aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "jitne"
dha.Dakte mausamo.n kaa dilmahaktii KHushbuu.o.n kaa dilye sab jitne nazaare hai.nkaho kis ke ishaare hai.n
agar mai.n samjhuu.nke ye jo mohre hai.nsirf lak.Dii ke hai.n khilauneto jiitnaa kyaa hai haarnaa kyaana ye zaruuriina vo aham haiagar KHushii hai na jiitne kiina haarne kaa hii ko.ii Gam haito khel kyaa haimai.n sochtaa huu.njo khelnaa haito apne dil me.n yaqiin kar luu.nye mohre sach-much ke baadshaah o vaziirsach-much ke hai.n payaadeaur in ke aage haidushmano.n kii vo faujrakhtii hai jo ki mujh ko tabaah karne kesaare mansuubesab iraademagar aisaa jo maan bhii luu.nto sochtaa huu.nye khel kab haiye ja.ng hai jis ko jiitnaa haiye ja.ng hai jis me.n sab hai jaa.ezko.ii ye kahtaa hai jaise mujh seye ja.ng bhii haiye khel bhii haiye ja.ng hai par khilaa.Diyo.n kiiye khel hai ja.ng kii tarah kaamai.n sochtaa huu.njo khel haiis me.n is tarah kaa usuul kyuu.n haiki ko.ii mohara rahe ki jaa.emagar jo hai baadshaahus par kabhii ko.ii aa.nch bhii na aa.evaziir hii ko hai bas ijaazatki jis taraf bhii vo chaahe jaa.e
bisaat-e-zindagii to har gha.Dii bichhtii hai uThtii haiyahaa.n par jitne KHaane jitne ghar hai.nsaareKHushiyaa.n aur Gam in.aam karte hai.nyahaa.n par saare mohreapnii apnii chaal chalte hai.nkabhii mahsuur hote hai.n kabhii aage nikalte hai.nyahaa.n par shah bhii pa.Dtii haiyahaa.n par maat hotii haikabhii ik chaal Taltii haikabhii baazii palaTtii haiyahaa.n par saare mohre apnii apnii chaal chalte hai.nmagar mai.n vo piyaada huu.njo har ghar me.nkabhii is shah se pahle aur kabhii us maat se pahlekabhii ik burd se pahle kabhii aafaat se pahlehamesha qatl ho jaataa hai
har ik siyah shaaKH kii kamaa.n sejigar me.n TuuTe hai.n tiir jitnejigar se noche hai.n aur har ikkaa ham ne tesha banaa liyaa hai3alam-nasiibo.n jigar-figaaro.nkii sub.h aflaak par nahii.n haijahaa.n pe ham tum kha.De hai.n dono.nsahar kaa raushan ufuq yahii.n haiyahii.n pe Gam ke sharaar khil karshafaq kaa gulzaar ban ga.e hai.nyahii.n pe qaatil dukho.n ke tesheqataar andar qataar kirno.nke aatishii.n haar ban ga.e hai.nye Gam jo is raat ne diyaa haiye Gam sahar kaa yaqii.n banaa haiyaqii.n jo Gam se kariim-tar haisahar jo shab se aziim-tar hai
haa.n mere KHvaabo.n ko tumhaarii sub.ho.n kii sard aur saaya-guu.n taabiiro.n se nafrat haiin sub.ho.n ne shaam ke haatho.n ab tak jitne suuraj beche
ret se but na banaa ai mire achchhe fankaarek lamhe ko Thahar mai.n tujhe patthar laa duu.nmai.n tire saamne ambaar lagaa duu.n lekinkaun se rang kaa patthar tire kaam aa.egaasurKH patthar jise dil kahtii hai be-dil duniyaayaa vo pathraa.ii hu.ii aa.nkh kaa niilaa pattharjis me.n sadiyo.n ke tahayyur ke pa.De ho.n Dorekyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogiijis pe haq baat bhii patthar kii tarah girtii haiik vo patthar hai jo kahlaataa hai tahziib-e-safedus ke marmar me.n siyah KHuun jhalak jaataa haiek insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magarhaath me.n tesha-e-zar ho to vo haath aataa haijitne meyaar hai.n is daur ke sab patthar hai.njitnii aqdaar hai.n is daur kii sab patthar hai.nsabza o gul bhii havaa aur fazaa bhii pattharmeraa ilhaam tiraa zehn-e-rasaa bhii pattharis zamaane me.n to har fan kaa nishaa.n patthar haihaath patthar hai.n tire merii zabaa.n patthar hairet se but na banaa ai mire achchhe fankaar
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
zindagii ke jitne darvaaze hai.n mujh pe band hai.ndekhnaa hadd-e-nazar se aage ba.Dh kar dekhnaa bhii jurm haisochnaa apne aqiido.n aur yaqiino.n se nikal kar sochnaa bhii jurm haiaasmaa.n-dar-aasmaa.n asraar kii parte.n haTaa kar jhaa.nknaa bhii jurm haikyuu.n bhii kahnaa jurm hai kaise bhii kahnaa jurm haisaa.ns lene kii to aazaadii mayassar hai magarzinda rahne ke liye insaan ko kuchh aur bhii darkaar haiaur is kuchh aur bhii kaa tazkira bhii jurm haiai KHudaavandaan-e-aivaan-e-aqaa.edai hunar-mandaan-e-aa.iin-o-siyaasatzindagii ke naam par bas ik inaayat chaahiyemujh ko in saare jaraa.em kii ijaazat chaahiye
jab dukh kii nadiyaa me.n ham nejiivan kii naav Daalii thiithaa kitnaa kas-bal baa.nho.n me.nlohuu me.n kitnii laalii thiiyuu.n lagtaa thaa do haath lageaur naav puuram paar lagiiaisaa na hu.aa, har dhaare me.nkuchh an-dekhii ma.njdhaare.n thii.nkuchh maa.njhii the anjaan bahutkuchh be-parkhii parvaare.n thii.nab jo bhii chaaho chhaan karoab jitne chaaho dosh dharonadiyaa to vahii hai, naav vahiiab tum hii kaho kyaa karnaa haiab kaise paar utarnaa haijab apnii chhaatii me.n ham neis des ke ghaav dekhe thethaa vedo.n par vishvaash bahutaur yaad bahut se nusKHe theyuu.n lagtaa thaa bas kuchh din me.nsaarii biptaa kaT jaa.egiiaur sab ghaav bhar jaa.e.ngeaisaa na hu.aa ki rog apnekuchh itne Dher puraane theved in kii Toh ko paa na sakeaur ToTke sab be-kaar ga.eab jo bhii chaaho chhaan karoab jitne chaaho dosh dharochhaatii to vahii hai, ghaav vahiiab tum hii kaho kyaa karnaa haiye ghaav kaise bharnaa hai
kis se Darte ho ki sab log tumhaarii hii tarahek se hai.n vahii aa.nkhe.n vahii chehre vahii dilkis pe shak karte ho jitne bhii musaafir hai.n yahaa.nek hii sab kaa qabiila vahii paikar vahii gil
pahle ye bataa.o jhujhune kii taariiKH-e-paidaa.ish kyaa haimai.n ko.ii naqqaad huu.n jo taariiKH dohraataa phiruu.nkisii kaa kalaam pa.Dh lotaariiKH maaluum ho jaa.egiitumhaarii aa.nkho.n me.n aa.nsuu'miir' kii kitaab kaa diibaacha likhnaa haiye kis kii paTTii hainaqqaad bhaa.ii kiiye kis kii aa.nkh haimujhe to saifuu bhaabhii kii maaluum ho rahii haiaur ye haathGaalib kaa lagtaa haibakte hozar kii amaan paa.uu.n to bataa.uu.njitne naam yaad the bataa diyelekin tumhaaraa tasavvur kyaa kahtaamai.n dum hilaane ke sivaa kyaa kar saktaa huu.n
yuu.n samajh luu.n ki phirsilsile jitne thedarmiyaa.n jo bhii thaaKHvaab dekhe the josab bikher jaa.e.ngeaisaa karnaa nahii.nsab kii sun.naa magartum bikharnaa nahii.n
jab aadmii ke peT me.n aatii hai.n roTiyaa.nphuulii nahii.n badan me.n samaatii hai.n roTiyaa.naa.nkhe.n parii-ruKHo.n se la.Daatii hai.n roTiyaa.nsiine upar bhii haath chalaatii hai.n roTiyaa.njitne maze hai.n sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se jis kaa naak talak peT hai bharaakartaa pare hai kyaa vo uchhal kuud jaa-ba-jaadiivaar phaa.nd kar ko.ii koThaa uchhal gayaaThaTThaa ha.nsii sharaab sanam saaqii is sivaasau sau tarah kii dhuum machaatii hai.n roTiyaa.njis jaa pe haa.nDii chuulhaa tavaa aur tanuur haiKHaaliq kii qudrato.n kaa usii jaa zuhuur haichuulhe ke aage aa.nch jo chaltii huzuur haijitne hai.n nuur sab me.n yahii KHaas nuur haiis nuur ke sabab nazar aatii hai.n roTiyaa.naave tave tanuur kaa jis jaa zabaa.n pe naamyaa chakkii chuulhe ke jahaa.n gulzaar ho.n tamaamvaa.n sar jhukaa ke kiije Da.nDvat aur salaamis vaaste ki KHaas ye roTii ke hai.n maqaampahle inhii.n makaano.n me.n aatii hai.n roTiyaa.nin roTiyo.n ke nuur se sab dil hai.n bor boraaTaa nahii.n hai chhalnii se chhan-chhan gire hai nuurpe.Daa har ek us kaa hai barfii o motii chuurhargiz kisii tarah na bujhe peT kaa tanuuris aag ko magar ye bujhaatii hai.n roTiyaa.npuuchhaa kasii ne ye kisii kaamil faqiir seye mehr-o-maah haq ne banaa.e hai.n kaahe kevo sun ke bolaa baabaa KHudaa tujh ko KHair deham to na chaa.nd samjhe.n na suuraj hai.n jaantebaabaa hame.n to ye nazar aatii hai.n roTiyaa.nphir puuchhaa us ne kahiye ye hai dil kaa tuur kyaais ke mushaahide me.n hai khultaa zuhuur kyaavo bolaa sun ke teraa gayaa hai shu.uur kyaakashf-ul-quluub aur ye kashf-ul-qubuur kyaajitne hai.n kashf sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii jab aa.ii peT me.n sau qand ghul ga.egulzaar phuule aa.nkho.n me.n aur aish tul ga.edo tar nivaale peT me.n jab aa ke Dhul ga.echaudah tabaq ke jitne the sab bhed khul ga.eye kashf ye kamaal dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii na peT me.n ho to phir kuchh jatan na homele kii sair KHvaahish-e-baaG-o-chaman na hobhuuke Gariib dil kii KHudaa se lagan na hosach hai kahaa kasii ne ki bhuuke bhajan na hoallaah kii bhii yaad dilaatii hai.n roTiyaa.nab aage jis ke maal-puu.e bhar ke thaal hai.npuure bhagat unhe.n kaho saahab ke laal hai.naur jin ke aage roGnii aur shiir-maal hai.naarif vahii hai.n aur vahii saahab-kamaal hai.npakkii-pakaa.ii ab jinhe.n aatii hai.n roTiyaa.nkap.De kisii ke laal hai.n roTii ke vaastelambe kisii ke baal hai.n roTii ke vaastebaa.ndhe ko.ii rumaal hai.n roTii ke vaastesab kashf aur kamaal hai.n roTii ke vaastejitne hai.n ruup sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se naache pyaada qavaa.ed dikhaa dikhaaasvaar naache gho.De ko kaava lagaa lagaaghu.nghruu ko baa.ndhe paik bhii phirtaa hai naachtaaaur is sivaa jo Gaur se dekhaa to jaa-ba-jaasau sau tarah ke naach dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii ke naach to hai.n sabhii KHalq me.n pa.Dekuchh bhaa.nD bhiigte ye nahii.n phirte naachteye ranDiyaa.n jo naache hai.n ghuu.nghaT ko mu.nh pe leghuu.nghaT na jaano dosto tum ziinhaar useis parde me.n ye apne kamaatii hai.n roTiyaa.nashraafo.n ne jo apnii ye zaate.n chhupaa.ii hai.nsach puuchhiye to apnii ye shaane.n ba.Dhaa.ii hai.nkahiye unho.n kii roTiyaa.n kis kis ne khaa.ii hai.nashraaf sab me.n kahiye to ab naan-baa.ii hai.njin kii dukaa.n se har kahii.n jaatii hai.n roTiyaa.nduniyaa me.n ab badii na kahii.n aur niko.ii haiyaa dushmanii o dostii yaa tund-KHuu.ii haiko.ii kisii kaa aur kisii kaa na ko.ii haisab ko.ii hai usii kaa ki jis haath Do.ii hainaukar nafar Gulaam banaatii hai.n roTiyaa.nroTii kaa ab azal se hamaaraa to hai KHamiirruukhii hii roTii haq me.n hamaare hai shahd-o-shiiryaa patlii hove moTii KHamiirii ho yaa fatiirgehuu.n javaar baajre kii jaisii ho 'naziir'ham ko to sab tarah kii KHush aatii hai.n roTiyaa.n
kare.n ye ahd ki auzaar-e-ja.ng jitne hai.nunhe.n miTaanaa hai aur KHaak me.n milaanaa haikare.n ye ahd ki arbaab-e-ja.ng hai.n jitneunhe.n sharaafat o insaaniyat sikhaanaa hai
1duur jaa kar qariib ho jitneham se kab tum qariib the itneab na aa.oge tum na jaa.ogevasl-e-hijraa.n baham hu.e kitne2chaa.nd nikle kisii jaanib tirii zebaa.ii kaara.ng badle kisii suurat shab-e-tanhaa.ii kaadaulat-e-lab se phir ai KHusrav-e-shiirii.n-dahanaa.naaj arzaa.n ho ko.ii harf shanaasaa.ii kaagarmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanaa.ntazkira chhe.De tirii pairahan-aaraa.ii kaasehn-e-gulshan me.n kabhii ai shah-e-shamshaad-qadaa.nphir nazar aa.e saliiqa tirii ra.anaa.ii kaaek baar aur masiihaa-e-dil-e-dil-zadagaa.nko.ii va.ada ko.ii iqraar masiihaa.ii kaasaaz-o-saamaan baham pahu.nchaa hai rusvaa.ii kaa3kab tak dil kii KHair manaa.e.n kab tak rah dikhlaa.ogekab tak chain kii mohlat doge kab tak yaad na aa.ogebiitaa diid ummiid kaa mausam KHaak u.Dtii hai aa.nkho.n me.nkab bhejoge dard kaa baadal kab barkhaa barsaa.ogeahd-e-vafaa yaa tark-e-mohabbat jo chaaho so aap karoapne bas kii baat hii kyaa hai ham se kyaa manvaa.ogekis ne vasl kaa suuraj dekhaa kis par hijr kii raat Dhaliigesu.o.n vaale kaun the kyaa the un ko kyaa jatlaa.oge'faiz' dilo.n ke bhaag me.n hai ghar bharnaa bhii luT jaanaa bhiitum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itraa.oge
ai dil ai banda-e-vatan hoshiyaarKHvaab-e-Gaflat se ho zaraa bedaaro sharaab-e-KHudii ke matvaaleghar kii chaukhaT ke chuumne vaalenaam hai kyaa isii kaa hubb-e-vatanjis kii tujh ko lagii hu.ii hai lagankabhii bachcho.n kaa dhyaan aataa haikabhii yaaro.n kaa Gam sataataa haiyaad aataa hai apnaa shahr kabhiilau kabhii ahl-e-shahr kii hai lagiinaqsh hai.n dil pe kuucha-o-baazaarphirte aa.nkho.n me.n hai.n dar-o-diivaarkyaa vatan kyaa yahii mohabbat haiye bhii ulfat me.n ko.ii ulfat haiis me.n insaa.n se kam nahii.n hai.n darindis se KHaalii nahii.n chairnd o parindTuk.De hote hai.n sang Gurbat me.nsuukh jaate hai.n ruukh furqat me.njaa ke kaabul me.n aam kaa paudaakabhii parvaan cha.Dh nahii.n saktaaaa ke kaabul se yaa.n bihii-o-anaarho nahii.n sakte baarvar zinhaarmachhlii jab chhuuTtii hai paanii sehaath dhotii hai zindagaanii seaag se jab hu.aa samundar duurus ko jiine kaa phir nahii.n maqduurgho.De jab khet se bichha.Dte hai.njaan ke laale un ke pa.Dte hai.ngaa.e, bhai.ns uu.nT ho yaa bakriiapne apne Thikaane KHush hai.n sabhiikahiye hubb-e-vatan isii ko agarham se haivaa.n nahii.n hai.n kuchh kam-tarhai ko.ii apnii qaum kaa hamdardnau-e-insaa.n kaa samjhe.n jis ko fardjis pe itlaaq-e-aadmii ho sahiihjis ko haivaa.n pe de sake.n tarjiihqaum par ko.ii zad na dekh sakeqaum kaa haal-e-bad na dekh sakeqaum se jaan tak aziiz na hoqaum se ba.Dh ke ko.ii chiiz na hosamjhe un kii KHushii ko raahat-e-jaa.nvaa.n jo nau-roz ho to iid ho yaa.nra.nj ko un ke samjhe maaya-e-Gamvaa.n agar sog ho to yaa.n maatambhuul jaa.e sab apnii qadr-e-jaliildekh kar bhaa.iyo.n ko KHvaar-o-zaliiljab pa.De un pe gardish-e-aflaakapnii aasaa.isho.n pe Daal de KHaak
ik diyaa naam kaa yak-jehtii keraushnii us kii jahaa.n tak pahu.nchiiqaum ko la.Dte jhaga.Dte dekhaamaa.n ke aa.nchal me.n hai.n jitne paivandsab ko ik saath udha.Dte dekhaaduur se biivii ne jhallaa ke kahaatel mah.ngaa bhii hai miltaa bhii nahii.nkyuu.n diye itne jalaa rakkhe hai.napne ghar me.n na jharoka na mu.nDertaaq sapno.n ke sajaa rakkhe hai.naayaa Gusse kaa ik aisaa jho.nkaabujh ga.e saare diyehaa.n magar ek diyaa naam hai jis kaa ummiidjhilmilaataa hii chalaa jaataa hai
vo kisii ek mard ke saathziyaada din nahii.n rah saktiiye us kii kamzorii nahii.nsachchaa.ii hailekin jitne din vo jis ke saath rahtii haius ke saath bevafaa.ii nahii.n kartiiuse log bhale hii kuchh kahe.nmagarkisii ek ghar me.nzindagii bhar jhuuT bolne sealag alag makaano.n me.n sachchaa.iyaa.n bikhernaaziyaada behtar hai
ye rut vo hai ki jis me.n KHurd-o-kabiir KHush hai.nadnaa Gariib muflis shaah-o-vaziir KHush hai.nma.ashuuq shaad-o-KHurram aashiq asiir KHush hai.njitne hai.n ab jahaa.n me.n sab ai 'naziir' KHush hai.nkyaa kyaa machii hai.n yaaro barsaat kii bahaare.n
tumhaare saath jitne din guzaare yaad aate hai.nnahii.n ho tum magar vo chaa.nd taare yaad aate hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books