aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "Gairat"
mujhe is shaam hai apne labo.n par ik suKHan laanaa'alii' darvesh thaa tum us ko apnaa jadd na batlaanaavo sibtain-e-mohamaad, jin ko jaane kyuu.n bahut arfa.atum un kii duur kii nisbat se bhii yaksar mukar jaanaaki is nisbat se zahar o zaKHm ko sahnaa zaruurii haiajab Gairat se Galtiida-ba-KHuu.n rahnaa zaruurii hai
qalandaraan-e-vafaa kii asaas to dekhotumhaare saath hai kaun aas-paas to dekhoso shart ye hai jo jaa.n kii amaan chaahte hoto apne lauh-o-qalam qatl-gaah me.n rakh dovagarna ab ke nishaana kamaan-daaro.n kaabas ek tum ho so Gairat ko raah me.n rakh do
1vo sub.h kabhii to aa.egiiin kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.nchal Dhalkegaajab dukh ke baadal pighle.nge jab sukh kaa saagar chhalkegaajab ambar jhuum ke naachegaa jab dhartii naGme gaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiijis sub.h kii KHaatir jug jug se ham sab mar mar kar jiite hai.njis sub.h ke amrit kii dhun me.n ham zahr ke pyaale piite hai.nin bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam farmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimaanaa ki abhii tere mere armaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.nmiTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.ninsaano.n kii izzat jab jhuuTe sikko.n me.n na taulii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiidaulat ke liye jab aurat kii ismat ko na bechaa jaa.egaachaahat ko na kuchlaa jaa.egaa Gairat ko na bechaa jaa.egaaapne kaale kartuuto.n par jab ye duniyaa sharmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiibiite.nge kabhii to din aaKHir ye bhuuk ke aur bekaarii keTuuTe.nge kabhii to but aaKHir daulat kii ijaara-daarii kejab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimajbuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na phaa.nkegaama.asuum la.Dakpan jab gandii galiyo.n me.n bhiik na maa.ngegaahaq maa.ngne vaalo.n ko jis din suulii na dikhaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiifaaqo.n kii chitaa.o.n par jis din insaa.n na jalaa.e jaa.e.ngesiino.n ke dahakte dozaKH me.n armaa.n na jalaa.e jaa.e.ngeye narak se bhii gandii duniyaa jab sovarg banaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egii2vo sub.h hamii.n se aa.egiijab dhartii karvaT badlegii jab qaid se qaidii chhuuTe.ngejab paap gharau.nde phuuTe.nge jab zulm ke bandhan TuuTe.ngeus sub.h ko ham hii laa.e.nge vo sub.h hamii.n se aa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egiimanhuus samaajii Dhaa.ncho.n me.n jab zulm na paale jaa.e.ngejab haath na kaaTe jaa.e.nge jab sar na uchhaale jaa.e.ngejailo.n ke binaa jab duniyaa kii sarkaar chalaa.ii jaa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egiisansaar ke saare mehnat-kash kheto.n se milo.n se nikle.ngebe-ghar be-dar be-bas insaa.n taariik bilo.n se nikle.ngeduniyaa amn aur KHush-haalii ke phuulo.n se sajaa.ii jaa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egii
un jaane vaale dasto.n me.n Gairat bhii ga.ii barnaa.ii bhiimaa.o.n ke javaa.n beTe bhii ga.e bahno.n ke chahete bhaa.ii bhii
ibliisye anaasir kaa puraanaa khel ye duniyaa-e-duu.nsaakinaan-e-arsh-e-aazam kii tamannaa.o.n kaa KHuu.nis kii barbaadii pe aaj aamaada hai vo kaarsaazjis ne is kaa naam rakhaa thaa jahaan-e-kaaf-o-nuu.nmai.n ne dikhlaayaa fara.ngii ko muluukiyat kaa KHvaabmai.n ne to.Daa masjid-o-dair-o-kaliisaa kaa fusuu.nmai.n ne naadaaro.n ko sikhlaayaa sabaq taqdiir kaamai.n ne mun.im ko diyaa sarmaaya daarii kaa junuu.nkaun kar saktaa hai is kii aatish-e-sozaa.n ko sardjis ke ha.ngaamo.n me.n ho ibliis kaa soz-e-daruu.njis kii shaaKHe.n ho.n hamaarii aabiyaarii se bulandkaun kar saktaa hai is naKHl-e-kuhan ko sar-niguu.npahlaa mushiiris me.n kyaa shak hai ki mohkam hai ye ibliisii nizaampuKHta-tar is se hu.e KHuu-e-Gulaamii me.n avaamhai azal se in Gariibo.n ke muqaddar me.n sujuudin kii fitrat kaa taqaazaa hai namaaz-e-be-qayaamaarzuu avval to paidaa ho nahii.n saktii kahii.nho kahii.n paidaa to mar jaatii hai yaa rahtii hai KHaamye hamaarii sa.ii-e-paiham kii karaamat hai ki aajsuufii-o-mullaa muluukiyyat ke bande hai.n tamaamtab-e-mashriq ke liye mauzuu.n yahii afyuun thiivarna qavvaalii se kuchh kam-tar nahii.n ilm-e-kalaamhai tavaaf-o-haj kaa ha.ngaama agar baaqii to kyaakund ho kar rah ga.ii momin kii teG-e-be-niyaamkis kii nau-miidii pe hujjat hai ye farmaan-e-jadiidhai jihaad is daur me.n mard-e-musalmaa.n par haraamduusraa mushiirKHair hai sulataanii-e-jamhuur kaa GauGaa ki shartuu jahaa.n ke taaza fitno.n se nahii.n hai baa-KHabarpahlaa mushiirhuu.n magar merii jahaa.n-biinii bataatii hai mujhejo muluukiyat kaa ik parda ho kyaa is se KHatarham ne KHud shaahii ko pahnaayaa hai jamhuurii libaasjab zaraa aadam hu.aa hai KHud-shanaas-o-KHud-nigarkaarobaar-e-shahryaarii kii haqiiqat aur haiye vajuud-e-miir-o-sultaa.n par nahii.n hai munhasirmajlis-e-millat ho yaa parvez kaa darbaar hohai vo sultaa.n Gair kii khetii pe ho jis kii nazartuu ne kyaa dekhaa nahii.n maGrib kaa jamhuurii nizaamchehra raushan andaruu.n cha.ngez se taariik-tartiisraa mushiirruuh-e-sultaanii rahe baaqii to phir kyaa iztiraabhai magar kyaa is yahuudii kii sharaarat kaa javaabvo kaliim-e-be-tajallii vo masiih-e-be-saliibniist paiGambar va-lekin dar baGal daarad kitaabkyaa bataa.uu.n kyaa hai kaafir kii nigaah-e-parda-sozmashriq-o-maGrib kii qaumo.n ke liye roz-e-hisaabis se ba.Dh kar aur kyaa hogaa tabii.at kaa fasaadto.D dii bando.n ne aaqaa.o.n ke KHemo.n kii tanaabchauthaa mushiirto.D is kaa ruumat-ul-kubraa ke aivaano.n me.n dekhaal-e-ceaser ko dikhaayaa ham ne phir ceaser kaa KHvaabkaun bahr-e-ruum kii maujo.n se hai lipTaa hu.aagaah baalad-chuu.n-sanobar gaah naalad-chuu.n-rubaabtiisraa mushiirmai.n to is kii aaqibat-biinii kaa kuchh qaa.il nahii.njis ne afra.ngii siyaasat ko kyaa yuu.n be-hijaabpaa.nchvaa.n mushiir ibliis ko muKHaatab kar keai tire soz-e-nafas se kaar-e-aalam ustuvaartuu ne jab chaahaa kiyaa har pardagii ko aashkaaraab-o-gil terii haraarat se jahaan-e-soz-o-saazablah-e-jannat tirii ta.aliim se daanaa-e-kaartujh se ba.Dh kar fitrat-e-aadam kaa vo mahram nahii.nsaada-dil bando.n me.n jo mash.huur hai parvardigaarkaam thaa jin kaa faqat taqdiis-o-tasbiih-o-tavaafterii Gairat se abad tak sar-niguu.n-o-sharmsaargarche hai.n tere muriid afra.ng ke saahir tamaamab mujhe un kii faraasat par nahii.n hai e'tibaarvo yahuudii fitna-gar vo ruuh-e-mazdak kaa buruuzhar qabaa hone ko hai is ke junuu.n se taar taarzaaG dashtii ho rahaa hai ham-sar-e-shaahiin-o-charGkitnii sur.at se badaltaa hai mizaaj-e-rozgaarchhaa ga.ii aashufta ho kar vus.at-e-aflaak parjis ko naadaanii se ham samjhe the ik musht-e-Gubaarfitna-e-fardaa kii haibat kaa ye aalam hai ki aajkaa.npte hai.n kohsaar-o-murG-zaar-o-juu.ebaarmere aaqaa vo jahaa.n zer-o-zabar hone ko haijis jahaa.n kaa hai faqat terii siyaadat par madaar
vo sub.h kabhii to aa.egiiun kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.nchal Dhalkegaajab dukh ke baadal pighle.nge jab sukh saagar chhalkegaajab ambar jhuum ke naachegaa jab dhartii naGme gaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiijis sub.h kii KHaatir jug jug se ham sab marmar ke jiite hai.njis sub.h ke amrit kii dhun me.n ham zahr ke pyaale piite hai.nin bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam farmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimaanaa ki abhii tere mere armaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.nmiTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.ninsaano.n kii izzat jab jhuuTe sikko.n me.n na tolii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiidaulat ke liye jab aurat kii ismat ko na bechaa jaa.egaachaahat ko na kuchlaa jaa.egaa Gairat ko na bechaa jaa.egaaapne kaale kartuuto.n par jab ye duniyaa sharmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiibiite.nge kabhii to din aaKHir ye bhuuk ke aur bekaarii keTuuTe.nge kabhii to but aaKHir daulat kii ijaara-daarii kejab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaa.e jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimajbuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na phaa.nkegaama.asuum la.Dakpan jab gandii galiyo.n me.n bhiik na maa.ngegaahaq maa.ngne vaalo.n ko jis din suulii na dikhaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiifaaqo.n kii chitaa.o.n par jis din insaa.n na jalaa.e jaa.e.ngesiine ke dahakte dozaKH me.n armaa.n na jalaa.e jaa.e.ngeye narak se bhii gandii duniyaa jab sovarg bataa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egii
is qadar bhii nahii.n mujhe ma.aluumkis mohalle me.n hai makaa.n teraakaun sii shaaKH-e-gul pe raqsaa.n hairashk-e-firdaus aashiyaa.n teraajaane kin vaadiyo.n me.n utraa haiGairat-e-husn kaarvaa.n teraakis se puuchhuu.ngaa mai.n KHabar teriikaun batlaa.egaa nishaa.n teraaterii rusvaa.iyo.n se Dartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nhaal-e-dil bhii na kah sakaa garchetuu rahii muddato.n qariib mirekuchh tirii azmato.n kaa Dar bhii thaakuchh KHayaalaat the ajiib mireaaKHir-e-kaar vo gha.Dii aa.iibaar-var ho ga.e raqiib miretuu mujhe chho.D kar chalii bhii ga.iiKHair qismat mirii nasiib mireab mai.n kyuu.n tujh ko yaad kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.ngo zamaana tirii mohabbat kaaek bhuulii hu.ii kahaanii haitere kuuche me.n umr-bhar na ga.esaarii duniyaa kii KHaak chhaanii hailazzat-e-vasl ho ki zaKHm-e-firaaqjo bhii ho terii mehrbaanii haikis tamannaa se tujh ko chaahaa thaakis mohabbat se haar maanii haiapnii qismat pe naaz kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nashk palko.n pe aa nahii.n saktedil me.n hai terii aabruu ab bhiitujh se raushan hai kaa.enaat miriitere jalve hai.n chaar-suu ab bhiiapne Gam-KHaana-e-taKHayyul me.ntujh se hotii hai guftuguu ab bhiitujh ko viiraana-e-tasvvur me.ndekh letaa huu.n ruu-ba-ruu ab bhiiab bhii mai.n tujh ko pyaar kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.naaj bhii kaar-zaar-e-hastii me.ntuu agar ek baar mil jaa.ekisii mahfil me.n saamnaa ho jaa.eyaa sar-e-rahguzaar mil jaa.eik nazar dekh le mohabbat seek lamhe kaa pyaar mil jaa.eaarzuu.o.n ko chain aa jaa.ehasrato.n ko qaraar mil jaa.ejaane kyaa kyaa KHayaal kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.naaj mai.n aise maqaam par huu.n jahaa.nrasan-o-daar kii bulandii haimere ash.aar kii lataafat me.ntere kirdaar kii bulandii haiterii majbuuriyo.n kii azmat haimere iisaar kii bulandii haisab tire dard kii inaayat haisab tire pyaar kii bulandii haitere Gam se nibaah kartaa haijab tire shahr se guzartaa huu.ntujh se ko.ii gila nahii.n mujh komai.n tujhe bevafaa nahii.n kahtaateraa milnaa KHayaal-o-KHvaab hu.aaphir bhii naa-aashnaa nahii.n kahtaavo jo kahtaa thaa mujh ko aavaaramai.n use bhii buraa nahii.n kahtaavarna ik be-navaa mohabbat me.ndil ke luTne pe kyaa nahii.n kahtaamai.n to mushkil se aah bhartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nko.ii pursaan-e-haal ho to kahuu.nkaisii aa.ndhii chalii hai tere baa'ddin guzaaraa hai kis tarah mai.n neraat kaise Dhalii hai tere baa'dsham-e-ummiid sarsar-e-Gam me.nkis bahaane jalii hai tere baa'djis me.n ko.ii makii.n na rahtaa hodil vo suunii galii hai tere baa'droz jiitaa huu.n roz martaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nlekin ai saakin-e-hariim-e-KHayaalyaad hai daur-e-kaif-o-kam ki nahii.nkyaa kabhii tere dil pe guzraa haimerii mahruumiyo.n kaa Gam ki nahii.nmerii barbaadiyo.n kaa sun kar haalaa.nkh terii hu.ii hai nam ki nahii.naur is kaar-zaar-e-hastii me.nphir kabhii mil sake.nge ham ki nahii.nDarte Darte savaal kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.n
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
jab bhii gaa.egii ko.ii Gairat-e-naahiid Gazalsab ko aa.egaa nazar sho.ala-e-aavaaz me.n tuujab bhii saaqii ne suraahii ko diyaa izn-e-KHiraambazm kii bazm pukaaregii ki aaGaaz me.n tuu
ik umr ke baa'd tum mile hoai mere vatan ke KHush-navaa.ohar hijr kaa din thaa hashr kaa dindozaKH the firaaq ke alaa.oro.uu.n ki ha.nsuu.n samajh na aa.ehaatho.n me.n hai.n phuul dil me.n ghaa.otum aa.e to saath hii tumhaarebichh.De hu.e yaar yaad aa.eik zaKHm pe tum ne haath rakkhaaaur mujh ko hazaar yaad aa.evo saare rafiiq paa-ba-jaulaa.nsab kushta-e-daar yaad aa.eham sab kaa hai ek hii qabiilaik dasht ke saare ham-safar hai.nkuchh vo hai.n jo duusro.n kii KHaatiraashufta-nasiib o dar-ba-dar hai.nkuchh vo hai.n jo KHil.at-o-qabaa seaivaan-e-shahii me.n mo'tabar hai.nsuqraat o masiih ke fasaanetum bhii to bahut sunaa rahe themansuur o husain se aqiidattum bhii to bahut jataa rahe thekahte the sadaaqate.n amar hai.nauro.n ko yahii bataa rahe theaur ab jo hai.n jaa-ba-jaa saliibe.ntum baa.nsuriyaa.n bajaa rahe hoaur ab jo hai karbalaa kaa naqshatum mad.h-e-yaziid gaa rahe hojab sach tah-e-teG ho rahaa haitum sach se nazar churaa rahe hojii chaahtaa hai ki tum se puuchhuu.nkyaa raaz is ijtinaab me.n haitum itne kaThor to nahii.n theye be-hisii kisii hisaab me.n haitum chup ho to kis tarah se chup hojab KHalq-e-KHudaa azaab me.n haisocho to tumhe.n milaa bhii kyaa haiik luqma-e-tar qalam kii qiimatGairat ko faroKHt karne vaaloik kaasa-e-zar qalam kii qiimatpindaar ke taajiro bataa.odarbaan kaa dar qalam kii qiimatnaadaa.n to nahii.n ho tum ki samjhuu.nGaflat se ye zahr gholte hothaame hu.e maslahat kii miizaanhar sher kaa vazn taulte hoaise me.n sukuut, chashm-poshiiaisaa hai ki jhuuT bolte hoik umr se adl o sidq kii laashGaasib kii saliib par ja.Dii haiis vaqt bhii tum Gazal-saraa hojab zulm kii har gha.Dii ka.Dii haija.ngal pe lapak rahe hai.n sholetaa.uus ko raqs kii pa.Dii haihai sab ko aziiz kuu-e-jaanaa.nis raah me.n sab jiye mare hai.nhaa.n merii bayaaz-e-sher me.n bhiibarbaadi-e-dil ke marsiye hai.nmai.n ne bhii kiyaa hai TuuT kar ishqaur ek nahii.n ka.ii kiye hai.nlekin Gam-e-aashiqii nahii.n haiaisaa jo subuk-sarii sikhaa.eye Gam to vo KHush-ma.aal Gam haijo koh se juu-e-shiir laa.eteshe kaa hunar qalam ko baKHshejo qais ko kohkan banaa.eai hiila-garaan-e-shahr-e-shiirii.naayaa huu.n pahaa.D kaaT kar mai.nhai be-vatanii gavaah meriihar-chand phiraa huu.n dar-ba-dar mai.nbechaa na Guruur-e-nai-navaaziiaisaa bhii na thaa subuk hunar me.ntum bhii kabhii ham-navaa the merephir aaj tumhe.n ye kyaa hu.aa haimiTTii ke vaqaar ko na bechoye ahd-e-sitam jihaad kaa haidaryuuza-garii ke maqbaro.n sezindaa.n kii fasiil KHushnumaa haikab ek hii rut rahii hameshaye zulm kii fasl bhii kaTegiijab harf kahegaa qum-be-izniimartii hu.ii KHaak jii uThegiilailaa-e-vatan ke pairahan me.nbaaruud kii buu nahii.n rahegiiphir baa.ndhe.nge abru.o.n ke dohephir mad.h-e-ruKH-o-dahan kahe.ngeThahraa.e.nge un labo.n ko matlaajaanaa.n ke liye suKHan kahe.ngeafsaana-e-yaar o qissa-e-dilphir anjuman anjuman kahe.nge
'aql ne ek din ye dil se kahaabhuule-bhaTke kii rahnumaa huu.n mai.nhuu.n zamii.n par guzar falak pe miraadekh tuu kis qadar rasaa huu.n mai.nkaam duniyaa me.n rahbarii hai miraamisl-e-KHizr-e-KHajista-paa huu.n me.nhuu.n mufassir kitaab-e-hastii kiimaz.har-e-shaan-e-kibriyaa huu.n mai.nbuu.nd ik KHuun kii hai tuu lekinGairat-e-laa'l-e-be-bahaa huu.n mai.ndil ne sun kar kahaa ye sab sach haipar mujhe bhii to dekh kyaa huu.n mai.nraaz-e-hastii ko tuu samajhtii haiaur aa.nkho.n se dekhtaa huu.n mai.nhai tujhe vaasta mazaahir seaur baatin se aashnaa huu.n mai.n'ilm tujh se to maa'rifat mujh setuu KHudaa jo KHudaa-numaa huu.n mai.n'ilm kii intihaa hai betaabius maraz kii magar davaa huu.n mai.nsham' tuu mahfil-e-sadaaqat kiihusn kii bazm kaa diyaa huu.n mai.ntuu zamaan-o-makaa.n se rishta bapaataa.ir-e-sidra-aashnaa huu.n mai.nkis bulandii pe hai maqaam miraa'arsh rabb-e-jaliil kaa huu.n mai.n
muddato.n baa'd milaa naama-e-jaanaa.n lekinna ko.ii dil kii hikaayat na ko.ii pyaar kii baatna kisii harf me.n mahruumi-e-jaa.n kaa qissana kisii lafz me.n bhuule hu.e iqraar kii baatna kisii satr pe bhiige hu.e kaajal kii lakiirna kahii.n zikr judaa.ii kaa na diidaar kii baatbas vahii ek hii mazmuu.n ki mire shahr ke logkaise sahme hu.e rahte hai.n gharo.n me.n apneitnii be-naam KHamoshii hai ki diivaane bhiiko.ii saudaa nahii.n rakhte hai.n saro.n me.n apneab qafas hii ko nasheman kaa badal jaan liyaaab kahaa.n taaqat-e-parvaaz paro.n me.n apnevo jo do chaar subuu-kash the ki jin ke dam segardish-e-jaam bhii thii raunaq-e-mai-KHaana bhii thiivo jo do chaar navaa-gar the ki jin ke hotehurmat-e-naGma bhii thii jur.at-e-rindaana bhii thiiko.ii maqtal ko.ii zindaa.n ko.ii pardes gayaachand hii the ki ravish jin kii judaagaana bhii thiiab to bas burda-farosh hai jidhar bhii jaa.oab to har kuucha-o-kuu misr kaa baazaar lagesar-e-darbaar sitaada hai.n bayaaze.n le karvo jo kuchh dost kabhii saahab-e-kirdaar lageGairat-e-ishq ki kal maal-e-tijaarat me.n na thiiaaj dekho ki hai.n ambaar ke ambaar lageaisaa aaseb-zada shahr ki dekhaa na sunaaaisii dahshat hai ki patthar hu.e sab ke baazuudar-o-diivaar-e-KHaraabaat vahii hai.n lekinna kahii.n qulqul-e-miinaa hai na gul-baa.ng-e-subuube-dilii sheva-e-arbaab-e-mohabbat Thahraaab ko.ii aa.e ki jaa.e ''tananaahuu-yaahuu''
apnii Gairat bech Daalii.n apnaa maslak chho.D de.nrahnumaa.o.n me.n bhii kuchh logo.n kaa ye manshaa to hai
duniyaa ke liye tohfa-e-naayaab hai auratafsaana-e-hastii kaa hasii.n baab hai auratdekhaa thaa jo aadam ne vahii KHvaab hai auratbe-misl hai aa.iina-e-aadaab hai auratqaa.em usii aurat se mohabbat kii fazaa haiaurat kii ataa asal me.n ehsaan-e-KHudaa haihai maa.n to dil-o-jaa.n se luTaatii hai sadaa pyaarmamtaa ke liye phirtii hai daulat sar-e-baazaaraasaan banaatii hai du.aa se rah-e-dushvaarapne Gam-o-aalaam kaa kartii nahii.n iz.haarqadmo.n me.n liye rahtii hai jannat kaa KHazaanaaurat ke tasavvur me.n hai ta.amiir-e-zamaanabiivii hai to Gam-KHvaar hai paikar hai vafaa kaaaa.nchal ko banaa letii hai faanuus hayaa kaaruKH dekh ke rakhtii hai qadam apnaa havaa kaagirviida banaatii hai tabassum kii adaa kaaKHvaab-e-nigah-e-ishq kii ta.abiir hai auratmardo.n ke liye husn kii zanjiir hai aurathai shakl me.n beTii kii bahaar-e-sahr-o-shaamqudrat kaa atiya hai ye qudrat kaa hai in.aamdetii hai masarrat kaa dil-e-zaar ko paiGaamhai ruuh ko taskiin jigar kaa hai ye aaraamduKHtar hai to anmol guhar kahte hai.n us koallaah kii rahmat kaa samar kahte hai.n is kosuurat me.n bahan kii hai chaman kaa ye hasii.n phuuliisaar-o-mohabbat hai shab-o-roz kaa ma.amuulbe-kaar kii ranjish ko kabhii detii nahii.n tuulehsaas-e-muravvat me.n rahaa kartii hai mashGuullikhii hai har ik rang me.n aurat kii kahaaniikahte hai.n use azmat-e-insaa.n kii nishaaniimariyam hai to paakiiza-o-shaffaf hai.n a.amaalban jaa.e zuleKHaa to hayaa ko kare paamaalgar hai cleopatra to siyaasat kii chale chaallailaa hai to kartii hai ye diivaana-o-bad-haalDhal jaanaa har ik ruup me.n aasaan hai us kobadle hu.e haalaat kii pahchaan hai us ko'hinda' hai to saalaarii kaa dikhlaatii hai jauharhai 'raabi.a-basrii' to ye valiyo.n kii hai ham-sarbaiThii hai agar husn kaa baazaar sajaa karGairat ko banaatii hai asiir-e-havas-e-zarvaaqif hai bahar-taur ye jiine ke hunar sebe-KHauf guzar jaatii hai har raahguzar seik pal me.n ye sho.ala hai to ik pal me.n hai shabnamya.anii hai kabhii gul to kabhii KHaar-e-mujassamho sabr pe aamaada to sah jaa.e har ik Gamho jaa.e muKHaalif to palaT de saf-e-aalampaaband-e-vafaa ho to dil-o-jaan luTaa deaa jaa.e baGaavat pe to duniyaa ko hilaa de
sune ko.ii mirii Gurbat kii daastaa.n mujh sebhulaayaa qissa-e-paimaan-e-avvalii.n me.n nelagii na merii tabii.at riyaaz-e-jannat me.npiyaa shu.uur kaa jab jaam-e-aatishii.n mai.n nerahii haqiiqat-e-aalam kii justujuu mujh kodikhaayaa auj-e-KHayaal-e-falak-nashii.n mai.n nemilaa mizaaj-e-taGayyur-pasand kuchh aisaakiyaa qaraar na zer-e-falak kahii.n mai.n nenikaalaa kaabe se patthar kii muurato.n ko kabhiikabhii buto.n ko banaayaa haram-nashii.n mai.n nekabhii mai.n zauq-e-takallum me.n tuur par pahu.nchaachhupaayaa nuur-e-azl zer-e-aastii.n mai.n nekabhii saliib pe apno.n ne mujh ko laTkaayaakiyaa falak ko safar chho.D kar zamii.n mai.n nekabhii mai.n Gaar-e-hiraa me.n chhupaa rahaa barso.ndiyaa jahaa.n ko kabhii jaam-e-aaKHrii.n mai.n nesunaayaa hind me.n aa kar suruud-e-rabbaaniipasand kii kabhii yuunaa.n kii sarzamii.n mai.n nedayaar-e-hind ne jis dam mirii sadaa na suniibasaayaa KHitta-e-jaapaan o mulk-e-chii.n mai.n nebanaayaa zarro.n kii tarkiib se kabhii aalamKHilaaf-e-ma.ani-e-taaliim-e-ahl-e-dii.n mai.n nelahuu se laal kiyaa saik.Do.n zamiino.n kojahaa.n mai.n chhe.D ke paikaar-e-aql-o-dii.n mai.n nesamajh me.n aa.ii haqiiqat na jab sitaaro.n kiiisii KHayaal me.n raate.n guzaar dii.n mai.n neDaraa sakii.n na kaliisaa kii mujh ko talvaare.nsikhaayaa mas.ala-e-gardish-e-zamii.n mai.n nekashish kaa raaz huvaidaa kiyaa zamaane parlagaa ke aa.iina-e-aql-e-duur-bii.n mai.n nekiyaa asiir shu.aa.o.n ko barq-e-muztar kobanaa dii Gairat-e-jannat ye sarzamii.n mai.n nemagar KHabar na milii aah raaz-e-hastii kiikiyaa KHirad se jahaa.n ko tah-e-nagii.n mai.n nehu.ii jo chashm-e-mazaahir-parast vaa aaKHirto paayaa KHaana-e-dil me.n use makii.n mai.n ne
dard-o-Gam-e-hayaat kaa darmaa.n chalaa gayaavo KHizr-e-asr-o-iisa-e-dauraa.n chalaa gayaahinduu chalaa gayaa na musalmaa.n chalaa gayaainsaa.n kii justujuu me.n ik insaa.n chalaa gayaaraqsaa.n chalaa gayaa na Gazal-KHvaa.n chalaa gayaasoz-o-gudaaz o dard me.n Galtaa.n chalaa gayaabarham hai zulf-e-kufr to iimaa.n hai sar-niguu.nvo faKHr-e-kufr-o-naazish-e-iimaa.n chalaa gayaabiimaar zindagii kii kare kaun dil-dahiinabbaaz o chaarasaaz-e-mariizaa.n chalaa gayaakis kii nazar pa.Degii ab 'isyaa.n pe lutf kiivo mahram-e-nazaakat-e-isyaa.n chalaa gayaavo raaz-daar-er-mahfil-e-yaaraa.n nahii.n rahaavo Gam-gusaar-e-bazm-e-ariifaa.n chalaa gayaaab kaafirii me.n rasm-o-raah-e-dilbarii nahii.niimaa.n kii baat ye hai ki iimaa.n chalaa gayaaik be-KHud-e-suruur-e-dil-o-jaa.n nahii.n rahaaik aashiq-e-sadaaqat-e-pinhaa.n chalaa gayaabaa-chashm-e-nam hai aaj zuleKHaa-e-kaa.enaatzindaa.n-shikan vo yuusuf-e-zindaa.n chalaa gayaaai aarzuu vo chashma-e-haivaa.n na kar talaashzulmaat se vo chashma-e-haivaa.n chalaa gayaaab sang-o-KHisht o KHaak o KHazaf sar-buland hai.ntaaj-e-vatan kaa la.al-e-daraKHshaa.n chalaa gayaaab ahrman ke haath me.n hai teG-e-KHuu.n-chakaa.nKHush hai ki dast-o-baazuu-e-yazdaa.n chalaa gayaadev-e-badii se maark-e-saKHt hii sahiiye to nahii.n ki zor-e-javaanaa.n chalaa gayaakyaa ahl-e-dil me.n jazba-e-Gairat nahii.n rahaakyaa azm-e-sar-faroshii-e-mardaa.n chalaa gayaakyaa baaGiyo.n kii aatish-e-dil sard ho ga.iikyaa sarkasho.n kaa jazba-e-pinhaa.n chalaa gayaakyaa vo junuun-o-jazba-e-bedaar mar gayaakyaa vo shabaab-e-hashr-badaamaa.n chalaa gayaaKHush hai badii jo daam ye nekii pe Daal kerakh de.nge ham badii kaa kaleja nikaal ke
kaleja phu.nk rahaa hai aur zabaa.n kahne se aarii haibataa.uu.n kyaa tumhe.n kyaa chiiz ye sarmaaya-daarii haiye vo aa.ndhii hai jis kii rau me.n muflis kaa nasheman haiye vo bijlii hai jis kii zad me.n har dahqaa.n kaa KHirman haiye apne haath me.n tahziib kaa faanuus letii haimagar mazduur ke tan se lahuu tak chuus letii haiye insaanii balaa KHud KHuun-e-insaanii kii gaahak haivabaa se ba.Dh ke mohlik maut se ba.Dh kar bhayaanak haina dekhe hai.n bure is ne na parkhe hai.n bhale is neshikanjo.n me.n jaka.D kar ghuu.nT Daale hai.n gale is nebalaa-e-be-amaa.n hai taur hii is ke niraale hai.nki is ne Gaiz me.n uj.De hu.e ghar phuu.nk Daale hai.nqayaamat is ke Gamze jaan-levaa hai.n sitam is kehamesha siina-e-muflis pe pa.Dte hai.n qadam is kekahii.n ye KHuu.n se fard-e-maal-o-zar tahriir kartii haikahii.n ye haDDiyaa.n chun kar mahal ta.amiir kartii haiGariibo.n kaa muqaddas KHuun pii pii kar bahaktii haimahal me.n naachtii hai raqs-gaaho.n me.n thiraktii haiba-zaahir chand fir.auno.n kaa daaman bhar diyaa is nemagar gul-baaG-e-aalam ko jahannam kar diyaa is nedarinde sar jhukaa dete hai.n lohaa maan kar is kaanazar saffaak-tar is kii nafas makruuh-tar is kaajidhar chaltii hai barbaadii ke saamaa.n saath chalte hai.nnahuusat ham-safar hotii hai shaitaa.n saath chalte hai.nye akasr luuT kar ma.asuum insaano.n ko raaho.n me.nKHudaa ke zamzame gaatii hai chhup kar KHaanqaaho.n me.nye Daa.in hai bharii godo.n se bachche chhiin letii haiye Gairat chhiin letii hai hamiyyat chhiin letii haiye insaano.n se insaano.n kii fitrat chhiin letii haiye aashob-e-halaakat fitna-e-iskandar-o-daaraazamii.n ke devtaa.o.n kii kaniiz-e-anjuman-aaraahamesha KHuun pii kar haDDiyo.n ke rath me.n chaltii haizamaana chiiKH uThtaa hai ye jab pahluu badaltii haigarajtii guu.njtii ye aaj bhii maidaa.n me.n aatii haimagar bad-mast hai har har qadam par la.Dkha.Daatii haimubaarak dosto labrez hai ab is kaa paimaanauThaa.o aa.ndhiyaa.n kamzor hai buniyaad-e-kaashaana
KHudaa alii-ga.Dh ke madrase ko tamaam amraaz se shifaa debhare hu.e hai.n raiis-zaade amiir-zaade shariif-zaadelatiif o KHush-vaz.a chust o chaalaak o saaf o paakiiza shaad-o-KHurramtabii.ato.n me.n hai in kii jaudat dilo.n me.n in ke hai.n nek iraadekamaal-e-mehnat se pa.Dh rahe hai.n kamaal-e-Gairat se pa.Dh rahe hai.nsavaar mashriq raah me.n hai.n to maGribii raah me.n piyaadehar ik hai in me.n kaa be-shak aisaa ki aap use chaahte hai.n jaisaadikhaave mahfil me.n qadd-e-ra.anaa jo aap aa.e.n to sar jhukaa defaqiir maa.nge to saaf kah de.n ki tuu hai mazbuut jaa kamaa khaaqubuul farmaa.e.n aap daavat to apnaa sarmaaya kul khilaa debuto.n se in ko nahii.n lagaavaT miso.n kii lete nahii.n vo aahaTtamaam quvvat hai sarf-e-KHvaandan nazar ke bhole hai.n dil ke saadenazar bhii aa.e jo zulf-e-pechaa.n to samjhe.n ye ko.ii policy haielectric light us ko samjhe.n jo barq-vash ko.ii kuudenikalte hai.n kar ke Gol-bandii ba-naam-e-tahziib o dard-mandiiye kah ke lete hai.n sab se chande jo tum hame.n do tumhe.n KHudaa deunhe.n isii baat par yaqii.n hai ki bas yahii asl kaar-e-dii.n haiisii se hogaa faroG-e-qaumii isii se chamke.nge baap daademakaan-e-college ke sab makii.n hai.n abhii unhe.n tajrabe nahii.n hai.nKHabar nahii.n hai ki aage chal kar hai kaisii manzil hai.n kaise jaadedilo.n me.n in ke hai.n nuur-e-iimaa.n qavii nahii.n hai magar nigahbaa.nhavaa-e-mantiq adaa-e-tiflii ye sham.a aisaa na ho bujhaa defareb de kar nikaale matlab sikhaa.e tahqiir-e-diin-o-mazhabmiTaa de aaKHir ko diin-o-maz.hab numuud-e-zaatii ko go ba.Dhaa deyahii bas 'akbar' kii iltijaa hai janaab baarii me.n ye du.aa haiuluum o hikmat kaa dars in ko professor de.n samajh KHudaa de
tire maatam me.n shaamil hai.n zamiin o aasmaa.n vaaleahinsaa ke pujaarii sog me.n hai.n do jahaa.n vaaletiraa armaan puuraa hogaa ai amn-o-amaa.n vaaletire jhanDe ke niiche aa.e.nge saare jahaa.n vaalemire buu.Dhe bahaadur is bu.Dhaape me.n javaa.n-mardiinishaa.n golii ke siine par hai.n golii ke nishaa.n vaalenishaa.n hai.n goliyo.n ke yaa khile hai.n phuul siine parusii ko maar Daalaa jis ne sar uu.nchaa kiyaa sab kaana kyuu.n Gairat se sar niichaa kare.n hindostaa.n vaalemire gaa.ndhii zamii.n vaalo.n ne terii qadr jab kam kiiuThaa kar le ga.e tujh ko zamii.n se aasmaa.n vaalezamii.n par jin kaa maatam hai falak par dhuum hai un kiizaraa sii der me.n dekho kahaa.n pahu.nche kahaa.n vaalepahu.nchtaa dhuum se manzil pe apnaa kaarvaa.n ab takagar dushman na hote kaarvaa.n ke kaarvaa.n vaalesunegaa ai 'naziir' ab kaun mazluumo.n kii fariyaade.nfuGaa.n le kar kahaa.n jaa.e.nge ab aah-o-fuGaa.n vaale
uTThii hai maGrib se ghaTaapiine kaa mausam aa gayaahai raqs me.n ik mah-laqaanaazuk adaa naaz-aafrii.nhaa.n naachtii jaa gaa.e jaanazro.n se dil barmaa.e jaata.Dpaa.e jaa ta.Dpaa.e jaao dushman-e-duniyaa-o-dii.n!teraa thiraknaa KHuub haiterii adaa.e.n dil-nashii.nlekin Thahar tuu kaun haio niim-uryaa.n naaznii.nkyaa mashriqii aurat hai tuuhargiz nahii.n hargiz nahii.nterii ha.nsii bebaak haiterii nazar chaalaak haiuff kis qadar dil-soz haitaqriir baazaarii tiriikitnii havas-aamoz haiye saada purkaarii tiriisharm aur izzat vaaliyaa.nhotii hai.n iffat vaaliyaa.nvo husn kii shahzaadiyaa.nparde kii hai.n aabaadiyaa.nchashm-e-falak ne aaj takdekhii nahii.n un kii jhalaksarmaaya-e-sharm-o-hayaazevar hai un ke husn kaashauhar ke dukh sahtii hai.n vomu.nh se nahii.n kahtii hai.n vokab saamne aatii hai.n voGairat se kaT jaatii hai.n voe.azaaz-e-millat un se hainaam-e-sharaafat un se haiiimaan par qaa.em hai.n vopaakiiza-o-saa.em hai.n votujh me.n nahii.n sharm-o-hayaatujh me.n nahii.n mehr-o-vafaasach sach bataa tuu kaun haio be-hayaa tuu kaun haiehsaas-e-izzat kyuu.n nahii.nsharm aur Gairat kyuu.n nahii.nye pur-fusuu.n Gamze tirenaa-mahramo.n ke saamnehaT saamne se duur homarduud ho maqhuur hotaqdiir kii heTii hai tuushaitaan kii beTii hai tuujis qaum kii aurat hai tuuus qaum par la.anat hai tuulekin Thahar jaanaa zaraaterii nahii.n ko.ii KHataamardo.n me.n Gairat hii nahii.nqaumii hamiiyat hii nahii.nvo millat-e-baizaa ki thiisaare jahaa.n kii raushniijam.iyyat-e-islaamiyaa.nshaahanshah-e-hindostaa.nab is me.n dam kuchh bhii nahii.nham kyaa hai.n ham kuchh bhii nahii.nmillii siyaasat uTh ga.iibaazuu kii taaqat uTh ga.iishaan-e-hijaazii ab kahaa.nvo turktaazii ab kahaa.nab Gaznavii himmat ga.iiab baabarii shaukat ga.iiiimaan aalamgiir kaamuslim ke dil se uTh gayaaqaum ab jafaa-pesha hu.iiizzat gadaa-pesha hu.iiab rang hii kuchh aur haibe-Gairatii kaa daur haiye qaum ab miTne ko haiye nard ab piTne ko haiafsos ye hindostaa.n!ye gulshan-e-jannat-nishaa.n!iimaan-daaro.n kaa vatantaa.at-guzaaro.n kaa vatanrah jaa.egaa viiraana phirban jaa.egaa but-KHaana phirlekin mujhe kyaa KHabt haitaqriir kyuu.n be-rabt haiaisaa bahak jaataa huu.n mai.nmu.nh aa.ii bak jaataa huu.n mai.nitnaa sharaabii ho gayaaaql-o-KHirad ko kho gayaamujh ko zamaane se GarazmiTne miTaane se Garazhindostaa.n se kaam kyaaandesha-e-anjaam kyaajiine do jiine do mujhepiine do piine do mujhejab hashr kaa din aa.egaaus vaqt dekhaa jaa.egaahaa.n naachtii jaa gaa.e jaanazro.n se dil barmaa.e jaata.Dpaa.e jaa ta.Dpaa.e jaao dushman-e-duniyaa-o-dii.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books