii aa.nkhe.nkabhii jaam o miinaa kii lim tak na pahu.nchii.nyahii aaj is rang o roGan kii maKHluuq-e-be-jaa.nko phir se ulaTne palaTne lage hai.nye un ke tale Gam kii chi.ngaariyaa.n paa sake.ngejo taariiKH ko khaa ga.ii thii.nvo tuufaan vo aa.ndhiyaa.n paa sake.ngejo har chiiKH ko khaa ga.ii thii.nunhe.n kyaa KHabar kis dhanak se mere rang aa.emere aur is naujavaa.n kuuza-gar keunhe.n kyaa KHabar kaun sii titliyo.n ke paro.n seunhe.n kyaa KHabar kaun se husn sekaun sii zaat se kis KHadd-o-KHaal semai.n ne kuuzo.n ke chehre utaareye sab log apne asiiro.n me.n hai.nzamaana jahaa.n-zaad afsuu.n-zada burj haiaur ye log us ke asiiro.n me.n hai.njavaa.n kuuza-gar ha.ns rahaa haiye maasuum vahshii ki apne hii qaamat se zholiida-daamanhai.n juuyaa kisii azmat-e-naa-rasaa keunhe.n kyaa KHabar kaisaa aaseb-e-mubram mere Gaar siine pe thaajis ne mujh se aur us kuuza-gar se kahaaai hasan kuuza-gar jaagdard-e-risaalat kaa roz-e-bashaarat tire jaam o miinaakii tishna-labii tak pahu.nchne lagaa haiyahii vo nidaa ke piichhe hasan naam kaaye javaa.n kuuza-gar bhiipyaape ravaa.n hai zamaa.n se zamaa.n takKHizaa.n se KHizaa.n tak
mire saaqiyaa mujhe bhuul jaamire dilrubaa mujhe bhuul jaana vo dil rahaa na vo jii rahaana vo daur-e-aish-o-KHushii rahaana vo rabt-o-zabt-e-dilii rahaana vo auj-e-tishna-labii rahaana vo zauq-e-baada-kashii rahaamai.n alam-navaaz huu.n aaj-kalmai.n shikasta-saaz huu.n aaj-kalmai.n saraapaa raaz huu.n aaj-kalmujhe ab KHayaal me.n bhii na milaamujhe bhuul jaa mujhe bhuul jaa
kaise har shaaKH se mu.nh-band mahaktii kaliyaa.nnoch lii jaatii thii.n taz.iin-e-haram kii KHaatiraur murjhaa ke bhii aazaad na ho saktii thii.nzill-e-subhaan kii ulfat ke bharam kii KHaatir
dayaar-e-hind thaa gahvaara yaad hai hamdambahut zamaana hu.aa kis ke kis ke bachpan kaaisii zamiin pe khelaa hai 'raam' kaa bachpanisii zamiin pe un nanhe nanhe haatho.n nekisii samay me.n dhanush-baan ko sambhaalaa thaaisii dayaar ne dekhii hai 'krishn' kii liilaayahii.n gharo.ndo.n me.n siitaa sulochanaa raadhaakisii zamaane me.n gu.Diyo.n se kheltii ho.ngiiyahii zamii.n yahii dariyaa pahaa.D jangal baaGyahii havaa.e.n yahii sub.h-o-shaam suuraj chaa.ndyahii ghaTaa.e.n yahii barq-o-ra.ad o qaus-e-quzahyahii.n ke giit rivaayaat mausamo.n ke juluushu.aa zamaana ki 'siddhaarth' ke the gahvaareinhii nazaaro.n me.n bachpan kaTaa thaa 'vikram' kaasunaa hai 'bhartarharii' bhii inhii.n se khelaa thaa'bharat' agastya' 'kapil' 'vyaas' 'pashii' 'kautilya''janak' vashishth' 'manu' 'vaalmik' vishvaamitr'kanaad' 'gautam' o ramanuj 'kumaaril-bhatt'mohanjoDaaro ha.Dappaa ke aur ajantaa kebanaane vaale yahii.n ballamo.n se khele theisii hi.nDole me.n 'bhavabhut' o 'kaaliidaas' kabhiihumak humak ke jo tutlaa ke gungunaa.e thesarasvatii ne zabaano.n ko un kii chuumaa thaayahii.n ke chaa.nd va suuraj khilaune the un keinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan palaa thaa 'KHusrav' kaaisii zamii.n se uThe 'tansen' aur 'akbar''rahiim' 'nanak' o 'chaitanya' aur 'chishti' neinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan ke din guzaare theisii zamii.n pe kabhii shazaada-e-'KHurram'zaraa sii dil-shikanii par jo ro diyaa hogaabhar aayaa thaa dil-e-naazuk to kyaa ajab is me.nin aa.nsu.o.n me.n jhalak taaj kii bhii dekhii ho'ahalyabaa.i' 'daman' 'padmini' o 'raziya' neyahii.n ke pe.Do.n kii shaaKHo.n me.n Daale the jhuuleisii fazaa me.n ba.Dhaa.ii thii pe.ng bachpan kiiinhii nazaaro.n me.n saavan ke giit gaa.e theisii zamiin pe ghuTno.n ke bal chale ho.nge'malik-mohammad' o 'raskhan' aur 'tulsi-das'inhii.n fazaa.o.n me.n guu.njii thii totlii bolii'kabir-das' 'Tukaaraam' 'suur' o 'miiraa' kiiisii hi.nDole me.n 'viddypati' kaa ka.nTh khulaaisii zamiin ke the laal 'miir' o 'Gaalib' bhiiThumak Thumak ke chale the gharo.n ke aa.ngan me.n'aniis' o 'haalii' o 'iqbaal' aur 'vaaris-shaah'yahii.n kii KHaak se ubhre the 'premchand' o 'tagore'yahii.n se uTThe the tahziib-e-hind ke me.amaarisii zamiin ne dekhaa thaa baal-pan in kaayahii.n dikhaa.ii thii.n in sab ne baal-liilaa.e.nyahii.n har ek ke bachpan ne tarbiyat paa.iiyahii.n har ek ke jiivan kaa baalkaa.nD khulaayahii.n se uThte baguulo.n ke saath dau.De hai.nyahii.n kii mast ghaTaa.o.n ke saath jhuume hai.nyahii.n kii madh-bharii barsaat me.n nahaa.e hai.nlipaT ke kiicha.D o paanii se bachpane un keisii zamiin se uTThe vo desh ke saava.ntu.Daa diyaa thaa jinhe.n company ne topo.n seisii zamiin se uThii hai.n an-ginat nasle.npale hai.n hind hi.nDole me.n an-ginat bachchemujh aise kitne hii gumnaam bachche khele hai.nisii zamii.n se isii me.n supurd-e-KHaak hu.ezamiin-e-hind ab aaraam-gaah hai un kiiis arz-e-paak se uTThii.n bahut sii tahziibe.nyahii.n tuluu hu.ii.n aur yahii.n Guruub hu.ii.nisii zamiin se ubhre ka.ii uluum-o-funuunfaraaz-e-koh-e-himaala ye daur-e-ga.ng-o-jamanaur in kii god me.n parvarda kaarvaano.n neyahii.n rumuuz-e-KHiraam-e-sukuu.n-numaa siikhenasiim-e-sub.h-e-tamaddun ne bhairvii.n chhe.Diiyahii.n vatan ke taraano.n kii vo pave.n phuuTe.nvo be-qaraar sukuu.n-zaa tarannum-e-sahariivo kapkapaate hu.e soz-o-saaz ke sho.aleinhii fazaa.o.n me.n a.ng.Daa.iyaa.n jo le ke uThelavo.n se jin ke charaaGaa.n hu.ii thii bazm-e-hayaatjinho.n ne hind kii tahziib ko zamaana hu.aabahut se zaaviyo.n se aa.iina dikhaayaa thaaisii zamii.n pe Dhalii hai mirii hayaat kii shaamisii zamiin pe vo sub.h muskuraa.ii haitamaam sho.ala o shabnam mirii hayaat kii sub.hsunaa.uu.n aaj kahaanii mai.n apne bachpan kiidil-o-dimaaG kii kaliyaa.n abhii na chaTkii thii.nhamesha kheltaa rahtaa thaa bhaa.ii bahno.n me.nhamaare saath mohalle kii la.Dkiyaa.n la.Dkemachaa.e rakhte the baalak udham har ek gha.Diilahuu tara.ng uchhal-phaa.nd kaa ye aalam thaamohalla sar pe uThaa.e phire jidhar guzrehamaare chahchahe aur shor guu.njte rahtechahaar-samt mohalle ke goshe goshe me.nfazaa me.n aaj bhii laa-raib guu.njte ho.ngeagarche duusre bachcho.n kii tarah thaa mai.n bhiiba-zaahir auro.n ke bachpan saa thaa miraa bachpanye sab sahii mire bachpan kii shaKHsiyat bhii thii ekvo shaKHsiyat ki bahut shoKH jis ke the KHad-o-KHaaladaa adaa me.n ko.ii shaan-e-infiraadii thiiGaraz kuchh aur hii lachchhan the mere bachpan kemujhe thaa chhoTe ba.Do.n se bahut shadiid lagaavhar ek par mai.n chhi.Daktaa thaa apnii nannhii sii jaa.ndil umDaa aataa thaa aisaa ki jii ye chaahtaa thaauThaa ke rakh luu.n kaleje me.n apnii duniyaa komujhe hai yaad abhii tak ki khel-kuud me.n bhiikuchh aise vaqfe pur-asraar aa hii jaate theki jin me.n sochne lagtaa thaa kuchh miraa bachpanka.ii ma.aanii-e-be-lafz chhuune lagte thebutuun-e-Gaib se mere shu.uur-e-asGar kohar ek manzar-e-maanuus ghar kaa har goshakisii tarah kii ho ghar me.n sajii hu.ii har chiizmire mohalle kii galiyaa.n makaa.n dar-o-diivaarchabuutre ku.e.n kuchh pe.D jhaa.Diyaa.n bele.nvo pherii vaale ka.ii un ke bhaa.nt bhaa.nt ke bolvo jaane buujhe manaazir vo aasmaa.n o zamii.nbadalte vaqt kaa aa.iina garmii-o-KHunkiiGuruub-e-mahr me.n ra.ngo.n kaa jaagtaa jaaduushafaq ke shiish-mahal me.n gudaaz-e-pinhaa.n sejavaahro.n kii chaTaane.n sii kuchh pighaltii hu.ii.nshajar hajar kii vo kuchh sochtii hu.ii duniyaasuhaanii raat kii maanuus ramaziyat kaa fusuu.nalassabaah ufuq kii vo thartharaatii bhave.nkisii kaa jhaa.nknaa aahista phuuTtii pau sevo dopahar kaa samay darja-e-tapish kaa cha.Dhaavthakii thakii sii fazaa me.n vo zindagii kaa utaarhu.aa kii bansiyaa.n ba.nsvaa.Diyo.n me.n bajtii hu.ii.nvo din ke ba.Dhte hu.e saa.e sah-pahar kaa sukuu.nsukuut shaam kaa jab dono.n vaqt milte hai.nGaraz jhalakte hu.e sarsarii manaazir parmujhe gumaan paristaaniyat kaa hotaa thaahar ek chiiz kii vo KHvaab-naak asliyyatmire shu.uur kii chilman se jhaa.nktaa thaa ko.iiliye rubuubiyat-e-kaa.enaat kaa ehsaashar ek jalve me.n Gaib o shuhuud kaa vo milaaphar ik nazaara ik aa.iina-KHaana-e-hairathar ek manzar-e-maanuus ek hairat-zaarkahii.n rahuu.n kahii.n khelo.n kahii.n pa.Dhuu.n likhuu.nmire shu.uur pe ma.nDlaate the manaazir-e-dahrmai.n akasr un ke tasavvur me.n Duub jaataa thaavafuur-e-jazba se ho jaatii thii mizha pur-nammujhe yaqiin hai in unsurii manaazir seki aam bachcho.n se letaa thaa mai.n ziyaada asarkisii samay mirii tiflii rahii na be-parvaana chhuu sakii mirii tiflii ko Gaflat-e-tifliiye khel-kuud ke lamho.n me.n hotaa thaa ehsaasdu.aa.e.n detaa ho jaise mujhe sukuut-e-davaamki jaise haath abad rakh de dosh-e-tiflii parhar ek lamha ke raKHno.n se jhaa.nktii sadiyaa.nkahaaniyaa.n jo sunuu.n un me.n Duub jaataa thaaki aadmii ke liye aadmii kii jag-biitiise ba.Dh ke kaun sii shai aur ho hii saktii haiinhii fasaano.n me.n pinhaa.n the zindagii ke rumuuzinhii fasaano.n me.n khulte the raaz-haa-e-hayaatunhe.n fasaano.n me.n miltii thii.n ziist kii qadre.nrumuuz-e-besh-bahaa TheTh aadmiyat kekahaaniyaa.n thii.n ki sad-dars-gaah-e-riqqat-e-qalbhar ik kahaanii me.n shaa.istagi-e-Gam kaa sabaqvo unsur aa.nsu.o.n kaa daastaan-e-insaa.n me.nvo nal-daman kii kathaa sarguzasht-e-savitrii'shakuntlaa' kii kahaanii 'bharat' kii qurbaaniivo marg-e-bhishm-pitaamah vo sej tiiro.n kiivo paan.cho paa.nDav kii sovarg-yaatraa kii kathaavatan se ruKHsat-e-'siddhaarth' 'raam' kaa ban-baasvafaa ke baa'd bhii 'siitaa' kii vo jalaa-vataniivo raato.n-raat 'sirii-krishn' ko uThaa.e hu.ebalaa kii qaid se 'basdev' kaa nikal jaanaavo a.ndhkaar vo baarish, ba.Dhii hu.ii jamunaaGam-e-aafriin kahaanii vo 'hiir' 'raa.njhaa' kiishu.uur-e-hind ke bachpan kii yaadgaar-e-aziimki aise vaise taKHayyul kii saa.ns ukha.D jaa.eka.ii muhayyur-e-idraak dev-maalaaye.nhitopdesh ke qisse kathaa sarat-saagarkaro.Do.n siino.n me.n vo guu.njtaa hu.aa aalhaamai.n puuchhtaa huu.n kisii aur malak vaalo.n sekahaaniyo.n kii ye daulat ye be-bahaa daulatfasaane dekh lo in ke nazar bhii aatii haimai.n puuchhtaa huu.n ki gahvaare aur qaumo.n kebase hu.e hai.n kahii.n aisii daastaano.n sekahaaniyaa.n jo mai.n suntaa thaa apne bachpan me.nmire liye vo na thii.n mahz baa.is-e-tafriihfasaano.n se mire bachpan ne sochnaa siikhaafasaano.n se mujhe sanjiidgii ke dars milefasaano.n me.n nazar aatii thii mujh ko ye duniyaaGam o KHushii me.n rachii pyaar me.n basaa.ii hu.iifasaano.n se mire dil ne ghulaavaTe.n paa.ii.nyahii nahii.n ki mashaahiir hii ke afsaanezaraa sii umr me.n karte ho.n mujh ko muta.assirmohalle Tole ke gumnaam aadamiyyo.n kekuchh aise sun.ne me.n aate the vaaqi.aat-e-hayaatjo.n yuu.n to hote the farsuuda aur ma.amuuliimagar the aa.iine iKHlaas aur sharaafat keye chand aa.ii ga.ii baate.n aisii baate.n thii.nki jin kii oT chamaktaa thaa dard-e-insaaniiye vaardaat nahii.n razmiyye hayaat ke theGaraz ki ye hai.n mire bachpane kii tasviire.nnadiim aur bhii kuchh KHatt-o-KHaal hai.n un keye merii maa.n kaa hai kahnaa ki jab mai.n bachcha thaamai.n aise aadmii kii god me.n na jaataa thaajo bad-qimaar ho aibii ho yaa ho bad-suuratmujhe bhii yaad hai nau das baras hii kaa mai.n thaato mujh pe kartaa thaa jaaduu saa husn-e-insaaniikuchh aisaa hotaa thaa mahsuus jab mai.n dekhtaa thaashagufta rang tar-o-taaza ruup vaalo.n kaaki un kii aa.nch mirii haDDiyaa.n galaa degiiik aazmaa.ish-e-jaa.n thii ki thaa shu.uur-e-jamaalaur us kii nashtariyyat us kii ustuKHaa.n-soziiGam o nashaat lagaavaT mohabbat o nafratik intishaar-e-sakuu.n iztiraab pyaar itaabvo be-panaah zakii-ul-hisii vo hilm o Guruurkabhii kabhii vo bhare ghar me.n hiss-e-tanhaa.iivo vahshate.n mirii maahaul-e-KHush-gavaar me.n bhiimirii sarisht me.n ziddain ke ka.ii jo.Deshuruu.a hii se the maujuud aab-o-taab ke saathmire mizaaj me.n pinhaa.n thii ek jadaliyyatrago.n me.n chhuuTte rahte the be-shumaar anaarnadiim ye hai.n mire baal-pan ke kuchh aasaarvafuur o shiddat-e-jazbaat kaa ye aalam thaaki kau.nde jast kare.n dil ke aabgiine me.nvo bachpanaa jise bardaasht apnii mushkil hovo bachpanaa jo KHud apnii hii tevriyaa.n sii cha.Dhaa.enadiim zikr-e-javaanii se kaa.np jaataa huu.njavaanii aa.ii dabe paa.nv aur yuu.n aa.iiki us ke aate hii big.Daa banaa-banaayaa khelvo KHvaahishaat ke jazbaat ke umaDte hu.evo ho.nkte hu.e be-naam aag ke tuufaa.nvo phuuTtaa hu.aa jvaalaa-mukhii javaanii kaarago.n me.n uThtii hu.ii aa.ndhiyo.n ke vo jhaTkeki jo tavaazun-e-hastii jhi.njho.D ke rakh de.nvo zalzale ki pahaa.Do.n ke pair ukha.D jaa.e.nbuluuGiyat kii vo Tiise.n vo karb-e-nashv-o-numaaaur aise me.n mujhe byaahaa gayaa bhalaa kis sejo ho na saktii thii hargiz mirii shariik-e-hayaatham ek duusre ke vaaste bane hii na thesiyaah ho ga.ii duniyaa mirii nigaaho.n me.nvo jis ko kahte hai.n shaadii-e-KHaanaa-aabaadiimire liye vo banii bevgii javaanii kiiluTaa suhaag mirii zindagii kaa maa.nDo me.nnadiim khaa ga.ii mujh ko nazar javaanii kiibalaa-e-jaan mujhe ho gayaa shu.uur-e-jamaaltalaash-e-shola-e-ulfat se ye hu.aa haasilki nafrato.n kaa agan-ku.nD ban ga.ii hastiivo halq o siina o rag rag me.n be-panaah chubhaanadiim jaise nigal lii ho mai.n ne naag-phaniiz ishq-zaadam o ishqam kamusht zaar-o-dareGKHabar na burd ba-rustam kase ki sohraabamna puuchh aalam-e-kaam-o-dahan nadiim miresamar hayaat kaa jab raakh bin gayaa mu.nh me.nmai.n chaltii-phirtii chitaa ban gayaa javaanii kiimai.n kaa.ndhaa detaa rahaa apne jiite murde koye sochtaa thaa ki ab kyaa karuu.n kahaa.n jaa.uu.nbahut se aur masaa.ib bhii mujh pe TuuT pa.Demai.n Dhuu.nDhne lagaa har samt sachchii jhuuTii panaahtalaash-e-husn me.n sher-o-adab me.n dostii me.nru.ndhii sadaa se mohabbat kii bhiik maa.ngii haina.e sire se samajhnaa pa.Daa hai duniyaa koba.De jatan se sambhaalaa hai KHud ko mai.n ne nadiimmujhe sambhalne me.n to chaaliis saal guzre hai.nmerii hayaat to vish-paan kii kathaa hai nadiimmai.n zahr pii ke zamaane ko de sakaa amritna puuchh mai.n ne jo zahraaba-e-hayaat piyaamagar huu.n dil se mai.n is ke liye sipaas-guzaarlarazte haatho.n se daaman KHuluus kaa na chhaTaabachaa ke rakkhii thii mai.n ne amaanat-e-tifliiise na chhiin sakii mujh se dast-burd-e-shabaabba-qaul shaa.er-e-mulk-e-fara.ng har bachchaKHud apne ahd-e-javaanii kaa baap hotaa haiye kam nahii.n hai ki tiflii-e-rafta chho.D ga.iidil-e-hazii.n me.n ka.ii chhoTe chhoTe naqsh-e-qadammirii anaa kii rago.n me.n pa.De hu.e hai.n abhiina jaane kitne bahut narm u.ngliyo.n ke nishaa.nhanuuz vaqt ke be-dard haath kar na sakehayaat-e-rafta kii zinda nishaaniyo.n ko fanaazamaana chhiin sakegaa na merii fitrat semirii safaa mire tahtush-shu.uur kii ismattaKHaiyyulaat kii doshiizgii kaa radd-e-amaljavaan ho ke bhii be-laus tifl-vash jazbaatsyaanaa hone pe bhii ye jibillate.n meriiye sarKHushii o Gam be-riyaa ye qalb-gudaazbaGair bair ke an-ban Garaz se paak tapaakGaraz se paak ye aa.nsuu Garaz se paak ha.nsiiye dasht-e-dahr me.n hamdardiyo.n kaa sar-chashmaqubuuliyat kaa ye jazba ye kaa.enaat o hayaatis arz-e-paak par iimaan ye ham-aaha.ngiihar aadmii se har ik KHvaab o ziist se ye lagaavye maa.n kii god kaa ehsaas sab manaazir me.nqariib o duur zamii.n me.n ye buu-e-vataniyyatnizaam-e-shams-o-qamar me.n payaam-e-hifz-e-hayaatba-chashm-e-shaam-o-sahar maamtaa kii shabnam siiye saaz o dil me.n mire naGma-e-analkaunainhar iztiraab me.n ruuh-e-sukuun-e-be-paayaa.nzamaana-e-guzaraa.n me.n davaam kaa sargamye bazm-e-jashn-e-hayaat-o-mamaat sajtii hu.iikisii kii yaad kii shahnaa.iyaa.n sii bajtii hu.iiye ramaziiyat ke anaasir shu.uur-e-puKHta me.nfalak pe vajd me.n laatii hai jo farishto.n kovo shaa.erii bhii buluuG-e-mizaaj-e-tiflii haiye nashtariyyat-e-hastii ye is kii sheriyatye pattii pattii pe gulzaar-e-zindagii ke kisiilatiif nuur kii parchhaa.iyaa.n sii pa.Dtii hu.iibaham ye hairat o maanuusiyat kii sargoshiibashar kii zaat ki mahr-e-uluuhiyat ba-jabii.nabad ke dil me.n ja.De.n maartaa hu.aa sabzaGam-e-jahaa.n mujhe aa.nkhe.n dikhaa nahii.n saktaaki aa.nkhe.n dekhe hu.e huu.n mai.n ne apne bachpan kiimire lahuu me.n abhii tak sunaa.ii detii hai.nsukuut-e-huzn me.n bhii ghu.nghru.o.n kii jhankaare.nye aur baat ki mai.n is pe kaan de na sakuu.nisii vadii.at-e-tiflii kaa ab sahaaraa haiyahii hai.n marham-e-kaafuur dil ke zaKHmo.n parunhii ko rakhnaa hai mahfuuz taa-dam-e-aaKHirzamiin-e-hind hai gahvaara aaj bhii hamdamagar hisaab kare.n das karo.D bachcho.n kaaye bachche hind kii sab se ba.Dii amaanat hai.nhar ek bachche me.n hai.n sad-jahaan-e-imkaanaatmagar vatan kaa hal-o-aqd jin ke haath me.n hainizaam-e-zindagii-e-hind jin ke bas me.n hairavayya dekh ke un kaa ye kahnaa pa.Dtaa haikise pa.Dii hai ki samjhe vo is amaanat kokise pa.Dii hai ki bachcho.n kii zindagii ko bachaa.eKHaraab hone se Talne se suukh jaane sebachaa.e kaun in aazurda honhaaro.n kovo zindagii jise ye de rahe hai.n bhaarat kokaro.Do.n bachcho.n ke miTne kaa ik alamiyya haichuraa.e jaate hai.n bachche abhii gharo.n se yahaa.nki jism to.D diye jaa.e.n un ke taaki milechuraane vaalo.n ko KHairaat maagh-mele kiijo is azaab se bach jaa.e.n to gale pa.D jaa.e.nvo la.ante.n ki hamaare karo.Do.n bachcho.n kiinadiim KHair se miTTii KHaraab ho jaa.evo muflisii ki KHushii chhiin le vo be-bargiiudaasiyo.n se bharii zindagii kii be-ra.ngiivo yaasiyaat na jis ko chhu.e shu.aa-e-umiidvo aa.nkhe.n dekhtii hai.n har taraf jo be-nuuriivo TukTukii ki jo pathraa ke rah ga.ii ho nadiimvo be-dilii kii ha.nsii chhiin le jo ho.nTo.n sevo dukh ki jis se sitaaro.n kii aa.nkh bhar aa.evo gandagii vo kasaafat maraz-zada paikarvo bachche chhin ga.e ho.n jin se bachpane un kehamii.n ne gho.nT diyaa jis ke bachpane kaa galaajo khaate-piite gharo.n ke hai.n bachche un ko bhii kyaasamaaj phuulne-phalne ke de sakaa saadhanvo saa.ns lete hai.n tahziib-kush fazaa.o.n me.nham un ko dete hai.n be-jaan aur Galat ta.aliimmilegaa ilm-e-jihaalat-numaa se kyaa un konikal ke madraso.n aur universitiyyo.n seye bad-nasiib na ghar ke na ghaaT ke ho.ngemai.n puuchhtaa huu.n ye ta.aliim hai ki makkaariikaro.Do.n zindagiyo.n se ye be-panaah daGaanisaab aisaa ki mehnat kare.n agar is parbajaa.e ilm jahaalat kaa iktisaab kare.nye ulTaa dars-e-adab ye sa.Dii hu.ii ta.aliimdimaaG kii ho Gizaa yaa Gizaa-e-jismaaniihar ik tarah kii Gizaa me.n yahaa.n milaavaT haivo jis ko bachcho.n kii ta.aliim kah ke dete hai.nvo dars ulTii chhurii hai gale pe bachpan kezamiin-e-hind hi.nDolaa nahii.n hai bachcho.n kaakaro.Do.n bachcho.n kaa ye des ab janaaza haiham inqalaab ke KHatro.n se KHuub vaaqif hai.nkuchh aur roz yahii rah ga.e jo lail-o-nahaarto mol lenaa pa.Degaa hame.n ye KHatra bhiiki bachche qaum kii sab se ba.Dii amaanat hai.n
baiThe be-fikr kyaa ho ham-vatanouTho ahl-e-vatan ke dost banomard ho tum kisii ke kaam aa.ovarna khaa.o piyo chale jaa.ojab ko.ii zindagii kaa lutf uThaa.odil ko dukh bhaa.iyo.n ke yaad dilaa.opahno jab ko.ii umda tum poshaakkaro daaman se taa garebaa.n chaakkhaanaa khaa.o to jii me.n tum sharmaa.oThanDaa paanii piyo to ashk bahaa.okitne bhaa.ii tumhaare hai.n naadaarzindagii se hai jin kaa dil bezaarnaukaro.n kii tumhaare jo hai Gizaaun ko vo KHvaab me.n nahii.n miltaajis pe tum juutiyo.n se phirte hovaa.n mayassar nahii.n vo o.Dhne kokhaa.o to pahle lo KHabar un kiijin pe biptaa hai niistii kii pa.Diipahno to pahle bhaa.iyo.n ko pahnaa.oki hai utran tumhaarii jin kaa banaavek Daalii ke sab hai.n barg-o-samarhai ko.ii un me.n KHushk aur ko.ii tarsab ko hai ek asl se paivandko.ii aazurda hai ko.ii KHursandmuqbilo mudabbiro.n ko yaad karoKHush-dilo Gam-zado.n ko shaad karojaagne vaale Gaafilo.n ko jagaa.otairne vaalo Duubto.n ko tiraa.ohai.n mile tum ko chashm o gosh agarlo jo lii jaa.e kor-o-kar kii KHabartum agar haath paa.nv rakhte hola.ng.De luulo.n ko kuchh sahaaraa dotandurustii kaa shukr kiyaa hai bataa.ora.nj biimaar bhaa.iyo.n kaa haTaa.otum agar chaahte ho mulk kii KHairna kisii ham-vatan ko samjho Gairho musalmaan us me.n yaa hinduubodh maz.hab ho yaa ki ho brahamuuja.afrii hove yaa ki ho hanafiijiin-mat hove yaa ho vaishnaviisab ko miiThii nigaah se dekhosamjho aa.nkho.n kii putliyaa.n sab komulk hai.n ittifaaq se aazaadshahr hai.n ittifaaq se aabaadhind me.n ittifaaq hotaa agarkhaate Gairo.n kii Thokare.n kyuu.nkarqaum jab ittifaaq kho baiThiiapnii puu.njii se haat dho baiThiiek kaa ek ho gayaa bad-KHvaahlagii Gairo.n kii pa.Dne tum pe nigaahphir ga.e bhaa.iyo.n se jab bhaa.iijo na aanii thii vo balaa aa.iipaa.nv iqbaal ke ukha.Dne lagemulk par sab ke haath pa.Dne lagekabhii tuuraaniyo.n ne ghar luuTaakabhii durraaniyo.n ne zar luuTaakabhii naadir ne qatl-e-aam kiyaakabhii mahmuud ne Gulaam kiyaasab se aaKHir ko le ga.ii baaziiek shaa.ista qaum maGrib kiiye bhii tum par KHudaa kaa thaa in.aamki pa.Daa tum ko aisii qaum se kaamvarna dum maarne na paate tumpa.Dtii jo sar pe vo uThaate tummulk rau.nde ga.e hai.n pairo.n sechain kis ko milaa hai Gairo.n se
vo ek tarz-e-suKHan kii KHushbuuvo ek mahkaa hu.aa takallumlabo.n se jaise gulo.n kii baarishki jaise jharnaa saa gir rahaa hoki jaise KHushbuu bikhar rahii hoki jaise resham ulajh rahaa hoajab balaaGat thii guftuguu me.nravaa.n thaa dariyaa fasaahato.n kaavo ek maktab thaa aagahii kaavo ilm-o-daanish kaa mai-kada thaavo qalb aur zehn kaa tasaadumjo guftuguu me.n ravaa.n-davaa.n thaavo us ke alfaaz kii ravaaniivo us kaa ruk ruk ke baat karnaavo sho.ala-e-lafz aur ma.aaniikahii.n lapaknaa kahii.n ThaharnaaThahar ke phir vo kalaam karnaabahut se jazbo.n kii parda-daariibahut se jazbo.n ko aam karnaajo mai.n ne puuchhaaguzishta shab ke mushaa.ere me.n bahut se shaidaa.ii muntazir themujhe bhii ye hii pata chalaa thaa ki aap tashriif laa rahe hai.nmagar hu.aa kyaazaraa tavaqquf ke baa'd bole nahii.n gayaa mai.nna jaa sakaa mai.nsuno hu.aa kyaamai.n KHud ko maa.il hii kar na paayaaye merii haalat merii tabii.atphir us pe merii ye bad-mizaajii-o-bad-havaasiiye vahshat-e-dilmiyaa.n haqiiqat hai ye bhii sun lo ki ab hamaare mushaa.ere bhiinahii.n hai.n un vahshato.n ke haamiljo merii taqdiir ban chukii hai.njo merii tasviir ban chukii hai.njo merii taqsiir ban chukii hai.nphir ik tavaqqufki jis tavaqquf kii kaifiyat par garaa.n samaa.at guzar rahii thiius ek saa.at kaa haath thaame ye ik vazaahat guzar rahii thiiadab-farosho.n ne jaahilo.n ne mushaa.ere ko bhii ik tamaasha banaa diyaa haiGazal kii taqdiis luuT lii hai adab ko mujraa banaa diyaa haisuKHan-varo.n ne bhii jaane kyaa kyaa hamaare hisse me.n rakh diyaa haisitam to ye hai ki chiiKH ko bhii suKHan ke zumre me.n rakh diyaa haiilaahii taubasamaa.ato.n me.n KHaraashe.n aane lagii hai.n ab aur shigaaf zehno.n me.n pa.D ga.e hai.nmiyaa.n hamaare qadam to kab ke zamii.n me.n KHiffat se ga.D ga.e hai.nKHamoshiyo.n ke dabiiz kohre se chand lamho.n kaa phir guzarnaavo jaise KHud ko udaasiyo.n ke samundaro.n me.n talaash karnaavo jaise phir surma.ii ufuq par sitaare alfaaz ke ubharnaaye zindagii se jo be-niyaazii hai kis liye haiye roz-o-shab kii jo bad-havaasii hai kis liye haibas itnaa samjhoki KHud ko barbaad kar chukaa huu.nsuKHan to aabaad KHair kyaa homagar jahaa.n dil dha.Dak rahe ho.n vo shahr aabaad kar chukaa huu.nbachaa hii kyaa haithaa jis ke aane kaa KHauf mujh ko vo ek saa.at guzar chukii haivo ek saf.ha ki jis pe likkhaa thaa zindagii ko vo kho chukaa haikitaab-e-hastii bikhar chukii haipa.Dhaa thaa mai.n ne bhii zindagii komagar tasalsul nahii.n thaa us me.nidhar-udhar se yahaa.n vahaa.n se ajab kahaanii ga.Dhii ga.ii thiisamajh me.n aa.ii na is liye bhii ke darmiyaa.n se pa.Dhii ga.ii thiisamajhtaa kaisena falsafii mai.n na ko.ii aalimuquubato.n ke safar pe niklaa mai.n ik sitaara huu.n aagahii kaaajal ke haatho.n me.n haath Daale ik isti.aara huu.n zindagii kaaitaab naazil hu.aa hai jis par mai.n vo hii ma.atuub aadmii huu.nsitamgaro.n ko talab hai jis kii mai.n vo hii matluub aadmii huu.nkabhii mohabbat ne ye kahaa thaa mai.n ek mahbuub aadmii huu.nmagar vo zarb-e-jafaa pa.Dii hai ki ek mazruub aadmii huu.nmai.n ek bekal saa aadmii huu.n bahut hii bojhal saa aadmii huu.nsamajh rahii hai ye duniyaa mujh ko mai.n ek paagal saa aadmii huu.nmagar ye paagal ye niim-vahshii KHirad ke maaro.n se muKHtalif haijo kahnaa chaahaa thaa kah na paayaakahaa gayaa jo use ye duniyaa samajh na paa.iina baat ab tak kahii ga.ii haina baat ab tak sunii ga.ii haisharaab-o-sh.er-o-shu.uur kaa jo ik ta'alluq hai us ke baare me.n raa.e kyaa haisunaa hai ham ne ki aap par bhii bahut se fatve lage hai.n lekinsharaab-noshii haraam hai toye mas.ala bhii ba.Daa ajab haimai.n ek mai-kash huu.n ye to sach haimagar ye mai-kash kabhii kisii ke lahuu se sairaab kab hu.aa haihamesha aa.nsuu piye hai.n us ne hamesha apnaa lahuu piyaa haiye bahs chho.Do haraam kyaa hai halaal kyaa hai azaab kyaa hai savaab kyaa haisharaab kyaa haiaziyyato.n se najaat hai ye hayaat hai yesharaab-o-shab aur shaa.irii ne ba.Daa sahaaraa diyaa hai mujh kosambhaal rakkhaa sharaab ne aur rahii hai mohsin ye raat meriiisii ne mujh ko diye dilaase sunii hai is ne hii baat meriihamesha mere hii saath jaagii hamesha mere hii saath so.iimai.n KHush hu.aa to ye muskuraa.ii mai.n ro diyaa to ye saath ro.iiye sher-go.ii hai KHud-kalaamii kaa ik zariiyaisii zariiye isii vasiile se mai.n ne KHud se vo baate.n kii hai.njo duusro.n se mai.n kah na paayaaharaam kyaa hai halaal kyaa hai ye sab tamaashe hai.n muftiyo.n keye saare fitne hai.n maulvii keharaam kar dii thii KHud-kushii bhii ki apnii marzii se mar na paa.eye mai-kashii bhii haraam Thahrii ki ham ko apnaa lahuu bhii piine kaa haq nahii.n haiki apnii marzii se ham ko jiine kaa haq nahii.n haikise bataa.e.nzamiir-o-zarf-e-bashar pe mauquuf hai.n masaa.ilsamundaro.n me.n u.nDel jitnii sharaab chaahena harf paanii pe aa.egaa aur na us kii taqdiis KHatm hogiito mai-kashii ko haraam kahne se pahle dekhoki piine vaale kaa zarf kyaa hai hai.n kis ke haatho.n me.n jaam-o-miinaaye nukta-sanjii ye nukta-daanii jo maulvii kii samajh me.n aatii to baat bantiina diin-o-maz.hab ko jis ne samjhaa na jis ne samjhaa hai zindagii kotahuuraa piine kii baat kar ke haraam kahtaa hai mai-kashii kojo diin-o-maz.hab kaa zikr aayaa to mai.n ne puuchhaaki is havaale se raa.e kyaa haiye KHud-parastii KHudaa-parastii ke darmiyaa.n kaa jo faasla haijo ik KHalaa hai ye kyaa balaa haiye diin-o-maz.hab faqat kitaabe.nba-juz kitaabo.n ke aur kyaa haikitaabe.n aisii jinhe.n samajhne kii koshishe.n kam hai.n aur ziyaada pa.Dhaa gayaa haikitaabe.n aisii ki aam insaa.n ko in ke pa.Dhne kaa haq hai lekininhe.n samajhne kaa haq na hargiz diyaa gayaa haiki in kitaabo.n pe diin-o-maz.hab ke Thekedaar ijaara-daaro.n kii dastaras haiisii liye to ye diin-o-maz.hab fasaad-o-fitna bane hu.e hai.nye diin-o-maz.habjo ilm-o-hikmat ke saath ho to sukuun hogaajo dastaras me.n ho jaahilo.n kii junuun hogaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye zindagii kaa javaaz kyaa haiye tum ho jii jii ke mar rahe ho ye mai.n huu.n mar mar ke jii rahaa huu.nye raaz kyaa haihai kyaa haqiiqat majaaz kyaa haisivaa.e KHvaabo.n ke kuchh nahii.n haiba-juz saraabo.n ke kuchh nahii.n haiye ik safar hai tabaahiyo.n kaa udaasiyo.n kii ye rahguzar haina is ko duniyaa kaa ilm ko.ii na is ko apnii ko.ii KHabar haikabhii kahii.n par nazar na aa.e kabhii har ik shai me.n jalva-gar haikabhii ziyaa.n hai kabhii zarar haina KHauf is ko na kuchh KHatar haikabhii KHudaa hai kabhii bashar haihu.aa haqiiqat se aashnaa to ye suu-e-daar-o-rasan gayaa haikabhii ha.nsaa hai ye zer-e-KHanjar kabhii ye suulii pe ha.ns diyaa haikabhii ye gulnaar ho gayaa hai sinaa.n pe guftaar ho gayaa haikabhii hu.aa hai ye Garq-e-dariyaakabhii ye taqdiir-e-dasht-o-sahraaraqam hu.aa hai ye aa.nso.o.n me.nkabhii lahuu ne hai is ko likkhaahikaayat-e-dil hikaayat-e-jaa.n hikaayat-e-zindagii yahii haiagar saliiqe se likkhii jaa.e ibaarat-e-zindagii yahii haiye husn hai us dhanak kii suuratki jis ke ra.ngo.n kaa falsafa hii kabhii kisii par nahii.n khulaa haiye falsafa jo fareb-e-paiham kaa silsila haiki is ke ra.ngo.n me.n ik ishaara hai be-ruKHii kaaik isti.aara hai zindagii kaakabhii alaamat hai shoKHiyo.n kiikabhii kinaaya hai saadgii kaabadalte mausam kii kaifiyat ke hai.n rang pinhaa.n isii dhanak me.nkashish sharaarat-o-jaazbiyyat ke shoKH ra.ngo.n ne is dhanak ko ajiib paikar ataa kiyaa hai ik aisaa manzar ataa kiyaa haiki jis ke sehr-o-asar me.n aa karlahuu bahut aa.nkhe.n ro chukii hai.n bahut to biinaa.ii kho chukii hai.nbasaarte.n kyaa basiirate.n bhii to aql-o-daanaa.ii kho chukii hai.nna jaane kitne hii rang maKHfii hai.n is dhanak me.nbas ek ra.ng-e-vafaa nahii.n hai.nis ek ra.ngat kii aarzuu ne lahuu rulaayaa hai aadmii koyahii bataayaa hai aagahii koye ik chhalaavaa hai zindagii kaahasiin dhoka hai zindagii kaamagar muqaddar hai aadmii kaafareb-e-gandum samajh me.n aayaa to mai.n ne jaanaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye ek laGzish hai jis ke dam se hayaat-e-nau kaa bharam khulaa hai
vo nau-KHez nuuraa vo ik bint-e-maryamvo maKHmuur aa.nkhe.n vo gesu-e-pur-KHamvo arz-e-kaliisaa kii ik maah-paaravo dair-o-haram ke liye ik sharaaravo firdaus-e-maryam kaa ik Guncha-e-tarvo tasliis kii duKHtar-e-nek-aKHtarvo ik nurse thii chaara-gar jis ko kahiyemadaavaa-e-dard-e-jigar jis ko kahiyejavaanii se tiflii gale mil rahii thiihavaa chal rahii thii kalii khil rahii thiivo pur-ro.ab tevar vo shaadaab chehramataa-e-javaanii pe fitrat kaa pahramirii hukmaraanii hai ahl-e-zamii.n parye tahriir thaa saaf us kii jabii.n parsafed aur shaffaaf kap.De pahan karmire paas aatii thii ik huur ban karvo ik aasmaanii farishta thii goyaaki andaaz thaa us me.n jibra.iil kaa saavo ik marmarii.n huur KHuld-e-barii.n kiivo ta.abiir aazar ke KHvaab-e-hasii.n kiivo taskiin-e-dil thii sukuun-e-nazar thiinigaar-e-shafaq thii jamaal-e-nazar thiivo sho.ala vo bijlii vo jalva vo partavsulaimaa.n kii vo ik kaniiz-e-subuk-raukabhii us kii shoKHii me.n sanjiidgii thiikabhii us kii sanjiidgii me.n bhii shoKHiigha.Dii chup gha.Dii karne lagtii thii baate.nsirhaane mire kaaT detii thii raate.najab chiiz thii vo ajab raaz thii vokabhii soz thii vo kabhii saaz thii vonaqaahat ke aalam me.n jab aa.nkh uThtiinazar mujh ko aatii mohabbat kii deviivo us vaqt ik paikar-e-nuur hotiitaKHayyul kii parvaaz se duur hotiiha.nsaatii thii mujh ko sulaatii thii mujh kodavaa apne haatho.n se mujh ko pilaatiiab achchhe ho har roz muzhda sunaatiisirhaane mire ek din sar jhukaa.evo baiThii thii takiye pe kuhnii Tikaa.eKHayaalaat-e-paiham me.n kho.ii hu.ii siina jaagii hu.ii sii na so.ii hu.ii siijhapaktii hu.ii baar baar us kii palke.njabii.n par shikan be-qaraar us kii palke.nvo aa.nkho.n ke saaGar chhalakte hu.e sevo aariz ke sho.ale bha.Dakte hu.e selabo.n me.n thaa la.al-o-gohar kaa KHazaananazar aarifaana adaa raahibaanamahak gesu.o.n se chalii aa rahii thiimire har nafas me.n basii jaa rahii thiimujhe leTe leTe sharaarat kii suujhiijo suujhii bhii to kis qayaamat kii suujhiizaraa ba.Dh ke kuchh aur gardan jhukaa liilab-e-la.al-e-afshaa.n se ik shai churaa liivo shai jis ko ab kyaa kahuu.n kyaa samajhiyebehisht-e-javaanii kaa tohfa samajhiyesharaab-e-mohabbat kaa ik jaam-e-ra.ngii.nsubuu-zaar-e-fitrat kaa ik jaam-e-ra.ngii.nmai.n samjhaa thaa shaayad biga.D jaa.egii vohavaa.o.n se la.Dtii hai la.D jaa.egii vomai.n dekhuu.ngaa us ke bipharne kaa aalamjavaanii kaa Gussa bikharne kaa aalamidhar dil me.n ik shor-e-mahshar bapaa thaamagar us taraf rang hii duusraa thaaha.nsii aur ha.nsii is tarah khilkhilaa karki sham-e-hayaa rah ga.ii jhilmilaa karnahii.n jaantii hai miraa naam tak vomagar bhej detii hai paiGaam tak voye paiGaam aate hii rahte hai.n akasrki kis roz aa.oge biimaar ho kar
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books