aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "munsifii"
bahut hai zulm ke dast-e-bahaana-juu ke liyejo chand ahl-e-junuu.n tere naam-levaa hai.nbane hai.n ahl-e-havas mudda.ii bhii munsif bhiikise vakiil kare.n kis se munsifii chaahe.nmagar guzaarne vaalo.n ke din guzarte hai.ntire firaaq me.n yuu.n sub.h o shaam karte hai.n
karo.Do.n chehreaur un ke piichhekaro.Do.n chehreye raaste hai.n ki bhi.D ke chhattezamiin jismo.n se Dhak ga.ii haiqadam to kyaa til bhii dharne kii ab jagah nahii.n haiye dekhtaa huu.n to sochtaa huu.nki ab jahaa.n huu.nvahii.n simaT ke kha.Daa rahuu.n mai.nmagar karuu.n kyaaki jaantaa huu.nki ruk gayaa tojo bhii.D piichhe se aa rahii haivo mujh ko pairo.n tale kuchal degii piis degiito ab jo chaltaa huu.n mai.nto KHud mere apne pairo.n me.n aa rahaa haikisii kaa siinakisii kaa baazuukisii kaa chehrachaluu.nto auro.n pe zulm Dhaa.uu.nrukuu.nto auro.n ke zulm jheluu.nzamiirtujh ko to naaz hai apnii munsifii parzaraa sunuu.n toki aaj kyaa teraa faisla hai
tum jo aa jaa.o aaj dillii me.nKHud ko paa.oge ajnabii kii tarahtum phiroge bhaTakte rasto.n me.nek be-chehra zindagii kii tarahdin hai dast-e-KHasii.n kii maanindraat hai daaman-e-tahii kii tarahpanja-e-zar-garii o zar-giiriiaam hai rasm-e-rahzanii kii tarahaaj har mai-kade me.n hai kohraamhar galii hai tirii galii kii tarahvo zabaa.n jis kaa naam hai urduuTh na jaa.e kahii.n KHushii kii tarahham-zabaa.n kuchh idhar udhar saa.enazar aa.e.nge aadmii kii tarahtum the apnii shikast kii aavaazaaj sab chup hai.n munsifii kii tarahaa rahii hai nidaa bahaaro.n seek gumnaam raushnii kii tarahis a.ndhere me.n ik rupahlii lakiirek aavaaz-e-haq nabii kii tarah!
jis ne puurii munsifii kii aaj tak duniyaa ke saathzulm kii dushman hai jo ik zulm-e-be-parda ke saath
halaf uThaane kii rasm se be-niyaaz lamhetamaam mafluuj adl-gaaho.n kii maslahat-kesh-be-zabaanilahuu-faroshii ke kul dalaa.eldafaatir-e-munsifii par tahriir kar rahe hai.n
Dher kirchiyo.n keaa.nkh me.n hai.n lekinaa.ine nauhaahar kisii qalam kii dastaras se baaharraushnii ke ghar me.ntiirgii kaa pattharkis taraf se aayaakaun hai vo aaKHirjo pas-e-tamaashaa muskuraa rahaa haiik savaal hotii haizindagii nagar kiisurKHiyaa.n KHabar kii khojtii hai lekinKHvaab ke safar kii saa.ato.n pe qadGansoch rehn-e-sar hainii.nd kii sahar joqarya-e-tamannaa luuT le gayaaus ke naqsh-e-paa bhiichun liye havaa nemunsifii ke daa.iibe-yaqiin mausam baa.nTte hai.n ghar gharaur haDDiyo.n ke naa-tavaa.n se panjarsurKH battiyo.n ke KHauf kii sa.Dak parsiren bajaatii ek naa-gahaaniitaa-abad ta.aaqubKHatm hai kahaanii
ye KHaak aur aab kaa tavaazunye band muTThii se zarra zarra phisaltii miTTiinazar me.n collage ik mujarradidhar gumaa.n kii mu.nDer par kuchh nishaananqaa ke baiThne kaa fareb jaisetuu us kinaare taraazuu thaamemujassame kii safed aa.nkho.n pe ma.anaviyyat kii kaalii paTTiivahii siyaahiia.ndhere kaa hai jo pesh-KHemavo sang aa.nkhe.nki jin me.n putlii kabhii nahii.n thiivo jin kii tah me.nkisii kiran kaa guzar nahii.n haiKHushii hai kyaa munsifii hai kyaakuchh KHabar nahii.n hai
ufuq zamiir kii taariikiyo.n se aaluudadil-o-nazar me.n vahii intiqaam ke sho.alekahii.n pe KHuun kahii.n par hai aabruu-reziijahaalato.n ke samundar me.n Duubte insaa.nuThaa.e dosh pe ik munsifii ke laashe kophire hai shahr me.n insaaniyat kaa saaraa vajuudna ko.ii daad na fariyaad sun.ne vaalaa haihamaare dard ko raahat se bharne vaalaa haichalo ki duur chale.n shahr kii fasiilo.n seyahaa.n to maut kii har roz vaardaate.n hai.nyahaa.n to KHuun ke charche hai.n aur kuchh bhii nahii.nkahii.n to amn aur insaaf kii zamii.n hogiijahaa.n pe KHauf kaa saaya na ko.ii Dar hogaachalo ki aisii zamii.n kii kahii.n talaash kare.nchalo ki duur chale.n shahr kii fasiilo.n se
anginat chehre pe choTe.n sar se lahuu bahtaa hu.aaaa.nkh me.n aa.nsuu liyeKHud se thaa sahmaa hu.aajism par jo kuchh thaa us kebas baraa.e naam thaaKHuu.n me.n Duubaa hu.aapaa-barahna bhaagte us ko ye kahte sunaakyaa karuu.n kis se kahuu.n kis se chaahuu.n munsifiimerii jaanib ba.Dhtii hu.ii sang-ba-kaf is bhii.D me.nmiraa apnaa KHuun bhii hai haath me.n patthar liyeanginat chehre pe choTe.n sar se lahuu bahtaa hu.aa
ruuh-e-insaa.n ho ga.ii aazaad kyaakahtaa hai kaunfikr ko taaza havaakaisii ghuTandastaras muflis kii roTii tak hu.iihone ko haimunsifii bedaar haiKHvaabiida-tarkis ke ghar daulat ga.iivallaah aalamjaagte hai.n naujavaa.nvo so ga.ekuchh sunaa millat kaa haalintishaar-o-intishaarinqalaab aaya na thaapahle na abinqalaab aane ko haikahtaa hai kaun
sunaa hai jangalo.n kaa bhii ko.ii dastuur hotaa haisunaa hai sher kaa jab peT bhar jaa.e to vo hamla nahii.n kartaadaraKHto.n kii ghanii chhaa.nv me.n jaa kar let jaataa haihavaa ke tez jho.nke jab daraKHto.n ko hilaate hai.nto mainaa apne bachche chho.D karkavve ke anDo.n ko paro.n se thaam letii haisunaa hai gho.nsle se ko.ii bachcha gir pa.De to saaraa jangal jaag jaataa haisunaa hai jab kisii naddii ke paanii me.nba.e ke gho.nsle kaa gandumii saaya laraztaa haito naddii kii rupahlii machhliyaa.n us ko pa.Dosan maan letii hai.nkabhii tuufaan aa jaa.e, ko.ii pul TuuT jaa.e tokisii lak.Dii ke taKHte pargilahrii, saa.np, bakrii aur chiitaa saath hote hai.nsunaa hai jangalo.n kaa bhii ko.ii dastuur hotaa haiKHudaavandaa! jaliil o mo'tabar! daanaa o biinaa munsif o akbar!mire is shahr me.n ab jangalo.n hii kaa ko.ii qaanuun naafiz kar!ko.ii dastuur naafiz kar
jab aadhaa din Dhal jaataa hai to ghar se afsar aataa haiaur apne kamre me.n mujh ko chapraasii se bulvaataa haiyuu.n kahtaa hai vuu.n kahtaa hai lekin bekaar hii rahtaa haimai.n us kii aisii baato.n se thak jaataa huu.n thak jaataa huu.npal-bhar ke liye apne kamre ko file lene aataa huu.naur dil me.n aag sulagtii hai mai.n bhii jo ko.ii afsar hotaais shahr kii dhuul aur galiyo.n se kuchh duur miraa phir ghar hotaaaur tuu hotiilekin mai.n to ik munshii huu.n tuu uu.nche ghar kii raanii haiye merii prem-kahaanii hai aur dhartii se bhii puraanii hai
sar salaamat hai to kyaa sa.ng-e-malaamat kii kamiijaan baaqii hai to paikaan-e-qazaa aur bhii hai.nmunsif-e-shahr kii vahdat pe na harf aa jaa.elog kahte hai.n ki arbab-e-jafaa aur bhii hai.n
har ik daur me.n har zamaane me.n hamzahr piite rahe, giit gaate rahejaan dete rahe zindagii ke liyesaa.at-e-vasl kii sarKHushii ke liyediin o duniyaa kii daulat luTaate rahefaqr-o-faaqa kaa tosha sambhaale hu.ejo bhii rasta chunaa us pe chalte rahemaal vaale haqaarat se takte raheta.an karte rahe haath malte raheham ne un par kiyaa harf-e-haq sa.ng-zanjin kii haibat se duniyaa laraztii rahiijin pe aa.nsuu bahaane ko ko.ii na thaaapnii aa.nkh un ke Gam me.n barastii rahiisab se ojhal hu.e hukm-e-haakim pe hamqaid-KHaane sahe, taaziyaane sahelog sunte rahe saaz-e-dil kii sadaaapne naGme salaaKHo.n se chhante raheKHuu.n-chakaa.n dahr kaa KHuu.n-chakaa.n aa.iinadukh-bharii KHalq kaa dukh-bharaa dil hai.n hamtab.a-e-shaa.er hai ja.ngaah-e-adl-o-sitammunsif-e-KHair-o-shar haqq-o-baatil hai.n ham
maa.n merii kuchh paagal sii haiyaa patthar chuntii rahtii haiyaa daana chugtii chi.Diyo.n sekuchh baate.n kartii rahtii haivo kahtii hai jab ye chi.Diyaa.nsab is kii baat samajh le.ngiicho.ncho.n me.n patthar bhar le.ngiipanjo.n me.n sang samo le.ngiiphir vo tuufaa.n aa jaa.egaajis se har mimbar har munsifpaara-paara ho jaa.egaameraa insaaf karegaa vojo sab kaa haakim-e-aalaa haisab jis kii nazar me.n yaksaa.n hai.njo munsif izzat vaalaa haimai.n maa.n ko kaise samjhaa.uu.nkyaa mai.n ko.ii KHaana-ka.aba huu.n
insaaf kaa taraazuu jo haath me.n uThaa.ejurmo.n ko Thiik toleaisaa na ho ki kal kaa itihaas-kaar bolemujrim se bhii ziyaadamunsif ne zulm Dhaayaakii.n pesh us ke aage Gam kii gavaahiyaa.n bhiirakkhii.n nazar ke aage dil kii tabaahiyaa.n bhiius ko yaqii.n na aayaainsaaf kar na paayaaaur apne us amal sebad-kaar mujrmo.n ke naapaak hauslo.n kokuchh aur bhii ba.Dhaayaainsaaf kaa taraazuu jo haath me.n uThaateye baat yaad rakkhesab munsifo.n se uupar
vo do-jahaa.n kaa maaliksab haal jaantaa hainekii ke aur badii keahvaal jaantaa haiduniyaa ke faislo.n semaayuus jaane vaalaaaisaa na ho ki us ke darbaar me.n pukaareaisaa na ho ki us ke insaaf kaa taraazuuik baar phir se tolemujrim ke zulm ko bhiimunsif kii bhuul ko bhiiaur apnaa faisla devo faisla ki jis seye ruuh kaa.np uTThe
dhuup pa.Dii, to khul ga.ii aa.nkhe.n, khul gayaa saaraa bhedGash khaayaa, to dau.De aa.e munshii, panDit, ved
apne shahsavaaro.n koqatl karne vaalo.n seKHuu.n-bahaa talab karnaavaariso.n pe vaajib thaaqaatilo.n pe vaajib thaaKHuu.n-bahaa adaa karnaavaajibaat kii takmiilmunsifo.n pe vaajib thiimunsifo.n kii nigraaniiqudsiyo.n pe vaajib thiivaqt kii adaalat me.nek samt masnad thiiek samt KHanjar thaataaj-e-zar-nigaar ik samtek samt lashkar thaaik taraf muqaddar thaataa.ife pukaar uTThetaaj-o-taKHt zindaabaadsaaz-o-raKHt zindaabaadsaaz-o-raKHt zindaabaadKHalq ham se kahtii haisaaraa maajraa likkhe.nkis ne kis tarah paayaaapnaa KHuu.n-bahaa likkhe.nchashm-e-nam se sharmindaham qalam se sharmindasochte hai.nkyaa likkhe.n
aa.o bachcho sabaq pa.Dhaa.e.n faarsii aur urdugaay ko bolo gaav hamesha hirnii ko aahuughaas gayaah aur aab hai paanii aur nadii hai juumunshii jii ne sabaq pa.Dhaayaa faarsii aur urduhuu haa huu haa huuhuu huu huu huu huu huuaa.o bachcho sabaq pa.Dhaa.e.n faarsii aur urduaa.nkh ko diida kaan ko gosh aur aa.nkh kii bhau.n abruuKHaal hai til aur gaal hai aariz choTii hai gesuumunshii jii ne sabaq pa.Dhaayaa faarsii aur urduhuu haa huu haa huuhuu huu huu huu huuaa.o bachcho sabaq pa.Dhaa.e.n faarsii aur urdubachcho piir ke ma.anii buu.Dhaa baalaa bachcha tiflrang hai ruup aur Diil hai qaamat shaana hai baazuumunshii jii ne sabaq pa.Dhaayaa faarsii aur urduhuu haa huu haa huuhuu huu huu huu huuaa.o bachcho sabaq pa.Dhaa.e.n faarsii aur urdushab kii urdu raat hai bachcho din kii faarsii rozraah hai rasta jangal sahraa samt ke ma.anii suumunshii jii ne sabaq pa.Dhaayaa faarsii aur urduhuu haa huu haa huuhuu huu huu huu huuaa.o bachcho sabaq pa.Dhaa.e.n faarsii aur urdutuu tuu mai.n mai.n chho.D ke bachcho yaad karo ye lafzman ke ma.anii mai.n hote hai.n tuu ke ma.anii tuumunshii jii ne sabaq pa.Dhaayaa faarsii aur urduhuu haa huu haa huuhuu huu huu huu huu
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books