aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "koThaa"
jab aadmii ke peT me.n aatii hai.n roTiyaa.nphuulii nahii.n badan me.n samaatii hai.n roTiyaa.naa.nkhe.n parii-ruKHo.n se la.Daatii hai.n roTiyaa.nsiine upar bhii haath chalaatii hai.n roTiyaa.njitne maze hai.n sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se jis kaa naak talak peT hai bharaakartaa pare hai kyaa vo uchhal kuud jaa-ba-jaadiivaar phaa.nd kar ko.ii koThaa uchhal gayaaThaTThaa ha.nsii sharaab sanam saaqii is sivaasau sau tarah kii dhuum machaatii hai.n roTiyaa.njis jaa pe haa.nDii chuulhaa tavaa aur tanuur haiKHaaliq kii qudrato.n kaa usii jaa zuhuur haichuulhe ke aage aa.nch jo chaltii huzuur haijitne hai.n nuur sab me.n yahii KHaas nuur haiis nuur ke sabab nazar aatii hai.n roTiyaa.naave tave tanuur kaa jis jaa zabaa.n pe naamyaa chakkii chuulhe ke jahaa.n gulzaar ho.n tamaamvaa.n sar jhukaa ke kiije Da.nDvat aur salaamis vaaste ki KHaas ye roTii ke hai.n maqaampahle inhii.n makaano.n me.n aatii hai.n roTiyaa.nin roTiyo.n ke nuur se sab dil hai.n bor boraaTaa nahii.n hai chhalnii se chhan-chhan gire hai nuurpe.Daa har ek us kaa hai barfii o motii chuurhargiz kisii tarah na bujhe peT kaa tanuuris aag ko magar ye bujhaatii hai.n roTiyaa.npuuchhaa kasii ne ye kisii kaamil faqiir seye mehr-o-maah haq ne banaa.e hai.n kaahe kevo sun ke bolaa baabaa KHudaa tujh ko KHair deham to na chaa.nd samjhe.n na suuraj hai.n jaantebaabaa hame.n to ye nazar aatii hai.n roTiyaa.nphir puuchhaa us ne kahiye ye hai dil kaa tuur kyaais ke mushaahide me.n hai khultaa zuhuur kyaavo bolaa sun ke teraa gayaa hai shu.uur kyaakashf-ul-quluub aur ye kashf-ul-qubuur kyaajitne hai.n kashf sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii jab aa.ii peT me.n sau qand ghul ga.egulzaar phuule aa.nkho.n me.n aur aish tul ga.edo tar nivaale peT me.n jab aa ke Dhul ga.echaudah tabaq ke jitne the sab bhed khul ga.eye kashf ye kamaal dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii na peT me.n ho to phir kuchh jatan na homele kii sair KHvaahish-e-baaG-o-chaman na hobhuuke Gariib dil kii KHudaa se lagan na hosach hai kahaa kasii ne ki bhuuke bhajan na hoallaah kii bhii yaad dilaatii hai.n roTiyaa.nab aage jis ke maal-puu.e bhar ke thaal hai.npuure bhagat unhe.n kaho saahab ke laal hai.naur jin ke aage roGnii aur shiir-maal hai.naarif vahii hai.n aur vahii saahab-kamaal hai.npakkii-pakaa.ii ab jinhe.n aatii hai.n roTiyaa.nkap.De kisii ke laal hai.n roTii ke vaastelambe kisii ke baal hai.n roTii ke vaastebaa.ndhe ko.ii rumaal hai.n roTii ke vaastesab kashf aur kamaal hai.n roTii ke vaastejitne hai.n ruup sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se naache pyaada qavaa.ed dikhaa dikhaaasvaar naache gho.De ko kaava lagaa lagaaghu.nghruu ko baa.ndhe paik bhii phirtaa hai naachtaaaur is sivaa jo Gaur se dekhaa to jaa-ba-jaasau sau tarah ke naach dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii ke naach to hai.n sabhii KHalq me.n pa.Dekuchh bhaa.nD bhiigte ye nahii.n phirte naachteye ranDiyaa.n jo naache hai.n ghuu.nghaT ko mu.nh pe leghuu.nghaT na jaano dosto tum ziinhaar useis parde me.n ye apne kamaatii hai.n roTiyaa.nashraafo.n ne jo apnii ye zaate.n chhupaa.ii hai.nsach puuchhiye to apnii ye shaane.n ba.Dhaa.ii hai.nkahiye unho.n kii roTiyaa.n kis kis ne khaa.ii hai.nashraaf sab me.n kahiye to ab naan-baa.ii hai.njin kii dukaa.n se har kahii.n jaatii hai.n roTiyaa.nduniyaa me.n ab badii na kahii.n aur niko.ii haiyaa dushmanii o dostii yaa tund-KHuu.ii haiko.ii kisii kaa aur kisii kaa na ko.ii haisab ko.ii hai usii kaa ki jis haath Do.ii hainaukar nafar Gulaam banaatii hai.n roTiyaa.nroTii kaa ab azal se hamaaraa to hai KHamiirruukhii hii roTii haq me.n hamaare hai shahd-o-shiiryaa patlii hove moTii KHamiirii ho yaa fatiirgehuu.n javaar baajre kii jaisii ho 'naziir'ham ko to sab tarah kii KHush aatii hai.n roTiyaa.n
kitno.n ko mahlo.n andar hai aish kaa nazaaraayaa saa.ebaan suthraa yaa baa.ns kaa usaaraakartaa hai sair ko.ii koThe kaa le sahaaraamuflis bhii kar rahaa hai pole tale guzaaraakyaa kyaa machii hai.n yaaro barsaat kii bahaare.n
mai.n ne puuchhaamunne! tum kyuu.n apnii ammii jaan ko baajii kahte homunnaa bolaabaajii bhii to naanii-jii ko aapaa aapaa kahtii hai.nis baazaar kaa jo koThaa hai us kii riit niraalii haiyahaa.n to maa.n ko maa.n kah denaa sab se gandii gaalii hai
har baat kii khoj to Thiik nahii.n tum ham ko kahaanii kahne dous naar kaa naam maqaam hai kyaa is baat pe pardaa rahne doham se bhii to saudaa mumkin hai tum se bhii jafaa ho saktii haiye apnaa bayaa.n ho saktaa hai ye apnii kathaa ho ho saktii haivo naar bhii aaKHir pachhtaa.ii kis kaam kaa aisaa pachhtaanaa?is bastii ke ik kuuche me.n ik 'inshaa' naam kaa diivaanaa
dayaar-e-hind thaa gahvaara yaad hai hamdambahut zamaana hu.aa kis ke kis ke bachpan kaaisii zamiin pe khelaa hai 'raam' kaa bachpanisii zamiin pe un nanhe nanhe haatho.n nekisii samay me.n dhanush-baan ko sambhaalaa thaaisii dayaar ne dekhii hai 'krishn' kii liilaayahii.n gharo.ndo.n me.n siitaa sulochanaa raadhaakisii zamaane me.n gu.Diyo.n se kheltii ho.ngiiyahii zamii.n yahii dariyaa pahaa.D jangal baaGyahii havaa.e.n yahii sub.h-o-shaam suuraj chaa.ndyahii ghaTaa.e.n yahii barq-o-ra.ad o qaus-e-quzahyahii.n ke giit rivaayaat mausamo.n ke juluushu.aa zamaana ki 'siddhaarth' ke the gahvaareinhii nazaaro.n me.n bachpan kaTaa thaa 'vikram' kaasunaa hai 'bhartarharii' bhii inhii.n se khelaa thaa'bharat' agastya' 'kapil' 'vyaas' 'pashii' 'kautilya''janak' vashishth' 'manu' 'vaalmik' vishvaamitr'kanaad' 'gautam' o ramanuj 'kumaaril-bhatt'mohanjoDaaro ha.Dappaa ke aur ajantaa kebanaane vaale yahii.n ballamo.n se khele theisii hi.nDole me.n 'bhavabhut' o 'kaaliidaas' kabhiihumak humak ke jo tutlaa ke gungunaa.e thesarasvatii ne zabaano.n ko un kii chuumaa thaayahii.n ke chaa.nd va suuraj khilaune the un keinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan palaa thaa 'KHusrav' kaaisii zamii.n se uThe 'tansen' aur 'akbar''rahiim' 'nanak' o 'chaitanya' aur 'chishti' neinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan ke din guzaare theisii zamii.n pe kabhii shazaada-e-'KHurram'zaraa sii dil-shikanii par jo ro diyaa hogaabhar aayaa thaa dil-e-naazuk to kyaa ajab is me.nin aa.nsu.o.n me.n jhalak taaj kii bhii dekhii ho'ahalyabaa.i' 'daman' 'padmini' o 'raziya' neyahii.n ke pe.Do.n kii shaaKHo.n me.n Daale the jhuuleisii fazaa me.n ba.Dhaa.ii thii pe.ng bachpan kiiinhii nazaaro.n me.n saavan ke giit gaa.e theisii zamiin pe ghuTno.n ke bal chale ho.nge'malik-mohammad' o 'raskhan' aur 'tulsi-das'inhii.n fazaa.o.n me.n guu.njii thii totlii bolii'kabir-das' 'Tukaaraam' 'suur' o 'miiraa' kiiisii hi.nDole me.n 'viddypati' kaa ka.nTh khulaaisii zamiin ke the laal 'miir' o 'Gaalib' bhiiThumak Thumak ke chale the gharo.n ke aa.ngan me.n'aniis' o 'haalii' o 'iqbaal' aur 'vaaris-shaah'yahii.n kii KHaak se ubhre the 'premchand' o 'tagore'yahii.n se uTThe the tahziib-e-hind ke me.amaarisii zamiin ne dekhaa thaa baal-pan in kaayahii.n dikhaa.ii thii.n in sab ne baal-liilaa.e.nyahii.n har ek ke bachpan ne tarbiyat paa.iiyahii.n har ek ke jiivan kaa baalkaa.nD khulaayahii.n se uThte baguulo.n ke saath dau.De hai.nyahii.n kii mast ghaTaa.o.n ke saath jhuume hai.nyahii.n kii madh-bharii barsaat me.n nahaa.e hai.nlipaT ke kiicha.D o paanii se bachpane un keisii zamiin se uTThe vo desh ke saava.ntu.Daa diyaa thaa jinhe.n company ne topo.n seisii zamiin se uThii hai.n an-ginat nasle.npale hai.n hind hi.nDole me.n an-ginat bachchemujh aise kitne hii gumnaam bachche khele hai.nisii zamii.n se isii me.n supurd-e-KHaak hu.ezamiin-e-hind ab aaraam-gaah hai un kiiis arz-e-paak se uTThii.n bahut sii tahziibe.nyahii.n tuluu hu.ii.n aur yahii.n Guruub hu.ii.nisii zamiin se ubhre ka.ii uluum-o-funuunfaraaz-e-koh-e-himaala ye daur-e-ga.ng-o-jamanaur in kii god me.n parvarda kaarvaano.n neyahii.n rumuuz-e-KHiraam-e-sukuu.n-numaa siikhenasiim-e-sub.h-e-tamaddun ne bhairvii.n chhe.Diiyahii.n vatan ke taraano.n kii vo pave.n phuuTe.nvo be-qaraar sukuu.n-zaa tarannum-e-sahariivo kapkapaate hu.e soz-o-saaz ke sho.aleinhii fazaa.o.n me.n a.ng.Daa.iyaa.n jo le ke uThelavo.n se jin ke charaaGaa.n hu.ii thii bazm-e-hayaatjinho.n ne hind kii tahziib ko zamaana hu.aabahut se zaaviyo.n se aa.iina dikhaayaa thaaisii zamii.n pe Dhalii hai mirii hayaat kii shaamisii zamiin pe vo sub.h muskuraa.ii haitamaam sho.ala o shabnam mirii hayaat kii sub.hsunaa.uu.n aaj kahaanii mai.n apne bachpan kiidil-o-dimaaG kii kaliyaa.n abhii na chaTkii thii.nhamesha kheltaa rahtaa thaa bhaa.ii bahno.n me.nhamaare saath mohalle kii la.Dkiyaa.n la.Dkemachaa.e rakhte the baalak udham har ek gha.Diilahuu tara.ng uchhal-phaa.nd kaa ye aalam thaamohalla sar pe uThaa.e phire jidhar guzrehamaare chahchahe aur shor guu.njte rahtechahaar-samt mohalle ke goshe goshe me.nfazaa me.n aaj bhii laa-raib guu.njte ho.ngeagarche duusre bachcho.n kii tarah thaa mai.n bhiiba-zaahir auro.n ke bachpan saa thaa miraa bachpanye sab sahii mire bachpan kii shaKHsiyat bhii thii ekvo shaKHsiyat ki bahut shoKH jis ke the KHad-o-KHaaladaa adaa me.n ko.ii shaan-e-infiraadii thiiGaraz kuchh aur hii lachchhan the mere bachpan kemujhe thaa chhoTe ba.Do.n se bahut shadiid lagaavhar ek par mai.n chhi.Daktaa thaa apnii nannhii sii jaa.ndil umDaa aataa thaa aisaa ki jii ye chaahtaa thaauThaa ke rakh luu.n kaleje me.n apnii duniyaa komujhe hai yaad abhii tak ki khel-kuud me.n bhiikuchh aise vaqfe pur-asraar aa hii jaate theki jin me.n sochne lagtaa thaa kuchh miraa bachpanka.ii ma.aanii-e-be-lafz chhuune lagte thebutuun-e-Gaib se mere shu.uur-e-asGar kohar ek manzar-e-maanuus ghar kaa har goshakisii tarah kii ho ghar me.n sajii hu.ii har chiizmire mohalle kii galiyaa.n makaa.n dar-o-diivaarchabuutre ku.e.n kuchh pe.D jhaa.Diyaa.n bele.nvo pherii vaale ka.ii un ke bhaa.nt bhaa.nt ke bolvo jaane buujhe manaazir vo aasmaa.n o zamii.nbadalte vaqt kaa aa.iina garmii-o-KHunkiiGuruub-e-mahr me.n ra.ngo.n kaa jaagtaa jaaduushafaq ke shiish-mahal me.n gudaaz-e-pinhaa.n sejavaahro.n kii chaTaane.n sii kuchh pighaltii hu.ii.nshajar hajar kii vo kuchh sochtii hu.ii duniyaasuhaanii raat kii maanuus ramaziyat kaa fusuu.nalassabaah ufuq kii vo thartharaatii bhave.nkisii kaa jhaa.nknaa aahista phuuTtii pau sevo dopahar kaa samay darja-e-tapish kaa cha.Dhaavthakii thakii sii fazaa me.n vo zindagii kaa utaarhu.aa kii bansiyaa.n ba.nsvaa.Diyo.n me.n bajtii hu.ii.nvo din ke ba.Dhte hu.e saa.e sah-pahar kaa sukuu.nsukuut shaam kaa jab dono.n vaqt milte hai.nGaraz jhalakte hu.e sarsarii manaazir parmujhe gumaan paristaaniyat kaa hotaa thaahar ek chiiz kii vo KHvaab-naak asliyyatmire shu.uur kii chilman se jhaa.nktaa thaa ko.iiliye rubuubiyat-e-kaa.enaat kaa ehsaashar ek jalve me.n Gaib o shuhuud kaa vo milaaphar ik nazaara ik aa.iina-KHaana-e-hairathar ek manzar-e-maanuus ek hairat-zaarkahii.n rahuu.n kahii.n khelo.n kahii.n pa.Dhuu.n likhuu.nmire shu.uur pe ma.nDlaate the manaazir-e-dahrmai.n akasr un ke tasavvur me.n Duub jaataa thaavafuur-e-jazba se ho jaatii thii mizha pur-nammujhe yaqiin hai in unsurii manaazir seki aam bachcho.n se letaa thaa mai.n ziyaada asarkisii samay mirii tiflii rahii na be-parvaana chhuu sakii mirii tiflii ko Gaflat-e-tifliiye khel-kuud ke lamho.n me.n hotaa thaa ehsaasdu.aa.e.n detaa ho jaise mujhe sukuut-e-davaamki jaise haath abad rakh de dosh-e-tiflii parhar ek lamha ke raKHno.n se jhaa.nktii sadiyaa.nkahaaniyaa.n jo sunuu.n un me.n Duub jaataa thaaki aadmii ke liye aadmii kii jag-biitiise ba.Dh ke kaun sii shai aur ho hii saktii haiinhii fasaano.n me.n pinhaa.n the zindagii ke rumuuzinhii fasaano.n me.n khulte the raaz-haa-e-hayaatunhe.n fasaano.n me.n miltii thii.n ziist kii qadre.nrumuuz-e-besh-bahaa TheTh aadmiyat kekahaaniyaa.n thii.n ki sad-dars-gaah-e-riqqat-e-qalbhar ik kahaanii me.n shaa.istagi-e-Gam kaa sabaqvo unsur aa.nsu.o.n kaa daastaan-e-insaa.n me.nvo nal-daman kii kathaa sarguzasht-e-savitrii'shakuntlaa' kii kahaanii 'bharat' kii qurbaaniivo marg-e-bhishm-pitaamah vo sej tiiro.n kiivo paan.cho paa.nDav kii sovarg-yaatraa kii kathaavatan se ruKHsat-e-'siddhaarth' 'raam' kaa ban-baasvafaa ke baa'd bhii 'siitaa' kii vo jalaa-vataniivo raato.n-raat 'sirii-krishn' ko uThaa.e hu.ebalaa kii qaid se 'basdev' kaa nikal jaanaavo a.ndhkaar vo baarish, ba.Dhii hu.ii jamunaaGam-e-aafriin kahaanii vo 'hiir' 'raa.njhaa' kiishu.uur-e-hind ke bachpan kii yaadgaar-e-aziimki aise vaise taKHayyul kii saa.ns ukha.D jaa.eka.ii muhayyur-e-idraak dev-maalaaye.nhitopdesh ke qisse kathaa sarat-saagarkaro.Do.n siino.n me.n vo guu.njtaa hu.aa aalhaamai.n puuchhtaa huu.n kisii aur malak vaalo.n sekahaaniyo.n kii ye daulat ye be-bahaa daulatfasaane dekh lo in ke nazar bhii aatii haimai.n puuchhtaa huu.n ki gahvaare aur qaumo.n kebase hu.e hai.n kahii.n aisii daastaano.n sekahaaniyaa.n jo mai.n suntaa thaa apne bachpan me.nmire liye vo na thii.n mahz baa.is-e-tafriihfasaano.n se mire bachpan ne sochnaa siikhaafasaano.n se mujhe sanjiidgii ke dars milefasaano.n me.n nazar aatii thii mujh ko ye duniyaaGam o KHushii me.n rachii pyaar me.n basaa.ii hu.iifasaano.n se mire dil ne ghulaavaTe.n paa.ii.nyahii nahii.n ki mashaahiir hii ke afsaanezaraa sii umr me.n karte ho.n mujh ko muta.assirmohalle Tole ke gumnaam aadamiyyo.n kekuchh aise sun.ne me.n aate the vaaqi.aat-e-hayaatjo.n yuu.n to hote the farsuuda aur ma.amuuliimagar the aa.iine iKHlaas aur sharaafat keye chand aa.ii ga.ii baate.n aisii baate.n thii.nki jin kii oT chamaktaa thaa dard-e-insaaniiye vaardaat nahii.n razmiyye hayaat ke theGaraz ki ye hai.n mire bachpane kii tasviire.nnadiim aur bhii kuchh KHatt-o-KHaal hai.n un keye merii maa.n kaa hai kahnaa ki jab mai.n bachcha thaamai.n aise aadmii kii god me.n na jaataa thaajo bad-qimaar ho aibii ho yaa ho bad-suuratmujhe bhii yaad hai nau das baras hii kaa mai.n thaato mujh pe kartaa thaa jaaduu saa husn-e-insaaniikuchh aisaa hotaa thaa mahsuus jab mai.n dekhtaa thaashagufta rang tar-o-taaza ruup vaalo.n kaaki un kii aa.nch mirii haDDiyaa.n galaa degiiik aazmaa.ish-e-jaa.n thii ki thaa shu.uur-e-jamaalaur us kii nashtariyyat us kii ustuKHaa.n-soziiGam o nashaat lagaavaT mohabbat o nafratik intishaar-e-sakuu.n iztiraab pyaar itaabvo be-panaah zakii-ul-hisii vo hilm o Guruurkabhii kabhii vo bhare ghar me.n hiss-e-tanhaa.iivo vahshate.n mirii maahaul-e-KHush-gavaar me.n bhiimirii sarisht me.n ziddain ke ka.ii jo.Deshuruu.a hii se the maujuud aab-o-taab ke saathmire mizaaj me.n pinhaa.n thii ek jadaliyyatrago.n me.n chhuuTte rahte the be-shumaar anaarnadiim ye hai.n mire baal-pan ke kuchh aasaarvafuur o shiddat-e-jazbaat kaa ye aalam thaaki kau.nde jast kare.n dil ke aabgiine me.nvo bachpanaa jise bardaasht apnii mushkil hovo bachpanaa jo KHud apnii hii tevriyaa.n sii cha.Dhaa.enadiim zikr-e-javaanii se kaa.np jaataa huu.njavaanii aa.ii dabe paa.nv aur yuu.n aa.iiki us ke aate hii big.Daa banaa-banaayaa khelvo KHvaahishaat ke jazbaat ke umaDte hu.evo ho.nkte hu.e be-naam aag ke tuufaa.nvo phuuTtaa hu.aa jvaalaa-mukhii javaanii kaarago.n me.n uThtii hu.ii aa.ndhiyo.n ke vo jhaTkeki jo tavaazun-e-hastii jhi.njho.D ke rakh de.nvo zalzale ki pahaa.Do.n ke pair ukha.D jaa.e.nbuluuGiyat kii vo Tiise.n vo karb-e-nashv-o-numaaaur aise me.n mujhe byaahaa gayaa bhalaa kis sejo ho na saktii thii hargiz mirii shariik-e-hayaatham ek duusre ke vaaste bane hii na thesiyaah ho ga.ii duniyaa mirii nigaaho.n me.nvo jis ko kahte hai.n shaadii-e-KHaanaa-aabaadiimire liye vo banii bevgii javaanii kiiluTaa suhaag mirii zindagii kaa maa.nDo me.nnadiim khaa ga.ii mujh ko nazar javaanii kiibalaa-e-jaan mujhe ho gayaa shu.uur-e-jamaaltalaash-e-shola-e-ulfat se ye hu.aa haasilki nafrato.n kaa agan-ku.nD ban ga.ii hastiivo halq o siina o rag rag me.n be-panaah chubhaanadiim jaise nigal lii ho mai.n ne naag-phaniiz ishq-zaadam o ishqam kamusht zaar-o-dareGKHabar na burd ba-rustam kase ki sohraabamna puuchh aalam-e-kaam-o-dahan nadiim miresamar hayaat kaa jab raakh bin gayaa mu.nh me.nmai.n chaltii-phirtii chitaa ban gayaa javaanii kiimai.n kaa.ndhaa detaa rahaa apne jiite murde koye sochtaa thaa ki ab kyaa karuu.n kahaa.n jaa.uu.nbahut se aur masaa.ib bhii mujh pe TuuT pa.Demai.n Dhuu.nDhne lagaa har samt sachchii jhuuTii panaahtalaash-e-husn me.n sher-o-adab me.n dostii me.nru.ndhii sadaa se mohabbat kii bhiik maa.ngii haina.e sire se samajhnaa pa.Daa hai duniyaa koba.De jatan se sambhaalaa hai KHud ko mai.n ne nadiimmujhe sambhalne me.n to chaaliis saal guzre hai.nmerii hayaat to vish-paan kii kathaa hai nadiimmai.n zahr pii ke zamaane ko de sakaa amritna puuchh mai.n ne jo zahraaba-e-hayaat piyaamagar huu.n dil se mai.n is ke liye sipaas-guzaarlarazte haatho.n se daaman KHuluus kaa na chhaTaabachaa ke rakkhii thii mai.n ne amaanat-e-tifliiise na chhiin sakii mujh se dast-burd-e-shabaabba-qaul shaa.er-e-mulk-e-fara.ng har bachchaKHud apne ahd-e-javaanii kaa baap hotaa haiye kam nahii.n hai ki tiflii-e-rafta chho.D ga.iidil-e-hazii.n me.n ka.ii chhoTe chhoTe naqsh-e-qadammirii anaa kii rago.n me.n pa.De hu.e hai.n abhiina jaane kitne bahut narm u.ngliyo.n ke nishaa.nhanuuz vaqt ke be-dard haath kar na sakehayaat-e-rafta kii zinda nishaaniyo.n ko fanaazamaana chhiin sakegaa na merii fitrat semirii safaa mire tahtush-shu.uur kii ismattaKHaiyyulaat kii doshiizgii kaa radd-e-amaljavaan ho ke bhii be-laus tifl-vash jazbaatsyaanaa hone pe bhii ye jibillate.n meriiye sarKHushii o Gam be-riyaa ye qalb-gudaazbaGair bair ke an-ban Garaz se paak tapaakGaraz se paak ye aa.nsuu Garaz se paak ha.nsiiye dasht-e-dahr me.n hamdardiyo.n kaa sar-chashmaqubuuliyat kaa ye jazba ye kaa.enaat o hayaatis arz-e-paak par iimaan ye ham-aaha.ngiihar aadmii se har ik KHvaab o ziist se ye lagaavye maa.n kii god kaa ehsaas sab manaazir me.nqariib o duur zamii.n me.n ye buu-e-vataniyyatnizaam-e-shams-o-qamar me.n payaam-e-hifz-e-hayaatba-chashm-e-shaam-o-sahar maamtaa kii shabnam siiye saaz o dil me.n mire naGma-e-analkaunainhar iztiraab me.n ruuh-e-sukuun-e-be-paayaa.nzamaana-e-guzaraa.n me.n davaam kaa sargamye bazm-e-jashn-e-hayaat-o-mamaat sajtii hu.iikisii kii yaad kii shahnaa.iyaa.n sii bajtii hu.iiye ramaziiyat ke anaasir shu.uur-e-puKHta me.nfalak pe vajd me.n laatii hai jo farishto.n kovo shaa.erii bhii buluuG-e-mizaaj-e-tiflii haiye nashtariyyat-e-hastii ye is kii sheriyatye pattii pattii pe gulzaar-e-zindagii ke kisiilatiif nuur kii parchhaa.iyaa.n sii pa.Dtii hu.iibaham ye hairat o maanuusiyat kii sargoshiibashar kii zaat ki mahr-e-uluuhiyat ba-jabii.nabad ke dil me.n ja.De.n maartaa hu.aa sabzaGam-e-jahaa.n mujhe aa.nkhe.n dikhaa nahii.n saktaaki aa.nkhe.n dekhe hu.e huu.n mai.n ne apne bachpan kiimire lahuu me.n abhii tak sunaa.ii detii hai.nsukuut-e-huzn me.n bhii ghu.nghru.o.n kii jhankaare.nye aur baat ki mai.n is pe kaan de na sakuu.nisii vadii.at-e-tiflii kaa ab sahaaraa haiyahii hai.n marham-e-kaafuur dil ke zaKHmo.n parunhii ko rakhnaa hai mahfuuz taa-dam-e-aaKHirzamiin-e-hind hai gahvaara aaj bhii hamdamagar hisaab kare.n das karo.D bachcho.n kaaye bachche hind kii sab se ba.Dii amaanat hai.nhar ek bachche me.n hai.n sad-jahaan-e-imkaanaatmagar vatan kaa hal-o-aqd jin ke haath me.n hainizaam-e-zindagii-e-hind jin ke bas me.n hairavayya dekh ke un kaa ye kahnaa pa.Dtaa haikise pa.Dii hai ki samjhe vo is amaanat kokise pa.Dii hai ki bachcho.n kii zindagii ko bachaa.eKHaraab hone se Talne se suukh jaane sebachaa.e kaun in aazurda honhaaro.n kovo zindagii jise ye de rahe hai.n bhaarat kokaro.Do.n bachcho.n ke miTne kaa ik alamiyya haichuraa.e jaate hai.n bachche abhii gharo.n se yahaa.nki jism to.D diye jaa.e.n un ke taaki milechuraane vaalo.n ko KHairaat maagh-mele kiijo is azaab se bach jaa.e.n to gale pa.D jaa.e.nvo la.ante.n ki hamaare karo.Do.n bachcho.n kiinadiim KHair se miTTii KHaraab ho jaa.evo muflisii ki KHushii chhiin le vo be-bargiiudaasiyo.n se bharii zindagii kii be-ra.ngiivo yaasiyaat na jis ko chhu.e shu.aa-e-umiidvo aa.nkhe.n dekhtii hai.n har taraf jo be-nuuriivo TukTukii ki jo pathraa ke rah ga.ii ho nadiimvo be-dilii kii ha.nsii chhiin le jo ho.nTo.n sevo dukh ki jis se sitaaro.n kii aa.nkh bhar aa.evo gandagii vo kasaafat maraz-zada paikarvo bachche chhin ga.e ho.n jin se bachpane un kehamii.n ne gho.nT diyaa jis ke bachpane kaa galaajo khaate-piite gharo.n ke hai.n bachche un ko bhii kyaasamaaj phuulne-phalne ke de sakaa saadhanvo saa.ns lete hai.n tahziib-kush fazaa.o.n me.nham un ko dete hai.n be-jaan aur Galat ta.aliimmilegaa ilm-e-jihaalat-numaa se kyaa un konikal ke madraso.n aur universitiyyo.n seye bad-nasiib na ghar ke na ghaaT ke ho.ngemai.n puuchhtaa huu.n ye ta.aliim hai ki makkaariikaro.Do.n zindagiyo.n se ye be-panaah daGaanisaab aisaa ki mehnat kare.n agar is parbajaa.e ilm jahaalat kaa iktisaab kare.nye ulTaa dars-e-adab ye sa.Dii hu.ii ta.aliimdimaaG kii ho Gizaa yaa Gizaa-e-jismaaniihar ik tarah kii Gizaa me.n yahaa.n milaavaT haivo jis ko bachcho.n kii ta.aliim kah ke dete hai.nvo dars ulTii chhurii hai gale pe bachpan kezamiin-e-hind hi.nDolaa nahii.n hai bachcho.n kaakaro.Do.n bachcho.n kaa ye des ab janaaza haiham inqalaab ke KHatro.n se KHuub vaaqif hai.nkuchh aur roz yahii rah ga.e jo lail-o-nahaarto mol lenaa pa.Degaa hame.n ye KHatra bhiiki bachche qaum kii sab se ba.Dii amaanat hai.n
ham bhii hubb-e-vatan me.n hai.n go Garqham me.n aur un me.n hai magar ye farqham hai.n naam-e-vatan ke diivaanevo the ahl-e-vatan ke parvaanejis ne yuusuf kii daastaa.n hai suniijaantaa hogaa ruu.edaad us kiimisr me.n qaht jab pa.Daa aa karaur hu.ii qaum bhuuk se muztarkar diyaa vaqf un pe baitulmaallab tak aane diyaa na harf-e-savaalkhatiyaa.n aur koThe khol diyemuft saare zaKHiire tol diyeqaafile KHaalii haath aate theaur bharpuur yaa.n se jaate theyuu.n ga.e qaht ke vo saal guzarjaise bachcho.n kii bhuuk vaqt-e-sahar
hamii.n to hai.n vojo tai kare.ngeki in ke jismo.n pe kis kaa haq haihamii.n to hai.n vojo tai kare.ngeki kis se in ke nikaah ho.ngeye kis ke bistar kii ziinate.n hai.nvo kaun hogaa jo apne ho.nTo.n koin ke jismo.n kii aab degaabhale mohabbat kisii ke kahne peaaj tak ho sakii na hogiimagar ye ham tai kare.ngein ko kise basaanaa hai apne dil me.nham in ke maalik hai.njab bhii chaahe.ninhe.n lihaafo.n me.n khii.nch laa.e.naur in kii ruuho.n me.n daa.nt gaa.De.nye maa.n bane.ngiito ham bataa.e.ngein ke jismo.n ne kitne bachcho.n ko Dhaalnaa haihamaare bachcho.n ke peT bharneagar ye koThe pe jaa ke apnaa badan bhii beche.nto ham bataa.e.ngekis ko kitne me.n kitnaa beche.nhamii.n ko haq haiki in ke gaahak jo KHud hamii.n hai.n sesaarii qiimat vasuul kar le.nhamii.n ko haq hai ki in kii aa.nkhe.nhasiin chehre shaffaaf paa.nvsafed raane.n daraaz zulfe.naur aatishii.n-lab dikhaa dikhaa karcream saabun safed kap.De aur aam beche.ndukaa.n chalaa.e.n naf' kamaa.e.nhamii.n to hai.n jo ye tai kare.ngeye kis sahiife kii kaun sii aayate.n pa.Dhe.ngiiye kaun hotii hai.napnii marzii kaa rang pahne.nschool jaa.e.n hame.n pa.Dhaa.e.nhame.n bataa.e.nki in kaa rab bhii vahii hai jis ne hame.n banaayaabaraabarii ke sabaq sikhaa.e.nye lau.nDiyaa.n hai.n ye juutiyaa.n hai.nye kaun hotii hai.n apnii marzii se jiine vaaliibataane vaale hame.n yahii to bataa ga.e hai.njo hukmraano.n kii baat Taale.njo apne bhaa.ii se hissa maa.nge.njo shauharo.n ko KHudaa na samjhe.njo qadre mushkil savaal puuchhe.njo apnii mehnat kaa badla maa.nge.njo aajiro.n se zabaa.n la.Daa.e.njo apne jismo.n pe haq jataa.e.nvo be-hayaa hai.n
pahle naa.nv ganesh kaa, liijiye siis navaa.ejaa se kaaraj sidh ho.n, sadaa mahuurat laa.ebol bachan aanand ke, prem, piit aur chaahsun lo yaaro, dhyaan dhar, mahaadev kaa byaahjogii ja.ngam se sunaa, vo bhii kiyaa bayaanaur kathaa me.n jo sunaa, us kaa bhii parmaansun.ne vaale bhii rahe.n ha.nsii KHushii din rainaur pa.Dhe.n jo yaad kar, un ko bhii sukh chainaur jis ne is byaah kii, mahimaa kahii banaa.eus ke bhii har haal me.n, shiv-jii rahe.n suhaa.eKHushii rahe din raat vo, kabhii na ho dil-giirmahimaa us kii bhii rahe jis kaa naam 'naziir'
jab maah aghan kaa Dhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiaur ha.ns ha.ns puus sambhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiidin jaldii jaldii chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiaur paalaa barf pighaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiichillaa Gam Tho.nk uchhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiitan Thokar maar pichhaa.Daa ho aur dil se hotii ho kushtii siithar-thar kaa zor ukhaa.Daa ho bajtii ho sab kii battiisiiho shor phaphuu huu-huu kaa aur dhuum ho sii-sii sii-sii kiikalle pe kallaa lag lag kar chaltii ho mu.nh me.n chakkii siihar daa.nt chane se daltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar ek makaa.n me.n sardii ne aa baa.ndh diyaa ho ye chakkarjo har dam kap-kap hotii ho har aan ka.Daaka.D aur thar-tharpaiThii ho sardii rag rag me.n aur barf pighaltaa ho pattharjha.D-baa.ndh mahaavaT pa.Dtii ho aur tis par lahre.n le le karsannaaTaa baav kaa chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar chaar taraf se sardii ho aur sehn khulaa ho koThe kaaaur tan me.n niimaa shabnam kaa ho jis me.n KHas kaa itr lagaachhi.Dkaav hu.aa ho paanii kaa aur KHuub pala.ng bhii ho bhiigaahaatho.n me.n piyaala sharbat kaa ho aage ik farraash kha.Daafarraash bhii pa.nkhaa jhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiijab aisii sardii ho ai dil tab roz maze kii ghaate.n ho.nkuchh narm bichhaune maKHmal ke kuchh aish kii lambii raate.n ho.nmahbuub gale se lipTaa ho aur kuhnii, chuTkii, laate.n ho.nkuchh bose milte jaate ho.n kuchh miiThii miiThii baate.n ho.ndil aish-o-tarab me.n paltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiho farsh bichhaa Gaaliicho.n kaa aur parde chhoTe ho.n aa karik garm a.ngiiThii jaltii ho aur sham.a ho raushan aur tis parvo dilbar, shoKH, parii, chanchal, hai dhuum machii jis kii ghar gharresham kii narm nihaalii par sau naaz-o-adaa se ha.ns ha.ns karpahluu ke biich machaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiitarkiib banii ho majlis kii aur kaafir naachne vaale ho.nmu.nh un ke chaa.nd ke Tuk.De ho.n tan un ke ruu.ii ke gaale ho.nposhaake.n naazuk ra.ngo.n kii aur o.Dhe shaal do-shaale ho.nkuchh naach aur rang kii dhuume.n ho.n aish me.n ham matvaale ho.npiyaale par pyaala chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar ek makaa.n ho KHalvat kaa aur aish kii sab tayyaarii hovo jaan ki jis se jii Gash ho sau naaz se aa jhankaarii hodil dekh 'naziir' us kii chhab ko har aan adaa par vaarii hosab aish muhayyaa ho aa kar jis jis armaan kii baaii hojab sab armaan nikaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kii
buu.Dhaa panvaa.Dii us ke baalo.n me.n maa.ng hai nyaariiaa.nkho.n me.n jiivan kii bujhtii agnii kii chi.ngaariinaam kii ik haTTii ke andar bosiida almaariiaage piital ke taKHte par us kii duniyaa saariipaan katthaa cigarette tambaakuu chuunaa lau.ng supaarii
puuchh na kyaa lahore me.n dekhaa ham ne miyaa.n-'naziir'pahne.n suiT a.ngrezii bole.n aur kahlaa.e.n 'miir'chaudhariyo.n kii muTThii me.n hai shaa.ir kii taqdiirro.e bhagat kabiirik-duuje ko jaahil samjhe.n naT-khaT buddhiivaanmetro me.n jo chaa.e pilaa.e bas vo baap samaansab se achchhaa shaa.ir vo hai jis kaa yaar mudiirro.e bhagat kabiirsa.Dko.n par bhuuke phirte hai.n shaa.ir mausiiqaaractorso.n ke baap liye phirte hai.n motor-kaarfilm-nagar tak aa pahu.nche hai.n sayyad piir faqiirro.e bhagat kabiirlaal-diin kii koThii dekhii rang bhii jis kaa laalshahr me.n rah kar KHuub u.Daa.e dahqaano.n kaa maalaur kahe ajdaad ne baKHshii mujh ko ye jaagiirro.e bhagat kabiirjis ko dekho leader hai aur se milo vakiilkisii tarah bhartaa hii nahii.n hai peT hai un kaa jhiilmajbuuran sun.naa pa.Dtii hai un sab kii taqdiirro.e bhagat kabiirmahfil se jo uTh kar jaa.e kahlaa.e vo borapnii masjid kii taariife.n baaqii juute-chorapnaa jhang bhalaa hai pyaare jahaa.n hamaarii hiirro.e bhagat kabiir
kahii.n hai ijtimaa tabliiGiyo.n kaa ek koThii me.nto hai shii.o.n kii majlis aur raqaa.im duusre ghar me.n
sa.Dak kinaare sTeshno.n parpuraane koThe kii balcony me.nhoTalo.n kii bahisht-timsaal lobbiyo.n me.nba.De buzurgo.n ke maqbaro.naur haspataalo.n ke gate ke paasshab ga.e jo kha.De hu.e hai.nye log kyaa hai.n
jaante ho mai.n huu.n kyaa mai.n huu.n vaishyaapataa hai mai.n ne hai kyaa kyaa kiyaamai.n naachtii huu.n koTho.n par KHush hotii huu.n bus noTo.n parhar raat har raat mai.n apnaa jism bechtii huu.nitnaa dard mai.n bus paiso.n ke liye to sahtii huu.nmai.n logo.n kii raate.n ra.ngiin kartii huu.nhar raat ye apraadh sa.ngiin kartii huu.nmeraa naam aam me.n lene nahii.nnote ke alaava merii zindagii kaa ko.ii naayak nahii.nzindagii me.n meraa na hai asitiv na ko.ii iimaansamaaj ke liye to mai.n huu.n hii nahii.n insaanagar hai to bas hai ek pahchaanhuu.n ek koThe vaalii kartii huu.n apnaa hii jism niilaamhar raat merii ek na.e geraahak ke saath hotii haihar raat merii aatmaa apnii pahchaan khotii haimerii maa.n kaa bhii to yahii kaam thaa nahii.n jaantii mere pitaa kaa kyaa naam thaajaan kar bhii kyaa kar letii vo bhii ek vaishyaa thiikaam un kaa logo.n ko sukh denaa thaa chintaa nahii.nviraasat me.n un se bas yahii ek kaam milaajis ke kaaran hii shaayad mujhe jiivan me.n kuchh na milaanahii.n nahii.n galtii un kii nahii.n unho.nne to pa.Dhaanaa chaahaa thaapar kyaa kare.n maalkin ko ye bilkul naagavaar thaana jaa.e diyaa mujhe is narak se baahar na ban.ne dii ko.ii pahchaanun ke dabaav me.n hii to mujhe khonaa pa.Daa meraa iimaanab logo.n ko bhii kyaa dosh duu.n jo mujh par thuuk kar jaate hai.nnahii.n jaante vo meraa sach bas kuchh bhii kah jaate hai.ndukh to KHuub hotaa hai par ab aadat sii ho ga.ii haisochtii huu.n kabhii kyaa merii ye aadat vaaqa.ii sahii haikyaa mujhe jiine kaa ko.ii maukaa milegaakyaa mere jiivan me.n bhii pyaar kaa phuul khilegaaham-safar nahii.n bas ek hamdard hii chaahiyepahchaan nahii.n tho.Daa saa bas pyaar hii chaahiyeiimaan nahii.n tho.Dii sii bas izzat hii chaahiyearmaan hai bas ek ko.ii vaishyaa nahii.n nahii.n vaishnavii kar bulaa.epaise dekh kar nahii.n pyaar de kar gale se lagaa.ekisii ke ghar TuuTne kaa nahii.n ju.Dne kaa kaaran ban.naa chaahtii huu.nbas ek baar kisii ke dikh kaa nivaaran ban.naa chaahtii huu.nkisii kii biivii na sahii bahan ban.naa chaahtii huu.nhar baar kii tarah vaishyaa nahii.n ek insaan ban.naa chaahtii huu.n
us maa.n ko sangsaar karnaa chaahtii huu.njis ne beTii ke KHvaab phaa.D karbeTe kii kitaabo.n par kavar cha.Dhaa.eaur beTii ko badbuu-daar shauhar dete hu.ebeTe se aatii koThe kii KHushbuunazar-andaaz kar dii
aa mere andar aapavitra mahraan ke paaniiThanDe miiThe maTyaale paaniimaTiyaale jiivan rang jaldho de saaraa krodh kapaTshahro.n kii dishaa.o.n kaa sab chhalyuu.n sii.nch mujhe kar de merii miTTii jal-thaltire tal kii kaalii chiknii miTTii semaathe par tilak lagaa.uu.nhaath jo.D Da.nDvat karuu.no man ke bhed se gahrehaule haule saa.ns khii.nchteom samaan amaro mahaan saagarmai.n utrii tere ThanDe jal me.n kamar kamartere ThanDe miiThe mehrbaan paanii se mu.nh dho luu.naur dho luu.n aa.nsuukhaare aa.nsuutere miiThe paanii se dho luu.no mahaan maTiyaale saagar aasun mirii kathaamai.n ba.Dii abhaagan bhaag meraabedard haath me.n rahaa sadaaTuuTaa meraa miTTii se naatakaise TuuTaaik aa.ndhii ba.Dii bhayaanak laal chu.Dailmujhe le u.DiiuThaa kar paTkaa us ne kahaa.n se kahaa.ntere charno.n me.n siis jhukaatii ek akelii jaanmere saath meraa ko.ii miit nahii.nko.ii rang ruup ko.ii priit nahii.nmirii an-ga.Dh phiikii murjhaatii bolii me.n ko.ii sa.ngiit nahii.nmirii pii.Dhiyo.n ke biite yug mere saath nahii.nbas ik nirda.ii dharam haijis kaa bharam nahii.nvo dharam jo kahtaa hai miTTii mirii bairan haijo mujhe sikhaataa hai saagar meraa dushman haihaa.n duur kahii.naakaash kii uu.nchaa.ii se parerahtaa hai KHudaaitnaa ruukhaamiTTii se jo.D nahii.n jis kaasab naate priit aur bair ke us kii kaaran mai.n kaise jo.Duu.nmai.n miTTii meraa janam miTTiimai.n miTTii ko kaise chho.Duu.no maTiyaale balvaan mahaa-saagarmai.n ukh.Dii dhartii sebhagvaan miraa ras suukh gayaaphir bhii suntii huu.n apne lahuu me.n biite samay kii narm dhamakvo samay jo mere janam se pahle biit gayaamere kaano.n me.nik shor hai jhar-jhar bahte naddii naalo.n kaaaur ko.ii mahak ba.Dii be-kal haijo guu.nj banii mirii chhaatii se Takraatii haio mahaan saagarjiivan-ras deapne tal me.n jal-paudaa ban kar ja.D lene desadaa jiyeo mahaan saagar sindhuutuu sadaa jiyeaur ji.e.n tire paanii me.n phisaltii machhliyaa.nshaant sukhii yuu.nhiitire paanii me.n naav khetetire baalak sadaa ji.e.no paalan-haar hamaaredhartii ke rakhvaaleann-daataatirii dhartiinarm retiilii mehrbaan sindh kii dhartiisadaa jiye
ham aazaadii ke diivaane ye duniyaa farzaano.n kiiis paapii sansaar me.n baabaa kaun sune diivaano.n kiimasjid mandir sab ke andar raaj Gulaamii kartii haidaulat le kar naam KHudaa kaa ghar ghar dharnaa dhartii haikoThii ba.ngle gore saa.npo.n kii ik aisii bastii haijo bhaarat ke bhole-bhaale insaano.n ko Dastii haiun se bach kar chalnaa baabaa ye qaatil zahriile hai.nsuurat ke mohan hai.n bhiitar se sab niile piile hai.nshaidaa huu.n aazaadii kaa aazaad-nagar me.n Deraa haikyaa batlaa.uu.n mere bhayyaa kaun jahaa.n me.n meraa haivo meraa jo aazaadii kii zulfo.n kaa diivaana haivo meraa jo sham-e-vatan kaa shaidaa.ii parvaana haivo meraa jo maut ke aage be-jigarii se tantaa haivo meraa jo aap na ho kuchh jis kii sab kuchh jantaa haivo meraa jo ha.nste ha.nste phaa.nsii par cha.Dh jaataa haivo meraa jo maut se bhii do chaar qadam ba.Dh jaataa haiaazaadii ke taalib sun le maut hii merii manzil haituu duniyaa kaa ban saktaa hai meraa ban.naa mushkil hai
mai.n ne ik din KHvaab me.n dekhaa ki ik mujh saa faqiirgardish-e-paimaana-e-imroz-o-fardaa kaa asiirgarche bilkul be-gunah thaa ho gayaa lekin vaziirya.anii ik jho.nkaa jo aayaa bujh ga.ii sham-e-zamiirmuft me.n koThii milii motor milii p.a milaajab gayaa picnic pe baahar tour kaa T.a milaa
kabhii dil sochtaa hai in tavaa.if-zaadiyo.n kii zindagii likkhuu.nki jin ke roz-o-shab koThe kii chhoTii koTharii me.n malgajii sii raushnii me.n zindagii kii talKHiyaa.n chun kar guzartii hai.nki jin ke phuul se komal badan ne thuuk se luTh.De badan kaa faasla saa tai kiyaa ho chand lamho.n me.nki jin ke tan se laakho.n vahshiyo.n ne raat-o-din ke har pahar me.n jaa.n-fishaanii se havas kii fasl kaaTii ho
hame.n ek din KHatm karnaa pa.Degaahamaare dilo.n me.n jo kuchh faasla haihame.n dhuup me.n KHuub chalnaa pa.Degaamohabbat kaa bas ek hii raasta haiham insaan hai.n aur insaa.n rahe.ngejo haivaan hai.n ek din ta.ng aa karchale jaa.e.nge apne jangal me.n vaapasjahaa.n vo rahe.nge vahii.n la.D mare.ngejo baaqii bache.nge vo shahro.n me.n aa kargharo.n ko jalaane kii koshish kare.ngejavaano.n ko khaane kii koshish kare.ngevo college se jaatii hu.ii la.Dkiyo.n koa.ndhere me.n laane kii koshish kare.ngeham insaan hai.n aur insaa.n kii izzathamesha bachaane kii koshish kare.ngehame.n ko.ii ashlok aataa nahii.n haisuvaamii kaa tirshuul bhaataa nahii.n haihamaarii kaviitaa, hamaarii kathaa haihamaarii kitaabe.n hamaaraa jathaa haiagar ko.ii diimak hamaaraa asaasamiTaane kii aashaa liye aa rahii haivo ye jaan le ki hamaare dilo.n me.nmohabbat kii lau jagmagaane lagii haihame.n apne siino.n kii sii.Dhii banaa kekisii raat ambar pe jaanaa pa.Degaadiye kii jagah phuul rakhne pa.De.ngeparindo.n ke hamraah gaanaa pa.Degaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books