aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "mutaalba"
sha.nkar Damruu kaa mutabaadil talaash kar chukaagopiyaa.n ab kisii uudhau kii muhtaaj nahii.ntrunk callun kii samasyaa.o.n kaa hal haiizraa.iil!atom aur helium ke haq me.ndast-bardaar hone kii fikr me.n haiisraafiil kii jamaaliyaatii his ko jilaa mil ga.iiab vo kisii music-school me.n daaKHila le legaafood-corporation kaa mutaalbaa:'mikhail kaa retirement' maan liyaa gayaa haiwireless-telegraphy kaa mahkamaafsar-e-aalaa ke ohde ke liyejibra.iil kii darKHvaast par Gaur kar rahaa hai'KHudaa kii jagah KHaalii hai'mutamannii hazraat fauran se pesh-tar darKHvaast de.n!
rah me.n rah jaane vaalii KHushbuu kaaham havaa se mutaalba kare.nge
chiiKHe.n mujhe kabhii rihaa nahii.n kartii.nmujhe maaluum haihar manzar me.n ek chiiKH chhupii haimai.n jahaa.n bhii jaataa huu.nko.ii na ko.ii chiiKH mujhe pahchaan letii haimai.n apnii KHaamoshii kii muKHaalif samtKHauf-zada ho kar bhaagne lagtaa huu.nisii bokhalaahaT me.n chiiKHo.n ke ka.ii jhunDmujhe bhi.Do.n kii tarah gher lete hai.nbhaagte hu.e mai.n qabristaan me.n pahu.nch jaataa huu.njahaa.n har qabr me.n ek chiiKH dafn haimujhe dekh karchiiKHe.n mere gird havaa me.n tairne lagii hai.naur mujh se chiiKH ban jaane kaa mutaalba kartii hai.nbaqaa kii ja.ng la.Dte hu.eab mere haath baazu.o.n se girne vaale hai.naur haarne ke liye meraa ko.ii dost nahii.nmai.n mahsuus kar rahaa huu.nmeraa chiiKHo.n se ba.ndhaa hu.aa jismjab guu.njne ke qariib hogaamai.n kisii KHushk dariyaa ke kinaaresurKH rang me.n luth.Dii chiiKH banaa luu.ngaaaur miTTii merii qabr banaane me.n masruuf hogii
merii zindagii bhii mujh se tang aa karghar kii dahliiz par dharnaa diye baiThii haivo ek KHush-gavaar shuruu.aat kaamutaalba kar rahii hai
usii tarah na jaane kitnii umr kaaTne ke ba.adrafta raftasaKHt-o-sard chaukhaTo.n nenarm-o-garm bistarao.n kii gudgudiikaa zaa.iqa samajh liyaadimaaG-o-dil kii KHushk vaadiyo.n me.naarzuu ke aabshaar gungunaa uThesiyaah-baKHt raatshu.uur ke junuun-e-shauq ke charaaG jal ga.echaraaG se ka.ii charaaG jal ga.eba-yak zabaanchaukhaTo.n se ye mutaalba hu.aaki ajnabii hamaare ghar ko chho.D de.nye ghar hamaare KHuunaur hamaarii haDDiyo.n se haiye baat sun ke shab-kade laraz ga.ethii chau.nkne kii baat hiiki saal-KHuurda andhii chaukhaTo.n peraushnii kahaa.n se aa ga.iigalii kii KHaakaasmaa.n pe abr ban ke chhaa ga.iikahaa.n se zehn-e-naa-rasaa me.nbaat aisii aa ga.ii
iid-e-mubaarak aa.ii haisachchii KHushiyaa.n laa.ii haiammii ham ko eidii doiid ha.nsaane vaalii haijeb hamaarii KHaalii haiabbaa ham ko eidii dosaare roze KHatm hu.epahle paise hazm hu.eaapaa ham ko eidii doeidii hai ye bhiik nahii.nTaal ke jaanaa Thiik nahii.nbhayyaa ham ko eidii doammii kii maa.n jaa.ii hosirf sivayyaa.n laa.ii hoKHaala ham ko eidii doghar me.n gaa.Dii gho.Daa haijo kuchh bhii do tho.Daa haimaamuu.n ham ko eidii doaaj nahii.n pa.Dhne kaa Gamaaj ba.De navvaab hai.n hamnaanii ham ko eidii doumda kap.De pahne hai.nkap.Do.n ke kyaa kahne hai.nnaanaa ham ko eidii dokanjuusii ko jaante hai.nbaato.n se kab maante hai.ndaadii ham ko eidii do
kuchalte jismo.n kaa dard ab bhiibikhar rahaa hai badan badan me.n
bachcho.n ustaado.n aur sar-parasto.n neschoolo.n ke saamne barso.n puraanebadbuu bhare kuu.De-daano.n kohaTaane kaa mutaalbachho.D diyaa haiab bachcho.n ke nathno.n se guzar karun kii saa.nso.n kaa hissa ban jaane vaaliibadbuusarkaarii bhojan ke ba.admuft milne vaalii barfii ban ga.ii haikitaabo.n ko pa.Dhte hu.eyahii badbuuchokleT kii tarahchuusii jaane lagii haighanTii bajte hiibachchedin bhar suu.nghii jaane vaaliibadbuukitaabo.n ke bag me.n Thuu.ns karapne gharo.n ke aas-paas vaalekuu.De-daano.n kii hatheliyo.n parrakh dete hai.naur raat kii chaadar taan karbadbuu-bhare KHvaab dekhne lagte hai.n
ye kyaa hu.aaki tiirgii se shaam kii KHaliij paaT dii ga.iiye kyaa hu.aamirii KHamoshiyo.n kii har sadaajahaa.n ke shor-o-Gul se kaaT dii ga.iiye kyaa hu.aa ki aaj kaa bhii din tamaam ho gayaaabhii ba-vaqt-e-sub.h sirf sub.h thaazaraa sii der baa'd shaam ho gayaato kitnaa KHarch ho chukaa huu.nkitnaa rah gayaa huu.n mai.nmujhe hisaab chaahiyevahii savaal aaj is ko phir javaab chaahiyeye aa.nkh shor kar rahii hai is ko KHvaab chaahiyeshab-e-siyaah aaj mujh ko maahtaab chaahiyesharaab chaahiye
shahr masnuu.ii qahqaho.n se apnedin kaa aaGaaz kartaa haimagar ek la.Dkaa jo saaraa dincigarette ke dhu.e.n ke raqs ko dekhtaa rahtaa haivo baGaavat kar chukaa hai raat seaur ab is ke badle KHudaa se kisiina.ii chiiz kii taKHliiq kaa mutaalba kar rahaa haivo KHudaa se chhup karapne taKHayyul se ek na.ii kaa.enaattaKHliiq kar rahaa hailekin us ke liye use samundar kiimachhliyo.n se kuchh rang udhaar lene ho.ngevo zindagii ke canvas se saare rangchuraa lenaa chaahtaa hai magarsamundar aur zindagii mil kar us ke sapno.n ke saathmubaasharat kar rahe hai.nbiis baras se apnii zindagii ko jhuuTii loriyaa.nsunaa kar vo thak chukaa haiis duniyaa ne use sautelii maa.n jitnaa pyaar diyaa haivo din raat bas is soch me.n mubtalaa haiki kyaa mai.n apne KHvaabo.n se na.ii kaa.enaat taKHliiq kar sakuu.ngaa
havaa bhii KHush-gavaar haigulo.n pe bhii nikhaar haitarannum-e-hazaar haibahaar pur-bahaar haikahaa.n chalaa hai saaqiyaaidhar to lauT idhar to aaare ye dekhtaa hai kyaauThaa subuu subuu uThaasubuu uThaa pyaala bharpyaala bhar ke de idharchaman kii samt kar nazarsamaa.n to dekh be-KHabarvo kaalii kaalii badliyaa.nufuq pe ho ga.ii.n ayaa.nvo ik hujuum-e-mai-kashaa.nhai suu-e-mai-kada ravaa.nye kyaa gumaa.n hai bad-gumaa.nsamajh na mujh ko naa-tavaa.nKHayaal-e-zohd abhii kahaa.nabhii to mai.n javaan huu.nibaadato.n kaa zikr hainajaat kii bhii fikr haijunuun hai savaab kaaKHayaal hai azaab kaamagar suno to shaiKH jiiajiib shai hai.n aap bhiibhalaa shabaab o aashiqiialag hu.e bhii hai.n kabhiihasiin jalva-rez ho.nadaa.e.n fitna-KHez ho.nhavaa.e.n itr-bez ho.nto shauq kyuu.n na tez ho.nnigaar-haa-e-fitnagarko.ii idhar ko.ii udharubhaarte ho.n aish parto kyaa kare ko.ii basharchalo jii qissa-muKHtasartumhaaraa nuqta-e-nazardurust hai to ho magarabhii to mai.n javaan huu.nye gasht kohsaar kiiye sair juu-e-baar kiiye bulbulo.n ke chahchaheye gul-ruKHo.n ke qahqahekisii se mel ho gayaato ranj o fikr kho gayaakabhii jo baKHt so gayaaye ha.ns gayaa vo ro gayaaye ishq kii kahaaniyaa.nye ras bharii javaaniyaa.nudhar se mehrbaaniyaa.nidhar se lan-taraaniyaa.nye aasmaan ye zamii.nnazaara-haa-e-dil-nashii.ninhe.n hayaat-aafrii.nbhalaa mai.n chho.D duu.n yahii.nhai maut is qadar qarii.nmujhe na aa.egaa yaqii.nnahii.n nahii.n abhii nahii.nabhii to mai.n javaan huu.nna Gam kushuud o bast kaabuland kaa na past kaana buud kaa na hast kaana vaada-e-alast kaaummiid aur yaas gumhavaas gum qayaas gumnazar se aas paas gumhama-bajuz gilaas gumna mai me.n kuchh kamii raheqadah se hamdamii rahenashist ye jamii raheyahii hamaa-hamii rahevo raag chhe.D mutribaatarab-fazaa, alam-rubaaasar sadaa-e-saaz kaajigar me.n aag de lagaahar ek lab pe ho sadaana haath rok saaqiyaapilaa.e jaa pilaa.e jaaabhii to mai.n javaan huu.n
mai.n us kii aa.nkho.n ko dekhtaa rahtaa huu.nmagar merii samajh me.n kuchh nahii.n aataamai.n us kii baato.n ko suntaa rahtaa huu.nmagar merii samajh me.n kuchh nahii.n aataaab agar vo kabhii mujh se mileto mai.n us se baat nahii.n karuu.ngaaus kii taraf dekhuu.ngaa bhii nahii.nmai.n koshish karuu.ngaameraa dil kahii.n aur mubtalaa ho jaa.eab mai.n use yaad banaa denaa chaahtaa huu.n
bad-zauq hai ahbaab se go 'zauq' hai.n ranjuururdu-e-mu.allaa ke na maatam se rahe.n duurtalqiin sar-e-qabr pa.Dhe.n 'momin'-e-maGfuurfariyaad dil-e-'Gaalib'-e-marhuum se nikleurdu kaa janaaza hai zaraa dhuum se nikle
ka.ii taar saaz se kaT ga.ekisii mutriba kii rag-e-guluumai-e-aatishii.n me.n vo zahr thaaki ta.DaKH ga.e qadah-o-subuu
mujhe zindagii se aziiz-tarfaqat ek terii hii zaat thiitirii har nigaah mire liyesabab-e-sukuun-e-hayaat thiimirii daastaan-e-vafaa kabhiitirii sharh-e-husn-e-sifaat thiimagar ab to rang hii aur haina vo tarz hai na vo taur haiye sitam bhii qaabil-e-Gaur haitujhe apne husn kaa vaastamujhe bhuul jaa mujhe bhuul jaaqasam iztiraab-e-hayaat kiimujhe KHaamushii me.n qaraar haimire sahn-e-gulshan-e-ishq me.nna KHizaa.n hai ab na bahaar haiyahii dil thaa raunaq-e-anjumanyahii dil charaaG-e-mazaar haimujhe ab sukuun-e-digar na demujhe ab naved-e-sahar na demujhe ab fareb-e-nazar na dena ho vahm-e-ishq me.n mubtalaamujhe bhuul jaa mujhe bhuul jaa
daraKHt! mere dosttum mil jaate ho kisii na kisii mo.D paraur aasaan kar dete ho safartumhaare pair kii u.ngliyaa.njamii rahii.n paataal ke bhedo.n parqaa.em rahe mere dosttumhaare tane kii mataanat aur quvvatdhuup aur baarish tumhe.n apne tohfo.n se navaaztii rahetum bahut pur-vaqaar aur saada homere thaile ko jaan.naa chaahte hozaruur.... ye lo mai.n ise kholtaa huu.nroTiyaa.n du.aa.e.n aur nazme.nmere paas is se ziyaada kuchh nahii.nek shaa.er ke paas is se ziyaada kuchh nahii.n hotaadost dukh denaa tum ne siikhaa hii nahii.ntum ne na to mujh se shaa.erii kaa matlab puuchhaaaur na kabhii mere mutaale.e par shak kiyaaaisaa hii honaa chaahiye dosto.n koagar mere paas ik aur zindagii hotii toto mai.n apnii pahlii zindagii tumhaarii ja.Do.n par guzaar detaamagar mai.n ghar se KHaandaan bhar KHushiyo.n ke liye niklaa huu.naur vahaa.n meraa intizaar kiyaa jaa rahaa haitum ne mere dosthaa.n tum nebahut kuchh sikhaayaa hai mujhemaslan zamiin aur aasmaanii bijliiaur havaaaur intizaaraur duusro.n ke liye zinda rahnaabahut qiimtii hai.n ye baate.nmai.n kyaa de saktaa huu.n is fayyaazii kaa javaabmere paas tumhaare liyeek roTii aur du.aa hairoTii: tumhaarii chiyuu.nTiyo.n ke liyedu.aa tumhaare aaKHirii din ke liyemujhe ma.aluum hai tum ne kulhaa.Dii ke musaafaheaur aarii kii ha.nsii se kabhii KHauf nahii.n khaayaamagar tum rok nahii.n sakte inhe.nko.ii bhii nahii.n rok saktaaKHudaa kareKHudaa kare tumhaarii shaaKHo.n se ek jho.npa.Dii banaa.ii jaa.ebaazu.o.n ke ghere me.n na aane vaale tumhaaretane kii lak.Diibahut kaafii haido pahiyo.n aur ek kashtii ke liyedost: ham phir mile.ngemusaafir aur chhak.Daamusaafir aur kashtiikahii.n na kahii.n ham phir ek saath ho.ngekahii.n na kahii.nek saath.... ham saamnaa kare.ngehavaa kaa aur raasto.n kaamasarrat aur maut kaa....
jo un ke mubtalaa hai.n sab chiiz laa rahe hai.nkurtii banaa rahe hai.n a.ngiyaa ra.ngaa rahe hai.njo jo hai.n un kii baate.n sab kuchh uThaa rahe hai.nbaahe.n gale me.n Daale ishrat manaa rahe hai.nkyaa kyaa machii hai.n yaaro barsaat kii bahaare.n
mai.n ik devtaa-e-anaanargisiyyat kaa maaraa hu.aaaur azal se takabbur me.n Duubaa hu.aakaafii KHud-sar huu.nziddii huu.n maGruur huu.nmere chaaro.n taraf merii andhii anaa kii vo diivaar haijis me.n aane kii aur mujh se milne kii ghulne kii ko.ii ijaazat kisii ko nahii.n haitumhe.n bhii nahii.n haiuse bhii nahii.n haimujhe bhii nahii.n haimai.n apnii anaa kii diivaaro.n me.n tum se alag ho rahuu.nmujh pe sajtaa bhii hai yemai.n shaa.ir huu.n jo ki fauulun fauulun se bahr-e-ramal takhar ik naGmagii kaa mukammal KHudaa huu.nmai.n lafzo.n kaa aaqaataKHayyul kaa KHaaliqmai.n saare zamaane se yaksar judaa huu.nmujhe zeb detaa hai mai.n apnii diivaar me.n is tarah se muqayyad rahuu.nyuu.nhii sayyad rahuu.nmujh pe sajtaa hai ye.par jo kal shab tire shabnamii se tabassum me.n lipTii hu.iiik nazar be-niyaazii se mujh par pa.Diiterii pahlii nazar se mirii jaan-e-jaa.nmerii diivaar me.n ik ga.Dhaa par pa.D gayaaaur ye hii nahii.n mujh pe vo hii nazarjab dobaara dobaara dobaara pa.Diimerii diivaar me.n zalzale aa ga.eaur raKHne shagaafo.n me.n Dhalne lagemere andar talaatum vo aatish-fishaa.nvo baguule vo tuufaa.n vo mahshar bapaa thaaki mai.n vo ki jis ke tahammul kii hikmat kiifahm-o-lataafat kii tamsiil shaayad kahii.n bhii nahii.n thiisulagne lagaaapnii hiddat se KHud hii pighalne lagaatujh se kahnaa thaa ye ki mirii jaan-e-jaa.nhar sitaare kii apnii kashish hogii lekinKHalaa.o.n me.n murda sitaaro.n kii qismatvo hawking kii theory ke kaale ga.Dhevo vahii vo ki jin me.n hai itnii kashish ki makaa.n to makaa.nvo zamaa.n ko bhii apne lapeTe me.n le le.nvo hawking kii theory ke kaale ga.Dho.n kii gravity bhiiterii a.nkho.n kii gahrii kashish ke muqaabil me.n kuchh bhii nahii.naur ye to faqat ek diivaar thiiis ko girnaa hii thaaterii nazro.n se haarii hai bikhrii pa.Dii haiki diivaar kaa reza-reza tirii ik nazar se mirii jaanuj.Daa pa.Daa haimai.n jo devtaa-e-anaa nargisiyyat kaa maaraa hu.aa vo jo KHud-sar thaaziddii thaa maGruur thaajo fauulun fauulun se bahr-e-ramal tak har ik naGmagii kaa mukammal KHudaa thaatirii ik nazar se anaa.o.n ke arsh-e-mua.allaa se siidhaa tire paa.nv me.n aa kebikhraa pa.Daa hai
mere shahr ke saare raste band hai.n logomai.n is shahr kaa naGma-garjo do ik mausam Gurbat ke dukh jhel ke aayaataaki apne ghar kii diivaaro.n seapnii thakii hu.ii aur tarsii hu.iiaa.nkhe.n sahlaa.uu.napne darvaaze ke utarte roGan koapne ashko.n se saiqal kar luu.napne chaman ke jale hu.e paudo.naur gard-aaluud daraKHto.n kiimurda shaaKHo.n par bain karuu.nhar mahjuur sutuun ko itnaa TuuT ke chuumuu.nmere labo.n ke KHuun seun ke naqsh-o-nigaar sabhii jii uThe.ngalii ke logo.n ko itnaa dekhuu.nitnaa dekhuu.nmerii aa.nkhe.nbarso.n kii tarsii hu.ii aa.nkhe.nchehro.n ke aa.ngan ban jaa.e.nphir mai.n apnaa saaz uThaa.uu.naa.nsu.o.n aur muskaano.n se jhilmil jhilmilnazme.n Gazle.n giit sunaa.uu.napne pyaaro.ndard ke maaro.n kaa darmaa.n ban jaa.uu.nlekin mere shahr ke saare rasto.n parab baa.D hai lohe ke kaa.nTo.n kiishah darvaaze par kuchh pahre-daar kha.De hai.njo mujh se aur mujh jaise dil vaalo.n kiipahchaan se aariimere saaz sesa.ngiino.n se baat kare.nmai.n un se kahtaa huu.ndekhomai.n is shahr kaa naGma-gar huu.nbarso.n baa'd ka.Dii raaho.n kiisaarii aziyyat jhel ke ab vaapas aayaa huu.nus miTTii kii KHaatirjis kii KHushbu.e.nduniyaa bhar kii do-shiizaa.o.n ke jismo.n kii mahko.n seaur saare jahaa.n kesabhii gulaabo.n seba.Dh kar haimujh ko shahr me.nmere shahr me.n jaane dolekin tane hu.e nezo.n nemere jism ko yuu.n barmaayaamere saaz ko yuu.n rezaayaameraa humaktaa KHuun aur mere sisakte naGmeshah-darvaaze kii dahliiz seriste risteshahr ke andar jaa pahu.nche hai.naur mai.n apne jism kaa malbasaaz kaa laashaapne shahr ke shah-darvaazekii dahliiz pe chho.D kephir anjaane shahro.n kii shahraaho.n parmajbuur-e-safar huu.njin ko taj kar ghar aayaa thaajin ko taj kar ghar aayaa thaa
farsh jaarob-kashii kyaa hai samajhtaa hii nahii.nkal-adam ho gayaa tasbiih ke daano.n kaa nizaamtaaq me.n sham.a ke aa.nsuu hai.n abhii tak baaqiiab musallaa hai na mimbar na mu.azzin na imaam
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books