aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "mu.nh-phat"
mai.n jab bhiizindagii kii chilchilaatii dhuup me.n tap karmai.n jab bhiiduusro.n ke aur apne jhuuT se thak karmai.n sab se la.D ke KHud se haar kejab bhii us ek kamre me.n jaataa thaavo halke aur gahre kattha.ii ra.ngo.n kaa ik kamravo behad mehrbaa.n kamrajo apnii narm muTThii me.n mujhe aise chhupaa letaa thaajaise ko.ii maa.nbachche ko aa.nchal me.n chhupaa lepyaar se Daa.nTeye kyaa aadat haijaltii dopahar me.n maare maare ghuumte ho tumvo kamra yaad aataa haidabiiz aur KHaasaa bhaariikuchh zaraa mushkil se khulne vaalaa vo shiisham kaa darvaazaki jaise ko.ii akkha.D baapapne khurdure siine me.nshafqat ke samundar ko chhupaa.e hovo kursiiaur us ke saath vo ju.Dvaa.n bahan us kiivo dono.ndost thii.n meriivo ik gustaaKH mu.nh-phaT aa.iinajo dil kaa achchhaa thaavo be-ha.ngam sii almaariijo kone me.n kha.Diiik buu.Dhii annaa kii tarahaa.iine ko tambiih kartii thiivo ik gul-daannanhaa saabahut shaitaanun dino.n pe ha.nstaa thaadariichayaa zehaanat se bharii ik muskuraahaTaur dariiche par jhukii vo belko.ii sabz sargoshiikitaabe.ntaaq me.n aur shelf parsanjiida ustaanii banii baiThii.nmagar sab muntazir is baat kiimai.n un se kuchh puuchhuu.nsirhaanenii.nd kaa saathiithakan kaa chaara-garvo narm-dil takiyamai.n jis kii god me.n sar rakh kechhat ko dekhtaa thaachhat kii ka.Diyo.n me.nna jaane kitne afsaano.n kii ka.Diyaa.n thii.nvo chhoTii mez paraur saamne diivaar paraavezaa.n tasviire.nmujhe apnaa.iyat se aur yaqii.n se dekhtii thii.nmuskuraatii thii.nunhe.n shak bhii nahii.n thaaek dinmai.n un ko aise chho.D jaa.uu.ngaamai.n ik din yuu.n bhii jaa.uu.ngaaki phir vaapas na aa.uu.ngaa
zamaana aayaa hai be-hijaabii kaa aam diidaar-e-yaar hogaasukuut thaa parda-daar jis kaa vo raaz ab aashkaar hogaaguzar gayaa ab vo daur-e-saaqii ki chhup ke piite the piine vaalebanegaa saaraa jahaan mai-KHaana har ko.ii baada-KHvaar hogaakabhii jo aavaara-e-junuu.n the vo bastiyo.n me.n phir aa base.ngebarahna-paa.ii vahii rahegii magar nayaa KHaarzaar hogaasunaa diyaa gosh-e-muntazir ko hijaaz kii KHaamushii ne aaKHirjo ahd sahraa.iyo.n se baa.ndhaa gayaa thaa phir ustuvaar hogaanikal ke sahraa se jis ne ruumaa kii saltanat ko ulaT diyaa thaasunaa hai ye qudsiyo.n se mai.n ne vo sher phir hoshiyaar hogaakiyaa miraa tazkira jo saaqii ne baada-KHvaaro.n kii anjuman me.nto piir-e-mai-KHaana sun ke kahne lagaa ki mu.nh-phaT hai KHvaar hogaadayaar-e-maGrib ke rahne vaalo KHudaa kii bastii dukaa.n nahii.n haikharaa jise tum samajh rahe ho vo ab zar-e-kam-ayaar hogaatumhaarii tahziib apne KHanjar se aap hii KHud-kushii karegiijo shaaKH-e-naazuk pe aashiyaana banegaa naa-paa.edaar hogaasafiina-e-barg-e-gul banaa legaa qaafila mor-e-naa-tavaa.n kaahazaar maujo.n kii ho kashaakash magar ye dariyaa se paar hogaachaman me.n laala dikhaataa phirtaa hai daaG apnaa kalii kalii koye jaantaa hai ki is dikhaave se dil-jalo.n me.n shumaar hogaajo ek thaa ai nigaah tuu ne hazaar kar ke hame.n dikhaayaayahii agar kaifiyat hai terii to phir kise e'tibaar hogaakahaa jo qumrii se mai.n ne ik din yahaa.n ke aazaad paa-ba-gil hai.ntuu Gunche kahne lage hamaare chaman kaa ye raazdaar hogaaKHudaa ke aashiq to hai.n hazaaro.n bano.n me.n phirte hai.n maare maaremai.n us kaa banda banuu.ngaa jis ko KHudaa ke bando.n se pyaar hogaaye rasm-e-bazm-e-fanaa hai ai dil gunaah hai jumbish-e-nazar bhiirahegii kyaa aabruu hamaarii jo tuu yahaa.n be-qaraar hogaamai.n zulmat-e-shab me.n le ke nikluu.ngaa apne dar-maa.nda kaarvaa.n kosharar-fishaa.n hogii aah merii nafas miraa shola-baar hogaanahii.n hai Gair-az-numuud kuchh bhii jo mudda.aa terii zindagii kaatuu ik nafas me.n jahaa.n se miTnaa tujhe misaal-e-sharaar hogaana puuchh 'iqbaal' kaa Thikaanaa abhii vahii kaifiyat hai us kiikahii.n sar-e-raah-guzaar baiThaa sitam-kash-e-intizaar hogaa
ek kachhve ke aa ga.ii jii me.nkiijiye sair o gasht KHushkii kiijaa rahaa thaa chalaa hu.aa KHaamoshus se naahaq ulajh pa.Daa KHargoshmiyaa.n kachhve! tumhaarii chaal hai yeyaa ko.ii shaamat aur vabaal hai yeyuu.n qadam phuu.nk phuu.nk dharte hogoyaa uttuu zamii.n pe dharte hokyuu.n hu.e chal ke muft me.n bad-naambe-chale kyaa aTak rahaa thaa kaamtum ko ye hausla na karnaa thaachulluu paanii me.n Duub marnaa thaaye tan-o-tosh aur ye raftaaraisii raftaar par KHudaa kii maarbolaa kachhvaa ki ho.n KHafaa na huzuurmai.n to huu.n aap mo'tarif ba-qusuuragar aahistagii hai jurm-o-gunaahto mai.n KHud apne jurm kaa huu.n gavaahmujh ko jo saKHt sust farmaayaaaap ne sab durust farmaayaamujh ko Gaafil magar na jaaniyegaabanda-parvar buraa na maaniyegaayuu.n zabaanii javaab to kyaa duu.nshart bad kar chalo to dikhlaa duu.ntum to ho aaftaab me.n zarrapar miTaa duu.ngaa aap kaa Gurrasun ke KHargosh ne ye talKH javaabkahaa kachhve se yuu.n zi-ruu-e-itaabtuu kare merii ham-sarii kaa KHayaalterii ye taab ye sakat ye majaalchyuu.nTii ke jo par nikal aa.eto yaqii.n hai ki ab ajal aa.eare bebaak! bad-zabaa.n mu.nh-phaTtuu ne dekhii kahaa.n hai dau.D jhapaTjab mai.n tezii se jast kartaa huu.nshahsavaaro.n ko past kartaa huu.ngard ko merii baad-e-paa na lagelaakh dau.De miraa pata na lagerail huu.n barq huu.n chhalaavaa huu.nmai.n chhalaave kaa balki baavaa huu.nterii merii nibhegii sohbat kyaaaasmaa.n ko zamii.n se nisbat kyaajis ne bhugte ho.n turkii o taaziiaaise mariyal se kyaa bade baaziibaat ko ab ziyaada kyaa duu.n tuulKHair kartaa huu.n terii shart qubuulhai munaasib ki imtihaa.n ho jaa.etaaki aib o hunar ayaa.n ho jaa.eal-Garaz ik maqaam Thahraa karhu.e dono.n hariif garm-e-safarbas-ki zoro.n pe thaa cha.Dhaa KHargoshtezii phurtii se yuu.n ba.Dhaa KHargoshjis tarah jaa.e top kaa golaayaa gire aasamaan se olaaek do khet chauk.Dii bhar keapnii chustii pe aafrii.n kar kekisii goshe me.n so gayaa jaa karfikr ''kyaa hai chale.nge sustaa kar''aur kachhvaa Gariib aahistachalaa siine ko KHaak par ghistaasuu.ii ghanTe kii jaise chaltii haiyaa ba-tadriij chhaa.nv Dhaltii haiyuu.nhii chaltaa rahaa ba-istiqlaalna kiyaa kuchh idhar udhar kaa KHayaalkaam kartaa rahaa jo pai-dar-paikar gayaa rafta rafta manzil taihaif KHargosh rah gayaa sotaasamra Gaflat kaa aur kyaa hotaajab khulii aa.nkh to saveraa thaasaKHt sharmindagii ne gheraa thaasabr o mohabbat me.n hai sar-afraaziisust kachhve ne jiit lii baaziinahii.n qissa ye dil-lagii ke liyebalki ibrat hai aadmii ke liyehai suKHan is hijaab me.n ruu-poshvarna kachhvaa kahaa.n kahaa.n KHargosh
ye chiinii kii gu.Diyaa hai yaa zaalim bis kii pu.Diyaaye bad-suurat guDDaa hai yaa europe des kaa baunaaham bhii ek khilaunaa yaaro tum bhii ek khilaunaatank ko dekho re.ng rahaa hai kaisaa faT faT faT faTuu.nT ko dekho dau.D rahaa hai kaisaa aunaa paunaaham bhii ek khilaunaa yaaro tum bhii ek khilaunaamurGaa kuk.Duu.nkuu.n kartaa hai murGii kaT kaT kaT kaTchor bhago.Daa bhaag rahaa hai le kar ek bhagonaaham bhii ek khilaunaa yaaro tum bhii ek khilaunaachhunne bhayyaa soch rahe hai.n kaise haath dikhaa.e.nmu.nh me.n paanii haatho.n me.n aaluu kii chaaT kaa donaaham bhii ek khilaunaa yaaro tum bhii ek khilaunaaghu.nghaT us kaa chhe foot lambaa choTii das foot lambiibiich mahalle aaj hu.aa kaanii gu.Diyaa kaa gaunaaham bhii ek khilaunaa yaaro tum bhii ek khilaunaa
tum mirii khoj me.nyuu.n hii taariik Gaaro.n maTho.n maabado.n KHaanqaaho.n me.nghuT ghuT ke mar jaa.ogemai.n nahii.n mil sakuu.ngaa tumhe.n ab kabhiidharm me.n singh me.n dhyaan me.n gyaan me.nniile saagar kii tah me.n utar karbrazil ke ja.ngalo.n me.n bhaTak karhimaala kii choTii pe cha.Dh karmujhe tum na aavaaz do
mai.n sun rahaa huu.nmai.n sun rahaa huu.ntumhaarii aa.nkho.n kaa shortumhaare masaamo.n se buu.nd buu.nd Tapaktii hu.ii aavaaze.ntumhaarii chhaatiyo.n kii niilii niilii lakiiro.n ke darmiyaankunmunaate hu.e bachcho.n kii sargoshiyaa.n
ik dasht me.n sunaa hai ki ik KHuub thaa hiranbachcha hii thaa abhii na hu.aa thaa ba.Daa hiranphirtaa thaa chauk.Dii kaa dikhaataa mazaa hirandekhaa jo ek kavve ne vo KHushnumaa hirandil ko nihaayat us ke vo achchhaa lagaa hirando baate.n kar ke kavve ne us ko lagaa liyaadam me.n hiran bhii kavve kii ulfat me.n aa gayaakavve hiran me.n Thahrii jo gahrii mohabbat aakavvaa jidhar jidhar ko KHushii ho ke jaataa thaaphirtaa thaa us ke saath lagaa jaa-ba-jaa hiranik giida.D us hiran ke kane aa ke naa-bakaarbolaa hazaar jaan se mai.n tum pe huu.n nisaarmujh ko bhii apnaa jaan Gulaam aur dost-daaraur dil me.n ye ki kiije kisii taur se shikaarus kii daGaa-o-makr se vaaqif na thaa hirangiida.D ye kah ke makr se jis dam gayaa udharkavvaa hiran se kahne lagaa kar ke shor-o-sharye saKHt makr-baaz hai kar is se tuu hazarik din daGaa se tujh ko ye pak.Degaa fitna-garsun kar ye baat kavve kii chup ho rahaa hirandin duusre hiran kane giida.D phir aa gayaakavve ko sotaa dekh ye bolaa vo pur-daGaamai.n aaj dekh aayaa huu.n kyaa khet ik haraatum khaa.o us ko chal ke to ho shaad dil miraasunte hii us ke saath uchhaltaa chalaa hiranjis khet pe ye le ke gayaa us ko bad-sigaalvaa.n pahle dekh aayaa thaa vo ik hiran kaa jaalle pahu.nchaa jab hiran ke ta.ii.n khet par shaGaaljaate hii vaa.n hiran ne diyaa mu.nh ko us me.n Daalmu.nh Daalte hii jaal me.n vaa.n pha.ns gayaa hiranvaa.n pha.Dpha.Daataa aa gayaa kavvaa bhii naa-gahaa.ngiida.D ko de ke gaalii hiran se kahaa ki haa.nta.Dpe mat is me.n varna tuu hovegaa naa-tavaa.nkavve kii baat sunte hii himmat ko baa.ndh vaa.njaise giraa pa.Daa thaa vahii.n phir uThaa hirangiida.D lagaa jab aane hiran kii taraf jhapaTkavvaa pukaaraa maar to sii.ng ik jo jaave haTyaa ik khurii tuu aisii lagaa paa.nv kii lapaTjaave jo us ke lagte hii giida.D kaa peT phaTsun kar kha.De ho sii.ng hilaane lagaa hirangiida.D ne KHuub kavve ko dii.n jal ke gaaliyaa.nsayyaad vaa.n hu.aa thaa kisii kaam ko ravaa.nus me.n shikaarii aa ke hu.aa duur se 'ayaa.nkavvaa pukaaraa leT jaa dam band kar ke haa.ndam band kar ke apnaa vahii.n gir pa.Daa hirangiida.D ne us ko dekh ke ik jaa ke jhaa.Dii liisayyaad us hiran ko pa.Daa dekh us gha.Diiafsos kar ke daam kii rassii vo khol diikavvaa pukaaraa bhaag are vaqt hai yahiisunte hii vaa.n se chauk.Dii bhar kar u.Daa hiransayyaad ne jo dekhaa hiran uTh chalaa jhapaakjaldii se dau.Daa piichhe hiran ke vo siina-chaakso.nTe ko phe.nk maaraa jo phurtii se us ne taakbhaagaa hiran lagaa vahii.n giida.D ke aa khaTaaksar us kaa phuuTaa aur vo salaamat gayaa hirangiida.D ne us hiran kaa jo chetaa thaa vaa.n buraapaa.ii usii ne apnii badii kii vahii.n sazaathaa ye to nasr mai.n ne ise nazm me.n kiyaapahu.nchaa 'naziir' jab vo KHushii ho ke apnii jaakavve ke saath phir vo bahut KHush rahaa hiran
magar billii ko ronaa chaahiye thaamujhe hoshiyaar kar ke hii is raat sonaa chaahiye thaaki vo ghar me.n haivoyaanii mirii mautuse kuchh bhii nahii.n karnaa pa.Daamujhe to sirf lamhe bhar kii is sharmindagii ne maar Daalaavo mere haal par mu.nh phaa.D kar jab ha.ns rahii thiiki jab vo saamne aa.iimirii aa.nkho.n me.n KHvaabo.n kii chamak thiihathelii par davaa kii goliyaa.n thii.n jin ko badlaa thaa savere doctor neaur mai.n nihaayat mutma.in thaa kal ko le karye manzar yuu.n nahii.n kuchh aur honaa chaahiye thaaaur bahut mumkin hai hotaa bhiiagar mujh ko zaraa aagaah kar detii vo kutiyaavo mirii billii
tire tabassum kii lau ubhartii hii jaa rahii haitujhe nazar aa rahii hai shaayad vo ziist jo laash ban ke ta.Dpegiikal sahar komagar mai.n kuchh aur dekhtaa huu.nagar mai.n ye shab guzaar detaa gurisna shero.n ke ja.ngalo.n me.njahaa.n har ik lahza maut mu.nh phaa.D kar jhapaTtii haibebasii paragar mai.n ye shab guzaar detaa kisii samundar ke sard siine kii dho.nknii parjahaa.n har ek lahza maut mu.nh phaa.D kar jhapaTtii haibebasii paragar mai.n ye shab guzaar detaa kisii Gam-e-marg-aafrii.n me.nki jis ke changul me.n lahza lahza lahuu Tapaktaa hai aarzuu kaaajab na thaa aaj shab agar meraa ko.ii dushmanmire badan se ye nok-e-KHanjar nikaal detaa vo KHuu.n jo ab merii zindagii haijo ab tire paikar-e-masarrat kii vaadiyo.n me.nmirii haqiiqat kaa raaz-daa.n haiqubuul hai mujh ko aaj kii shab sahar hai jis kii abad kii manziljamaal-e-marg aafrii.n ye shab merii zindagii hai
chaa.ndii kii a.nguuThii pe jo sone kaa cha.Dhaa jholochhii thii lagii bolne itraa ke ba.Daa bolai dekhne vaalo tumhii insaaf se kahnaachaa.ndii kii a.nguuThii bhii hai kuchh gahno.n me.n gahnaachaa.ndii kii a.nguuThii ke na mai.n saath rahuu.ngiivo aur hai mai.n aur ye zillat na sahuu.ngiimai.n qaum kii uu.nchii huu.n ba.Daa meraa gharaanaavo zaat kii ghaTiyaa hai nahii.n us kaa Thikaanaamerii sii kahaa.n chaashnii meraa saa kahaa.n ra.ngvo mol me.n aur tol me.n mere nahii.n paassa.ngmerii sii chamak us me.n na merii sii damak haichaa.ndii hai ki hai raa.ng mujhe is me.n bhii shak haiye sunte hii chaa.ndii kii a.nguuThii bhii ga.ii jalallaah-re mulamme kii a.nguuThii tere chhal-balsone kii mulamme pe na itraa merii pyaariido din me.n bha.Dak us kii utar jaa.egii saariikuchh der haqiiqat ko chhupaayaa bhii to phir kyaajhuuTo.n ne jo sachcho.n ko cha.Dhaayaa bhii to phir kyaamat bhuul kabhii asal tuu apnii arii ahmaqjab taav diyaa jaa.egaa ho jaa.egaa mu.nh faqsachche kii to izzat hii ba.Dhegii jo kare.n jaa.nchmash.huur masal hai ki nahii.n saa.nch ko kuchh aa.nchkhone ko kharaa ban ke nikharnaa nahii.n achchhaachhoTe ko ba.Daa ban ke ubharnaa nahii.n achchhaa
vo mujh kopaagal kahtii thiipar mujh se bichha.Dte lamhe vokuchh aise phuuT ke ro.ii kimere bojhal kandho.n sevo sar ko haTaanaa bhuul ga.ii
chandaa maamaa kahtaa haikah kar ha.nstaa rahtaa haimunnaa dekho rotaa hairotaa hai chup hotaa haisone kii thaalii me.n yeduudh aur chaaval khaa.egaamotor par apnii cha.Dh kechandaa nagrii jaa.egaatyre gayaa phaTmunnaa gayaa ulaT
KHud me.n utar kar mai.n royaa thaabaahar manzarphuuT phuuT kar itnaa royaahar shai Duub ga.ii thiiaur mai.n us palapne tan kii kashtii khetaasaat samundar paar gayaa thaasuuraj taaro.n aur ambar negale lagaa kardhartii kaa uphaar diyaa thaasab kuchh mujh par vaar diyaa thaa
mirii mezbaa.n nehavaa.ii safar me.nchamak apnii aa.nkho.n me.n laate hu.ebaa-zabaan-e-KHamoshii ye mujh se kahaa thaahavaa.ii musaafirzamii.n par nahii.n hamKHalaa kaa safar hai dariiche na kholo
chaar din kii chaa.ndniike silsile me.nmiraa nauhasunte suntechaa.nd ne kalDuubne se qablmujh se ye kahaachashm-e-tar ke jugnu.o.n sejo kiran bhii phuuT niklebas use hiiasr-e-nau kiitiirgii me.ngholne kiiDhuu.nDte rahnaa sabiil
mai.n huu.nviiraane me.nek shajar tanhaamujh pe chhaayaa rahtaa hai ek muhiib sannaaTaajaane kab takin sannaaTo.n kaa saath rahegaadil me.n jaage hai bas yahii armaa.nkaash chi.Diyaa ko.ii aa.emujh pe baiThe phudke gaa.eKHuub chahchahaa.ejo.D ke tinkebaaho.n par mirii KHuub manaa.e rain baseraajanm de bhole-bhaale bachcho.n koshaaKHo.n se phal to.De khaa.e khilaa.e bachcho.n kobaiThe phudke gaa.eKHuub chahchahaa.ekaash chi.Diyaa ko.ii aa.e
munnuu chunnuu farii zariiba.Dhe jaa.o pa.Dhe jaa.okhele jaa.o khaa.e jaa.oDaal ho ki paat hosub.h ho ki raat hozindagii kii baat hokhele jaa.o khaa.e jaa.olap shap lap shaphuu haa huukhele jaa.o khaa.e jaa.ohallaa-gullaa laa.e jaa.omunnuu chunnuu farii zariiba.Dhe jaa.o pa.Dhe jaa.oroom shaam chiinek do tiinkaaf siin shiinsab sabaq sunaa.e jaa.okhele jaa.o khaa.e jaa.olap shap lap shaphuu haa huuhallaa-gullaa laa.e jaa.omunnuu chunnuu farii zariiba.Dhe jaa.o pa.Dhe jaa.oshoKH giit gaa.e jaa.ochhan chhan chhanba.nsarii bajaa.e jaa.ochham chham chhammiim muskuraa.e jaa.ojiim jagmagaa.e jaa.ochhan chhan chhanchham chham chhamdham dham dhamlap shap lap shaphuu haa huukhele jaa.o khaa.e jaa.ohallaa-gullaa laa.e jaa.o
ramz-o-iimaa is zamaane ke liye mauzuu.n nahii.naur aataa bhii nahii.n mujh ko suKHan-saazii kaa fanqum-bi-iznillaah kah sakte the jo ruKHsat hu.eKHaanqaaho.n me.n mujaavar rah ga.e yaa gorkan
ek shajarphuulo.n kii KHushbuubhiinii bhiiniishahad ke phalraushan aa.nkhe.ncha.Dhii kamaane.ntauba kii Daaliimatvaalii
kaash tum mujh se nafrat kartii.n to mai.n vaapas tanhaa.ii ke tane me.n chhup jaataajahaa.n mere aa.nsuu shaaKHo.n par ugteaur mai.n fan ke miiThe phal detaatum ne jab jab aavaaz diimerii tanhaa.ii mujh se ruuTh ga.iiaur mai.n har baar karaahtaa hu.aa lauTaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books