aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "nibhaanaa"
hamesha der kar detaa huu.n mai.n har kaam karne me.nzaruurii baat kahnii ho ko.ii va.ada nibhaanaa house aavaaz denii ho use vaapas bulaanaa hohamesha der kar detaa huu.n mai.nmadad karnii ho us kii yaar kii Dhaaras ba.ndhaanaa hobahut deriina rasto.n par kisii se milne jaanaa hohamesha der kar detaa huu.n mai.nbadalte mausamo.n kii sair me.n dil ko lagaanaa hokisii ko yaad rakhnaa ho kisii ko bhuul jaanaa hohamesha der kar detaa huu.n mai.nkisii ko maut se pahle kisii Gam se bachaanaa hohaqiiqat aur thii kuchh us ko jaa ke ye bataanaa hohamesha der kar detaa huu.n mai.n har kaam karne me.n.....
yahii jagah thii yahii din thaa aur yahii lamhaatyahii.n to dekhaa thaa ik KHvaab sochii thii ik baatmusaafiro.n ke dilo.n me.n KHayaal aataa haihar ik zamiir ke aage savaal aataa haivo baat yaad hai ab tak hame.n ki bhuul ga.evo KHvaab ab bhii salaamat hai yaa fuzuul ga.echale the dil me.n liye jo iraade puure hu.eye kaun hai ki jo yaado.n me.n charKHaa kat.taa haiye kaun hai jo hame.n aaj bhii bataataa haihai va.ada KHud se nibhaanaa hame.n agar apnaato kaarvaa.n nahii.n ruk paa.e bhuul kar apnaahai tho.Dii duur abhii sapno.n kaa nagar apnaamusaafiro abhii baaqii hai kuchh safar apnaa
aa.nkh bojhal haimagar nii.nd nahii.n aatii haimerii gardan me.n hamaa.il tirii baa.nhe.n jo nahii.nkisii karvaT bhii mujhe chain nahii.n pa.Dtaa haisard pa.Dtii hu.ii raatmaa.ngne aa.ii hai phir mujh setire narm badan kii garmiiaur dariicho.n se jhijaktii hu.ii aahista havaakhojtii hai mire Gam-KHaane me.nterii saa.nso.n kii gulaabii KHushbuu!meraa bistar hii nahii.ndil bhii bahut KHaalii haiik KHalaa hai ki mirii ruuh me.n dahshat kii tarah utraa haiteraa nanhaa saa vajuudkaise us ne mujhe bhar rakkhaa thaatire hote hu.e duniyaa se ta'alluq kii zaruurat hii na thiisaarii vaabastagiyaa.n tujh se thii.ntuu mirii soch bhii, tasviir bhii aur bolii bhiimai.n tirii maa.n, bhii tirii dost bhii ham-jolii bhiitere jaane pe khulaalafz hii ko.ii mujhe yaad nahii.nbaat karnaa hii mujhe bhuul gayaa!tuu mirii ruuh kaa hissa thaamire chaaro.n tarafchaa.nd kii tarah se raqsaa.n thaa magarkis qadar jald tirii hastii nemire atraaf me.n suuraj kii jagah le lii haiab tire gird mai.n raqsinda huu.n!vaqt kaa faisla thaatire fardaa kii rifaaqat ke liyemeraa imroz akelaa rah jaa.emire bachche, mire laalfarz to mujh ko nibhaanaa hai magardekh ki kitnii akelii huu.n mai.n!
yuu.nhii dekhuu.n jo raakhii ko to ye rangiin Doraa haijo dekhuu.n Gaur se is ko to hai zanjiir lohe kiijo ba.Dh kar qaid kar letii hai aafat apne bhaa.ii kiimusiibat kii haqiiqat kyaamusiibat aa nahii.n saktiimusiibat kaa.np jaatii haijo raakhii dekh letii haikisii bhaa.ii ke haath me.nraakhii ke dhaage me.nbahan ne pyaar baa.ndhaa haiitihaas me.n raakhii hai rishta bhaa.ii bahno.n kaahavaala is me.n poshiida hai sadiyo.n ke rishto.n kaaba.ndhaa hai pyaar is me.n bahan kaaaur us ke purkho.n kaaraakhiinibhaanaa laaj raakhii kii mire bhayyaabahan kaa maan rakh lenaaba.ndhaa kar haath me.n raakhii bahan sehar ko.ii bhaa.iibahan ke sukh ke vaastetayyaar ho jaataa hai marne komagar bhayyaatumhaarii zindagii tobahan ko dil se pyaarii haisalaamat tum rahobhagvaan se bintii hamaarii haijo chaaho neg tum denaato mujh ko ye vachan de dona uThe phir ko.ii diivaar nafrat kiibahan bhaa.ii ke aa.ngan me.nnahii.n byopaar kuchh is me.nye ik vyahvaar hai bhayyaanahii.n hai kachchaa ye Doraatiraa e.atibaar hai bhayyaa
tuu sadaa suhaagan ho maa.n rii!mujhe apnii to.D nibhaanaa hairii dillii chhuu kar charan tiremujh ko vaapas mu.D jaanaa hai
chalo na aaj tumhe.n ek kahaanii sunaatii huu.nkahaanii ke saath kuchh aur bhii bataatii huu.npyaar karne se ziyaada use nibhaanaa sikhaatii huu.nsaath hii apnii zindagii bataatii huu.n
mujhe ma.aluum haimujh semere is rog semeresabhii apne pareshaa.n hai.nmeriitiimaar-daarii semerii biiviimere bachchebahut ta.ng aa chuke hai.n abye bilkulsaaf likkhaa haisabhii chehro.n pe kevo abbahutbe-rabt hai.n mujh semagar ye farz-e-aaKHir hainibhaanaa haizamaana haidikhaanaa haisabhii tayyaariyaa.nlag-bhagmukammal ho chukii ho.ngiidavaa.o.n ke sabhiiKHarche kemere final bil parbhii discussho chukii hogiiba.De beTe nechhoTe kokafan kii zimmedaariisau.np dii hogiikahaa.n sekaise laanaa haivo KHudmasruuf hogaabaad marne kemerejo kaam hone hai.nunhe.n anjaam dene me.njagah bhii qabr kiilag-bhagmuqarrarho ga.ii hogiifaqatab muntazir hai.n sabkikis lamhaqazaa aa.ekaTe zanjiirjis semai.n nesab ko baa.ndh rakkhaa hai
ko.ii aa.e na aa.etuu aas lagaanaa chho.D debahne na lage ashk aa.nkho.n se teriidil se aa.nkho.n kaa rishta nibhaanaa chho.D de
biptaa morii kaun sunegaateraa sahaaraa shaah mujhe haiberii tore pyaar me.n kamliihaar ga.ii dil vaar ga.iibikhar rahii hai tanhaa.ii me.nmujh ko baa.nho.n me.n bhar lekar tuu mujh ko pyaar piyaajiivan tujh par vaar diyaatore bin mai.n huu.n adhuurii huu.ntuu chhuu le to puurii huu.nvasl kiyaa to Darnaa kyaahijr na mujh me.n bharnaa piyaapyaar nibhaanaa hogaa mujh se rabt ba.Dhaanaa hogaa mujh setuu dariyaa hai mai.n huu.n pyaasiiban ke rahuu.ngii terii daasiidil me.n mere aan base honainaa.n me.n bhii tuu hii jache hosar se paa taa chuumo mujh kovaadii vaadii parbat parbat qarya qarya gulshan gulshansaath me.n le ke ghuumo mujh koterii huu.n mai.n terii rahuu.ngiitujh bin mai.n to jii na sakuu.ngii
hai ko.ii jo mujh me.n kahtaa haijo dil me.n hai ab bol zaraakuchh der ko ghu.ngruu khol zaraaye raqs jo tuu kartii hai yahaa.nis raqs me.n tere vahshat haijis shaKHs kii chaahat ulfat haivo shaKHs zamii.n kaa baasii haivo aam ravayyo.n vaalaa haivo terii vafaa kyaa samjhegaava.ado.n ko nibhaanaa kyaa jaanevo ishq divaana kyaa jaanevo shaKHs jo duniyaa-daar bhii haizardaar hai yuu.n naadaar bhii haiaazaad bhii haiab us kii chaahat chho.D ke tuuKHalvat me.n KHud se bol kabhiiaur KHud me.n KHud ko ghol kabhiiye ishq kitaabii ishq hai jolamho.n kii lazzat detaa haiphir us kii qiimat letaa haiis ishq-o-mohabbat me.n pa.D kartuu KHud ko yuu.n naashaad na karbarbaad na kar
jald ko.ii to der se ko.ii nazro.n se kho jaa.egaako.ii aage ko.ii piichhe apnii raah banaa.egaako.ii chalegaa itnaa keh karyaar kaa saath nibhaanaa hai ik din sab ko jaanaa hai
pyaar ba.Dhaanaa pyaar nibhaanaaaaj ko.ii dastuur nahii.n haidil se KHushiyo.n kaa rishta hoduniyaa ko manzuur nahii.n hai
us ne kahaasunahd nibhaane kii KHaatir mat aanaaahd nibhaane vaale aksarmajbuurii yaa mahjuurii kii thakan se lauTaa karte hai.ntum jaa.oaur dariyaa dariyaa pyaas bujhaa.ojin aa.nkho.n me.n Duubojis dil me.n utromerii talab aavaaz na degiilekin jab merii chaahataur mirii KHvaahish kii lauitnii tez aur itniiuu.nchii ho jaa.ejab dil ro detab lauT aanaa
nahii.n ma.aluum 'zaryuun' ab tumhaarii umr kyaa hogiivo kin KHvaabo.n se jaane aashnaa naa-aashnaa hogiitumhaare dil ke is duniyaa se kaise silsile ho.ngetumhe.n kaise gumaa.n ho.nge tumhe.n kaise gile ho.ngetumhaarii sub.h jaane kin KHayaalo.n se nahaatii hotumhaarii shaam jaane kin malaalo.n se nibhaatii hona jaane kaun doshiiza tumhaarii zindagii hogiina jaane us kii kyaa baayastagii shaa.istagii hogiiuse tum phone karte aur KHat likhte rahe hogena jaane tum ne kitnii kam Galat urdu likhii hogiiye KHat likhnaa to daqyaanuus kii pii.Dhii kaa qissa haiye sinf-e-nasr ham naa-baaliGo.n ke fan kaa hissa haivo ha.nstii ho to shaayad tum na rah paate ho haalo.n me.nga.Dhaa nanhaa saa pa.D jaataa ho shaayad us ke gaalo.n me.ngumaa.n ye hai tumhaarii bhii rasaa.ii naa-rasaa.ii hovo aa.ii ho tumhaare paas lekin aa na paa.ii hovo shaayad maa.ide kii gand biryaanii na khaatii hovo naan-e-be-KHamiir-e-maida kam-tar hii chabaatii hovo doshiiza bhii shaayad daastaano.n kii ho dil-daadause ma.aluum hogaa 'zaal' thaa 'sohraab' kaa daadaatahamtan ya.anii 'rustam' thaa giraamii 'saam' kaa vaarisgiraamii 'saam' thaa sulb-e-nar-e-'maanii' kaa KHush-zaada(ye merii ek KHvaahish hai jo mushkil hai)vo 'najm'-aafa.ndi-e-marhuum ko to jaantii hogiivo nauho.n ke adab kaa tarz to pahchaantii hogiiuse kad hogii shaayad un sabhii se jo lapaa.Dii ho.nna ho.nge KHvaab us kaa jo gavayye aur khilaa.Dii ho.n
qalandaraan-e-vafaa kii asaas to dekhotumhaare saath hai kaun aas-paas to dekhoso shart ye hai jo jaa.n kii amaan chaahte hoto apne lauh-o-qalam qatl-gaah me.n rakh dovagarna ab ke nishaana kamaan-daaro.n kaabas ek tum ho so Gairat ko raah me.n rakh do
haa.n umr kaa saath nibhaane ke the ahd bahut paimaan bahutvo jin pe bharosa karne me.n kuchh suud nahii.n nuqsaan bahutvo naar ye kah kar duur hu.ii 'majbuurii saajan majbuurii'ye vahshat se ranjuur hu.e aur ra.njuurii sii ra.njuurii?us roz hame.n ma.aluum hu.aa us shaKHs kaa mushkil samjhaanaais bastii ke ik kuuche me.n ik 'inshaa' naam kaa diivaanaago aag se chhaatii jaltii thii go aa.nkh se dariyaa bahtaa thaahar ek se dukh nahii.n kahtaa thaa chup rahtaa thaa Gam sahtaa thaanaadaan hai.n vo jo chhe.Dte hai.n is aalam me.n naa-daano.n kous shaKHs se ek javaab milaa sab apno.n ko begaano.n ko'kuchh aur kaho to suntaa huu.n is baab me.n kuchh mat farmaanaa'is bastii ke ik kuuche me.n ik 'inshaa' naam kaa diivaanaaab aage kaa tahqiiq nahii.n go sun.ne ko ham sunte theus naar kii jo jo baate.n thii.n us naar ke jo jo qisse theik shaam jo us ko bulvaayaa kuchh samjhaayaa bechaare neus raat ye qissa paak kiyaa kuchh khaa hii liyaa dukhyaare nekyaa baat hu.ii kis taur hu.ii aKHbaar se logo.n ne jaanaais bastii ke ik kuuche me.n ik inshaa naam kaa diivaanaa
KHudii kaa sirr-e-nihaa.n laa-ilaaha-illallaahKHudii hai teG fasaa.n laa-ilaaha-illallaahye daur apne baraahiim kii talaash me.n haisanam-kada hai jahaa.n laa-ilaaha-illallaahkiyaa hai tuu ne mataa-e-Guruur kaa saudaafareb-e-suud-o-ziyaa.n laa-ilaaha-illallaahye maal-o-daulat-e-duniyaa ye rishta o paivandbutaan-e-vahm-o-gumaa.n laa-ilaaha-illallaahKHirad hu.ii hai zamaan o makaa.n kii zunnaariina hai zamaa.n na makaa.n laa-ilaaha-illallaahye naGma fasl-e-gul-o-laala kaa nahii.n paabandbahaar ho ki KHizaa.n laa-ilaaha-illallaahagarche but hai.n jamaa.at kii aastiino.n me.nmujhe hai hukm-e-azaa.n laa-ilaaha-illallaah
us shaam mujhe maaluum hu.aa jab baap kii khetii chhin jaa.emamtaa ke sunahre KHvaabo.n kii anmol nishaanii biktii hai
apne be-ant KHayaalo.n me.nhar ahd nibhaane kii qasme.n
kyuu.n mujh ko banaate ho ta.assub kaa nishaanamai.n ne to kabhii KHud ko musalmaa.n nahii.n maanaadekhaa thaa kabhii mai.n ne bhii KHushiyo.n kaa zamaanaapne hii vatan me.n huu.n magar aaj akelii
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books