aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "bevafaa"
jab mai.n tumhe.n nashaat-e-mohabbat na de sakaaGam me.n kabhii sukuun-e-rifaaqat na de sakaajab mere sab charaaG-e-tamannaa havaa ke hai.njab mere saare KHvaab kisii bevafaa ke hai.nphir mujh ko chaahne kaa tumhe.n ko.ii haq nahii.ntanhaa karaahne kaa tumhe.n ko.ii haq nahii.n
tumhe.n merii havas-peshamirii saffaak qaatil bevafaa.ii kaa gumaa.n tak
is qadar bhii nahii.n mujhe ma.aluumkis mohalle me.n hai makaa.n teraakaun sii shaaKH-e-gul pe raqsaa.n hairashk-e-firdaus aashiyaa.n teraajaane kin vaadiyo.n me.n utraa haiGairat-e-husn kaarvaa.n teraakis se puuchhuu.ngaa mai.n KHabar teriikaun batlaa.egaa nishaa.n teraaterii rusvaa.iyo.n se Dartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nhaal-e-dil bhii na kah sakaa garchetuu rahii muddato.n qariib mirekuchh tirii azmato.n kaa Dar bhii thaakuchh KHayaalaat the ajiib mireaaKHir-e-kaar vo gha.Dii aa.iibaar-var ho ga.e raqiib miretuu mujhe chho.D kar chalii bhii ga.iiKHair qismat mirii nasiib mireab mai.n kyuu.n tujh ko yaad kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.ngo zamaana tirii mohabbat kaaek bhuulii hu.ii kahaanii haitere kuuche me.n umr-bhar na ga.esaarii duniyaa kii KHaak chhaanii hailazzat-e-vasl ho ki zaKHm-e-firaaqjo bhii ho terii mehrbaanii haikis tamannaa se tujh ko chaahaa thaakis mohabbat se haar maanii haiapnii qismat pe naaz kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nashk palko.n pe aa nahii.n saktedil me.n hai terii aabruu ab bhiitujh se raushan hai kaa.enaat miriitere jalve hai.n chaar-suu ab bhiiapne Gam-KHaana-e-taKHayyul me.ntujh se hotii hai guftuguu ab bhiitujh ko viiraana-e-tasvvur me.ndekh letaa huu.n ruu-ba-ruu ab bhiiab bhii mai.n tujh ko pyaar kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.naaj bhii kaar-zaar-e-hastii me.ntuu agar ek baar mil jaa.ekisii mahfil me.n saamnaa ho jaa.eyaa sar-e-rahguzaar mil jaa.eik nazar dekh le mohabbat seek lamhe kaa pyaar mil jaa.eaarzuu.o.n ko chain aa jaa.ehasrato.n ko qaraar mil jaa.ejaane kyaa kyaa KHayaal kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.naaj mai.n aise maqaam par huu.n jahaa.nrasan-o-daar kii bulandii haimere ash.aar kii lataafat me.ntere kirdaar kii bulandii haiterii majbuuriyo.n kii azmat haimere iisaar kii bulandii haisab tire dard kii inaayat haisab tire pyaar kii bulandii haitere Gam se nibaah kartaa haijab tire shahr se guzartaa huu.ntujh se ko.ii gila nahii.n mujh komai.n tujhe bevafaa nahii.n kahtaateraa milnaa KHayaal-o-KHvaab hu.aaphir bhii naa-aashnaa nahii.n kahtaavo jo kahtaa thaa mujh ko aavaaramai.n use bhii buraa nahii.n kahtaavarna ik be-navaa mohabbat me.ndil ke luTne pe kyaa nahii.n kahtaamai.n to mushkil se aah bhartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nko.ii pursaan-e-haal ho to kahuu.nkaisii aa.ndhii chalii hai tere baa'ddin guzaaraa hai kis tarah mai.n neraat kaise Dhalii hai tere baa'dsham-e-ummiid sarsar-e-Gam me.nkis bahaane jalii hai tere baa'djis me.n ko.ii makii.n na rahtaa hodil vo suunii galii hai tere baa'droz jiitaa huu.n roz martaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nlekin ai saakin-e-hariim-e-KHayaalyaad hai daur-e-kaif-o-kam ki nahii.nkyaa kabhii tere dil pe guzraa haimerii mahruumiyo.n kaa Gam ki nahii.nmerii barbaadiyo.n kaa sun kar haalaa.nkh terii hu.ii hai nam ki nahii.naur is kaar-zaar-e-hastii me.nphir kabhii mil sake.nge ham ki nahii.nDarte Darte savaal kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.n
tum us kii yaad bhulaa do ki bevafaa hai vohar ek dil nahii.n hotaa tumhaare dil kii tarahtum apne pyaar ko rusvaa karo na ro ro kartumhaaraa pyaar muqaddas hai bible kii tarah
muddato.n mai.n ik andhe ku.e.n me.n asiirsar paTaktaa rahaa gi.Dgi.Daataa rahaaraushnii chaahiye، chaa.ndnii chaahiye، zindagii chaahiyeraushnii pyaar kii, chaa.ndnii yaar kii, zindagii daar kiiapnii aavaaz suntaa rahaa raat dindhiire dhiire yaqii.n dil ko aataa rahaasuune sansaar me.nbevafaa yaar me.ndaamn-e-daar me.nraushnii bhii nahii.nchaa.ndnii bhii nahii.nzindagii bhii nahii.nzindagii ek raatvaahima kaa.enaataadmii be-bisaatlog kotaah-qadshahr shahr-e-hasadgaa.nv in se bhii badin a.ndhero.n ne jab piis Daalaa mujhephir achaanak ku.e.n ne uchhaalaa mujheapne siine se baahar nikaalaa mujhesaik.Do.n misr the saamnesaik.Do.n us ke baazaar theek buu.Dhii zuleKHaa nahii.njaane kitne KHariidaar theba.Dhtaa jaataa thaa yuusuf kaa mollog bikne ko tayyaar the
tum nahii.n aa.e the jab tab bhii to maujuud the tumaa.nkh me.n nuur kii aur dil me.n lahuu kii suuratdard kii lau kii tarah pyaar kii KHushbuu kii tarahbevafaa vaado.n kii dildaarii kaa andaaz liyetum nahii.n aa.e the jab tab bhii to tum aa.e theraat ke siine me.n mahtaab ke KHanjar kii tarahsub.h ke haath me.n KHurshiid ke saaGar kii tarahshaaKH-e-KHuu.n-ra.ng-e-tamannaa me.n gul-e-tar kii tarahtum nahii.n aa.oge jab tab bhii to tum aa.ogeyaad kii tarah dha.Dakte hu.e dil kii suuratGam ke paimaana-e-sar-shaar ko chhalkaate hu.ebarg-haa-e-lab-o-ruKHsaar ko mahkaate hu.edil ke bujhte hu.e a.ngaare ko dahkaate hu.ezulf-dar-zulf bikhar jaa.egaa phir raat kaa ra.ngshab-e-tanhaa.ii me.n bhii lutf-e-mulaaqaat kaa ra.ngroz laa.egii sabaa kuu-e-sabaahat se payaamroz gaa.egii sahar tahniyat-e-jashn-e-firaaqaa.o aane kii kare.n baate.n ki tum aa.e hoab tum aa.e ho to mai.n kaun sii shai nazr karoki mire paas ba-juz mehr o vafaa kuchh bhii nahii.nek KHuu.n-gashta tamannaa ke sivaa kuchh bhii nahii.n
is se pahle ki terii chashm-e-karamma.azarat kii nigaah ban jaa.eis se pahle ki tere baam kaa husnrif.at-e-mehr-o-maah ban jaa.epyaar Dhal jaa.e mere ashko.n me.naarzuu ek aah ban jaa.emujh pe aa jaa.e ishq kaa ilzaamaur tuu be-gunaah ban jaa.emai.n tiraa shahr chho.D jaa.uu.ngaais se pahle ki saadgii teriilab-e-KHaamosh ko gila kah demai.n tujhe chaaragar KHayaal karuu.ntuu mire Gam ko laa-davaa kah deterii majbuuriyaa.n na dekh sakeaur dil tujh ko bevafaa kah dejaane mai.n be-KHudii me.n kyaa puuchhuu.njaane tuu be-ruKHii se kyaa kah demai.n tiraa shahr chho.D jaa.uu.ngaachaara-e-dard ho bhii saktaa thaamujh ko itnii KHushii bahut kuchh haipyaar go jaavedaa.n nahii.n phir bhiipyaar kii yaad bhii bahut kuchh haiaane vaale dino.n kii zulmat me.naaj kii raushnii bahut kuchh haius tahii-daamanii ke aalam me.njo milaa hai vahii bahut kuchh haimai.n tiraa shahr chho.D jaa.uu.ngaachho.D kar saahil-e-muraad chalaaab safiina miraa kahii.n Thahrezahar piinaa miraa muqaddar haiaur tire ho.nT a.ngbii.n Thahrekis tiraa tere aastaa.n pe rukuu.njab na paa.nv tale zamii.n Thahreus se behtar hai dil yahii samjhetuu ne rokaa thaa ham nahii.n Thahremai.n tiraa shahr chho.D jaa.uu.ngaamujh ko itnaa zaruur kahnaa haivaqt-e-ruKHsat salaam se pahleko.ii naama nahii.n likhaa mai.n netere harf-e-payaam se pahleto.D luu.n rishta-e-nazar me.n bhiitum utar jaa.o baam se pahlele mirii jaan meraa va.ada haikal kisii vaqt shaam se pahlemai.n tiraa shahr chho.D jaa.uu.ngaa
vafaa bhii jis pe hai naazaa.n vo bevafaa tum hojo kho ga.ii hai mire dil kii vo sadaa tum hobahut qariib ho tum phir bhii mujh se kitnii duurhijaab-e-jism abhii hai hijaab-e-ruuh abhiiabhii to manzil-e-sad-mehr-o-maah baaqii haihijaab-e-faasla-haa-e-nigaah baaqii haivisaal-e-yaar abhii tak hai aarzuu kaa fareb
tere bhii dil me.n huuk sii uTThe KHudaa karetuu bhii hamaarii yaad me.n ta.Dpe KHudaa karemajruuh ho balaa se tire husn kaa Guruurpar tujh ko chashm-e-shauq na dekhe KHudaa karekho jaa.e.n tere husn kii ra.anaa.iyaa.n tamaamterii adaa kisii ko na bhaa.e KHudaa karemerii hii tarah kashti-e-dil ho tirii tabaahtuufaan itne zor kaa uTThe KHudaa kareraaho.n ke pech-o-KHam me.n rahe taa-hayaat gummanzil tire qariib na aa.e KHudaa karezulmat ho tuu ho aur tirii rahguzaar hoduniyaa me.n terii sub.h na phuuTe KHudaa karetujh par nashaat-o-aish kii raate.n haraam ho.nmar jaa.e.n tere saaz ke naGme KHudaa kareaa.e.n na tere baaG me.n jho.nke nasiim keteraa gul-e-shabaab na mahke KHudaa karehar lamha terii ruuh ko ik be-kalii sii hoaur be-kalii me.n nii.nd na aa.e KHudaa kareho tere dil me.n merii KHalish merii aarzuumere baGair chain na aa.e KHudaa karetuu jaa rahii hai bazm-e-tarab me.n to KHair jaapar teraa jii vahaa.n bhii na bahle KHudaa kareal-muKHtasar ho.n jitne sitam tujh pe TuuT jaa.e.nlekin ye rabt-e-ziist na TuuTe KHudaa karejo kuchh mai.n kah gayaa huu.n junuu.n me.n vo sab Galattujh par ko.ii bhii aa.nch na aa.e KHudaa karetuu hai mataa-e-qalb-o-nazar bevafaa sahiihai raushnii-e-daaG-e-jigar bevafaa sahii
tire jamaal se ai aaftaab-e-nankaananikhar nikhar gayaa husn-e-shu.uur-e-rindaanakuchh aise rang se chhe.Daa rabaab-e-mastaanaki jhuumne lagaa ruuhaaniyat kaa mai-KHaanatirii sharaab se mad.hosh ho ga.e mai-KHvaardu.ii miTaa ke ham aaGosh ho ga.e mai-KHvaartiraa payaam thaa Duubaa hu.aa tabassum me.nbharii thii ruuh-e-lataafat tire takallum me.nnavaa-e-haq kii kashish thii tire tarannum me.nyaqii.n kii sham.a jalaa.ii shab-e-tavahhum me.ndilo.n ko haq se ham-aaha.ng kar diyaa tuu negulo.n ko guu.ndh ke yak-ra.ng kar diyaa tuu netirii navaa ne diyaa nuur aadamiyat komiTaa ke rakh diyaa hirs-o-havaa kii zulmat kodilo.n se duur kiyaa siim-o-zar kii raGbat koki paa liyaa thaa tire dil ne haq kii daulat kohujuum-e-zulmat-e-baatil me.n haq-panaahii kiifaqiir ho ke bhii duniyaa me.n baadshaahii kiitirii nigaah me.n qur.aan-o-diid kaa aalamtiraa KHayaal thaa raaz-e-hayaat kaa mahramhar ek gul pe Tapaktii thii pyaar kii shabnamki bas gayaa thaa nazar me.n bahisht kaa mausamnafas nafas me.n kalii ra.ng-o-buu kii Dhaltii thiinasiim thii ki farishto.n kii saa.ns chaltii thiitirii sharaab se baabaa fariid the sarshaartire KHuluus se be-KHud the suufiiyaan-e-kibaarkahaa.n kahaa.n nahii.n pahu.nchii tire qadam kii bahaartire amal ne sa.nvaare jahaan ke kirdaartirii nigaah ne sahbaa-e-aagahii de diibashar ke haath me.n qindiil-e-zindagii de diitire payaam se aisii kii thii masiihaa.iitire suKHan me.n habiib-e-KHudaa kii raanaa.iitire kalaam me.n gautam kaa nuur-e-daanaa.iitire taraane me.n murlii kaa lahn-e-yaktaa.iihar ek nuur nazar aayaa tere paikar me.ntamaam nik.hate.n simTii hai.n ik gul-e-tar me.njahaa.n jahaa.n bhii gayaa tuu ne aagahii baa.nTiia.ndherii raat me.n chaahat kii raushnii baa.nTiiataa kiyaa dil-e-bedaar zindagii baa.nTiifasaad-o-ja.ng kii duniyaa me.n shaa.ntii baa.nTiibahaar aa.ii khilii pyaar kii kalii har suutire nafas se nasiim-e-sahar chalii har suurazaa-e-haq ko najaat-e-bashar kahaa tuu neta.a.iinaat-e-KHudii ko zarar kahaa tuu nevafaa-nigar ko haqiiqat-nigar kahaa tuu nezuhuur-e-ishq ko sachchii sahar kahaa tuu nejahaan-e-ishq me.n kuchh besh-o-kam kaa farq na thaatirii nigaah me.n dair-o-haram kaa farq na thaabataayaa tuu ne ki irfaa.n se aashnaa honaakabhii na aashiq-e-duniyaa-e-be-vafaa honaabadii se shaam-o-sahar jang-aazmaa honaaKHudaa se duur na ai banda-e-KHudaa honaanashe me.n daulat-o-zar ke na chuur ho jaanaaqariib aa.e jo duniyaa to duur ho jaanaajo ruuh ban ke samaa jaa.e har rag-o-pai me.nto phir na shahd me.n lazzat na saaGar-e-mai me.nvahii hai saaz ke parde me.n lahn me.n lai me.nusii kii zaat kii parchhaa.iyaa.n har ik shai me.nna mauj hai na sitaaro.n kii aab hai ko.iitajalliyo.n ke idhar aaftaab hai ko.iiabad kaa nuur faraaham kiyaa sahar ke liyediyaa payaam bahaaro.n kaa dasht-o-dar ke liyediye jalaa diye taariik rahguzar ke liyejiyaa bashar ke liye jaan dii bashar ke liyedu.aa ye hai ki rahe ishq hashr tak teraazamii.n pe aam ho ye dard-e-mushtarak teraaKHudaa kare ki zamaana sune tirii aavaazhar ik jabii.n ko mayassar ho teraa aks-e-niyaazjahaa.n me.n aam ho tere hii pyaar kaa andaazKHuluus-e-dil se ho puujaa KHuluus-e-dil se namaaztire payaam kii barakat se nek ho jaa.e.nye imtiyaaz miTe.n log ek ho jaa.e.n
jaante to hoge tumitnii tez baarish me.nraabte nahii.n rahtenetwork na.ii.n miltaaphone kii bhii line.n baarisho.n ke paanii seaise TuuT jaatii hai.njis tarah mohabbat me.nbevafaa kii baato.n sedil hii TuuT jaa.e toraabte nahii.n rahte
bhuulnaa thaa to ye iqraar kiyaa hii kyo.n thaabe-vafaa tuu ne mujhe pyaar kiyaa hii kyo.n thaasirf do chaar savaalaat kaa mauqa' de de
merii mahbuub ye tauhiin-e-mohabbat hogiibevafaa kah ke mire pyaar ko majruuh na kartujh ko shikva hai shikaayat hai gila hai mujh semerii qismat kii tarah tuu bhii KHafaa hai mujh seterii har baat hai tasliimmagar kahne dedaur-e-sarmaaya kiiro.ndii hu.ii ik laash hamzulm kii aag me.nma.asuum mohabbat jhulseis se behtar hai kibegaana banaa le.n KHud kolafz-dar-lafzhikaayaat me.n kho jaa.e.n hamkapkapaate hu.e ho.nTo.n pe tabassum rakh le.nTimTimaatii hu.ii aa.nkho.n me.n tajallii bhar le.nasr-e-haazir kaataqaazaa bhii yahii hai hamdamapnii begaangii koapnaa muqaddar samjhe.ntuu muqaddas haitire gird taqaddus kaa hisaarmai.n kiis ahd kaaik shaa.er-e-aashufta-e-mizaajmere hisse me.nfaqatnazm Gazal aur ash.aarmai.n bahar-haaltire shauq kaa saamaan nahii.nmerii aa.nkho.n me.n hai.n TuuTe hu.elafzo.n ke nuquushmere ho.nTo.n pe hai.nbikhre hu.e maazii ke huruufsach to ye hai ki miraa tujh se ko.ii mel nahii.nishq me.araaj-e-muqaddar hai ko.ii khel nahii.n
ab ke bichha.Dnaa alamnaak hogaaka.ii guzre saaneho.n key tarahaa.o tumhe.n ek nauha sunaa duu.njo ishq key hikaayat haijo daastaan banegiiun bevafaa dahaktii galiyo.n me.n
bhuul jaa.uu.ngaa ki tum ne kabhii chaahaa thaa mujhebhuul jaa.uu.ngaa ki tum mujh pe fidaa rahte thetum ta.Dap uThte the halkii sii udaasii pe miriimehrbaa.n mujh pe sadaa ban ke KHudaa rahte theTuuT kar chaahnaa siikhaa hai tirii aa.nkho.n sebhuul jaane kii adaa.e.n bhii sikhaa de mujh komai.n mohabbat kaa pujaarii huu.n vafaa kaa shaidaabe-vafaa kaise banuu.n ye to bataa de mujh ko
dam-e-umr-e-ravaa.n kaa daa.eraruktaa hai ik lamhe pe shaayad har barasvo merii paidaa.ish kii saa.at haitumhaarii yaa hamaare nanhe bachcho.n kiihamaare rishta-e-indraaj me.nyaa sho.ala-e-gul semunavvar Gair-rasmii ajnabii vaabastagii kiijo rag-o-pai me.n musalsal ho ga.iimai.n roktaa huu.n bevafaa lamhe kopaiham sii.nchtaa huu.n KHuun se is kodariida u.ngliyo.n sekaaT kar us ko khilaataa huu.n mai.n dil kaa KHosha-e-naazukmagar ye taa.ir-e-raanaapareshaa.n faaslo.n ke nuur kaa rasiyaazamiino.n aasmaano.n aur KHalaa.o.nse bhii shaayad maavaraa haimuKHtasar se jashn par ha.nstaa hu.aahar sarhad-e-imkaa.n se merii tiirgii seduur jaataa haifalak kii raushnii kiivaadiyo.n me.nmuntazir haiko.ii an-jaanaa anokhaa KHuubsuurat ajnabii us kaa
mirii jaan ho ki miraa badantiraa jalva-gaah hai ai vatantirii KHaak un kaa KHamiir haimire KHuun me.n ye jhalak tiriimirii nabz me.n ye chipak tiriimirii saa.ns tirii safiir haitirii KHaak jag kaa KHulaasa haiteraa husn ek tamaashaa haitirii phailii god ki baaG haitirii KHaak-e-paak zaliil haito Gulaamiyo.n kii daliil haitirii paud sharm kaa daaG haitujhe maa-sivaa se giraa diyaahame.n maa-sivaa ne miTaa diyaahu.e tafraqo.n se tamaam hamtujhe jab talak ki bhulaa rakhaahame.n vaqt ne bhii miTaa rakhaabane ghar me.n apne Gulaam hamtire KHuun hai.n ye phaTe phaTetire puut hai.n ye baTe baTetire dil jigar hai.n ye be-vafaatiraa kuchh lahuu hii safed haiki ajab tarah kaa ye bhed hainahii.n bhaa.ii bhaa.ii se aashnaanahii.n Gair kaa hame.n kuchh gilaaki Gulaamiyo.n kaa ye phal milaahame.n tafarqe ke junuun setire duudh me.n mirii pyaarii maa.nnahii.n dard kii ko.ii bijliyaa.nki milaa de KHuun ko KHuun sehame.n bhaa.iyo.n se Guruur hai.ntire jahl-o-vahm me.n chuur hai.nki jo kaam hai.n so KHataa ke hai.nkahii.n zaat-paat kii laag haikahii.n diin-dharm kii aag haikahii.n bair muft KHudaa ke hai.njinhe.n piit hai unhe.n jiit haiyahii jag me.n jiit kii riit haitire puut apno.n se Gair hai.nhame.n Gairiyat ye miTaanii haihame.n jiit aap pe paanii haiusii ghar ke Gair se Gair hai.ntire puut bhaa.ii hai.n bhaa.ii huu.ntire dil se sab hii fidaa.ii rahuu.nki tuu aap apnii misaal hotire zor kii yahii dhaak hoki jahaa.n buraa.ii se paak hotiraa ilm haq kaa kamaal ho
anokhaa aur nayaa Gam shart hai ko.iitumhaare KHud-kushii karne kiito phir bhuul jaa.oyahaa.n to bas vahii Gam hai.npuraane Gamki jin se kaam ye duniyaa chalaatii aa rahii haimagar tum ho ki ha.ns dete ho un paragar ye Gam tumhe.n Gam hii nahii.n lagteki mahbuuba tumhaarii bevafaa haiki vo bachchachhaTii jis kii manaanaa thii tumhe.n aajnaak me.n hai oxygen tube us keto phir ye goliyaa.n salfas kii be-kaar me.n tum jeb me.n rakkhe hu.e hoinhe.n jaa kar usii kaThiyaa me.n rakh aa.oki jis me.n kal hii tum ne saal bhar ke vaaste gehuu.n bharaa hai
jis jagah kii ho bevafaa miTTiius jagah se mirii uThaa miTTiiek din KHud-ba-KHud ye honaa haito tuu miTTii me.n mat milaa miTTiijaane kis kis tarah mile bichh.Deaag paanii falak havaa miTTiirang aur nasl kii tamiiz Galataadmii asl me.n hai kyaa miTTiiham sadaa jaa.n pe khel jaate hai.nham ko detii hai jab sadaa miTTiisajda karne ko dil tarastaa hailaa vatan kii vatan se laa miTTiikaisii murda-parast hai duniyaamar ke paatii hai martaba miTTiisab pe haq us kaa sab pe qarz us kaajaane kab kis ko le bulaa miTTiirotii ha.nstii hai chaltii phirtii haikitne rango.n me.n jaa-ba-jaa miTTiirau.ndtaa hai kumhaar miTTii kous ko rau.ndegii dekhnaa miTTiijis ko ham ne aziiz-tar jaanaasab se pahle vo de gayaa miTTiiapne andar chhupaa.e baiThii haisaarii duniyaa kaa falsafa miTTiiye kahii.n par hai Dher be-ma.aniiaur kahii.n par hai kiimiyaa miTTii
ba-zaahir ye lagtaa haius malgajii sub.h ko sab sahaaro.n ne jaiseachaanak tiraa saath chho.Daasahar ne zamii.n par qadam jab rakhaato achaanak zamii.n bevafaa ho ga.iiubhartaa hu.aa aaftaabek hii naa-gahaa.n laGzish-e-paa se yuu.n la.Dkha.Daayaaki maGrib ke paataal me.n mu.nh ke bal jaa samaayaaachaanak farishte kafan saa.ebaa.n kii tarah taan karaasmaano.n se utregulo.n kii mahak kii jagah daf.atan buu-e-kaafuur kii sard-mehrii ne le liishajar ke badan se na.ii ko.npalo.n kii bajaa.e KHizaa.n phuuT nikliiba-zaahir ye lagtaa hailekin bhalaa haadsa ek-dam kab hu.aa haibahut din se is sar-ba-mahar aatishii.n raaz kaa gu.ng fiitaKHamoshii se jaltaa chalaa jaa rahaa thaafanaa ke garajte hu.e aabshaaro.n ke uupar tanaarassiyo.n kaa ye pulek muddat se galtaa jaa rahaa thaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books