aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "ahaahaa"
mastii me.n uThaa aa.nkh jidhar dekho ahaahaanaache hai tavaa.if kahii.n maTke hai bhavayyachalte hai.n kahii.n jaam kahii.n svaa.ng kaa charchaao rang ko galiyo.n me.n jo dekho to har ik jaabahtii hai.n uma.nD kar jaman-o-ga.ng zamii.n parholii ne machaayaa hai ajab rang zamii.n par
mullaa jo dene faatiha ghar ghar me.n jaate hai.nhalva kahii.n kahii.n vo chapaatii u.Daate hai.nmuflis ko.ii bulaave to mu.nh ko chhupaate hai.nshakkar kaa halva sunte hii bas dau.De jaate hai.nkahte hu.e ye dil me.n ahaa-haa rii shab-baraat
aahaa-haa ye dekho gho.Daataa.nge me.n hai jis ko jo.DaasarpaT dau.D uThaa hai fauranchaabii de kar juu.nhii chho.Daa
tumhe.n mujh se jo nafrat hai vahii to merii raahat haimirii jo bhii aziyyat hai vahii to merii lazzat haiki aaKHir is jahaa.n kaa ek nizaam-e-kaar hai aaKHirjazaa kaa aur sazaa kaa ko.ii to hanjaar hai aaKHirmai.n KHud me.n jhe.nktaa huu.n aur siine me.n bha.Daktaa huu.nmire andar jo hai ik shaKHs mai.n us me.n pha.Daktaa huu.nhai merii zindagii ab roz-o-shab yak-majlis-e-Gam-haaazaa-haa marsiya-haa girya-haa aashob-e-maatam-haa
KHudii kaa sirr-e-nihaa.n laa-ilaaha-illallaahKHudii hai teG fasaa.n laa-ilaaha-illallaahye daur apne baraahiim kii talaash me.n haisanam-kada hai jahaa.n laa-ilaaha-illallaahkiyaa hai tuu ne mataa-e-Guruur kaa saudaafareb-e-suud-o-ziyaa.n laa-ilaaha-illallaahye maal-o-daulat-e-duniyaa ye rishta o paivandbutaan-e-vahm-o-gumaa.n laa-ilaaha-illallaahKHirad hu.ii hai zamaan o makaa.n kii zunnaariina hai zamaa.n na makaa.n laa-ilaaha-illallaahye naGma fasl-e-gul-o-laala kaa nahii.n paabandbahaar ho ki KHizaa.n laa-ilaaha-illallaahagarche but hai.n jamaa.at kii aastiino.n me.nmujhe hai hukm-e-azaa.n laa-ilaaha-illallaah
zindagiiitnii saada bhii nahii.n ki ek black-and-white t-v-setus ke ra.ngo.n kaa ahaata kar sakemagar ra.ngiin-set bhii to shaa.iraana mubaalGe se kaam lete hai.nho saktaa hai pocket-bhar hayaat me.n saat pocket ra.ngu.nDelne vaalo.n kii haqiiqii zindagii yahii horuuh aur zamiir kii umr-bhar kii kamaa.ii siyaah rang kii pu.Diyaa haikisii faahisha ke badan se u.Dte hu.e lamhe kaadhanak-bhar mu.aavza to nahii.nmaaheriin giraanii aur gunaah me.n tanaasub-e-maakuus nahii.n maanteto aa.o zindagii ko inhii nigetives me.n dekhe.n
saath aur KHabro.n keye KHabar bhii chhaptii hailog is ko pa.Dhte hai.nbaate.n hotii rahtii hai.nkaam chalte rahte hai.nembulance edhii kiibain kartii aatii haisab jalii kaTii laashe.nsaath le ke jaatii haisub.h tak sabhii laashe.ndafn kar dii jaatii hai.naurato.n kii bachcho.n kiibuu.Dho.n aur javaano.n kiimasjido.n se hotii hai.nbaarishe.n azaano.n kiilaa-ilaah il-lallaahlaa-ilaaha il-lallaah
chaar samt kii diivaarchaahe kitnii phailii hoaap kaa ahaata haiaap kaa hai gheraavkyuu.n giraft me.n aa.uu.nkyuu.n mujhe ko.ii gheresirf ek KHvaahish haibe-huduud aazaadii!
ai KHudaa ai KHudaamai.n huu.n masruuf-e-tasbiih-o-hamd-o-sanaago ba-zaahir ibaadat kii aadat nahii.n hairi.nd-mashrab huu.n zohd-o-riyaazat se raGbat nahii.n haimagar jab bhii chaltaa hai meraa qalamjab bhii khultii hai merii zabaa.nkuchh kahuu.n kuchh likhuu.nterii taKHliiq kaa zamzama mudda.aa muntahaaharf ju.D kar bane.n lafz to karte hai.n terii hamd-o-sanaayaa KHudaa yaa KHudaamere atraaf hai.n peT KHaalii badan-e-niim-jaa.nko.ii taktaa hai jab meraa dast-e-tahiisharm aatii hai mujh ko KHudaa-e-Ganiisochtaa huu.n mai.n apnii zabaa.n rehn rakh duu.n kahii.nrizq se KHaalii peTo.n ko bhar duu.njo hai.n niim-jaa.n un me.n jaan phuu.nk duu.naur apne liye tho.Dii aasaa.ishe.n mol le aa.uu.n baazaar seapne bachcho.n kii zid puurii kar duu.njo vaaqif nahii.n hai.n ma.iishat ke andaaz-o-raftaar sephir yahii sochtaa huu.nKHudaa ai KHudaakyaa zabaa.n rehn ho kar bhii terii itaa.at karegiikyaa qalam bik ke bhii naam teraa hii legaaduusro.n ko KHudaa maan karvo na karne lage.n maa-sivaa kii bhii hamd-o-sanaaai KHudaa ai KHudaa hai du.aaaaKHirii saa.ns takye qalam ye zabaa.nlikhte rahte hai.n laa-ilaaha
ba.Daa ajiib thaa manzarajiib raat thii vohavaa.e.n sahmii hu.ii thii.n charaaG chup chup thehar ek samt vahii be-karaa.n sii KHaamoshiifazaa udaasvahii niim-jaa.n sii KHaamoshiisukuut-e-shab me.n bhii aahaT thii inqilaabo.n kiisajii thii bazm vahaa.n aasmaa.n-janaabo.n kiibahut sii baate.n thii.n aur ko.ii baat thii hii nahii.nphir us ke baa'd ko.ii raatraat thii hii nahii.nvo raat jab bhii kabhii yaad aane lagtii haito raushnii hame.n rasta dikhaane lagtii haius ek shab me.n murattab hu.aa nisaab-e-vafaalikhii ga.ii thii usii raat me.n kitaab-e-vafaaus ek raat ko tahriir ko.ii kaise kareKHayaal-o-fikr ko zanjiir ko.ii kaise karelahuu ke KHvaab kii ta.abiir ko.ii kaise karesafar thaa kaisaa vo kaisii masaafat-e-shab thiiko.ii bataa.e tokaisii vo saa.at-e-shab thiimutaalibaat-e-sharii.at bahut ziyaada theaur us ke paas faqat ek shab kii mohlat thiius ek shab me.n use kitne kaam karne theuse sikhaanaa thaa insaa.n ko bandagii kaa shu.uurtilaavato.n kaa qariina suKHanvarii kaa shu.uurvo ek raat thii aisiiki qadr-o-israa nenazar jo apnii jamaa.ii to phir haTaa.ii nahii.nvo regzaar ke siine pe nasb ik KHemalahuu se sabr kii taariiKH likhne vaalaa thaabujhaa bujhaa saa kha.Daa thaa vo paasbaan-e-charaaGmagar daruun me.n is ke bahut ujaalaa thaavo jaantaa thaa vafaadaar hai.n sabhii naasirvo sar kaTaa.e.nge lekin na saath chho.De.ngecharaag-e-KHema bujhaane kaa ye na thaa maqsadki us ko yaavar-e-ansaar ko parakhnaa thaavo raushnii me.n unhe.n laanaa chaahtaa thaa faqatsamajh rahaa thaa vo qudrat ke har ishaare kosadaa.e.n detii rahii us ko daulat-e-duniyaakahaa.n vo sabr kahaa.n jabr-o-shaukat-e-duniyaamagar vo ek sadaaaasmaa.n se aatii hu.iibataa rahii thiiki kyaa aasmaan chaahtaa haiKHudaa-e-paak ko.ii imtihaan chaahtaa haiisii liye ko.ii sahraa kii samt ba.Dhtaa rahaalahuu lahuu kisii dariyaa kii samt ba.Dhtaa rahaavo raushnii kii alaamatvo baaniyaan-e-charaaGsamajh rahaa thaa bujhegaa ye KHaandaan-e-charaaGajiib log the vo KHaandaan-e-nuur ke logthe sab ke ek se lahjekalaam yaksaa.n theKHilaaf-e-zulm sabhii ke payaam yaksaa.n thebahut hii Gaur se har chehra pa.Dh rahe the husainki aane vaalaa har ik lamha pa.Dh rahe the husainvo ek raat bhii dekho guzar hii jaatii haisavere ma.arka hotaa hai haqq-o-baatil me.najiib josh hai jazba hai jaa.n-nisaaro.n me.nvaqaar-e-tishna-labii ko gale lagaa.e hu.eguzar rahaa hai qabiila lahuu ke dariyaa seba-vaqt-e-asr azaa.n guu.njtii hai sahraa me.nnamaaz KHud hii musallaa bichhaane aa.ii haisar-e-husain adaa kar rahaa hai sajda-e-shukrguluu-e-KHushk pe KHanjar kii dhaar chaltii haipa.Dhaa thaa jis ne kabhiikullu man alaihaa faanlahuu se us ne likhaalaa-ilaaha il-lallaah
ye sard daalaanis se aage Gulaam-gardishye laq-o-daq sahn Dev.Dhiyaa.n aur ba.Daa ahaatamire jilau me.nye kaisii parchhaa.iyaa.n sii har samt raqs kartii guzar rahii hai.nye mere aabaa ke zar-KHariid aur Gulaam hai.n sabhazaaro.n ruuhe.n ba-yak zabaa.n chiiKHtii ho.n jaiseGulaam gardish me.nghu.ngruu.o.n kii ye kaisii chham-chham baras rahii hai
samundar kinaare jahaa.n ham mile the vahii.n ek sundar gharau.ndaa milegaazamaana se la.D kar jo lauT aa.oge tummeraa muskuraataa saa chehra milegaatumhii.n ne milaayaa thaa fardaa ke aise hasii.n manzaro.n setumhii.n ne kahaa thaa ki saajhaa rahe.nge ye sukh-dukh hamaaretumhii.n nechalo KHair chho.Dosunaa hai banaayaa hai tum ne vahii.n par bahut KHuubsuurat saa ba.nglasunaa hai ka.ii rang ke phuul khilte hai.n gulzaar rahtaa hai saaraa ahaatachalo aaj ik va.ada mai.n bhii karuu.ngiibhale ham nahii.n saath jii paa.e lekintumhaare ahaate ke andar maruu.ngii
masaa.il jaavedaa.n hai.nzaat kaa asal-e-bayaa.n hai.naur faraar un se balaa haiaur yahii ramz-e-talaash-e-'aa.n-KHudaa' haiaur talaash-e-'aa.n-KHudaa' aa.iina-haa-e-zindagiiaur zindagii Gaar-e-hiraa hai zaat-e-insaa.n kii
ye lahkii mahkii fazaa.e.n ye dil-rubaa paikargulo.n ke rang me.n Duube hu.e jahaa.n kii tarahye rabt-o-raqs-o-tarannum havaa kii lahro.n me.nqadam qadam pe adaa-haa-e-mah-vishaa.n kii tarahye jagmagaatii hu.ii raat ye dahakte ka.nvalnujuum-o-maah-o-surayyaa-o-kahkashaa.n kii tarah
pareshaan mat hoagar aaKHirii baar ham mil rahe hai.nto ik duusre ko KHushii se ravaana kare.ngepareshaan mat homai.n ik zinda-dil aadmii huu.nbichha.Dnaa burii baat hotiito ham marne vaalo.n ko kyo.n jaane detepareshaan mat honaa mai.n Thiik huu.nzindagii aise aise hii chal chaltii haimai.n ma-mai.n mai.n samajhtaa huu.nzin-zindagii sukh dukh kaa hii naa-naam haiham ko har haal me.n is ko jii-jiinaa hotaa haizin-zinda rah-rahnaa hotaa haitum pa-pareshaan mat hotumhaare jajaane ke ba-baa’d apnaa KHayaal rakhuu.ngaade-dekho naa kaise mus-muskuraa raa-rahaa huu.nchalo aaKHirii baar ik duusre ko gale laa-lagaa.e.nmujhe ek ah-aham kaa-kaam yaad aa rahaa haimujhe jaldii jaa-jaanaa hogaa
dar diivaar aur dariicheek mu.aahida hai.nadam-e-mudaaKHalat kaa mashruut mu.aahidado mohazzab insaano.n ke darmiyaa.ndo mutamaddin KHaandaano.n ke darmiyaa.ndiivaartahziib kii tarjumaantamaddun kii pahchaanaur baqaa-e-baahamii kii aa.iina-daarhiila huquuq kii zamaanatbaqaa-e-tahiiyat kii alaamathait aur ahaatazehnii-o-jismaanii aasuudgiiaursukh-chain ke liye laazim haidaKHl dar ma.aquulaatGair-aKHlaaqii hii nahii.nGair-insaanii ravayya bhii haighar kaa haq hai ki voduusre ghar kii be-jaa mudaaKHalat se mahfuuz raheham diivaar tohamdard hotaa haiKHabar-giir hotaa haiKHabar-rasaa.n nahii.n ban saktaataKHayyul aasuudgiisukh ghaTaatiiaur dukh ba.Dhaatii haishakar-ganjii paidaa kartii haiaazurda-dilii kaa maujib bantii haifaasle diivaar kii puKHtagii se nahii.ndilo.n kii saKHtii se ba.Dhte hai.npuKHta diivaar to tamaddun kii baqaa haisuurii faasle be-ma.anii ho jaate hai.nagar qalb-o-nazar shaad ho.nhaq KHalvat KHaliij nahii.nfaraaKHii tarfain haiprivacy kaa haqtahziib-e-insaanii kii me.araaj hai
mere ek haath par mahtaabaur ek haath par KHurshiid rakh dophir bhii mai.n vo baat dohraa.uu.ngaajo sach haiye sachchaa.iijo naazuk bel kii maanindhusn-o-KHair kii KHushbuu liyelamhe se lamhe kii taraf chaltii rahiiaur mire baaG tak pahu.nchiiso jab me.n maamtaa kii kaa.nptii baaho.n me.n KHvaabiida thaamere baap ne mujh ko jagaayaaaur kahaalaa-ilaaha-illallah
kisii ne rakkhaa thaa room cooler kisii ne washing machine rakkhiikisii ne puKHta ahaate me.n kuchh bachaa ke kachchii zamiin rakkhiipuraanii meze.n vo ek kursii ki jis kaa TuuTaa hu.aa thaa baazuuka.ii khilaune jo dhuup baarish ko ab muyassar the fursato.n seto kitne bachcho.n kaa bachpanaa bhii puraanaa ho kar vahii.n pa.Daa thaakahii.n to gamlo.n kii kokh suuniiduhaa.ii detii sunaa.ii dii thiikahii.n daraKHto.n kii chhaa.nv chhat se mujhe to lipTii dikhaa.ii dii thiijo pichhlii diivaar se laraz ke vo chaarpaa.ii lagii kha.Dii thiivo yuu.nhii sardii kii dhuup aane talak yahaa.n bas kha.Dii rahegiika.ii gharo.n kii chhato.n pe maazii bhulaa ke baiThaa thaa haal apnaabahut zaruurii hai ik ahaata ki ham bhii rakh de.n malaal apnaa
ajab sachchaa.ii hai yevo bachpan thaa jise kho karla.Dakpan kii sabhii baate.n javaanii kii hasii.n yaade.nkitaabo.n me.n raqam kar dii.nna jaane kitne aalim thejinhe.n sun kar jinhe.n pa.Dh kar takabbur me.n ye kah baiTheki duniyaa me.nhame.n bhii ilm kii taariif aatii haihamaare dil pe bhii ta.aliim ne paiGaam likkhaa haiachaanak dil ke goshe seye ik aavaaz aatii haitumhaare paas jitnaa ilm hai us kaaahaata kar ke batlaa.otumhaare ilm kaa aaGaaz aur anjaam kitnaa haiye sun kar jab muhaasib ban ke ham ne zehn me.n jhaa.nkaato kyaa dekhaahamaare paas jitnaa ilm hai 'shaahid'sabhii kuchh KHaak par mabniihaqiiqat sirf itnii haihame.n kuchh bhii nahii.n aataa
ik adn jal rahaa thaa nigahbaa.n KHudaaus gha.Dii saatve.n aasmaa.n par na thaaaur azal se abad tak ahaata kiyeek af.ii kii manhuus aavaaz thiiaur KHudaa mere shaam-o-sahar me.n na thaamere ghar me.n na thaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books