aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "ishtihar"
kabhii jumuud kabhii sirf intishaar saa haijahaa.n ko apnii tabaahii kaa intizaar saa haimanuu kii machhlii na kashti-e-nuuh aur ye fazaaki qatre qatre me.n tuufaan be-qaraar saa haimai.n kis ko apne garebaa.n kaa chaak dikhlaa.uu.nki aaj daaman-e-yazdaa.n bhii taar taar saa haisajaa-sa.nvaar ke jis ko hazaar naaz kiyeusii pe KHaaliq-e-kaunain sharmsaar saa haitamaam jism hai bedaar fikr KHvaabiidadimaaG pichhle zamaane kii yaadgaar saa haisab apne paa.nv pe rakh rakh ke paa.nv chalte hai.nKHud apne dosh pe har aadmii savaar saa haijise pukaariye miltaa hai ik kha.nDar se javaabjise bhii dekhiye maazii kaa ishtihaar saa haihu.ii to kaise bayaabaa.n me.n aa ke shaam hu.iiki jo mazaar yahaa.n hai miraa mazaar saa haiko.ii to suud chukaa.e ko.ii to zimma leus inqalaab kaa jo aaj tak udhaar saa hai
varna ye ban jaa.egaa aKHbaarkaarobaar-e-iin-o-aa.n kaa ishtihaarvaqt ke talvo.n se qatra qatra KHuu.ntere chehre par Tapaktaa jaa.egaa jam jaa.egaanaa-shuniida aur naa-gufta huruufgaD.maDaa jaa.e.nge ho jaa.e.nge 'jumble-up' baham
television ahd-e-haazir kaa ik aflaatuun hailag gayaa hai jo hamaare mu.nh ko ye vo KHuun haiis tarah television kaa har drama ho gayaajaise laazim shervaanii par pajaama ho gayaaishtihaar is tarah laazim hai KHabar-naame ke ba.adjaise ful-stop kii maujuudgii comme ke ba.adik Daraama nashr hotaa hai jo aadhii raat me.nvo bahut maqbuul hai is ahd ke jinnaat me.njis jagah Time bachaa tho.Daa saa gaanaa de diyaaraat ke baara-baje qaumii taraana de diyaamahfil-e-she.arii ko aadhii raat me.n bhugtaa diyaabhairvii.n kaa raag paune-nau-baje chipkaa diyaaaaj phir fannii KHaraabii ho ga.ii do-chaar baarintizaar o intizaar o intizaar o intizaartelevision ho gayaa sa.ngiin biivii kii tarahaur biivii ho ga.ii ra.ngiin T.V kii tarah
naaf kaTtii hai zaKHm jaltaa haiKHauf dha.Dkan ke saath chaltaa haihar rag-e-jaa.n me.n sarsaraataa haisaa.ns ke saath aataa jaataa haikhaal ko chhaal se milaatii haisansanii rau.ngTe banaatii haitaaq-e-jaa.n me.n charaaG rakhtaa haiKHauf-e-vahshat kaa tel chakhtaa haisajda-e-Gam me.n gir gayaa zaahidsarsaraatii jabii.n me.n KHauf liyeho gayaa a.ngbiin se namkiinzaa.iqa aastii.n me.n KHauf liyesaa.np lashkar ke saath chaltaa haimemana maysara me.n KHauf liyehusn Gamze ke dam se qaa.em haiapnii har har adaa me.n KHauf liyezindagii ek farsh hai jis parDar uThaa.e.n to haul bichhtaa haishaahraah-e-hayat ke uuparKHauf kaa taarkol bichhtaa haimaz.hab iijaad kartaa rahtaa haimaabad aabaad kartaa rahtaa haiye to andar kii sang saarii haiKHauf barbaad kartaa rahtaa haifahm o daanish ke zard saudaagarvasvaso.n kii kapaas bechte hai.nruuh kii market un kii haijo aqiide hiraas bechte hai.nzindagii ham-safar hai lekin KHaufraaste me.n utaar detaa haiparcha-e-jaa.n ke har shumaare me.nvaahima ishtihaar detaa haimaut KHud maartii nahii.n jitnaamaut kaa KHauf maar detaa hai
maGribii sahraa ke kinaare kundan ke phuul khilnaa shuruu.a ho ga.e hai.nmashriqii sahraa ke biicho.n-biich kha.Dii sundarii kii naak kaa lau.ng murjhaa gayaa haiye kis taariiKH ke aKHbaar kii KHabar haiko.ii ishtihaar hai kyaadiivaaro.n pe lakiire.n na Daalo miTaa.oge to tumhaare hii haath kaale ho.ngehaa.n khel khel me.n hii dallaalii siikh jaa.oge ko.elo.n kaa to bahaana haiko.ele chaar-din aur dahak rahe hai.npa.nkhe mere dil me.n lage hai.n mujhe ab bhii sardii lagtii haibarf kii vo Dalii pighaltii kyuu.n nahii.n jis kii aa.iine jaisii sat.h parmeraa chehra bhii mujhe dikhaa.ii kyuu.n nahii.n detaa darmiyaan kaun haa.il haigarm larazte hu.e aa.nsuu aur milne kii taa-ha.ngaa.nsu.o.n ke jhakole me.n hamaare chehre Dislocate ho ga.e hai.naur phir saa.ns se saa.ns na miliidam me.n dam na aayaaraa.njhaa raa.njhaa kuukdii mai.n aape raa.njhan ho.ii
guzar rahe hai.n baraabar tabaahiyo.n ke juluusye zindagii ke musaafir kahaa.n chale jaa.e.nye ishtihaar Gamo.n ke alam kii tasviire.nye zindagii hai nahii.n gard-e-zindagii bhii nahii.njavaa.n umiide.n fazaa.e-hayaat se maayuustanuur siine kaa ii.ndhan hai.n vo tamannaa.e.njalii huruuf me.n ye haadso.n kii tahriire.nki jin se dil ke a.ndhere me.n kuchh kamii bhii nahii.nye aadmii hai.n nahii.n bebasii kii taqriire.nbapaa hai hashr magar aa.nkh dekhtii bhii nahii.n
kal hu.aa shab ko jo minTo road par meraa guzarik dukaa.n par ittifaaqan ik tabiib aaya nazarus dukaa.n ke saamne ek board thaa laTkaa hu.aajis pe thaa rangiin pairaa.e me.n ye likkhaa hu.aashaiKH budhdhan sar-zamiin-e-hind kii ruuh-e-ravaa.nrahnumaa-e-tibb-e-yuunaanii masiihaa-e-zamaa.nek bosiida sanad thii dar pe laTkaa.ii hu.iijo kisii attaar-e-kaamil se thii likhvaa.ii hu.iisaamne the chand Dabbe jin me.n thii.n kuchh goliyaa.nmuddato.n kii ek botal me.n thii ruuh-e-baadbaa.npaas aaya gar ko.ii un ko masiihaa jaan karso gayaa aaraam se do din me.n chaadar taan karsai.nka.Do.n biimaar nazr-e-maut yuu.nhii ho ga.eun ke haatho.n zindagii se haath kitne dho ga.eaaj-kal ye hind me.n hai tibb-e-yuunaanii kaa haalmaut ke har ek goshe me.n bichhaa rakkhe hai.n jaalhar galii me.n hai.n hakiimo.n kii dukaane.n be-shumaarek sau biimaar agar hai.n to atibbaa ik hazaarhar dar-o-diivaar pe chaspaa.n hai.n un ke ishtihaarfan ke jo maahir the vo bhii ho ga.e be-e'tibaarthii kabhii ye tib haqiiqat me.n masiihaa-e-zamaa.nek din ye hai ki KHud hii le rahii hai hichkiyaa.nkyaa kare vo har tarah majbuur hai naa-chaar haikyaa masiihaa.ii kare jab aap hii biimaar haiin hakiimo.n kaa jahaa.n me.n gar yahii aalam rahaadekh lenaa garm baazaar-e-ajal ho jaa.egaa
phal aane par shaaKHe.n jhuktii hai.nphuul apnaa ishtihaar nahii.n diyaa karteun kaa rang aur KHushbuu KHud-ba-KHudlogo.n ko apnii samt khii.nchtii haiye aur aisii tamaam duusrii kahaavate.n mujhe hamesha appeal kartii hai.nmagar mai.n kyaa karuu.nmire aas paas ziyaada-tar logbaat baat parapnii taariif karte nahii.n thakte
mai.n to huu.n shaa.er kii ruuhshaa.er kii KHaasiyyatek KHushbuu ik tilismaur miraa beTaa ki hai shaa.er kaa jismshaa.iro.n kii KHaslato.n kaa aa.inakaj-ravii kaa ishtihaarhai sameTe apne andar aib kii har ek qismnaa-samajh aavaara-o-bekaar shaidaa-e-qimaaraashnaa.o.n kaa musaahib kam-ayaarharza-go baada-gusaar
jab tak adab-baraa-e-adab kaa rahaa KHayaaladbaar-o-muflisii se rahe ham shikasta-haalsaa.e kii tarah saath nahuusat lagii rahiiik rog ban ke jaan se usrat lagii rahiigo shaa.erii kaa rang nikhartaa chalaa gayaashiiraaza-e-ma.aash bikhartaa chalaa gayaalekin KHudaa bhalaa kare ik mehrbaan kaajin ko adab-baraa-e-shikam kaa hai tajrabamausuuf ne bataa.ii hame.n vo pate kii baatab din hai roz-e-iid to shab hai shab-e-baraatall india mushaa.era majlis ke naam sekholaa hai ik idaara-e-nau dhuum-dhaam sekarte hai.n shaa.erii ke evaz ab mushaa.erais rozgaar se hai hame.n KHuub faa.edahar tiin chaar maah ke vaqfe pe be-KHalalapne programme pe karte hai.n ham amalya.anii mushaa.ere kaa chalaate hai.n kaarobaarchhapvaa ke roz-naamo.n me.n jhuuTaa ye ishtihaar'josh'-o-'firaaq'-o-'saahir' o 'parvez' shaahidii'faiz'-o-'KHaliil'-o-'jazbii' o 'maKHduum'-o-'ja.afarii'kursii-o-arsh-o-lauh-o-qalam sab hii aa.e.ngetaaza kalaam apnii zabaa.n se sunaa.e.ngeis ishtihaar me.n vo kashish hai ki ahl-e-zauqlete hai.n daaKHle kaa ticket dau.D kar ba-shauqcircus me.n jis tarah se ho KHilqat kaa izhdihaamyuu.nhii mushaa.ere me.n pahu.nchte hai.n KHaas-o-aamsab log baiTh jaate hai.n farsh-e-zamii.n pe jabmic pe jaa ke karte hai.n elaan ham ye tabafsos hai ki aa na sake 'josh' aur 'firaaq'ye moscow ravaana hu.e vo ga.e iraq'jazbii' ko iKHtilaaj hai 'parvez' hai.n aliilgaa.Dii zaraa sii chuuk se miss kar ga.e 'KHaliil'bhejii hai 'faiz'-o-'saahir'-o-'maKHduum' ne KHabarseat un ko mil sakii na havaa.ii jahaaz pargo ye KHabar dilo.n ko guzartii hai naagavaarhonaa hai jalsa-gaah me.n tho.Daa saa intishaarle kar magar zehaanat-e-fitrii se kaam hamdam-bhar me.n saama.iin ko karte hai.n raam hamDais pe tuk-farosho.n kaa rahtaa hai ik hujuumfilmii dhuno.n me.n gaane kii jin ke ba.Dii hai dhuumjo KHud ticket KHariid ke aate hai.n bazm me.nham un se apnaa kaam chalaate hai.n bazm me.nle le ke gaTkarii jo sunaate hai.n vo kalaamu.Dte hai.n vaah vaah ke na.aro.n se saqf-o-baambazm-e-nashaat bantaa hai saaraa mushaa.erahotaa hai kaamyaab hamaaraa mushaa.eraKHush-KHush gharo.n ko jaate hai.n huzzaar ik tarafnoTo.n kaa ham lagaate hai.n ambaar ik tarafye KHidmat-e-adab kaa tariiqa hai laa-javaabpesha ye vo hai jis me.n munaafa hai be-hisaab
pichhle do tiin saal se akasrghar me.n ik ishtihaar dekhtaa huu.njis me.n likhaa haiye jo hai.n tiin lafz a.ngreziiaaj tak ye samajh me.n aa na sakaahai.n KHudaa ke liye ki mere liyemai.n to mafhuum un kaa paa na sakaakyaa KHudaa dekhtaa hai zii T vroz jab raat ghar pahu.nchtaa huu.nsuunii jebo.n ko mai.n TaToltaa huu.nmerii biivii kii aa.nkhe.n puuchhtii hai.naaj bhii zindagii ne kam hii diyaalo tumhaarii ye nii.nd kii goliiik na.ii nazm kah ke so jaa.o
polio ke qatre piine sebhikaariyo.n kii bandar-baa.nT me.n kaise kamii aa saktii hai?jabkigadaagaro.n ke ruuhaanii peshvaaishtihaar dete hai.nki unhe.nbaGair haath paa.nv vaale logo.n kiiashad zaruurat haiaur mujheha.nsii aatii haiun mar jaane vaalo.n parjo vaccino.n me.n bhar diye ga.e
raaste ke pech-o-KHam dushman sahiifaasle hai.n munhasir raftaar parkaan mat dharnaa dil-e-aazurda kii siskaar parkyaa hu.aa chulluu jo chhalnii hai.n abhiiho.nT kyo.n ho.n tishnagii ke ishtihaarkyaa hu.aa soche hu.e manzar jo haath aa.e nahii.naa.nkh saa dariyaa bane kyo.n reg-zaarnaaz ho tahsiil kaa yaa naa-rasaa.ii kaa malaalhar tag-o-dau hai qavii kaa ishti.aalsoch saktaa hai khule dil se to bas itnaa hii sochsheva-e-hirmaan-o-yaas achchhaa nahii.nzindagii kaa yuu.n libaas achchhaa nahii.nTuuT kar saalim bane rahnaa agarche hai farebmo'tariz hotaa nahii.n ko.ii magar ilhaaq parba.az taKHliiqii amal ke maa-sivaakaun saa ilzaam aataa hai kisii tiryaaq par
daanishvarii saarii aqlo.n kaa ishtihaar ek taraf aurjazbo.n kaa baazaar ek taraflogo.n ko pahchaan.ne un ko jaan.ne ke liye kyaa abacademy qaa.em hogiihamsab ko achchhaa kahne vaale loghamaarii apnii pahchaan jaane kis ke havaale se hogiihamaarii zard chehro.n seaur hairaan aa.nkho.n se ki tamaashaa hamaarii aa.nkho.n ke saamne sadme kiitarah ho rahaa haiaur ham kuchh kah nahii.n saktesuno ye man-made society haijo tumhaare mardo.n ke ahkaam hai.n un par chaloek mard tumhe.n zinda dafn karnaa chaahtaa haiek tumhe.n aasmaan kii bulandiyo.n tak le jaanaa chaahtaa haiek tumhe.n aazaad dekhnaa chaahtaa haiek tumhe.n siidhaa raasta dikhaanaa chaahtaa haiek tumhe.n apnii mohabbat se maGluub karnaa chaahtaa haivaise bhii Gulaam aaqaa kii baat ko Taal nahii.n saktaavo tum se mohabbat kartaa hai tumhaarii izzat nahii.n kar saktaaizzat sa.nbhaalnaa hai to ghar me.n baiThomard ke saamne aurato.n kii aazaadii kii taqriire.n karne ke ba.adjab tum us ke jazbe me.n ba.ndhogiito tum ek aur Gulaamii ek aur zillat me.n jaka.D dii jaa.ogiitumhaarii pahchaan kis havaale hogiiGulaam aur aaqaa ke havaale sebas pha.D.pha.Daate raho bebas panchhii kii tarahki jis ko parvaaz kii raah dikhaa karpar kaaT diye ga.e ho.n
mai.n kisii shahr me.ntraffic hoarding ke ek tarafkisii ba.De ishtihaar me.n uuparha.nstaa muskuraataa chehra dekhtaa huu.nmai.n dekhtaa huu.nus ke haath me.nkisii dum-kaTe chitkabre kutte kiidono.n aglii Taa.nge.nus kaa chehra aur kutte kii naakmutavaaziikutte kii aa.nkho.n me.n chamakus ke ho.nTo.n kii KHushiiek siisabz battii jal ga.ii haitraffic flue jaarii hu.ii
khule niile aakaash kii katranpairaahan-e-KHvaab kii dhajjiyaa.nshiisha-e-dil dil kii kirchiyaa.nreshmii jismo.n kii utrandaastaan-e-ishq ke pareshaa.n auraaqvisaal-e-yaar ke kaTe-phaTe aur baasii aKHbaarrusvaa.ii kii diivaaro.n ke gande ishtihaarmailaa kuchailaa dardphaTaa puraanaa firaaqhusn-o-ra.anaa.ii ke shikasta jaambhuule-bisre naamgahrii kaalii aa.nkho.n ke bujhe charaaGdaaman-e-yaad ke bad-numaa daaGsaarii chiize.n behis duniyaa nemujh ko kuu.De-daan samajh karmere andarDaal dii hai.n
vo hai.at-daa.n vo aalim naaf-e-shab me.n chhat pe jaataa thaarasad kaa rishta sayyaaro.n se rakhtaa thaa nibhaataa thaause KHvaahish thii shohrat kii na ko.ii hirs-e-daulat thiiba.De se qutr kii ik duurbiin us kii zaruurat thiimirii maa.n kii tamannaa.o.n kaa qaatil thaa vo qallaamamirii maa.n merii mahbuuba qayaamat kii hasiina thiisitam ye hai ye kahne se jhijaktaa thaa vo fahhaamathaa behad ishti.aal-a.ngez bad-qismat o allaamaKHalaf us ke KHazaf aur be-nihaayat naa-KHalaf nikleham us ke saare beTe intihaa.ii be-sharaf niklemai.n us aalim-tariin-e-dahr kii fikrat kaa munkir thaamai.n fastaa.ii thaa jaahil thaa aur mantiq kaa maahir thaapar ab merii ye shohrat hai ki mai.n bas ik sharaabii huu.nmai.n apne duudmaan-e-ilm kii KHaana-KHaraabii huu.nsagaan-e-KHuuk zaad-e-barzan o baazaar-e-be-maGziimirii jaanib ab apne thoba.De shaahaana karte hai.nzinaa-zaade mirii izzat bhii gustaaKHaana karte hai.nkamiine sharm bhii ab mujh se be-sharmaana karte the
umr-bhar kaa ye rishtachhuuT bhii to saktaa haiaaKHirii whistle ke saathDuub jaane vaalaa dilTuuT bhii to saktaa haitum bhii iftiKHaar-aarifbaarahve.n khilaa.Dii hointizaar karte hoek aise lamhe kaaek aisii saa.at kaajis me.n haadisa ho jaa.ejis me.n saaneha ho jaa.etum bhii iftiKHaar-aariftum bhii Duub jaa.ogetum bhii TuuT jaa.oge
sochaa na thaa ki aa.egaa ye din bhii phir kabhiiik baar phir mile hai.n, zaraa muskuraa to le.n!kyaa jaane ab na ulfat-e-deriina yaad aa.eis husn-e-iKHtiyaar pe aa.nkhe.n jhukaa to le.nbarsaa labo.n se phuul tirii umar ho daraazsambhle hu.e to hai.n pa zaraa Dagmagaa to le.n
abhii kuchh din lage.nge
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books