aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "bhe.d"
us naar me.n aisaa ruup na thaa jis ruup se din kii dhuup dabeis shahr me.n kyaa kyaa gorii hai mahtaab-ruKHe gulnaar-labekuchh baat thii us kii baato.n me.n kuchh bhed the us kii chitvan me.nvahii bhed ki jot jagaate hai.n kisii chaahne vaale ke man me.nuse apnaa banaane kii dhun me.n hu.aa aap hii aap se begaanais bastii ke ik kuuche me.n ik 'inshaa' naam kaa diivaanaa
ab paa.nv kha.Daa.uu.n dhuul-bhariiaur jism pe jog kaa cholaa haisab sa.ngii saathii bhed-bhareko.ii maasa hai ko.ii tolaa haiis taak me.n ye is ghaat me.n vohar or Thago.n kaa Tolaa hai
duur hii duur rahii bas mujh sepaas vo mere aa na sakii thiilekin us ko chaah thii meriivo ye bhed chhupaa na sakii thii
sau saal se jo turbat chaadar ko tarastii thiiab us pe aqiidat ke phuulo.n kii numaa.ish haiurdu ke ta'alluq se kuchh bhed nahii.n khultaaye jashn ye ha.ngaama KHidmat hai ki saazish hai
ye soch soch ke aa.nkhe.n mirii bhar aatii thii.nto jaa ke suune bichhaune pe leT rahtaa thaakisii se ghar me.n na raaz apne dil ke kahtaa thaayatiim thii mirii duniyaa, yatiim merii hayaatyatiim shaam-o-sahar thii, yatiim the shab-o-rozyatiim merii pa.Dhaa.ii thii mere khel yatiimyatiim merii masarrat thii meraa Gam bhii yatiimyatiim aa.nsu.o.n se takiya bhiig jaataa thaakisii se ghar me.n na kahtaa thaa apne dil kaa bhedhar ik se duur akelaa udaas rahtaa thaakisii shamaa.il-e-naadiida ko mai.n taktaa thaamai.n ek vahshat-e-be-naam se ha.Daktaa thaa
ruKHsat hu.aa vo baap se le kar KHudaa kaa naamraah-e-vafaa kii manzil-e-avval hu.ii tamaammanzuur thaa jo maa.n kii ziyaarat kaa intizaamdaaman se ashk po.nchh ke dil se kiyaa kalaamiz.haar-e-be-kasii se sitam hogaa aur bhiidekhaa hame.n udaas to Gam hogaa aur bhiidil ko sa.nbhaaltaa hu.aa aaKHir vo naunihaalKHaamosh maa.n ke paas gayaa suurat-e-KHayaaldekhaa to ek dar me.n hai baiThii vo KHasta-haalsaktaa saa ho gayaa hai ye hai shiddat-e-malaaltan me.n lahuu kaa naam nahii.n zard rang haigoyaa bashar nahii.n ko.ii tasviir-e-sa.ng haikyaa jaane kis KHayaal me.n gum thii vo be-gunaahnuur-e-nazar ye diida-e-hasrat se kii nigaahjumbish hu.ii labo.n ko bharii ek sard aahlii gosha-ha-e-chashm se ashko.n ne ruKH kii raahchehre kaa rang haalat-e-dil kholne lagaahar muu-e-tan zabaa.n kii tarah bolne lagaaaaKHir asiir-e-yaas kaa qufl-e-dahan khulaaafsaana-e-shadaa.id-e-ra.nj-o-mehan khulaaik daftar-e-mazaalim-e-charKH-e-kuhan khulaavaa thaa dahaan-e-zaKHm ki baab-e-suKHan khulaadard-e-dil-e-Gariib jo sarf-e-bayaa.n hu.aaKHuun-e-jigar kaa rang suKHan se 'ayaa.n hu.aaro kar kahaa KHamosh kha.De kyuu.n ho merii jaa.nmai.n jaantii huu.n jis liye aa.e ho tum yahaa.nsab kii KHushii yahii hai to sahraa ko ho ravaa.nlekin mai.n apne mu.nh se na hargiz kahuu.ngii haa.nkis tarah ban me.n aa.nkho.n ke taare ko bhej duu.njogii banaa ke raaj-dulaare ko bhej duu.nduniyaa kaa ho gayaa hai ye kaisaa lahuu sapiidandhaa kiye hu.e hai zar-o-maal kii umiidanjaam kyaa ho ko.ii nahii.n jaantaa ye bhedsoche bashar to jism ho larzaa.n misaal-e-biidlikkhii hai kyaa hayaat-e-abad in ke vaastephailaa rahe hai.n jaal ye kis din ke vaasteletii kisii faqiir ke ghar me.n agar janamhote na merii jaan ko saamaan ye bahamDastaa na saa.np ban ke mujhe shaukat-o-hashamtum mere laal the mujhe kis saltanat se kammai.n KHush huu.n phuu.nk de ko.ii is taKHt-o-taaj kotum hii nahii.n to aag lagaa duu.ngii raaj kokin kin riyaazato.n se guzaare hai.n maah-o-saaldekhii tumhaarii shakl jab ai mere naunihaalpuuraa hu.aa jo byaah kaa armaan thaa kamaalaafat ye aa.ii mujh pe hu.e jab safed baalchhaTtii huu.n un se jog liyaa jin ke vaastekyaa sab kiyaa thaa mai.n ne isii din ke vaasteaise bhii naa-muraad bahut aa.e.nge nazarghar jin ke be-charaaG rahe aah 'umr bharrahtaa miraa bhii naKHl-e-tamannaa jo be-samarye jaa-e-sabr thii ki du'aa me.n nahii.n asarlekin yahaa.n to ban ke muqaddar biga.D gayaaphal phuul laa ke baaG-e-tamannaa uja.D gayaasarzad hu.e the mujh se KHudaa jaane kyaa gunaahma.njdhaar me.n jo yuu.n mirii kashtii hu.ii tabaahaatii nazar nahii.n ko.ii amn-o-amaa.n kii raahab yaa.n se kuuch ho to 'adam me.n mile panaahtaqsiir merii KHaaliq-e-aalam bahal kareaasaan mujh Gariib kii mushkil ajal karesun kar zabaa.n se maa.n kii ye fariyaad-e-dard-KHezus KHasta-jaa.n ke dil pe chalii Gam kii teG-e-tez'aalam ye thaa qariib ki aa.nkhe.n ho.n ashk-rezlekin hazaar zabt se rone se kii gurezsochaa yahii ki jaan se bekas guzar na jaa.enaashaad ham ko dekh ke maa.n aur mar na jaa.ephir arz kii ye maadar-e-naashaad ke huzuurmaayuus kyuu.n hai.n aap alam kaa hai kyuu.n vafuursadma ye shaaq 'aalam-e-piirii me.n hai zaruurlekin na dil se kiijiye sabr-o-qaraar duurshaayad KHizaa.n se shakl 'ayaa.n ho bahaar kiikuchh maslahat isii me.n ho parvardigaar kiiye jaa'l ye fareb ye saazish ye shor-o-sharhonaa jo hai sab us ke bahaane hai.n sar-ba-sarasbaab-e-zaahirii me.n na in par karo nazarkyaa jaane kyaa hai parda-e-qudrat me.n jalva-garKHaas us kii maslahat ko.ii pahchaantaa nahii.nmanzuur kyaa use hai ko.ii jaantaa nahii.nraahat ho yaa ki ranj KHushii ho ki intishaarvaajib har ek rang me.n hai shukr-e-kird-gaartum hii nahii.n ho kushta-e-naira.ng-e-rozgaarmaatam-kade me.n dahr ke laakho.n hai.n sogvaarsaKHtii sahii nahii.n ki uThaa.ii ka.Dii nahii.nduniyaa me.n kyaa kisii pe musiibat pa.Dii nahii.n
jab aadmii ke peT me.n aatii hai.n roTiyaa.nphuulii nahii.n badan me.n samaatii hai.n roTiyaa.naa.nkhe.n parii-ruKHo.n se la.Daatii hai.n roTiyaa.nsiine upar bhii haath chalaatii hai.n roTiyaa.njitne maze hai.n sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se jis kaa naak talak peT hai bharaakartaa pare hai kyaa vo uchhal kuud jaa-ba-jaadiivaar phaa.nd kar ko.ii koThaa uchhal gayaaThaTThaa ha.nsii sharaab sanam saaqii is sivaasau sau tarah kii dhuum machaatii hai.n roTiyaa.njis jaa pe haa.nDii chuulhaa tavaa aur tanuur haiKHaaliq kii qudrato.n kaa usii jaa zuhuur haichuulhe ke aage aa.nch jo chaltii huzuur haijitne hai.n nuur sab me.n yahii KHaas nuur haiis nuur ke sabab nazar aatii hai.n roTiyaa.naave tave tanuur kaa jis jaa zabaa.n pe naamyaa chakkii chuulhe ke jahaa.n gulzaar ho.n tamaamvaa.n sar jhukaa ke kiije Da.nDvat aur salaamis vaaste ki KHaas ye roTii ke hai.n maqaampahle inhii.n makaano.n me.n aatii hai.n roTiyaa.nin roTiyo.n ke nuur se sab dil hai.n bor boraaTaa nahii.n hai chhalnii se chhan-chhan gire hai nuurpe.Daa har ek us kaa hai barfii o motii chuurhargiz kisii tarah na bujhe peT kaa tanuuris aag ko magar ye bujhaatii hai.n roTiyaa.npuuchhaa kasii ne ye kisii kaamil faqiir seye mehr-o-maah haq ne banaa.e hai.n kaahe kevo sun ke bolaa baabaa KHudaa tujh ko KHair deham to na chaa.nd samjhe.n na suuraj hai.n jaantebaabaa hame.n to ye nazar aatii hai.n roTiyaa.nphir puuchhaa us ne kahiye ye hai dil kaa tuur kyaais ke mushaahide me.n hai khultaa zuhuur kyaavo bolaa sun ke teraa gayaa hai shu.uur kyaakashf-ul-quluub aur ye kashf-ul-qubuur kyaajitne hai.n kashf sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii jab aa.ii peT me.n sau qand ghul ga.egulzaar phuule aa.nkho.n me.n aur aish tul ga.edo tar nivaale peT me.n jab aa ke Dhul ga.echaudah tabaq ke jitne the sab bhed khul ga.eye kashf ye kamaal dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii na peT me.n ho to phir kuchh jatan na homele kii sair KHvaahish-e-baaG-o-chaman na hobhuuke Gariib dil kii KHudaa se lagan na hosach hai kahaa kasii ne ki bhuuke bhajan na hoallaah kii bhii yaad dilaatii hai.n roTiyaa.nab aage jis ke maal-puu.e bhar ke thaal hai.npuure bhagat unhe.n kaho saahab ke laal hai.naur jin ke aage roGnii aur shiir-maal hai.naarif vahii hai.n aur vahii saahab-kamaal hai.npakkii-pakaa.ii ab jinhe.n aatii hai.n roTiyaa.nkap.De kisii ke laal hai.n roTii ke vaastelambe kisii ke baal hai.n roTii ke vaastebaa.ndhe ko.ii rumaal hai.n roTii ke vaastesab kashf aur kamaal hai.n roTii ke vaastejitne hai.n ruup sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se naache pyaada qavaa.ed dikhaa dikhaaasvaar naache gho.De ko kaava lagaa lagaaghu.nghruu ko baa.ndhe paik bhii phirtaa hai naachtaaaur is sivaa jo Gaur se dekhaa to jaa-ba-jaasau sau tarah ke naach dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii ke naach to hai.n sabhii KHalq me.n pa.Dekuchh bhaa.nD bhiigte ye nahii.n phirte naachteye ranDiyaa.n jo naache hai.n ghuu.nghaT ko mu.nh pe leghuu.nghaT na jaano dosto tum ziinhaar useis parde me.n ye apne kamaatii hai.n roTiyaa.nashraafo.n ne jo apnii ye zaate.n chhupaa.ii hai.nsach puuchhiye to apnii ye shaane.n ba.Dhaa.ii hai.nkahiye unho.n kii roTiyaa.n kis kis ne khaa.ii hai.nashraaf sab me.n kahiye to ab naan-baa.ii hai.njin kii dukaa.n se har kahii.n jaatii hai.n roTiyaa.nduniyaa me.n ab badii na kahii.n aur niko.ii haiyaa dushmanii o dostii yaa tund-KHuu.ii haiko.ii kisii kaa aur kisii kaa na ko.ii haisab ko.ii hai usii kaa ki jis haath Do.ii hainaukar nafar Gulaam banaatii hai.n roTiyaa.nroTii kaa ab azal se hamaaraa to hai KHamiirruukhii hii roTii haq me.n hamaare hai shahd-o-shiiryaa patlii hove moTii KHamiirii ho yaa fatiirgehuu.n javaar baajre kii jaisii ho 'naziir'ham ko to sab tarah kii KHush aatii hai.n roTiyaa.n
ahl-e-daulat kaa sun chuke tum haalab suno ruu.edaad-e-ahl-e-kamaalfaazilo.n ko hai faazilo.n se inaadpandito.n me.n pa.De hu.e hai.n fasaadhai tabiibo.n me.n nok-jhok sadaaek se ek kaa hai thuuk judaarahne do ahl-e-ilm hai.n is tarahpahalvaano.n me.n laag ho jis tarahiiduu vaalo.n kaa hai agar paTThaasheKHuu vaalo.n me.n jaa nahii.n saktaashaa.iro.n me.n bhii hai yahii takraarKHushnaveso.n ko hai yahii aazaarlaakh neko.n kaa kyuu.n na ho ik nekdekh saktaa nahii.n hai ek ko ekis pe turra ye hai ki ahl-e-hunarduur samjhe hu.e hai.n apnaa gharmilii ik gaa.nTh jis ko haldii kiius ne samjhaa ki mai.n huu.n pansaariinusKHa ik tib kaa jis ko aataa haisage-bhaa.ii se vo chhupaataa haijis ko aataa hai phuu.nknaa kushtahai hamaarii taraf se vo guu.ngaajis ko hai kuchh ramal me.n maaluumaatvo nahii.n kartaa siidhe mu.nh se baatbaap bhaa.ii ho yaa ki ho beTaabhed paataa nahii.n munajjam kaakaam ka.ndle kaa jis ko hai ma.aluumhai zamaane me.n us kii buKHl kii dhuumal-Garaz jis ke paas hai kuchh chiizjaan se bhii sivaa hai us ko aziizqaum par un kaa kuchh nahii.n ehsaa.nun kaa honaa na honaa hai yaksaa.nsab kamaalaat aur hunar un keqabr me.n un ke saath jaa.e.ngeqaum kyaa kah ke un ko ro.egiinaam par kyuu.n ki jaan kho.egiitarbiyat-yaafta hai.n jo yaa.n keKHvaah b-a ho.n is me.n yaa m.abharte hubb-e-vatan kaa go dam hai.npar muhibb-e-vatan bahut kam hai.nqaum ko un se jo umiide.n thii.nab jo dekhaa to sab Galat niklii.nhistory un kii aur geographysaat parde me.n mu.nh diye hai pa.Diiband us qufl me.n hai ilm un kaajis kii kunjii kaa kuchh nahii.n hai pataalete hai.n apne dil hii dil me.n mazegoyaa guu.nge kaa gu.D hai.n khaa.e hu.ekarte phirte hai.n sair-e-gul tanhaako.ii paas un ke jaa nahii.n saktaaahl-e-insaaf sharm kii jaa haigar nahii.n buKHl ye to phir kyaa haitum ne dekhaa hai jo vo sab ko dikhaa.otum ne chakhaa hai jo vo sab ko chakhaa.oye jo daulat tumhaare paas hai aajham-vatan is ke hai.n bahut mohtaajmu.nh ko ek ik tumhaare hai taktaaki nikaltaa hai mu.nh se aap ke kyaaaap shaa.ista hai.n to apne liyekuchh suluuk apnii qaum se bhii kiyemez kursii agar lagaate hai.n aapqaum se puuchhiye to pun hai na paapmu.nDaa juutaa gar aap ko hai pasandqaum ko is se faa.eda na gazandqaum par karte ho agar ehsaa.nto dikhaa.o kuchh apnaa josh-e-nihaa.nkuchh dino.n aish me.n KHalal DaalopeT me.n jo hai sab ugal Daaloilm ko kar do kuu-ba-kuu arzaa.nhind ko kar dikhaa.o englistaa.n
kaaT lenaa har kaThin manzil kaa kuchh mushkil nahii.nik zaraa insaan me.n chalne kii himmat chaahiyemil nahii.n saktii nikammo.n ko zamaane me.n muraadkaamyaabii kii jo KHvaahish ho to mehnat chaahiyeKHaak mehnat ho sakegii ho na jab haatho.n me.n zortandurustii ke liye varzish kii aadat chaahiyeKHush-mizaajii saa zamaane me.n ko.ii jaaduu nahii.nhar ko.ii tahsii.n kahe aisii tabii.at chaahiyeha.ns ke milnaa raam kar lenaa har har insaan kosab se miiThaa bolne kii tum ko aadat chaahiyeek hii allaah ke bande hai.n sab chhoTe ba.Deapne ham-jinso.n se duniyaa me.n mohabbat chaahiyehai buraa.ii hii buraa.ii kaam kal par chho.Dnaaaaj sab kuchh kar ke uTho gar faraaGat chaahiyejo buro.n ke paas baiThegaa buraa ho jaa.egaanek hone ke liye neko.n kii sohbat chaahiyesaath vaale dekhnaa tum se na ba.Dh jaa.e.n kahii.njosh aisaa chaahiye aisii hamiyyat chaahiyehukmaraa.n ho ko.ii apnaa ho yaa begaanadii KHudaa ne jis ko izzat us kii izzat chaahiyedekh kar chalnaa kuchal jaa.e na chyuu.nTii raah me.naadmii ko be-zabaano.n se bhii ulfat chaahiyehai isii me.n bhed izzat kaa agar samjhe ko.iichhoTe bachcho.n ko buzurgo.n kii itaa.at chaahiyeilm kahte hai.n jise sab se ba.Dii daulat hai yeDhuu.nD lo is ko agar duniyaa me.n izzat chaahiyesab buraa kahte hai.n la.Dne ko burii aadat hai yesaath ke la.Dke jo ho.n un se rifaaqat chaahiyeho.n jamaa.at me.n sharaarat karne vaale bhii agarduur kii un se faqat saahab salaamat chaahiyedekhnaa aapas me.n phir nafrat na ho jaa.e kahii.nis qadar had se ziyaada bhii na millat chaahiyebaap-daadaa kii ba.Daa.ii pe na itraanaa kabhiiaadmii ko apne kaamo.n kii sharaafat chaahiyegar kitaabe.n ho ga.ii.n mailii to kyaa pa.Dhne kaa lutfkaam kii chiize.n hai.n jo un kii hifaazat chaahiye
kal washington shahr kii ham ne sair bahut kii yaarguu.nj rahii thii sab duniyaa me.n jis kii jai-jai-kaarmulko.n mulko.n ham ghuume the banjaaro.n kii misllekin is kii saj-dhaj sach-much dil-daaro.n kii mislraushniyo.n ke rang bahe.n yuu.n rasta nazar na aa.eman kii aa.nkho.n vaalaa bhii yaa.n andhaa ho ho jaa.euu.nche baam charaaGaa.n raste ruup-bhare baazaarjaagtii aa.nkho.n se dekhaa hai KHvaabo.n kaa sansaarek safed imaarat jis kii nagar nagar me.n dhuumandar duniyaa bhar kii kaalak baahar se ma.asuumyahii safed imaarat jis me.n bahut ba.Dii sarkaaryahii.n kare.n saudaagar chhoTii qaumo.n kaa bevpaaryahii.n pe jaaduu-gar baiThaa jab kahii.n kii Dor hilaa.ehar bastii nagasaki hiroshima ban jaa.eisii imaarat se kuchh duur hii ik kaalii diivaarlogo.n kaa mela aisaa lagaa thaa jaise ko.ii tyauhaaris kaalii diivaar pe kanda dekhe hazaaro.n naamun naamo.n ke biich likhaa thaa shohdaa-e-vietnamaas-paas to jam.a hu.aa thaa KHilqat kaa ambohsab kii aa.nkho.n me.n sannaaTaa chehro.n par andohbekal bahne.n ghaayal maa.e.n aur dukhii bevaaye.nsaajan tum kis des sidhaare soche.n mahbuubaa.e.napne pyaaro.n dil-daaro.n kaa ojhal mukh.Daa Dhuu.nDe.nis kaalii diivaar pe un ke naam kaa Tuk.Daa Dhuu.nDe.ndilo.n me.n dukh aa.nkho.n me.n shabnam haatho.n me.n phuul uThaa.eis naamo.n ke qabristaan kaa bhed ko.ii kyaa paa.enaa turbat naa katba ko.ii naa haDDii naa maasphir bhii paagal nainaa.n ko thii piyaa milan kii aaskahii.n kahii.n is kaalii sil par ko.ii safed gulaabyuu.n be-taab pa.Daa thaa jaise andhii aa.nkh kaa KHvaabkaa.nTaa ban kar sabhii ke dil me.n khaTke ek savaalkis kaaran miTTii me.n milaa.e hiiro.n jaise laalHo-chi-minh ke des me.n ham ne kyaa kyaa sitam na Dhaa.eus ke jiyaale to aazaadii kaa suuraj le aa.elekin itne chaa.nd ga.nvaa kar ham ne bhalaa kyaa paayaaham bad-qismat aise jin ko dhuup milii naa saayaamukh motii de kar haasil kii ye kaalii diivaarye kaalii diivaar jo hai bas ik KHaalii diivaarye kaalii diivaar jo hai naamo.n kaa qabristaanwashington ke shahr me.n dafn hai.n kis kis ke armaan
(1)ai sab se avval aur aaKHirjahaa.n-tahaa.n, haazir aur naazirai sab daanaa.o.n se daanaasaare tavaanaa.o.n se tavaanaaai baalaa, har baalaa-tar sechaa.nd se suuraj se ambar seai samjhe buujhe bin suujhejaane-pahchaane bin buujhesab se anokhe sab se niraaleaa.nkh se ojhal dil ke ujaaleai andho.n kii aa.nkh ke taareai la.ng.De luulo.n ke sahaarenaatiyo.n se chhoTo.n ke naatiisaathiyo.n se bichh.Do.n ke saathiinaav jahaa.n kii khene vaaledukh me.n tasallii dene vaalejab ab tab tujh saa nahii.n ko.iitujh se hai.n sab tujh saa nahii.n ko.iijot hai terii jal aur thal me.nbaas hai terii phuul aur phal me.nhar dil me.n hai teraa baseraatuu paas aur ghar duur hai teraaraah tirii dushvaar aur suk.Diinaam tiraa rah-giir kii lak.Diituu hai Thikaanaa miskiino.n kaatuu hai sahaaraa Gamgiino.n kaatuu hai akelo.n kaa rakhvaalaatuu hai a.ndhere ghar kaa ujaalaalaaguu achchhe aur bure kaaKHvaahaa.n khoTe aur khare kaabed niraase biimaaro.n kaagaahak mande baazaaro.n kaasoch me.n dil bahlaane vaalebiptaa me.n yaad aane vaale(2)ai be-vaaris gharo.n ke vaarisbe-baazuu be-paro.n ke vaarisbe-aaso.n kii aas hai tuu hiijaagte sote paas hai tuu hiibas vaale hai.n yaa be-bas hai.ntuu nahii.n jin kaa vo be-kas hai.nsaathii jin kaa dhyaan hai teraadusraayat kii vahaa.n nahii.n parvaadil me.n hai jin ke terii ba.Daa.iiginte hai.n vo parbat ko raa.iibekas kaa Gam-KHvaar hai tuu hiiburii banii kaa yaar hai tuu hiidukhiyaa dukhii yatiim aur bevatere hii haath un sab kaa hai khevaatuu hii maraz de tuu hii davaa detuu hii davaa-daaruu me.n shifaa detuu hii pilaa.e zahr ke pyaaletuu hii phir amrit zahr me.n Daaletuu hii dilo.n me.n aag lagaa.etuu hii dilo.n kii lagii bujhaa.echumkaare chumkaar ke maaremaare maar ke phir chumkaarepyaar kaa tere puuchhnaa kyaa haimaar me.n bhii ik terii mazaa hai(3)ai rahmat aur haibat vaaleshafqat aur dabaaGat vaaleai aTkal aur dhyaan se baaharjaan se aur pahchaan se baaharaql se ko.ii paa nahii.n saktaabhed tire hukmo.n me.n hai.n kyaa kyaaek ko tuu ne shaad kiyaa haiek ke dil ko daaG diyaa haius se na teraa pyaar kuchh aisaaus se na tuu bezaar kuchh aisaahar dam terii aan na.ii haijab dekho tab shaan na.ii haiyahaa.n pachhu.aa hai vahaa.n purvaa haighar ghar teraa hukm nayaa haiphuul kahii.n kumlaa.e hu.e hai.naur kahii.n phal aa.e hu.e hai.nkhetii ek kii hai lahraatiiek kaa har dam KHuun sukhaatiiek pa.De hai.n dhan ko Dubo.eek hai.n gho.De bech ke so.eek ne jab se hosh sambhaalaara.nj se us ko pa.Daa na paalaaek ne is janjaal me.n aa karchain na dekhaa aa.nkh uThaa karme.nh kahii.n daulat kaa hai barastaahai ko.ii paanii tak ko tarastaaek ko marne tak nahii.n deteek uktaa gayaa lete letehaal Garaz duniyaa kaa yahii haiGam pahle aur baa'd KHushii haira.nj kaa hai duniyaa ke gilaa kyaatohfa yahii le de ke hai yaa.n kaayahaa.n nahii.n bantii ranj sahe binra.nj nahii.n sab ek se lekinek se yahaa.n ranj ek hai baalaaek se hai dard ek niraalaaghaav hai go naasuur kii suuratpar use kyaa naasuur se nisbattap vahii diq kii shakl hai lekindiq nahii.n rahtii jaan liye bindiq ho vo yaa naasuur ho kuchh hode na jo ab ummiid kisii koroz kaa Gam kyuu.n-kar sahe ko.iiaas na jab baaqii rahe ko.iituu hii kar insaaf ai mire maulaakaun hai jo be-aas hai jiitaago ki bahut bande hai.n pur-armaa.nkam hai.n magar maayuus hai.n jo yaa.nKHvaah dukhii hai KHvaah sukhii haijo hai ik ummiid us ko ba.ndhii haikhetiyaa.n jin kii kha.Dii hai.n suukhiiaas vo baa.ndhe baiThe hai.n me.nh kiighaTaa jin kii asaa.Dii me.n haisaavanii kii ummiid nahii.n haiDuub chukii hai un kii agetiidetii hai Dhaaras un ko pachhetiiek hai is ummiid pe jiitaaab hu.ii beTii ab hu.aa beTaaek ko jo aulaad milii haius ko uma.ng shaadiyo.n kii haira.nj hai yaa qismat me.n KHushii haikuchh hai magar ik aas ba.ndhii haiGam nahii.n un ko Gamgii.n hai.njo dil naa-umiid nahii.n hai.nkaal me.n kuchh saKHtii nahii.n aisiikaal me.n hai jab aas samay.n kiisahal hai maujo.n se chhuTkaaraajab ki nazar aataa hai kinaaraapar nahii.n uTh saktii vo musiibataa.egii jis ke baa'd na raahatshaad ho us rah-giir kaa kyaa dil?mar ke kaTegii jis kii manzilun uj.Do.n ko kal pa.De kyuu.n-karghar na basegaa jin kaa janam bharun bichh.Do.n kaa kyaa hai Thikaanaa?jin ko na milne degaa zamaanaab ye balaa Taltii nahii.n Taaliimujh pe hai jo taqdiir ne Daaliiaa.ii.n bahut duniyaa me.n bahaare.naish kii ghar ghar pa.Dii.n pukaare.npa.De bahut baaGo.n me.n jhuuleDhaak bahut jangal me.n phuulega.ii.n aur aa.e.n chaa.ndnii raate.nbarsii.n khulii.n bahut barsaate.npar na khilii hargiz na khilegiivo jo kalii murjhaa.ii thii dil kiiaas hii kaa bas naam hai duniyaajab na rahii yahii to rahaa kyaa?aise bidesii kaa nahii.n Gam kuchhjis ko na ho milne kii qasam kuchhronaa un ban-baasiyo.n kaa haides nikaalaa jin ko milaa haihukm se tere par nahii.n chaaraka.Dvii miiThii sab hai gavaaraazor hai kyaa patte kaa havaa parchaahe jidhar le jaa.e u.Daa kartinkaa ik aur saat samundarjaa.e kahaa.n maujo.n se nikal karqismat hii me.n jab thii judaa.iiphir Taltii kis tarah ye aa.ii?aaj kii big.Dii ho to bane bhiiazal kii big.Dii KHaak banegiituu jo chaahe vo nahii.n Taltaabande kaa yaa.n bas nahii.n chaltaamaare aur na de tuu ronethapke aur na de tuu soneThahre ban aatii hai na bhaageterii zabardastii ke aagetujh se kahii.n gar bhaagnaa chaahe.nband hai.n chaaro.n khuu.nT kii raahe.ntuu maare aur KHvaah navaazepa.Dii hu.ii huu.n mai.n tere darvaazetujh ko apnaa jaantii huu.n mai.ntujh se nahii.n to kis se kahuu.n mai.nmaa.n hii sadaa bachche ko maareaur bachcha maa.n maa.n hii pukaare(4)ai mire zor aur qudrat vaalehikmat aur hukuumat vaalemai.n lau.nDii terii dukhyaaredarvaaze kii terii bhikaariimaut kii KHvaahaa.n jaan kii dushmanjaan apnii hai aap ajiiranapne paraa.e kii dhutkaariimaike aur sasuraal pe bhaariisah ke bahut aazaar chalii huu.nduniyaa se bezaar chalii huu.ndil par mere daaG hai.n jitnemu.nh me.n bol nahii.n hai.n utnedukh dil kaa kuchh kah nahii.n saktiiis ke sivaa kuchh kah nahii.n saktiitujh pe hai raushan sab dukh dil kaatujh se haqiiqat apnii kahuu.n kyaabyaah ke dam paa.ii thii na lenelene ke yaa.n pa.D ga.e deneKHushii me.n bhii dukh saath na aayaaGam ke sivaa kuchh haat na aayaaek KHushii ne Gam ye dikhaa.eek ha.nsii ne gul hii khilaa.ekaisaa thaa ye byaah ninaavaa.njuu.nhii pa.Daa is kaa parchaavaa.nchain se rahne diyaa na jii kokar diyaa maliyaameT KHushii koro nahii.n saktii ta.ng huu.n yaa.n takaur ro.uu.n to ro.uu.n kahaa.n takha.ns ha.ns dil bahlaa.uu.n kyuu.n-karoso.n pyaas bujhaa.uu.n kyuu.n-karek kaa kuchh jiinaa nahii.n hotaaek na ha.nstaa bhalaa na rotaaleTe gar sone ke bahaanepaa.entii kal hai aur na sirhaanejaagiye to bhii ban nahii.n pa.Dtiijaagne kii aaKHir ko.ii had bhiiab kal ham ko pa.Degii mar kargor hai suunii sej se behtarbaat se nafrat kaam se vahshatTuuTii aas aur bujhii tabii.ataabaadii jangal kaa namuunaduniyaa suunii aur ghar suunaadin hai bhayaanak aur raat Daraaniiyuu.n guzrii saarii ye javaaniibahne.n aur bahneliyaa.n meriisaath kii jo thii.n kheliyaa.n meriimil na sakii.n jii khol ke mujh seKHush na hu.ii.n ha.ns bol ke mujh sejab aa.ii.n ro-dho ke ga.ii.n vojab ga.ii.n be-kal ho ke ga.ii.n voko.ii nahii.n dil kaa bahlaavaaaa nahii.n chuktaa meraa bulaavaaaaTh pahar kaa hai ye julaapaakaaTuu.ngii kis tarah ra.nDaapaathak ga.ii dukh sahte sahtetham ga.e aa.nsuu bahte bahteaag khulii dil kii na kisii parghul ga.ii jaan andar hii andardekh ke chup jaanaa na kisii nejaan ko phuu.nkaa dil kii lagii nedabii thii bhobhal me.n chi.ngaariilii na kisii ne KHabar hamaariiqaum me.n vo KHushiyaa.n biyaaho.n kiishahr me.n vo dho.e.n saaho.n kiityauhaaro.n kaa aa.e din aanaaaur sab kaa tyauhaar manaanaavo chait aur phaagun kii havaa.e.nvo saavan bhaado.n kii ghaTaa.e.nvo garmii kii chaa.ndnii raate.nvo armaan bharii barsaate.nkis se kahuu.n kis taur se kaaTe.nKHair kaTe.n jis taur se kaaTe.nchaav ke aur KHushiyo.n ke samay sabaate hai.n KHush kal jaan ko ho jabra.nj me.n hai.n saamaan KHushii keaur jalaane vaale hii keghar barkhaa aur piyaa bidesiiaa.iyo barkhaa kahii.n na aisiidin ye javaanii ke kaTe aisebaaG me.n panchhii qaid ho jaiserut ga.ii saarii sar Takraateu.D na sake par hote saarekisii ne hogii kuchh kal paa.iimujhe to shaadii raas na aa.iiaas ba.ndhii lekin na milaa kuchhphuul aayaa aur phal na lagaa kuchhrah gayaa de kar chaa.nd dikhaa.iichaa.nd hu.aa par iid na aa.iiphal kii KHaatir barchhii khaa.iiphal na milaa aur jaan ga.nvaa.iiret me.n zarre dekh chamaktedau.D pa.Dii me.n jhiil samajh kechaaro.n khuu.nT nazar dau.Daa.iipar paanii kii buu.nd na paa.ii
is suurat searz sunaatedard bataatenayyaa kheteminnat karterasta taktekitnii sadiyaa.n biit ga.ii hai.nab jaa kar ye bhed khulaa haijis ko tum ne arz guzaariijo thaa haath paka.Dne vaalaajis jaa laagii naav tumhaariijis se dukh kaa daaruu maa.ngaatore mandir me.n jo nahii.n aayaavo to tumhii.n thevo to tumhii.n the
ai mirii ummiid merii jaa.n-navaazai mirii dil-soz merii kaarsaazmerii sipar aur mire dil kii panaahdard-o-musiibat me.n mirii takiya-gaahaish me.n aur ranj mai.n merii shafiiqkoh me.n aur dasht me.n merii rafiiqkaaTne vaalii Gam-e-ayyaam kiithaamne vaalii dil-e-naakaam kiidil pa pa.Daa aan ke jab ko.ii dukhtere dilaase se milaa ham ko sukhtuu ne na chho.Daa kabhii Gurbat me.n saathtuu ne uThaayaa na kabhii sar se haathjii ko ho kabhii agar usrat kaa ra.njkhol diye tuu nai qanaa.at ke ganjtujh se hai mohtaaj kaa dil be-hiraastujh se hai biimaar ko jiine kii aasKHaatir-e-ranjuur kaa darmaa.n hai tuuaashiq-e-mahjuur kaa iimaa.n hai tuunuuh kii kashtii kaa sahaaraa thii tuuchaah me.n yuusuf kii dil-aaraa thii tuuraam ke ham-raah cha.Dhii ran me.n tuupaa.nDav ke bhii saath phirii ban me.n tuutuu ne sadaa qais kaa bahlaayaa dilthaam liyaa jab kabhii ghabraayaa dilho gayaa farhaad kaa qissa tamaampar tire fiqro.n pe rahaa KHush mudaamtuu ne hii raa.njhe kii ye ba.ndhvaaii aashiir thii furqat me.n bhii goyaa ki paashotii hai tuu pusht pe himmat kii jabmushkile.n aasaa.n nazar aatii hai.n sabhaath me.n jab aa ke liyaa tuu ne haatsaat samundar se guzarnaa hai baatsaath milaa jis ko tiraa do qadamkahtaa hai vo ye hai arab aur ajamgho.De kii lii apne jahaa.n tuu ne baagsaamne hai tere gayaa aur praagazm ko jab detii hai tuu mel jastgumbad-e-garduu.n nazar aataa hai pasttuu ne diyaa aa ke ubhaaraa jahaa.nsamjhe ki muTThii me.n hai saaraa jahaa.nzarre ko KHurshiid me.n de khapaabande ko allaah se de tuu milaadono.n jahaa.n kii hai ba.ndhii tujh se la.Ddiin kii tuu asl hai duniyaa kii ja.Dnekiyo.n kii tujh se hai qaa.em asaastuu na ho to jaa.e.n na nekii ke paasdiin kii tujh bin kahii.n pursish na hotuu na ho to haq kii parastish na hoKHushk thaa bin tere daraKHt-e-amaltuu ne lagaa.e hai.n ye sab phuul phaldil ko lubhaatii hai kabhii ban ke huurgaah dikhaatii hai sharaab-e-tahuurnaam hai sidra kabhii tuubaa tiraaroz niraalaa hai tamaashaa tiraakausar o tasniim hai yaa salsabiiljalve hai.n sab tere ye be-qaal-o-qiilruup hai.n har panth me.n tere alaghai kahii.n firdaus kahii.n hai sovargchhuuT ga.e saare qariib aur ba.iidek na chhuuTii to na chhuuTii umiidtere hii dam se kaTe jo din the saKHttere hii sadqe se milaa taaj-o-taKHtKHaakiyo.n kii tujh se hai himmat bulandtuu na ho to kaam ho.n duniyaa ke bandtujh se hii aabaad hai kaun-o-makaa.ntuu na ho to hai bhii barham jahaa.nko.ii pa.Dtaa phirtaa hai bahr-e-ma.aashhai ko.ii iksiir ko kartaa talaashik tamannaa me.n hai aulaad kiiek ko dil-daar kii hai lau lagiiek ko hai dhan jo kuchh haath aa.edhuum se aulaad kii shaadii rachaa.eek ko kuchh aaj agar mil gayaakal kii hai ye fikr ki khaa.e.nge kyaaqaum kii bahbuud kaa bhuukaa hai ekjin me.n ho un ke liye anjaam-e-nekek ko hai tishnagii-e-qurb-e-haqjis ne kiyaa dil se jigar tak hai shaqjo hai Garaz us kii na.ii justujuulaakh agar dil hai.n to laakh aarzuutujh se hai.n dil sab ke magar baaG baaGgul ko.ii hone nahii.n paataa charaaGsab ye samajhte hai.n ki paa.ii muraadkahtii hai jab tuu ki ab aa.ii muraadva.ada tiraa raast ho yaa ho daroGtuu ne diye hai.n use kyaa kyaa faroGva.ade vafaa kartii hai go chand tuurakhtii hai har ek ko KHursand tuubhaatii hai sab ko tirii lait-o-la.altuu ne kahaa.n siikhii hai ye aaj kaltalKH ko tuu chaahe to shiirii.n karebazm-e-azaa ko tarab-aagii.n kareaane na de ranj ko muflis ke paasrakhe Ganii us ko rahe jis ke paasyaas kaa paatii hai jo tuu kuchh lagaavsaik.Do.n kartii hai utaar aur cha.Dhaa.oaane nahii.n detii dilo.n par hiraasTuuTne detii nahii.n taalib kii aasjin ko mayassar na ho kamlii phaTiiKHush hai.n tavaqqo.a pe vo zar-baft kiichaTnii se roTii kaa hai jin kii banaavbaiThe pakaate hai.n KHayaalii polaavpaa.nv me.n juutii nahii.n par hai ye zauqgho.Daa jo sabza ho to niilaa ho tauqfaiz ke khole hai.n jahaa.n tuu ne baabdekhte hai.n jho.npa.De mahlo.n ke KHvaabtere karishme hai.n Gazab dil-farebdil me.n nahii.n chho.Dte sabr-o-shakebtujh se muhavvis ne jo shuuraa liyaaphuu.nk diyaa kaan me.n kyaa jaane kyaadil se bhulaayaa zan o farzand kolag gayaa ghun naKHl-e-baroma.nd kokhaane se piine se hu.aa sard jiiaisii kuchh iksiir kii hai lau lagiidiin kii hai fikr na duniyaa se kaamdhun hai yahii raat din aur sub.h shaamdho.nknii hai baiTh ke jab dho.nknaashah ko samajhtaa hai ik adnaa gadaapaise ko jab taav pe detaa hai taavpuuchhtaa yaaro.n se hai sone kaa bhaavkahtaa hai jab ha.nste hai.n sab dekh karrah ga.ii ik aa.nch kii baaqii kasarhai isii dhu.nd me.n vo aasuuda-haaltuu ne diyaa aql pe parda saa Daaltol kar gar dekhiye us kii KHushiiko.ii KHushii is ko na pahu.nche kabhiiphirte hai.n mohtaaj ka.ii tiira-baKHtjan ke pairo.n me.n thaa kabhii taaj-o-taKHtaaj jo bartan hai.n to kal ghar karomaltii hai mushkil se inhe.n naan-e-jautaire sivaa KHaak nahii.n in ke paassaarii KHudaa.ii me.n hai le de ke aasphuule samaate nahii.n is aas parsaahib-e-aalam unhe.n kahiye agarkhaate hai.n is aas pa qasme.n ajiibjhuuTe ko ho taKHt na yaa-rab nasiibhotaa hai naumiidiyo.n kaa jab hujuumaatii hai hasrat kii ghaTaa jhuum jhuumlagtii hai himmat kii kamar TuuTnehausla kaa lagtaa hai jii chhuuTnehotii hai be-sabrii o taaqat me.n ja.ngarsa-e-aalam nazar aataa hai ta.ngjii me.n ye aataa hai ki sam khaa.iyephaa.D ke yaa kap.De nikal jaa.iyebaiThne lagtaa hai dil aave kii tarahyaas Daraatii hai chhalaave kii tarahhotaa hai shikva kabhii taqdiir kaau.Dtaa hai KHaaka kabhii tadbiir kaaThantii hai garduu.n se la.Daa.ii kabhiihotii hai qismat kii ha.nsaa.ii kabhiijaataa hai qaabuu se aaKHir dil nikalkartii hai in mushkilo.n ko tuu hii halkaan me.n pahu.nchii tirii aahaT jo hai.nraKHt-e-safar yaas nai baa.ndhaa vahii.nsaath ga.ii yaas ke pazhmurdagiiho ga.ii kaafuur sab afsurdagiitujh me.n chhupaa raahat-e-jaa.n kaa hai bhedchho.Diyo 'haalii' kaa na saath ai umiid
vaadii me.n ghuumtaa hu.aa baarish kaa jal-tara.ngsaa.nso.n me.n guu.njtaa hu.aa ik an-kahii kaa bhed!
laakh pardo.n me.n rahuu.n bhed mire kholtii haishaa.irii sach boltii haimai.n ne dekhaa hai ki jab mirii zabaa.n Doltii haishaa.irii sach boltii haiteraa israar ki chaahat mirii betaab na hovaaqif is Gam se miraa halqa-e-ahbaab na hoto mujhe zabt ke sahraa.o.n me.n kyuu.n roltii haishaa.irii sach boltii haiye bhii kyaa baat ki chhup chhup ke tujhe pyaar karuu.ngar ko.ii puuchh hii baiThe to mai.n inkaar karuu.njab kisii baat ko duniyaa kii nazar taultii haishaa.irii sach boltii haimai.n ne is fikr me.n kaaTe.n ka.ii raate.n ka.ii dinmire shero.n me.n tiraa naam na aa.e lekinjab tirii saa.ns mirii saa.ns me.n ras gholtii haishaa.irii sach boltii haitere jalvo.n kaa hai par tirii mirii ek ek Gazalto mire jism kaa saaya hai to katraa ke na chalparda-daarii to KHud apnaa hii bharam kholtii haishaa.irii sach boltii hai
havaa ke jho.nke idhar jo aa.e.n to un se kahnaaye sab ma.aabid ye shahr gaa.nvfasaana-e-ziist ke nishaa.n hai.nmagar har ik dar pe jaa ke dekhaa har ek diivaar rau.nd Daalii har ek rauzan ko dil samajh karye bhed jaanaaguzarte lamho.n ke aatishii.n paa.nv har jagah pai-ba-pai ravaa.n hai.nkahii.n miTaate kahii.n miTaane ke vaaste naqsh-e-nau banaatehayaat-e-rafta hayaat-e-aa.inda se milegii ye kaun jaanehavaa ke jho.nke idhar jo aa.e.n to un se kahnaahar jagah daam duuriyo.n kaa bichhaa hu.aa haihar ik jagah vaqt ek ifriit kii tarah yuu.n kha.Daa hu.aa haiki jaise vo kaa.enaat kaa aks-e-be-karaa.n hokabhii fareb-e-KHayaal ban kar kabhii kabhii bhuul kar shu.uur-e-jamaal ban karshikaar kii naa-tavaa.n nazar ko sujhaa rahaa haihar ek shai se miraa nishaan-e-adam ayaa.n haiadam bhii daryuuza-gar hai meraa mire hii bal par ravaa.n-davaa.n hai
ai majaaz ai taraana-baar majaazzinda paiGambar-e-bahaar majaazai baruu-e-saman-vishaa.n gul-poshai ba kuu-e-muGaa.n tamaam KHaroshai parastaar-e-mah-ruKHaan-e-jahaa.nai kamaa.n-daar-e-shaa.iraan-e-javaa.ntujh se taabaa.n jabiin-e-mustaqbilai mire siina-e-umiid ke dilai majaaz ai mubassir-e-KHad-o-KHaalai shu.uur-e-jamaal o sham-e-KHayaalai surayyaa-fareb o zohra-navaazshaa.ir-e-mast o rind-e-shaahid-baaznaaqid-e-ishva-e-shabaab hai tuusub.h-e-fardaa kaa aaftaab hai tuutujh ko aayaa huu.n aaj samjhaanehaif hai tuu agar buraa maaneKHud ko Garq-e-sharaab-e-naab na kardekh apne ko yuu.n KHaraab na karshaa.irii ko tirii zaruurat haidaur-e-fardaa kii tuu amaanat haisirf terii bhalaa.ii ko ai jaa.nban ke aayaa huu.n naaseh-e-naadaa.nek Thahraav ik takaan hai tuudekh kis darja dhaan-paan hai tuuna.ng hai mahz ustuKHaa.n honaasaKHt ihaanat hai naa-tavaa.n honaaustuKHvaanii badan duKHaanii postek sa.ngiin jurm hai ai dostsharm kii baat hai vajuud-e-saqiimnaa-tavaanii hai ik gunaah-e-aziimjism aur ilm turfa taaqat haiyahii insaan kii nubuvvat haijo za.iif-o-aliil hotaa haiishq me.n bhii zaliil hotaa haihar hunar ko jo ek daulat haiilm aur jism kii zaruurat haikasrat-e-baada rang laatii haiaadmii ko lahuu rulaatii haiKHush-dilo.n ko rulaa ke ha.nstii haisham-e-aKHtar bujhaa ke ha.nstii haiaur jab aafat jigar pe laatii hairi.nd ko maulvii banaatii haimai se hotaa hai maqsad-e-dil fautmai hai buniyaad-e-maulviyyat-o-mautkaan me.n sun ye baat hai nashtarmaulviyyat hai maut se bad-taris se hotaa hai kaar-e-umr tamaamis se hotaa hai aql ko sarsaamis me.n insaa.n kii jaan jaatii haiis me.n shaa.ir kii aan jaatii haiye zamiin aasmaan kyaa shai haiaan jaa.e to jaan kyaa shai haigauhar-e-shaah-vaar chun pyaaremujh se ik gur kii baat sun pyaareGam to bantaa hai chaar din me.n nashaatshaadmaanii se rah bahut mohtaatGam ke maare to jii rahe hai.n hazaarnahii.n bachte hai.n aish ke biimaaraan me.n dil ke paar hotii haipa.nkhu.Dii me.n vo dhaar hotii haijuu-e-ishrat me.n Gam ke dhaare hai.nyaKH-o-shabnam me.n bhii sharaare hai.nhaa.n sambhal kar lataafato.n ko baratTuuT jaa.e kahii.n na ko.ii paratdekh kar shiisha-e-nashaat uThaaye varaq hai varaq hai sone kaakaaGaz-e-baad ye nagiina haibalki ai dost aabgiina haisaaGar-e-shabnam-e-KHush-aab hai yeaabgiina nahii.n habaab hai yerok le saa.ns jo qariib aa.eThes us ko kahii.n na lag jaa.eteG-e-mastii ko ehtiyaat se chhuuvarna Tapkegaa u.ngliyo.n se lahuumastiyo.n me.n hai taab-e-jalva-e-maahaur siyah mastiyaa.n KHudaa kii panaahKHuub hai ek had pe qaa.em nashahalkaa phulkaa subuk mulaa.em nashahaa.n adab se uThaa adab se jaamtaaki aab-e-halaal ho na haraamjaam par jaam jo cha.Dhaate hai.nuu.nT kii tarah bilbilaate hai.nzindagii kii havas me.n marte hai.nmai ko rusvaa-e-dahr karte hai.nyaad hai jab 'jigar' cha.Dhaate thekyaa alif ho ke hin-hinaate themerii gardan me.n bhar ke chand aahe.npaa.nv se Daalte the vo baa.nhe.naql kii maut ilm kii pastiial-amaa.n la.anat-e-siyah mastiiuf ghaTaa-Top nashshe kaa tuufaanbhuut ifriit dev jin shaitaanlaat ghuu.nsa chha.Dii chhurii chaaquulib-libaahaT lu.aab kaf badbuutanz aavaaza barhamii ifsaadta.an tashnii.a maz.haka iiraadshor huu-haq abe-tabe hai haiaukhiyaa.n gaaliyaa.n dhamaake qaimas-masaahaT Gashii tapish chakkarsoz sailaab sansanii sarsarchal-chaKHe chiiKH chunaa.n-chunii.n chi.nghaa.DchaKH-chaKHe chaa.uu.n chaa.uu.n chiil-chilhaa.Dlappaa-Dukki lataam laam la.Daa.iihaul haijaan haa.nk haathaa-paa.iikhalbalii kaa.o.n kaa.o.n khaT-manDalhau.nk ha.ngaama hamhama halchaluljhan aavaargii udham aiThanbhau.nk bhau.n bhau.n bhinan bhinan bhan-bhandhaul-dhappaa dhaka.D-paka.D dhutkaartahlka tuu ta.Daaq tuf takraarbuu bhabhak bhay bikas barar bhau.nchaaldabdabe dandanaahaTe.n dhammaalgaah narmii o lutf o mehr o salaamgaah talKHii o turshii o dushnaamaql kii maut ilm kii pastiial-amaa.n la.anat-e-siyah mastiisirf nashshe kii bhiigne de mase.nin ko ban.ne na de kabhii mo.nchhe.nal-amaa.n KHaufnaak kaalaa nashaoh riish-o-buruut vaalaa nashaazhdar-e-marg o dev-e-KHuu.n-KHvaariial-amaa.n nashsha-e-''jaTaadhaarii''nashshe kaa jhuT-puTaa hai nuur-e-hayaatjhuTpuTe ko banaa na kaalii raatnashshe kii tez raushnii bhii Galatchaudhvii.n kii sii chaa.ndnii bhii Galatzehn-e-insaa.n ko baKHshtaa hai jamaalnashsha ho jab ye qadr-e-nuur-e-hilaalGurfa-e-aql bhe.D to akasrpar use kach-kachaa ke band na karraat ko lutf-e-jaam hai pyaaredin kaa piinaa haraam hai pyaaredin hai ifriit-e-aaz kii khankaarraat paazeb naazukii jhankaardin hai KHaashaak KHaak dhuul dhu.aa.nraat aa.iina anjuman afshaa.ndin musallah davaa.n kamar bastaraat taaq-o-ravaaq-o-gul-dastadin hai faulaad-e-sa.ng teG-e-alamraat kam-KHvaab pa.nkhu.Dii shabnamdin hai shevan duhaa.iyaa.n dukh.Deraat mast a.nkh.Diyaa.n javaa.n mukh.Dedin ka.Dii dhuup kii bad-aaha.ngiiraat pichhle pahar kii saara.ngiidin bahaadur kaa baan biir kii rathraat champaa-kalii a.nguuThii nathdin hai tuufaan-e-jumbish-o-raftaarraat miizaan-e-kaakul-o-ruKHsaaraaftaab-o-sharaab hai.n bairiibotale.n din ko hai.n pachhal pairiikar na paamaal hurmat-e-auqaatraat ko din banaa na din ko raatpii magar sirf shaam ke ha.ngaamaur vo bhii ba-qadr-e-yak-do jaamvahii insaa.n hai KHurram-o-KHursandjo hai miqdaar o vaqt kaa paabandmere piine hii par na jaa mirii jaa.nmujh se jiinaa bhii siikh hai.n qurbaa.nus ke piine me.n rang aataa haijis ko jiine kaa Dha.ng aataa haiye nasaa.eh bahut hai.n besh-bahaajald so jald jaag jald nahaabaaG me.n jaa tuluu.a se pahletaa nigaar-e-sahar se dil bahlesarv-o-shamshaad ko gale se lagaahar chaman-zaad ko gale se lagaamu.nh a.ndhere fazaa-e-gulshan dekhsaahil o sabza-zaar o sausan dekhgaah aavaara abr-paare dekhin kii raftaar me.n sitaare dekhjaise kohre me.n taab-e-ruu-e-nikuujaise jangal me.n raat ko jugnuugul kaa mu.nh chuum ik tarannum senahr ko gudgudaa tabassum sejism ko kar araq se nam-aaluudtaaki shabnam pa.Dhe lahak ke daruudphe.nk sanjiidgii kaa sar se baarnaach uchhal dandanaa chhalaa.nge.n maardekh aab-e-ravaa.n kaa aa.iinadau.D saahil pe taan kar siinamast chi.Diyo.n kaa chahchahaanaa sunmauj-e-nau-mashq kaa taraana sunbostaa.n me.n sabaa kaa chalnaa dekhsabza o sarv kaa machalnaa dekhshabnam-aaluud kar suKHan kaa libaaschakh dhundalke me.n buu-e-gul kii miThaasshaa.irii ko khilaa havaa-e-saharis kaa nafqa hai terii gardan parraqs kii lahr me.n ho gum lab-e-nahryuu.n adaa kar uruus-e-sher kaa mahrjazb kar bostaa.n ke naqsh-o-nigaarzehan me.n khol misr kaa baazaarnarm jho.nko.n kaa aab-e-haivaa.n piibuu-e-gul ra.ng-e-shabnamistaa.n piigun-gunaa kar nazar uThaa kar piisub.h kaa shiir daGdaGa kar piitaaki mujre ko aa.e.n kul barkaatdaulat jism o ilm o aql o hayaatye na ta.ana na ye ulahnaa haiek nukta bas aur kahnaa haiGaibat-e-nuur ho ki kasrat-e-nuurzulmat-e-taam ho ki sho.ala-e-tuurek saa hai vabaal dono.n kaatiirgii hai ma.aal dono.n kaadarKHur-e-saahab-e-ma.aal nahii.nhar vo shai jis me.n e'tidaal nahii.nshaadmaanii se pii nahii.n saktaajis ko haukaa ho jii nahii.n saktaaai pisar ai baraadar ai hamraazban na is tarah duur kii aavaazko.ii biimaar tan nahii.n saktaaKHaadim-e-KHalq ban nahii.n saktaaKHidmat-e-KHalq farz hai tujh pardaur-e-maazii kaa qarz hai tujh parasr-e-haazir ke shaa.ir-e-KHuddaarqarz-daarii kii maut se hoshyaarzehn-e-insaaniyat ubhaar ke jaazindagaanii kaa qarz utaar ke jaatujh pe hindostaan naaz kareumr terii KHudaa daraaz kare
dhuup pa.Dii, to khul ga.ii aa.nkhe.n, khul gayaa saaraa bhedGash khaayaa, to dau.De aa.e munshii, panDit, ved
vo jis ke raste pe baal kholenagar kii sab la.Dkiyaa.n kha.Dii hai.nvo mar chukaa haivo mar chukaa haiki jis kii KHaatir nagar kii nau umr la.Dkiyo.n nebadan kii KHush-ra.ng ziinato.n kochhupaa ke rakkhaajinho.n ne betaab hiddato.n kobadan kii phaT pa.Dtii shiddato.n kosambhaale rakkhaajinho.n ne aa.nkho.n ke nam ko sharm-o-hayaa ke aa.nchal kii oT Dhaa.npaavo mar chukaa haivo jis ke raste pe baal kholenagar kii sab la.Dkiyaa.n kha.Dii hai.nnagar kii sab la.Dkiyaa.n pukaare.nbadal ke vo bhes baadalo.n kaahamaare taaza ku.nvaare jismo.n kii so.ndhii miTTii se aa ke lipTehamaaraa KHuun buu.nd buu.ndguu.ndheham is ke saa.e se haamila huu.nnagar kii sab la.Dkiyaa.n pukaare.nkabhii vo guu.nje gajar kii suurathamaare sunsaan gumbado.n me.nkabhii vo bha.Dke alaav ban karhamaare taa yak taaqcho.n me.nkabhii vo jismo.n kii ba.nsiyo.n me.nshigaaf Daalelaziiz dardiilaa giit ban karlabo.n se niklekabhii vo chamke sitaara ban karhamaarii kokho.n me.n phuul mahke.nhamaarii kokho.n me.n phal janam lenagar kii sab la.Dkiyaa.n pukaare.nnagar kii sab la.Dkiyaa.n pukaare.nhamaarii KHvaahish vo duudh ban karhamaarii zarKHez chhaatiyo.n kii namii me.n utrehamaarii KHvaahish hamaare bachcheusii ke haatho.n me.n aa.nkh kholii.nham us ke saa.e se haamila ho.nnagar kii sab la.Dkiyaa.n pukaare.nkabhii vo pichhle pahar dariicho.n pe khulte mahtaab se ye kahtii.nkahaa.n hai vo shahsavaar jis koba-vaqt ruKHsat gale me.n ham nesafed phuulo.n ke haar Daalevo phuul kab surKH phuul ban karhamaarii viiraan KHvaab-gaaho.n kii sej ho.ngesinduur kab kab mai.n mai.n gaaye phuul kab surKH phuul ho.ngekabhii vo tanhaa baraamde ke sutuun se lipTiilachaktii belo.n ke zard patto.n se puuchhtii.n yebahaar kii rut kahaa.n kha.Dii haiye phuul ab kis se khile.ngebahaar kii rut abhii kahaa.n haihar ik musaafir ko roktii.n vobataa.o vo shahsavaar ab kabnagar ko lauTegaa puuchhtii.n voku.nvaare lamho.n kaa bhed ku.nvaaraku.nvaare giito.n kii lai ku.nvaariiku.nvaare jismo.n kii kachchii kaliyo.n kaa nam ku.nvaaranagar kii tamaam nau-umr la.Dkiyo.n nekalii kalii ko sambhaale rakkhaaki vo agar aa.e os ban karto qatra qatra kalii me.n utrekalii ko kholemagar vo lafzo.n ke daa.ero.n ke safar se guzraapuraanii sunsaan sii.Dhiyo.n ke bha.nvar se niklaajo ghar se baahar hazaar anjaane raasto.n par bikhar gayaa thaaki bujhte suuraj kaa khoj paa.ehar ek saa.e kaa bhed kholejo apnii aa.nkho.n me.n KHvaahisho.n kaa alaav le kara.ndhere jangal me.n chal rahaa thaajo puuchhtaa thaagyaan kiyaa haijo puuchhtaa thaa najaat kis me.n haiasl kyaa haivo mar chukaa haivo jis ke raste pe baal kholenagar kii sab la.Dkiyaa.n kha.Dii hai.n
mai.n kahtaa huu.n tum se agar shaam ko bhuul kar bhii kisii ne kabhii ko.ii dhundlaa sitaara na dekhaato is par ta.ajjub nahii.n hai na hogaaazal se isii Dhab kii paaband hai shaam kii zaahiraa be-zarar shoKH naaginubharte hu.e aur lachakte hu.e aur machalte hu.e kahtii jaatii hai aa.o mujhe dekho mai.n netumhaare liye ek ra.ngiin mahfil jamaa.ii hu.ii haianokhaa saa aivaan hai har taraf jis me.n parde gire hai.n vahaa.n jo bhii ho us koko.ii nahii.n dekh saktaatahe.n is ke pardo.n kii aise lachaktii chalii jaatii hai.n jaise phailii hu.ii sat.h-e-dariyaa neuTh kar dhundalke kii maanind pinhaa.n kiyaa ho fazaa ko nazar sezaraa dekho chhat par laTakte hai.n faanuus apnii har ik niim-raushan kiran se sujhaatehai.n ik bhed kii baat kaa giit jis me.n masahrii ke aaGosh kii larzishe.n ho.nsutuuno.n ke piichhe se aahista aahista ruktaa hu.aa aur jhijaktaa hu.aa chor saaya yahii kah rahaahai vo aa.e vo aa.eabhii ek pal me.n achaanak yuu.nhii jagmagaane lagegaa ye aivaan yaksarhar ik chiiz kaise qariine se rakhii hu.ii haimai.n kahtii huu.n maano chalo aa.o mahfil sajii haitum aa.o to guu.nj uTThe shahnaa.ii daalaan me.n aane jaane kii aahaT se ha.ngaama paidaaho lekin masahrii ke aaGosh kii larzisho.n me.n tumhe.n is kaa ehsaasbhii hone paa.e to zimma hai meraaazal se is Dhab kii paaband hai mauj-e-betaab us ko KHabar bhii na hogii ki ik shaaKH-e-naazukne bebaak jho.nke se Takraa ke aahe.n bharii thii.nmagar mai.n ye kahtaa huu.n tum se agar shaad ko bhuul kar bhii kisii ne kabhii ko.ii dhundlaa sitaarana dekhaa to us par ta.ajjub nahii.n haiazal se isii Dhab kii paaband hai shaam kii shoKH naaginye Dastii hai Daste hu.e kahtii jaatii haijaa.o agar tum jhijakte rahoge tohar lamha yaksaa.n ravish se guzar jaa.egaa aur tum dekhte hii rahoge akele akeletumhe.n daa.e.n baa.e.n tumhe.n saamne kuchh dikhaa.ii na degaa faqat sard diivaare.n ha.nstii rahe.ngiimagar un kaa ha.nsnaa bhii aahista aahista biite zamaane kii maanind ik duur kii baat ma.aluum hone lagegaadhundalke me.n Duubii hu.ii aa.nkh dekhegii rauzan se duur ik sitaara nazar aa rahaa haimagar chhat pe faanuus kaa ko.ii jhuulaa na hogaashikasta fataada sutuuno.n kii maanind farsh-e-hazii.n par tumhaaraa vo saaya ta.Daptaa rahegaa jiseye tamannaa thii kah duu.n tamannaa kyaa thiibas ab apnii Gamnaak baato.n ko apne ubharte hu.e aur badalte hu.e rang me.n tuu chhupaa lemai.n ab maantaa huu.n ki tuu ne ravaanii me.n apnii bahut duur rauzan se dhu.ndlesitaare bhii dekhe hai.n laakho.nmai.n ab maantaa huu.n mirii aa.nkh me.n ek aa.nsuu jhalaktaa chalaa jaa rahaa hai Tapaktaa nahii.n haimai.n ab maantaa huu.n mujhe daa.e.n baa.e.n mujhe saamne kuchh dikhaa.ii nahii.n de rahaa hai faqatsard diivaare.n ha.nstii chalii jaa rahii hai.nmai.n ab maantaa huu.n ki mai.n ne is aivaan ko aaj tak apne KHvaabo.n me.n dekhaa hai lekinvahaa.n ko.ii bhii chiiz aise qariine se rakkhii nahii.n haiki jaise bataayaa hai tuu ne tirii ek ra.ngiin mahfil sajii haimasahrii ke aaGosh kii larzisho.n kaa mujhe KHvaab bhii ab na aa.egaa mai.n apnekaano.n se kaise sunuu.ngaa vo shahnaa.ii kii guu.nj sinduurkaa surKH naGma jise sun ke daalaan me.n aane jaane kii aahaTse ha.ngaama ho jaataa hai ek pal komujhe to faqat sard diivaare.n ha.nstii sunaa.ii diye jaa rahii hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books