aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "chaT"
na jaane aariba kyuu.n aa.e kyuu.n musta.araba aa.emuzir ke log to chhaane hii vaale the so vo chhaa.emire jad haashim-e-aalii ga.e gazza me.n dafnaa.emai.n naaqe ko pilaa.uu.ngaa mujhe vaa.n tak vo le jaa.eliduu lilmauti vabnuu lilhizaabi san KHaraabaatiivo mard-e-uus kahtaa hai haqiiqat hai KHuraafaatiiye zaalim tiisraa paig ik aqaaniimii bidaayat haiuluuhii harzaa-farmaa.ii kaa sirr-e-tuur-e-luknat haibhalaa huurab kii jhaa.Dii kaa vo ramz-e-aatishii.n kyaa thaamagar huurab kii jhaa.Dii kyaa ye kis se kis kii nisbat haiye nisbat ke bahut se qaafiye hai.n hai gilaa is kaamagar tujh ko to yaaraa! qaafiyo.n kii be-tarah lat haigumaa.n ye hai ki shaayad bahr se KHaarij nahii.n huu.n mai.nzaraa bhii haal ke aaha.ng me.n haarij nahii.n huu.ntanaa-tan tan tanaa-tan tan tanaa-tan tan tanaa-tan tantanaa-tan tan nahii.n mehnat-kasho.n kaa tan na pairaahanna pairaahan na puurii aadhii roTii ab rahaa saalanye saale kuchh bhii khaane ko na paa.e.n gaaliyaa.n khaa.e.nhai in kii be-hisii me.n to muqaddas-tar haraamii-pan
miraa qalam nahii.n auzaar us naqab-zan kaajo apne ghar kii hii chhat me.n shigaaf Daaltaa haimiraa qalam nahii.n us duzd-e-niim-shab kaa rafiiqjo be-charaaG gharo.n par kamand uchhaaltaa hai
KHair is baat ko tuu chho.D bataa kaisii haituu ne chaahaa thaa jise vo tire nazdiik to haikaun se Gam ne tujhe chaaT liyaa andar seaaj-kal phir se tuu chup rahtii hai sab Thiik to hai
mai.n jab bhiizindagii kii chilchilaatii dhuup me.n tap karmai.n jab bhiiduusro.n ke aur apne jhuuT se thak karmai.n sab se la.D ke KHud se haar kejab bhii us ek kamre me.n jaataa thaavo halke aur gahre kattha.ii ra.ngo.n kaa ik kamravo behad mehrbaa.n kamrajo apnii narm muTThii me.n mujhe aise chhupaa letaa thaajaise ko.ii maa.nbachche ko aa.nchal me.n chhupaa lepyaar se Daa.nTeye kyaa aadat haijaltii dopahar me.n maare maare ghuumte ho tumvo kamra yaad aataa haidabiiz aur KHaasaa bhaariikuchh zaraa mushkil se khulne vaalaa vo shiisham kaa darvaazaki jaise ko.ii akkha.D baapapne khurdure siine me.nshafqat ke samundar ko chhupaa.e hovo kursiiaur us ke saath vo ju.Dvaa.n bahan us kiivo dono.ndost thii.n meriivo ik gustaaKH mu.nh-phaT aa.iinajo dil kaa achchhaa thaavo be-ha.ngam sii almaariijo kone me.n kha.Diiik buu.Dhii annaa kii tarahaa.iine ko tambiih kartii thiivo ik gul-daannanhaa saabahut shaitaanun dino.n pe ha.nstaa thaadariichayaa zehaanat se bharii ik muskuraahaTaur dariiche par jhukii vo belko.ii sabz sargoshiikitaabe.ntaaq me.n aur shelf parsanjiida ustaanii banii baiThii.nmagar sab muntazir is baat kiimai.n un se kuchh puuchhuu.nsirhaanenii.nd kaa saathiithakan kaa chaara-garvo narm-dil takiyamai.n jis kii god me.n sar rakh kechhat ko dekhtaa thaachhat kii ka.Diyo.n me.nna jaane kitne afsaano.n kii ka.Diyaa.n thii.nvo chhoTii mez paraur saamne diivaar paraavezaa.n tasviire.nmujhe apnaa.iyat se aur yaqii.n se dekhtii thii.nmuskuraatii thii.nunhe.n shak bhii nahii.n thaaek dinmai.n un ko aise chho.D jaa.uu.ngaamai.n ik din yuu.n bhii jaa.uu.ngaaki phir vaapas na aa.uu.ngaa
ab mire duusre baazuu pe vo shamshiir hai jois se pahle bhii miraa nisf badan kaaT chukiiusii banduuq kii naalii hai mirii samt ki jois se pahle mirii shah-rag kaa lahuu chaaT chukii
kuchh ukh.De ukh.De, kaTe hu.e se ajiib jumle,''kahaanii vo jis me.n ek shahzaadii chaaT letii haiapnii a.ngushtarii kaa hiiraa,vo tum ne puurii nahii.n sunaa.ii''
shahr ke gosho.n me.n hai.n bikhre hu.epaa-shikasta sar-buriida KHvaabjin se shahr vaale be-KHabar!ghuumtaa huu.n shahr ke gosho.n me.n roz o shabki un ko jam.a kar luu.ndil kii bhaTTii me.n tapaa.uu.njis se chhaT jaa.e puraanaa mailun ke dast-o-paa phir se ubhar aa.e.nchamak uTThe.n lab o ruKHsaar o gardanjaise nau-aaraasta duulho.n ke dil kii hasrate.nphir se in KHvaabo.n ko samt-e-rah mile!
havaa! kuchh aaj kii shab kaa bhii ahvaal sunaakyaa vo apnii chhat par aaj akelaa thaa?yaa ko.ii mere jaisii saath thii aur us nechaa.nd ko dekh ke us kaa chehra dekhaa thaa?
ab jo lauTaa huu.n jahaa.n-zaadto mai.n sochtaa huu.n!shaayad is jho.npa.De kii chhat pe ye mak.Dii mirii mahruumii kiijise tantii chalii jaatii hai vo jaalaa to nahii.n huu.n mai.n bhii?ye siyah jho.npa.Daa me.n jis me.n pa.Daa sochtaa huu.nmere aflaas ke rau.nde hu.e ajdaad kiibas ek nishaanii hai yahiiun ke fan un kii ma.iishat kii kahaanii hai yahiimai.n jo lauTaa huu.n to vo soKHta-baKHtaa ke mujhe dekhtii hai
us ne itnii kitaabe.n chaaT Daalii.nki us kii aurat ke pair kaaGaz kii tarah ho ga.evo roz kaaGaz pe apnaa chehra likhtaa aur ganda hotaaus kii aurat jo KHaamoshii kaa.Dhe baiThii thiikaaGazo.n ke bhuu.nkne par sartre ke paas ga.iitum rambo aur freud se bhii mil aa.e ho kyaasaifuu merii saifuu miiraabaa.ii kii tarah mat bolomai.n samajh ga.ii ab us kii aa.nkhe.nkeats kii aa.nkhe.n hu.ii jaatii hai.nmai.n jo sohnii kaa gha.Daa uThaa.e hu.e thiiapnaa naam lailaa bataa chukii thiimai.n ne kahaalailaa majme kii baate.n mere saamne mat dohraayaa karotanhaa.ii bhii ko.ii chiiz hotii haishakespeare ke Daraamo.n se chun chun kar us ne Thumke lagaa.emujhe tanhaa dekh karsaartar freud ke kamre me.n chalaa gayaavo apnii theory se gir gir pa.Dtaamai.n samajh ga.ii us kii kitaab kitnii hailekin bahr haal sartre thaaaur kal ko majme me.n bhii milnaa thaamai.n ne bhii.D kii taraf ishaara kiyaa to bolaaitne saare saatro.n se mil kar tumhe.n kyaa karnaa haiagar ziyaada zid kartii ho to apne vaaris 'shaah'hiir sayyaal ke kamro.n me.n chale chalte hai.nsartre se isti.aara milte hiimai.n ne ek tanqiidii nashist rakkhiimai.n ne aadhaa kamra bhii ba.Dii mushkil se haasil kiyaa thaaso pahle aadhe freud ko bulaayaaphir aadhe rambo ko bulaayaaaadhii aadhii baat puuchhnii shuruu.a kiijohn Donne kyaa kar rahaa haisecond hand shaa.iro.n se najaat chaahtaa haichoro.n se saKHt naalaa.n haidaa.nte is vaqt kahaa.n haivo jahannam se bhii faraar ho chukaa haius ko shub.ha thaavo KHvaaja-saraa.o.n se ziyaada der muqaabla nahii.n kar saktaaapne pas-manzar me.nek kuttaa musalsal bhuu.nkne ke liye chho.D gayaa haiis kutte kii KHaslat kyaa haibiyatarche kii yaad me.n bhuu.nk rahaa haitumhaaraa tasavvur kyaa kahtaa haisaatro.n kii tasavvur ke lihaaz seab us kaa ruKH go.eTe ke ghar kii taraf ho gayaa hai
kashish nahii.n hai tumhaare binaa bahaaro.n me.nye chhat ye chaa.nd sitaare udaas lagte hai.nchaman kaa rang nasiim-e-sahar gulaab ke phuulnahii.n ho tum to ye saare udaas lagte hai.n
aa.nkh khul ga.ii meriiho gayaa mai.n phir zindapeT ke a.ndhero.n sezehn ke dhundalko.n takek saa.np ke jaisaare.ngtaa KHayaal aayaaaaj tiisraa din hai…… aaj tiisraa din haiik ajiib KHaamoshiimunjamid hai kamre me.nek farsh aur ik chhataur chaar diivaare.nmujh se be-ta.alluq sabsab mire tamaashaa.iisaamne kii khi.Dkii setez dhuup kii kirne.naa rahii hai.n bistar parchubh rahii hai.n chehre me.nis qadar nukiilii hai.njaise rishte-daaro.n ketanz merii Gurbat paraa.nkh khul ga.ii meriiaaj khokhlaa huu.n mai.nsirf KHol baaqii haiaaj mere bistar me.nleTaa hai miraa Dhaa.nchaapnii murda aa.nkho.n sedekhtaa hai kamre koaaj tiisraa din haiaaj tiisraa din hai
tumhe.n pyaar hai, to yaqiin do,mujhe na kaho, tumhe.n pyaar hai, mujhe dekhne kii na zid karo,tumhe.n fikr ho, mire haal kii,ko.ii guftuguu ho malaal kii,jo KHayaal ho, na kiyaa karo,na kahaa karo mirii fikr haimai.n aziiz-tar huu.n jahaan seyaa iimaan se, na kahaa karo,na likhaa karo mujhe varaq par, kisii farsh par,na udaas ho, na hii KHush rahomujhe soch kar, yaa kharoch kar, merii yaad ko na aavaaz do,mujhe KHat me.n likh ke KHudaa.o.n kaa na do vaastatumhe.n pyaar me.n na qaraar hai, mujhe is zabaa.n kaa yaqiin nahii.nkuchh aur ho, jo sunaa na ho, jo kahaa na ho jo likhaa na hoto yaqiin ho!ruko aur tho.Daa saa zabt lo, mujhe soch lene ko vaqt do,chalo yuu.n karo mire vaaste ki buland-o-baalaa imaarato.n kaa lo jaa.ezajo falak ko bosa lagaa rahii ho.n imaarate.n,jo tumhaare pyaar se le rahii ho.n mushaabahate.njo ho sab se ziyaada buland-o-baalaa alag-thalaguse sar karo,use chhat talak, haa.n yahii.n ruko, ye vo hii hai chhat,zaraa saa.ns lene ko qayaam lo, miraa naam lo,to safar kii saarii thakan yahii.n pe utaar lo,ab! mire tumhaare jo darmiyaa.n me.n hai faasla, vo zaraa saa hai,vo miTaa sako, to Guruur Dhaatii bulandiyo.n ko phalaa.ng do!tumhe.n pyaar hai to yaqiin do!!
ik nannhii munnii sii pujaaranpatlii baa.nhe.n patlii gardanbhor bha.e mandir aa.ii haiaa.ii nahii.n hai maa.n laa.ii haivaqt se pahle jaag uThii hainiind abhii aa.nkho.n me.n bharii haiTho.Dii tak laT aa.ii hu.ii haiyuu.nhii sii lahraa.ii hu.ii haiaa.nkho.n me.n taaro.n kii chamak haimukh.De pe chaa.ndii kii jhalak haikaisii sundar hai kyaa kahiyenannhii sii ik siitaa kahiyedhuup cha.Dhe taaraa chamkaa haipatthar par ik phuul khilaa haichaa.nd kaa Tuk.Daa phuul kii Daaliikam-sin siidhii bholii bhaaliihaath me.n piital kii thaalii haikaan me.n chaa.ndii kii baalii haidil me.n lekin dhyaan nahii.n haipuujaa kaa kuchh gyaan nahii.n haikaisii bholii chhat dekh rahii haimaa.n ba.Dh kar chuTkii letii haichupke chupke ha.ns detii haiha.nsnaa ronaa us kaa maz.habus ko puujaa se kyaa matlabKHud to aa.ii hai mandir me.nman us kaa hai gu.Diyaa-ghar me.n
daanish-var kahlaane vaalotum kyaa samjhomub.ham chiize.n kyaa hotii hai.nthal ke registaan me.n rahne vaale logotum kyaa jaanosaavan kyaa haiapne badan koraat me.n andhii taariikii sedin me.n KHud apne haatho.n seDhaa.npne vaalouryaa.n logotum kyaa jaanocholii kyaa hai daaman kyaa haishahr-badar ho jaane vaalofuTpaatho.n par sone vaalotum kyaa samjhochhat kyaa hai diivaare.n kyaa hai.naa.ngan kyaa haiik la.Dkii kaa KHizaa.n-rasiida baazuu thaamenabz ke uupar haath jamaa.eek sadaa par kaan lagaa.edha.Dkan saa.nse.n gin.ne vaalotum kyaa jaanomub.ham chiize.n kyaa hotii hai.ndha.Dkan kyaa hai jiivan kyaa haisattarah-number ke bistar parapnii qaid kaa lamha lamha gin.ne vaaliiye la.Dkii jobarso.n kii biimaar nazar aatii hai tum kosola saal kii ik beva haiha.nste ha.nste ro pa.Dtii haiandar tak se bhiig chukii haijaan chukii haisaavan kyaa haiis se puuchhokaa.nch kaa bartan kyaa hotaa haiis se puuchhomub.ham chiize.n kyaa hotii hai.nsuunaa aa.ngan tanhaa jiivan kyaa hotaa hai
baadal havaa ke uupar ho mast chhaa rahe hai.njha.Diyo.n kii mastiyo.n se dhuume.n machaa rahe hai.npa.Dte hai.n paanii har jaa jal-thal banaa rahe hai.ngulzaar bhiigte hai.n sabze nahaa rahe hai.nkyaa kyaa machii hai.n yaaro barsaat kii bahaare.n
vo chaaliis raato.n se soyaa na thaavo KHvaabo.n ko uu.nTo.n pe laade hu.eraat ke regzaaro.n me.n chaltaa rahaachaandnii kii chitaa.o.n me.n jaltaa rahaamez parkaa.nch ke ik pyaale me.n rakkhe hu.edaa.nt ha.nste rahekaalii ainak ke shiisho.n ke piichhe se phirmotiye kii kalii sar uThaane lagiiaa.nkh me.n tiirgii muskuraane lagiiruuh kaa haathchhalnii hu.aa suu.ii kii nok seKHvaahisho.n ke diyejism me.n bujh ga.esabz paanii kii sayyaal parchhaa.iyaa.nlamha lamha band me.n utarne lagii.nghar kii chhat me.n ja.Dedas sitaaro.n ke saayo.n taleaks dhundlaa ga.eaks murjhaa ga.e
lo vo chaah-e-shab se niklaa pichhle-pahar piilaa mahtaabzehn ne kholii rukte rukte maazii kii paariina kitaabyaado.n ke be-ma.anii daftar KHvaabo.n ke afsurda shahaabsab ke sab KHaamosh zabaa.n se kahte hai.n ai KHaana-KHaraabguzrii baat sadii yaa pal ho guzrii baat hai naqsh-bar-aabye ruudaad hai apne safar kii is aabaad KHaraabe me.ndekho ham ne kaise basar kii is aabaad KHaraabe me.n
masjid kaa gumbad suunaa haimandir kii ghanTii KHaamoshjuzdaano.n me.n lipTe aadarsho.n kodiimak kab kii chaaT chukii haira.nggulaabiiniilepiilekahii.n nahii.n hai.ntum us jaanibmai.n is jaanibbiich me.n miilo.n gahraa Gaarlafzo.n kaa pul TuuT chukaa haitum bhii tanhaamai.n bhii tanhaa
sabza sabza suukh rahii hai phiikii zard dopahardiivaaro.n ko chaaT rahaa hai tanhaa.ii kaa zahrduur ufuq tak ghaTtii ba.Dhtii uThtii rahtii haikohr kii suurat be-raunaq dardo.n kii gadlii lahrbastaa hai is kohr ke piichhe raushniyo.n kaa shahr
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books