aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "nikaalo"
sab maal nikaalo, le aa.oai bastii vaalo le aa.oye tan kaa jhuuTaa jaaduu bhiiye man kii jhuuTii KHushbuu bhiiye taal banaate aa.nsuu bhiiye jaal bichhaate gesuu bhiiye larzish Dolte siine kiipar sach nahii.n bolte siine kiiye ho.nT bhii, ham se kyaa choriikyaa sach-much jhuuTe hai.n gorii?in ramzo.n me.n in ghaato.n me.nin va.ado.n me.n in baato.n me.nkuchh khoT haqiiqat kaa to nahii.n?kuchh mail sadaaqat kaa to nahii.n?ye saare dhoke le aa.oye pyaare dhoke le aa.okyuu.n rakkho KHud se duur hame.njo daam kaho manzuur hame.n
ahl-e-daulat kaa sun chuke tum haalab suno ruu.edaad-e-ahl-e-kamaalfaazilo.n ko hai faazilo.n se inaadpandito.n me.n pa.De hu.e hai.n fasaadhai tabiibo.n me.n nok-jhok sadaaek se ek kaa hai thuuk judaarahne do ahl-e-ilm hai.n is tarahpahalvaano.n me.n laag ho jis tarahiiduu vaalo.n kaa hai agar paTThaasheKHuu vaalo.n me.n jaa nahii.n saktaashaa.iro.n me.n bhii hai yahii takraarKHushnaveso.n ko hai yahii aazaarlaakh neko.n kaa kyuu.n na ho ik nekdekh saktaa nahii.n hai ek ko ekis pe turra ye hai ki ahl-e-hunarduur samjhe hu.e hai.n apnaa gharmilii ik gaa.nTh jis ko haldii kiius ne samjhaa ki mai.n huu.n pansaariinusKHa ik tib kaa jis ko aataa haisage-bhaa.ii se vo chhupaataa haijis ko aataa hai phuu.nknaa kushtahai hamaarii taraf se vo guu.ngaajis ko hai kuchh ramal me.n maaluumaatvo nahii.n kartaa siidhe mu.nh se baatbaap bhaa.ii ho yaa ki ho beTaabhed paataa nahii.n munajjam kaakaam ka.ndle kaa jis ko hai ma.aluumhai zamaane me.n us kii buKHl kii dhuumal-Garaz jis ke paas hai kuchh chiizjaan se bhii sivaa hai us ko aziizqaum par un kaa kuchh nahii.n ehsaa.nun kaa honaa na honaa hai yaksaa.nsab kamaalaat aur hunar un keqabr me.n un ke saath jaa.e.ngeqaum kyaa kah ke un ko ro.egiinaam par kyuu.n ki jaan kho.egiitarbiyat-yaafta hai.n jo yaa.n keKHvaah b-a ho.n is me.n yaa m.abharte hubb-e-vatan kaa go dam hai.npar muhibb-e-vatan bahut kam hai.nqaum ko un se jo umiide.n thii.nab jo dekhaa to sab Galat niklii.nhistory un kii aur geographysaat parde me.n mu.nh diye hai pa.Diiband us qufl me.n hai ilm un kaajis kii kunjii kaa kuchh nahii.n hai pataalete hai.n apne dil hii dil me.n mazegoyaa guu.nge kaa gu.D hai.n khaa.e hu.ekarte phirte hai.n sair-e-gul tanhaako.ii paas un ke jaa nahii.n saktaaahl-e-insaaf sharm kii jaa haigar nahii.n buKHl ye to phir kyaa haitum ne dekhaa hai jo vo sab ko dikhaa.otum ne chakhaa hai jo vo sab ko chakhaa.oye jo daulat tumhaare paas hai aajham-vatan is ke hai.n bahut mohtaajmu.nh ko ek ik tumhaare hai taktaaki nikaltaa hai mu.nh se aap ke kyaaaap shaa.ista hai.n to apne liyekuchh suluuk apnii qaum se bhii kiyemez kursii agar lagaate hai.n aapqaum se puuchhiye to pun hai na paapmu.nDaa juutaa gar aap ko hai pasandqaum ko is se faa.eda na gazandqaum par karte ho agar ehsaa.nto dikhaa.o kuchh apnaa josh-e-nihaa.nkuchh dino.n aish me.n KHalal DaalopeT me.n jo hai sab ugal Daaloilm ko kar do kuu-ba-kuu arzaa.nhind ko kar dikhaa.o englistaa.n
chhoTii sii billuuchhoTaa saa bastaThuu.nsaa hai jis me.nkaaGaz kaa dastalak.Dii kaa gho.Daaru.ii kaa bhaaluuchuuran kii shiishiiaaluu kachaaluubilluu kaa bastajin kii piTaariijab is ko dekhopahle se bhaariilaTTuu bhii is me.nrassii bhii is me.nDa.nDaa bhii is me.ngillii bhii is me.nai pyaarii billuuye to bataa.okyaa kaam karneschool jaa.ourdu na jaanoenglish na jaanokahtii ho KHud kobilqiis baanoumr kii itniikachchii nahii.n hochhe saal kii hobachchii nahii.n hobaahar nikaalolak.Dii kaa gho.Daaye laTTuu rassiiye gillii Da.nDaagu.Diyaa ke juutejampar juraabe.nbaste me.n rakkhoapnii kitaabe.nmu.nh na banaa.oschool jaa.oai pyaarii billuuai pyaarii billuu
abhii ik saal guzraa hai yahii mausam yahii din themagar mai.n apne kamre me.n bahut afsurda baiThaa thaana ko.ii saa.nvle mahbuub kii yaado.n kaa afsaanana aivaan-e-zamistaa.n kii taraf jaane kii kuchh KHvaahishkisii ne haal puuchhaa to bahut hii be-niyaazii sekahaa jii haa.n KHudaa kaa shukr hai mai.n KHairiyat se huu.nko.ii ye puuchhtaa kyuu.n aaj kal ko.ii Gazal likkhiina jaane baat kyaa hai in dino.n kuchh aisaa lagtaa haitumhaarii har Gazal me.n miir kaa andaaz miltaa haihar ik misre se jaise dhiimii dhiimii aa.nch uThtii haitumhaare sher pa.Dh kar jaane kyuu.n mahsuus hotaa haiki ko.ii saaz par maddham suro.n me.n gungunaataa haimagar ik baat puuchhuu.n tum KHafaa to ho na jaa.ogeye aaKHir kyaa sabab hai aaj kal nazme.n nahii.n likhtetumhaarii aap-biitii bhii abhii tak naa-mukammal haiise to naaqidaan-e-fan ne sunte hii saraahaa haimai.n sab suntaa magar ye dil hii dil me.n sochtaa rahtaamire ahbaab kyaa jaane.n ki mujh par kyaa guzartii haimire afkaar pe ye kaisii viiraanii sii chhaa.ii haibahut kuchh sochtaa huu.n phir bhii ab sochaa nahii.n jaataabahut kuchh chaahtaa huu.n phir bhii ko.ii bas nahii.n chaltaamagar is bebasii me.n bhii mire dil kii ye haalat thiikabhii jab ko.ii achchhii chiiz pa.Dhne ke liye miltiito pahro.n ruuh par ik vajd kii sii kaifiyat hotiirago.n me.n merii jaise KHuu.n kii gardish tez ho jaatiilahuu kaa ek ik qatra ye kahtaa mai.n to zinda huu.nmirii paamaaliyo.n me.n pal rahii hai ik tavaanaa.iiyahii aalam rahaa to jaane mai.n kis roz uTh baiThuu.nbasant aayaa to yuu.n aayaa ki mai.n bhii jaise uTh baiThaasaveraa hote hii har samt se jho.nke havaa.o.n kena.ii KHushbuu liye mujh ko jagaane ke liye aa.ejidhar bhii aa.nkh uThaataa huu.n shafaq kii muskuraahaT haivahii suuraj hai lekin aur hii kuchh jagmagaahaT haina jaane kaise kaise phuul ab mujh ko bulaate hai.nna jaane kitne kitne rang se dil ko lubhaate hai.nfazaa me.n duur tak phaile hu.e vo khet sarso.n keye kahte hai.n ki ab armaa.n nikaalo apne barso.n ketumhaare saamne phailaa hu.aa maidaan saaraa haiko.ii aavaaz detaa hai ki aa.o tum hamaare homirii dhartii ke beTe merii duniyaa ke dulaare hotumhaarii aa.nkh me.n jo KHvaab so.e hai.n vo mere hai.ntumhaare ashk ne jo biij bo.e hai.n vo mere hai.nisii vaadii me.n phir se lauT kar ab tum ko aanaa haitumhaarii hii ye bastii hai tumhii.n ko phir basaanaa haiab is bastii me.n rakhte hii qadam kuchh aisaa lagtaa haiki is kaa zarra zarra patta patta kuchh nayaa saa haihar ik raste pe jaise kuchh na.e chehre se milte hai.nyahii jii chaahtaa hai jo mile ab us se ye puuchhe.ntumhaaraa naam kyaa hai? tum kahaa.n ke rahne vaale hokuchh aisaa jaan pa.Dtaa hai ki pahle bhii mile hai.n hamrahe hai.n saath yaa ik duusre ko jaante hai.n hamagar tum saath the to tum bhii shaayad dost the meremujhe yaad aayaa dono.n saath hii college me.n pa.Dhte thevo saare dosto.n kaa jam.a honaa mere kamre me.nvo gap shap qahqahe vo apne apne ishq ke qissevo miiras road kii baate.n vo charche KHuub-ruuyo.n kekabhii aavaaragardii apnii un viiraan sa.Dko.n kiikabhii baato.n me.n raate.n kaaTnaa sunsaan jaa.Do.n kiikabhii vo chaandnii me.n apnaa yuu.n hii ghuumte rahnaakabhii vo chaa.e kii mezo.n pe ghanTo.n baiThnaa sab kaavo baate.n ilm-o-hikmat kii kabhii shikve-shikaayat kiitumhe.n to yaad hogaa un me.n hii ik dost shaa.ir thaazaraa dekho to mujh ko Gaur se shaayad vo mai.n hii thaabahut din me.n mile hai.n ham to aa.o aaj jii bhar karha.nse.n bole.n kahii.n aavaaragardii ke liye nikle.nchale.n aur chal ke saare dosto.n ko phir bulaa laa.e.nsajaa.e.n aaj phir mahfil kahii.n piine pilaane kiimai.n tum ko aaj apnii kuchh na.ii baate.n bataa.uu.ngaamai.n tum ko aaj apnii kuchh na.ii nazme.n sunaa.uu.ngaa
dhuup me.n tezii nahii.naise aataa hai har ik jho.nkaa havaa kaa jaisedast-e-shafqat hai ba.Dii umr kii mahbuuba kaaaur mire shaano.n ko is tarah hilaa jaataa haijaise mai.n nii.nd me.n huu.naurte.n charKHe liye baiThii hai.nkuchh kapaas oTtii hai.nkuchh silaa.ii ke kisii kaam me.n masruuf hai.n yuu.njaise ye kaam hai dar-asl har ik shai kii asaasek se ek chuhul kartii haiko.ii kahtii hai mirii chuu.Diyaa.n khankii.n to khankhaarii mirii saasko.ii kahtii hai bharii chaa.ndnii aatii nahii.n raasraat kii baat sunaatii hai ko.ii ha.ns ha.ns karbaat kii baat sunaatii hai ko.ii ha.ns ha.ns karlazzat-e-vasl hai aazaar, ko.ii kahtii haimai.n to ban jaatii huu.n biimaar, ko.ii kahtii haimai.n bhii ghus aataa huu.n is shiish-mahal me.n dekhosab ha.nsii rok ke kahtii hai.n nikaalo is ko
chho.Do afsurdagii ko josh me.n aa.obas bahut so.e uTTho hosh me.n aa.oqaafile tum se ba.Dh ga.e koso.nrahe jaate ho sab se piichhe kyuu.nqaafilo.n se agar milaa chaahomulk aur qaum kaa bhalaa chaahogar rahaa chaahte ho izzat sebhaa.iyo.n ko nikaalo zillat seqaum kaa mubtazil hai jo insaa.nbe-haqiiqat hai garche hai sultaa.nqaum duniyaa me.n jis kii hai mumtaazho faqiirii me.n bhii vo baa-e.azaazizzat-e-qaum chaahte ho agarjaa ke phailaa.o in me.n ilm-o-hunarzaat kaa faKHr aur nasab kaa GuruuruTh ga.e ab jahaa.n se ye dastuurab na sayyad kaa iftiKHaar sahiihna barahman ko shudr par tarjiihqaum kii izzat ab hunar se haiilm se yaa ki siim-o-zar se haiko.ii din me.n vo daur aa.egaabe-hunar bhiik tak na paa.egaana rahe.nge sadaa yahii din-raatyaad rakhnaa hamaarii aaj kii baatgar nahii.n sunte qaul 'haalii' kaaphir na kahnaa ki ko.ii kahtaa thaa
vaqt raTne ke liye kam rah gayaa zyaada hai kaamsaal bhar jin ko na dekhaa vo KHulaase nek-naamsaamne rakkhe hai.n un ko jhuk ke karte hai.n salaamun kii puujaa hii me.n saaraa vaqt hotaa hai tamaamtelevision bhii nahii.n Gaa.eb hu.e hai.n saare khelDaal kar kolhuu me.n bachcho.n ko nikaalo un kaa tel
ruuho.n ko davaam dene vaalojismo.n kii sabiil kuchh nikaaloshola ko.ii musta.aar de doyaa laash ko ab mazaar de do
idhar se na jaa.oidhar raah me.n ek buu.Dhaa kha.Daa haijo peshaaniyo.n aur chehro.npe aisii bhabhuut ek mal degaa sab jhurriyaa.n phaT pa.De.ngiisiyah, maar jaise, chamakte hu.e kaale baalo.npe aisii sapiidii uma.nD aa.egii kuchh tadaaruk nahii.n jis kaa ko.iiko.ii raasta aur Dhuu.nDoki is piir-e-fartuut kii tez nazro.n se bach karnikal jaa.e.n aur is kii zad me.n na aa.e.n kabhii ham
chamakdaar dhan kaale dhan se nikaaloGariibo.n ko ra.nj-o-mehan se nikaalohame.n tum hamaare kafan se nikaaloye ruupya agar mil bhii jaa.e to kyaa hai
sunaa hai ki buu.Dhii havelii me.n har shabbhaTaktii hai ik ruuh jis ke badan parpuraanii rivaayaat kekhokhle-pan kaa malbuus haijis kii peshaanii ke zaKHm seKHuun bahtaa hai maazii kii tahziib kaaaur vo chiiKHtii haiki buu.Dhii havelii se us ko nikaalopuraanii rivaayaat ke khokhle-pan ke malbuus ko phaa.D Daalosuno shahr vaalo
hasab-nasab hai na taariiKH o jaa-e-paidaa.ishkahaa.n se aayaa thaa maz.hab na valdiyat ma.aluummaqaamii chhoTe se KHairaatii aspataal me.n vokahii.n se laayaa gayaa thaa vahaa.n ye hai marquummariiz raato.n ko chillaataa hai ''mire andarasiir zaKHmii parinda hai ik, nikaalo iseguluu-girafta hai ye habs-e-dam hai KHaa.if haisitam-rasiida hai mazluum hai bachaa lo ise''mariiz chiiKHtaa hai dard se karaahtaa haiye vietnam, kabhii dominican, kabhii kashmiirzar-e-kasiir, siyah qaume.n, KHaam madniyaatkasiif tel ke chashme, avaam, istehsaalzamii.n kii maut bahaa.im, fizaa.ii ja.ng, sitamijaara-daarii, subuk gaam, dilrubaa, atfaalsarod-o-naGma, adab, sher, amn, barbaadiijanaaza ishq kaa, daf kii sadaa.e.n, murda KHayaaltaraqqii, ilm ke gahvaare, ruuh kaa madfanKHudaa kaa qatl, ayaa.n zer-e-naaf zohra jamaaltamaam raat ye be-rabt baate.n kartaa haimariiz saKHt pareshaanii kaa sabab hai yahaa.nGaraz ki jo thaa shikaayat kaa ek daftar thaanatiija ye hai usii roz muntaqil karkeuse ik aur shifaa-KHaane ko ravaana kiyaasunaa gayaa hai vahaa.n nafsiyaat ke maahirtabiib haaziq o nabbaaz doctor kitnetalab kiye ga.e aur sab ne ittifaaq kiyaaye ko.ii zehnii maraz hai, mariiz ne shaayadkabhii parinda ko.ii paalaa hogaa lekin voadam-e-tavajjohii yaa ittifaaq se yuu.nhiibichaara mar gayaa us maut kaa asar hai yeajiib chiiz hai taht-e-shu.uur insaa.n kaaye aur kuchh nahii.n ehsaas-e-jurm hai jis nedil o dimaaG pe qabza kiyaa hai is darjamariiz qaatil o mujrim samajhtaa hai KHud ko!kisii kii raa.e thii pasmaa.nda qaum kaa ik fardmariiz hogaa isii vaaste siyah qaume.nGariib ke liye ik taboo ban ga.ii.n afsosko.ii ye kahtaa thaa ye asal me.n hai hubb-e-vatanmariiz chaahtaa thaa ham kafiil ho.n apnekisii bhii qaum ke aage na haath phailaa.e.nyahii.n pe tel ke chashme hai.n, vo kare.n daryaaft!gumaan kuchh ko thaa ye shaKHs ko.ii shaa.er haijo chaahtaa thaa jahaa.n-gardii me.n guzaare vaqthasiin aurte.n maa.il ho.n lutf-o-aish raheqalam ke zor se shohrat mile zamaane me.nzar-e-kasiir bhii haath aa.e is bahaane semagar Gariib kii sab koshishe.n ga.ii.n naakaamshikast-e-paiham o ehsaas-e-naa-rasaa.ii neye haal kar diyaa majruuh hoga.e a.asaabGaraz ki nukta-rassii me.n guzar gayaa sab vaqtvo chiiKHtaa hii rahaa dard kii davaa na miliinashist baa'd nashist aur mu.aa.ene shab o rozinhii.n me.n vaqt guzartaa gayaa shifaa na miliiphir ek shaam vahaa.n surma-dar-guluu aa.iijo us ke vaaste goyaa tabiib-e-haaziq thiikisii ne phir na sunii dard se bharii aavaazkaraahtaa thaa jo KHaamosh ho gayaa vo saaz
dostotum to kandho.n se uupar nazar hii nahii.n aa rahe hochaloapne chehre nidaamat kii almaariyo.n se nikaaloinhe.n jhaa.D kar gardano.n par rakhotum adhuure nahii.n ho to puure dikhaa.ii to do
fasl-e-bahaar aa.ii magar ham hai.n aur Gamhar samt se hai.n ghere hu.e sadma-o-alamaa.ii na uf zabaa.n pe sitam par hu.e sitamkyaa imtihaa.n ke vaaste Thahre hai.n sirf hamjab apnii quvvato.n pe bharosaa nahii.n rahaabehtar hai phir jahaa.n se uThaa le hame.n KHudaais umr-e-chand-roza me.n kii laakh justujuuchhaanii hai ham ne KHaak zamaane me.n kuu-ba-kuushikva aduu kaa kyaa hai jab ahbaab hai.n aduujiine kii ik second nahii.n ab to aarzuuham ne samajh liyaa ki jahaa.n se guzar ga.ejab dil hii mar gayaa to sab armaan mar ga.eham par giraa.e.n charKH ne is had pe bijliyaa.ndam-bhar me.n jal ke KHaak hu.ii.n saarii ustuKHaa.nchaltii rahii.n havaa-e-muKHaalif kii aa.ndhiyaa.naataa nahii.n samajh me.n ki jaa kar chhupe.n kahaa.nzer-e-zamii.n bhii chain kii ummiid ab nahii.nphir kyaa hai ye bataa de ko.ii gar Gazab nahii.nmakr-o-fareb se jo kare.n zindagii basarsau jaa.n hazaar dil se ho qurbaan har bashardin raat ham ho.n aur ho.n ahbaab-e-KHiira-sariimaan-daariyo.n me.n kaTii zindagii agarhar ek kii nigaah me.n bas KHaar ho ga.ebe-so.nche-samjhe mustahiq-e-daar ho ga.eda.avaa to ye hai ham bhii musalmaan hai.n zaruurkalma jo pochhiye to nahii.n yaad hai huzuurkyaa Gam agar shikasta aziizo.n ke hai.n qubuurteraa ye is pe had se ziyaada hai kuchh Guruurmelo.n ke vaaste jo talab ho to KHuub de.nqaumii jo ko.ii kaam ho to naam bhii na le.npuuchhaa agar ibaadat-e-KHaaliq hai ko.ii chiizfarmaayaa dil me.n ye to nihaayat hai bad-tamiizaiyyaashiyaa.n jo kiijiye to aap hai.n aziizai qaum kaahilii hai tirii ghar kii ab kaniizachchhii burii kaa jab to nahii.n imtiyaaz haibe-maa.egii par apnii faqat tujh ko naaz haihushyaar ko.ii laakh kare to hai be-KHabaris darja be-hayaa ki nahii.n dil pe kuchh asarnaazaa.n hai.n sirf baap ke daadaa ke naam parqarze me.n ho rahii hai magar zindagii basardekho to Gair ha.nste hai.n hoshyaar ho zaraalillaah ab to KHvaab se bedaar ho zaraaphuulo-phalo ilaahii raho shaad sar-ba-sarho naKHl-e-ittihaad hamesha ye baarvarvo din KHudaa dikhaa.e ki le aa.e ye samaraanaa hai tum ko manzil-e-maqsuud tak agarDaalii hai ittihaad kii tum ne jo daaG-belhimmat na haaro jaan ke bachcho.n kaa ek kheldekho to aur qaumo.n me.n kyaa ittihaad haidaulat se aur ilm se har ek shaad haitum me.n bhii aaj aisaa ko.ii KHush-nihaad haimahmuud kaa ye qaul hame.n ab to yaad haido din rahe jo aa ke jahaa.n me.n to khal ga.eaaKHir ko misl-e-KHaar-e-chaman se nikal ga.eai sakinaan mauza-e-jugvuur assalaamduniyaa hai aaj tum ko har ik baat kaa payaamab to nikaalo apnii dilo.n se KHayaal-e-KHaamachchhaa nahii.n jo Gair ke ban jaa.o tum Gulaamachchhii nasiihato.n pe amal phir zaruur haiko.ii na ye kahe ki saraasar qusuur haiapne umuur me.n na karo Gair ko shariikshar ko na Dhuu.nDho aur karo KHair ko shariikachchhe nahii.n safar jo kare.n sair ko shariikka.abe ke zikr me.n na karo dair ko shariiktum KHud rahe ho saahib-e-iqbaal dahr me.nkyuu.n Dhuu.nDte ho zaa.iqa-e-shahd zahar me.naKHlaaq kaa charaaG bujhaanaa na chaahiyezulmat-kada me.n Gair ke jaanaa na chaahiyesachchii nasiihato.n ko bhulaanaa na chaahiyetum ko kisii fareb me.n aanaa na chaahiyeallaah ke bharosa pe har kaam tum karodushman bhii jis ko maan le.n vo naam tum karo
railway line parmor so rahaa haitez raftaar trainyahaa.n se mat guzroline-man se kahokaa.nTaa badal detumhaaraa raasta tabdiil ho jaa.egaayaa phir ek surKH laalTainrailway line ke saath rakh dekisii na kisii tarahtumhe.n rok lerailway line par mor so rahaa haiuse is ke KHvaab se baahar mat nikaalovo apne KHvaab me.nkisii na.e baadshaah kii tarahpahlii baar gardan uThaa ke chal chal rahaa haius kii saltanatus ke paro.n kii tarah ra.ngo.n se bhariiaur khulii hu.ii haiuse be-ra.ng mat karouse mat ujaa.Dous kii baadshaahat kaa KHaatmaitnii jaldii mat karoagar hamaare aa.nsu.o.n kiiko.ii qiimat nahii.n haitab bhii hamaare saare aa.nsuuhamesha ke liye apne paas rakh lohamaare mor kii nii.ndus kii besh-qiimat nii.ndus ke paro.n kii yakjaa.iihamaare kitnii aham haitumhe.n nahii.n ma.aluumtez raftaar trainye sab kuchh ham se mat chhiinorailway line par mor ko sone dovo hamesha soyaa nahii.n rahegaaraat bhar ke liye use sone doagar tum ne us ke paro.n kobikher diyaato hamaarii zindagii me.n logo.naur chiizo.n kii tartiibKHatm ho jaa.egiihamaarii aa.nkho.n me.n maujuudmohabbat kii aaKHirii chamak KHatm ho jaa.egiihamaare dilo.n se rang u.D jaa.e.ngerailway line parus ke paro.n ko mat bikherovarna jo bhii unhe.n uThaa.egaais kii u.ngliyo.n me.n umr bharkaa.nTe chubhte rahe.ngeis kii aa.nkho.n me.n hameshasuu.iyaa.n bharii rahe.ngiiye par Diary me.n rakhne keyaa la.Dkiyo.n ke liyepa.nkhe banaane ke kaam nahii.n aateagar ek baar mor ke paryaa us kii nii.nd bikhar jaa.eto hame.n aur tumhe.n tez raftaar trainko.ii nahii.n chalne degaazinda bhii nahii.n rahne degaarailway line par nahii.n sone degaa
kamaal karte hai.n ishq vaaleye daastaa.n hai quruun-e-uula se peshtar kiijab ek la.Dkii se devtaa ne birog paayaato aa.nsuu.o.n kaa mahal banaayaaye ishq thaa sozamii.n kii buniyaad hil ga.ii thiisa.Dak ke taaro.n se mil ga.ii thiiye ishq thaa sona us ne lamho.n se maat khaa.iina us ko sadiyaa.n bigaa.D paa.ii.nkaTaas ab bhii vahii.n kha.Daa haihar ek patthar gavaah ban kar vahii.n pa.Daa haiye KHaak pahle hii muztarib thiiab aur hairaan ho ga.ii haipujaariyo.n ke nafas kii utranhavaa musalmaan ho ga.ii haimohabbato.n se bhare sahiife to taaqcho.n me.n sajaa diye hai.naqiidato.n ne shivaa ke aa.nsuu vuzuu ke qaabil banaa diye hai.nnasiib vaale hii aa.nsuu.o.n se vuzuu kare.ngeqabaa-e-girya rafuu kare.ngekaTaas apne hii aap me.n gumadam se ilhaaq kar rahaa haika.ii mazaahib kii lau jalaa.esadaa-e-ilhaad kar rahaa haiaur is jhamele ke paas baiThaako.ii tumhe.n yaad kar rahaa haiajab masaafat se chuur hai yeajiib fariyaad kar rahaa haiise nikaalo ye is jagah kaasukuun barbaad kar rahaa haikamaal karte hai.n ishq vaaleye daastaa.n hai quruun-e-uula se peshtar kii jab ek la.Dkiise devtaa ne birog paayaato aa.nsuu.o.n kaa mahal banaayaa
sub.h uThte hii zid kartii haiaur mujhe dho.ns detii rahtii haiagar aisaa nahii.n kiyaato mai.n nafrat se dostii kar luu.ngiiaur ye dil jo ek kone me.n suk.Daa pa.Daa haifariyaad kartaa rah jaa.egaamujhe is par taras aataa haitum jaldii se meraa zaa.icha nikaaloaur dekhomujhe kab tak tumhaare saath rahnaa haitum kab tak mujhe ghasiiTogiikab tak mai.n tumhaarii qaid jheluu.ngiihar chiiz kii intihaa hotii haimujhe ab is KHol me.n nahii.n rahnaamujhe jaane do
sukuut-e-niim-shabii me.n kisii ne dii aavaaz'na.iim' dil se nikaalo na KHaar-haa-e-KHalishsukuun hai to isii iztiraab me.n kuchh haiGuzaar-e-shauq me.n, soz-e-talaash me.n kuchh haijunuu.n ke jumla maraahil se tum guzar dekhojamaal-e-fikr se aabaad hai dil-e-viiraa.nsharaar-e-dil se munavvar jahaan-e-fardaa haiye kaun mujh se muKHaatib hai itnii qurbat seye kis ne zaKHm ko dast-e-shifaa se chhe.Daa hai,isii KHayaal me.n gum thaa ki phir sadaa aa.iikamaal-e-arz-e-suKHan jis ko tum samajh baiThevo ijz-e-fikr hai iqraar-e-be-zabaanii hainikal ke aa.o zaraa kuucha-e-KHabar dekhohar ek chaak-girebaa.n har ek gard-aaluudna qatl-gah se hiraasaa.n na sa.ngsaaro.n seki ek umr guzartii hai justujuu kartenazar ko tez haqiiqat ko ruu-ba-ruu kartebas ek tum ki tumhaare qadam nahii.n uThtequyuud-e-asr kii zanjiir kaaTne vaalefaraaz-e-koh se aavaaz de rahe hai.n tumhe.npayambaro.n ke maqaamaat de rahe hai.n tumhe.nruKH-e-sahar se haTaa.o ridaa-e-shab lillaahazaab-e-naar se guzro ki tauf-e-nuur karojigar ke daaG se rakkho hariim-e-jaa.n raushanshu.aa-e-dard ko chuumo gale lagaa.o 'na.iim'sar-e-vajuud jhukaa.e sunaa kiyaa sab kuchhtamaam jism thaa goyaa nishaana-e-aavaaztamaam ruuh thii saame tamaam Gam bedaarsukuut-e-shab me.nsadaa guu.njtii rahii pahro.n
hare-bhare lahraate patto.n vaalaa pe.Dindar se kis darja bodaa kitnaa khokhlaa ho saktaa haimujh se puuchhomai.n ik aise hii chhitnaar ke niiche baiThaaus kii chhaa.nv se apne safar kiidhuup kaa dukh.Daa phuul rahaa thaaaane vaale vaqt kii ThanDii giilii miTTii rol rahaa thaaapne aap se bol rahaa thaamai.n bhii kitnaa KHush-qismat huu.njiivan kii sunsaan Dagar parmere kitne yaar kha.De hai.n pe.D kii suuratitne me.n ik jho.nkaa aayaaye jho.nkaa chaa.ndii kii kaan ke andar se ho kar aayaa thaaek hii pal me.npe.D kii chhaal ne ra.ngat badliiek hii pal me.nhar patte kii shakl hu.ii maTyaalii gadliishaa.n shaa.n kartii shaaKHo.n me.n ik zahriilii sargoshii jaagiichhaa.nv chhaT kar pe.D ke tan kii jaanib bhaagiidil ye manzar dekh ke sahmaa kaa.npaa royaachaaro.n aur se uThtii ik anjaane dukh kii dhuul me.n khoyaazahar saa ik rag rag me.n samaayaaitne me.n ik aur jhuumtaa jho.nkaa aayaaye jho.nkaa KHud-Garzii ke kohsaar pe ma.nDlaa kar aayaa thaabas itnaa hii yaad hai mujh kokaise aur kab pe.D giraa ye pe.D se puuchhomujhe nikaalous buude aur khokhle pe.D ke niiche dab karmere saath miraa ehsaas bhii mar jaa.egaajo bhii ye manzar dekhegaa Dar jaa.egaadekhne vaalo.n ko is KHauf se is sadme is Gam se bachaa lomujhe nikaaloaa.inda mai.n chhitnaar ko apnaa yaar nahii.n samjhuu.ngaakabhii kabhii mil jaane vaalii chhaa.nv ko pyaar nahii.n samjhuu.ngaa
merii sinf ke baare me.ntumhaarii latiifo.n kii zambiilumr o ayyaar kii zambiil jaisii hainikaalo ko.ii nayaa yaa sadiyo.n puraanaa latiifamahfuuz karo mujhejaise tum karte ho ek duusre komedical college me.n murda jismo.n kii chiir phaa.D karte hu.estock exchange me.n kaarobaar karte hu.eyaa KHaatuun siyaasatdaano.n ke baalo.n ke andaaz kaa tajziya karte hu.e
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books