aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "relaa"
kaisaa saKHt tuufaa.n thaakitnii tez baarish thiiaur mai.n aise mausam me.njaane kyuu.n bhaTaktii thiivo sa.Dak ke us jaanibraushnii ke khambe se!sar lagaa.e istaadaaane vaale gaahak keintizaar me.n gum thii!KHaal-o-KHad kii aaraa.ishbah rahii thii baarish me.ntiir nok-e-mizhgaa.n kemil ga.e the miTTii me.ngesu.o.n kii KHush-ra.ngiiu.D rahii thii jho.nko.n me.nmai.n ne dil me.n ye sochaaaab o baad kaa relaa!us ko raakh kar degaaye sajaa banaa chehra!kyaa Daraavnaa hogaaphir bhii us ko le jaanaaaane vaale gaahak kaaapnaa hausla hogaa
abhii abhii tum kokasii hu.ii bhii.D ke aaKHirii sire pardekhaa hai achaanakrele par relaa, dhakke par dhakkaakahii.n bhii ko.ii shigaaf nahii.ninsaanii jismo.n kii uu.nchii diivaartum tak kabhii bhiipahu.nchne na degii
tarGiib:phir mai.n kaam me.n lag jaa.uu.ngaa aa fursat hai pyaar kare.nnaagin sii bal khaatii uTh aur merii god me.n aan machalbhed-bhaav kii bastii me.n ko.ii bhed-bhaav kaa naam na lehastii par yuu.n chhaa jaa ba.Dh kar sharminda ho jaa.e ajalchho.D ye laaj kaa ghuu.ngat kab tak rahegaa in aa.nkho.n ke saathcha.Dhtii raat hai Dhaltaa suuraj kha.Dii kha.Dii mat paa.nv malphir ye jaaduu so jaa.egaa samay jo biitaa gahrii nii.ndjo kuchh hai anmol hai ab tak ek ik lamha ek ik palbin chhuu.ii miTTii kii KHushbuu us kaa suu.ndhaa suu.ndhaa-pansab kuchh chhin jaa.egaa ik din ab bhii vaqt hai dekh sambhalnarm rago.n me.n miiThii miiThii Tiis jo ye uThtii hai aajba.Dhtii mauj kaa relaa hai ik, Tiis na uThegii kalmast rasiilii aa.nkho.n se ye chhalkii chhalkii sii ik shaijis ne aaj apnaayaa is ko samjho us ke car saphalmai.n tere sho.alo.n se kheluu.n tuu bhii merii aag se khelmai.n bhii terii nii.nd chuuraa.uu.n tuu bhii merii niinde.n chhalnarm havaa ke jho.nko.n hii se khultii hai phuulo.n kii aa.nkhvarna barso.n saath rahe hai.n Thahraa paanii band ka.nval!
lo iid aa.ii lo do puliye maidaan me.n bhar baazaar lagaahar chaahat kaa saamaan hu.aa har ne.amat kaa ambaar lagaasab ujlaa shahr uma.nD aayaa shalvaar sajaa dastaar lagaais bhii.D ke biphre tuufaa.n me.n jo Duub gayaa so paar lagaaTolii ke aage Tolaa hai railii ke piichhe relaa haiyaaro ye iid kaa mela hai
ek ajiib KHvaahish haiis zamii.n ke kone me.nsirf mah-jabiino.n kiisab kii sab hasiino.n kiiapnii ek bastii hozindagii jahaa.n har pal khilkhilaa ke ha.nstii hora.ng-o-nuur kii baarishhar gha.Dii barastii hosab Gazaal-naino.n me.nshoKH sii sharaarat hoin kii jumbish-e-lab sezindagii ibaarat hoKHushiyo.n kaa jhamelaa hopalko.n pe sitaare ho.nraushnii kaa relaa hoKHushbu.o.n kaa mela hoaur mah-jabiino.n kii is hasiin bastii me.nek sirf meraa hiichuu.Diyo.n kaa Thela ho
dariyaa cha.Dhaav par haiaur bojh naav par haipahnaa-e-aab saaraahai kuuch kaa ishaaraahosh-aazmaa nazaaraamaujo.n ke mu.nh me.n kaf haiik shor har taraf haimarg-aafrii.n hai dhaaraaaur duur hai kinaaraako.ii nahii.n sahaaraateG-aazmaa hai.n lahre.nteGe.n hai.n yaa hai.n lahre.ntauba havaa kii teziimauj-e-fanaa kii teziihai kis balaa kii teziitadbiir-e-naaKHudaa kyaachappuu kaa aasraa kyaagirdaab pa.D rahe hai.nkashtii se la.D rahe hai.ntaKHte ukha.D rahe hai.nnaGmo.n kaa josh KHaamoshsab naav-nosh KHaamoshhai ye baraat kis kiinau-shaah aur baraatiilauTe hai.n le ke Doliimaayuus hai.n nigaahe.nraqsaa.n labo.n pe aahe.nDolii me.n huur paikarkyaa kaa.nptii hai thartharlekin hai muhr lab parduulhaa ke sar pe sahraalekin udaas chehraishrat kii aarzuu thiiulfat kii justujuu thiiummiid ruu-ba-ruu thiiye inqalaab kyaa haiaaGosh-e-marg vaa haiafsos yaa-ilaahiikyaa aa ga.ii tabaahiiqismat kii kam nigaahiidil sard ho rahe hai.nruKH zard ho rahe hai.nis mahshar-e-balaa me.nis lahja-e-fanaa me.nis sail-e-baad-paa me.nsab ahl-e-yaas gum hai.nhosh-o-havaas gum hai.nkuchh mahv hai.n du.aa me.nkuchh naala-o-bukaa me.nkuchh shikva-e-KHudaa me.nbaiThii hai ek bevahai sabr jis kaa shevadil haath se dabaa.ebachcha gale lagaa.etiir-e-umiid khaa.eye baap kii nishaaniisarmaaya-e-javaaniiik din javaan hogaaammaa.n kaa maan hogaahaq mehrbaan hogaaik naujavaa.n bad-aKHtarbhaagaa hai ghar se la.D karchho.De the baap-maa.n bhiibiivii bhii aur makaa.n bhiiab chho.Dtaa hai jaa.n bhiiai kaash mai.n na aataaai kaash lauT jaataaai tab-e-KHud-sar afsosai taish tujh par afsosafsos yaksar afsosye dev-zaad mauje.nye nau-nihaad mauje.naayaa phir ek relaakashtii banii hai tinkaabas ho chalaa safaayaatadbiir ro rahii haitaqdiir so rahii haimallaah tair nikledariyaa me.n pair nikleafsos Gair nikle
ab aa.nsu.o.n ke dhu.ndlako.n me.n raushnii dekhohujuum-e-marg se aavaaz-e-zindagii ko sunosuno ki tishna-dahan maalik-e-sabiil hu.esuno ki KHaak-basar vaaris-e-fasiil hu.eridaa-e-chaak ne dastaar-e-shah ko taar kiyaatan-e-nahiif se amboh-e-jabr haar gayaasuno ki hirs-o-havas qahr-o-zahr kaa relaaGubaar-o-KHaar o KHash-o-KHaak hii ne thaam liyaasiyaahiyaa.n hii muqaddar ho.n jin nigaaho.n kaaKHudaa bachaa.e un aa.nkho.n kii shola-baarii seDaro ki zard-ruKHaa.n niim-jaa.n o KHasta-tanaa.nhazaar baar mare aur laakh baar jiye!vo log jin ko mayassar na aa.e marham-e-vaqt!vo log talKHii-e-taqdiir baa.nT lete hai.nvo haath jin pe ho nafrat kaa za.ng sadiyo.n sevo haath lohe kii diivaar kaaT dete hai.n
har sailaanii ye kahtaa haishahr anokhaa kalkatta haibhaarat kaa har suube vaalaais ke daaman me.n bastaa haiis ke fuTpaatho.n par har damlogo.n kaa relaa chaltaa hailambii chau.Dii sab sa.Dko.n parcaro.n kaa dariyaa bahtaa haina.ii tramo.n kaa ab chalnaaaa.nkho.n ko achchhaa lagtaa haido do insaa.n hai.n rikshe parbaar ye ik insaa.n sahtaa haiek hai metro railway jis sevaqt safar kaa bachtaa haidurgaa puujaa me.n kalkattajagmag jagmag kar uThtaa hairosogulaa mishTii do.iishaan niraalii hii rakhtaa haimachhlii se ba.ngaalii bhaa.iimehmaano.n ko KHush kartaa haijosh bharaa ye shahr hameshaik parcham thaame rahtaa haidekh 'faraaG' apne shero.n me.nab kalkatta bhii dikhtaa hai
ik nayaa din mirii viiraan guzargaaho.n parle ke kashkol mire saath utar aa.egaamere daaman se lipaT kar ye samay kaa relaamujh ko mujh se hii judaa karne pe uksaa.egaa
bachcho circus aayaa haighar ghar us kaa charchaa haihaathii chiite bandar sabkartab dikhlaa.e.nge abcircus fan kaa zariya haiKHushiyo.n kaa ik relaa haichaarlii sher se khele haimushkil kaisii jhele haibachcho circus kaisaa haiachchhaa khel-tamaashaa hai'haafiz' circus dekhe.n aa.oafsurda ho dil bahlaa.o
sulagte din hai.ntaviil tanhaa.iyaa.n mire saath leTe leTefazaa se aa.nkhe.n la.Daa rahii hai.nmire dariiche ke paas sunsaan rahguzar haiabhii abhii ek relaa aayaa thaa gard kaa jo lapeT kar le gayaa hai tinko.n ko saath apnemirii kitaabo.n me.n kuchh nahii.n haihuruuf be-ruuh bad-maza hai.nhikaayate.n apne KHushk ho.nTo.n ko chaaTtii hai.ntamaam ash.aar-e-tishnagii ke lahuu me.n palke.n Dubo rahe hai.n
sunozulm kaa abr dhartii ke tapte badan par jo barsaa.ogeto samay aaye.gaaaur aane hii vaalaa hai ye jaan loki tumhaare bhii sar seye paanii kaa relaa guzar jaa.egaaaur tumhaaraa badanmuntaqil aisii daldal me.n ho jaa.egaajis kii jaanib abas Gair kaa tazkiraKHud tumhaare bhii apne nahii.n aa.e.nge
tab vo mujh ko dekh ke lapkiimerii jaanib Gaiz-bharii nazro.n kaa relaa aayaaphir jaise kuchh shoKH ke ThiThkiisurKH gulaab kaa phuul mire haatho.n me.n thamaayaaaur KHud chikne farsh pe gir kar TuuT ga.ii
jis ke chaaro.n-samt ab takpaaniyo.n kaa relaa haiaisaa sard paanii kijis me.n ko.ii utre toruuh sard pa.D jaa.ekaa.np jaa.e saaraa tankaun ye samajhtaa haiKHvaab kitne ziddii hai.ngol gol lahro.n me.nDuub kar ubharne kaahausla sameTe yeaise kuud pa.Dte hai.njaise ko.ii muddat sepyaas me.n ta.Daptaa hoaur saamne us kesirf ek kuuza hojis me.n chand qatre ho.nsun lo aa.nkh kaa qissaqarz apne KHvaabo.n kaa kis tarah chukaatii haimauj ke thape.Do.n se reza reza hotii hailamha lamha jaltii hai TuuT kar barastii haisurKH surKH Doro.n me.n sab thakan sameTe yeKHvaab kab samajhte hai.n aa.nkh kii ta.Dap kyaa haikitne dard palko.n par yuu.n uThaa.e phirtii haigahre is samundar me.n kaise kaise tuufaa.n hai.nto.Dte hai.n kyaa kyaa kuchh shor kaise karte hai.nKHvaab ek jaziira hai vo kahaa.n samajhtaa haius kii ek KHvaahish par aa.nkh kitnaa rotii haiaa.nkh kitnaa rotii hai
kyaa isii din ke liye havvaa ko yaa.n laayaa gayaakyaa isii din ke liye aadam ko bahlaayaa gayaakyo.n isii ke jism-o-jaa.n ke saath khelaa jaa.egaakyo.n isii ke KHvaab ko KHvaahish ko relaa jaa.egaakyo.n libaas is kaa sar-e-baazaar utaaraa jaa.egaakyo.n isii ko maar kar dariyaa me.n phe.nkaa jaa.egaakyo.n tujhe is kii ye laachaarii nazar aatii nahii.nkyo.n madad terii taraf se is ko dii jaatii nahii.n
ka.ii saal hu.e merii zindagiiKHizaa.n-aaluud viiraan sa.Dko.npattharo.n se banii taariik KHaalii galiyo.nsunsaan jangalo.naur jaa.De me.n jamte kaale dariyaa.o.n ke kinaare guzar rahii haivahii dariyaa jin me.n mai.n neaqiidato.n me.n baa.ndhe ka.ii ta.aviiz samjhaute ke naam par bahaa diyevahii sa.Dke.n jin kii viiraanii ke sipurd mai.n nemohabbato.n me.n baa.ndhe ka.ii va.ade kiyevahii galiyaa.n jin ke pattharo.n pe mai.n neKHvaahish kii har shakl to.D diivahii jangal jis kii KHaamoshii me.n mai.n nehar sadaa.ii kii du.aa dafnaa diimagar kaale dariyaa akasr mujhe aa.iina dikhaane aate hai.njis me.n yaad-daashto.n se ubharte chehro.n ke naqshe bante hai.nphir mausamii baarisho.n kaa ko.ii relaa aataa haiaur sabhii guzashtagaan ko palak jhapke bahaa le jaataa haiphir tanhaa.ii ke saahilo.n par mere pairhoniyo.n kii baaqiyaat se Takraate hai.nkuchh vajuud maKHmalii.n ehsaas baKHshte hai.nbaaqii ke asbaab paa.nv me.n KHaar kii tarah chubhte hai.nnange paa.nv zindagii guzaarnaa aasaan nahii.nki ruuh kii fanaa kaa amal kahte hai.npaa.nv ke anguuThe se shuruu.a hogaajaan nikalne kaa manzar-naama jitnaa bhii haul-naak hokuchh ruuhe.n kabhii fanaa nahii.n hotii.naur bechainii un me.n panaah Dhuu.nD letii hai
mujh me.n khi.Dkii baraamad hu.iijis ke piichhe murassa’ ka.ii rango.n vaalepur-asraar parde kisii ne hilaa.ehavaa jin se ho ho ke guzriizamii.n-doz siiTii kisii ne bajaa.iidaraKHto.n ke jhunD se agar tez-tar ho ke guzriito patto.n ke ik duusre se lipaTne kii aavaaz aa.iiko.ii jaise ha.ns ha.ns ke taalii bajaa.epur-asraar pardo.n ke piichhepakke phal se maamuur shaaKHo.n ne jhuule jhulaa.ezaraa aage rangii.n ufuq kaa kinaara laraztaaufuq ke kinaare kii surKHii usii khi.Dkii kii samt aatiikinaare kii surKHii kaa sailaab cha.Dhtaalahuu-rang kii chaadare.n phaTtii.nchaa.ndii kaa ThanDaa ku.aa.n Dol pa.Dtaanikaltaa vahii.n se pighalte hu.e garm sone kaa paaniinikal aataa relaapuraane pa.De paanii kaa ruup tabdiil ho jaataarele ke paanii kii shakle.n badal jaatii.nkhi.Dkii se lagtaa to lagtaau.De jaa rahe hai.n makaanaatgirte chale jaa rahe hai.n kinaarebahut gahrii miTTii bahut surKH miTTii kaa relaana jis kii ko.ii ibtidaa hotii naa muKHtatam ant hotaaKHatarnaak relaa khulii khi.Dkii ke saath lag kar guzartaato paanii kii raftaar ba.Dhtiibha.nvar ban.ne lagtevahaa.n ko.ii aahan-rubaa khii.nchtaa jaa rahaa thaakashish thii ki ba.Dhtii chalii jaa rahii thiiubhartii chalii jaa rahii thii ‘umuq vaalii khaa.iihar ik shai usii ghuumtii khaa.ii kii tah kii jaanib utartii chalii jaa rahii thiihavaa.o.n kaa tuufaan relo.n kaa kha.Dkaar aahan-rubaa kiihama-vaqt bedaar mu.nh-zor bhaarii kashish se nikaltaa nahii.n thaako.ii merii jaanib lapaktaa nahii.n thaamahaa-rang vaale tamaashe ke muujib ko taktaa nahii.n thaakisii ne usii khi.Dkii ke piichhe hilte murassa’ pur-asraar parde haTaa.ehaTaa.e vo pardejahaa.n se har ik chiiz zer-o-zabar kartaa sailaab ab bhii uma.nDtaa chalaa aa rahaa thaavahii.n se vo nikliihar ik shai ko taaraaj kartiimirii samt aa.iisabhii chiizo.n se bach ke us neisii khi.Dkii ko dekhaakhi.Dkii pe kuhnii Tikaa.iimujhe dekhaakhi.Dkii haTaa.ii
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rabkyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa hoshorish se bhaagtaa huu.n dil Dhuu.nDtaa hai meraaaisaa sukuut jis par taqriir bhii fidaa homartaa huu.n KHaamushii par ye aarzuu hai meriidaaman me.n koh ke ik chhoTaa saa jho.npa.Daa hoaazaad fikr se huu.n uzlat me.n din guzaaruu.nduniyaa ke Gam kaa dil se kaa.nTaa nikal gayaa holazzat sarod kii ho chi.Diyo.n ke chahchaho.n me.nchashme kii shorisho.n me.n baajaa saa baj rahaa hogul kii kalii chaTak kar paiGaam de kisii kaasaaGar zaraa saa goyaa mujh ko jahaa.n-numaa hoho haath kaa sirhaanaa sabze kaa ho bichhaunaasharmaa.e jis se jalvat KHalvat me.n vo adaa homaanuus is qadar ho suurat se merii bulbulnanhe se dil me.n us ke khaTkaa na kuchh miraa hosaf baa.ndhe dono.n jaanib buuTe hare hare ho.nnaddii kaa saaf paanii tasviir le rahaa hoho dil-fareb aisaa kohsaar kaa nazaarapaanii bhii mauj ban kar uTh uTh ke dekhtaa hoaaGosh me.n zamii.n kii soyaa hu.aa ho sabzaphir phir ke jhaa.Diyo.n me.n paanii chamak rahaa hopaanii ko chhuu rahii ho jhuk jhuk ke gul kii Tahniijaise hasiin ko.ii aa.iina dekhtaa homeh.ndii lagaa.e suuraj jab shaam kii dulhan kosurKHii liye sunahrii har phuul kii qabaa horaato.n ko chalne vaale rah jaa.e.n thak ke jis damummiid un kii meraa TuuTaa hu.aa diyaa hobijlii chamak ke un ko kuTiyaa mirii dikhaa dejab aasmaa.n pe har suu baadal ghiraa hu.aa hopichhle pahr kii koyal vo sub.h kii mo.azzinmai.n us kaa ham-navaa huu.n vo merii ham-navaa hokaano.n pe ho na mere dair o haram kaa ehsaa.nrauzan hii jho.npa.Dii kaa mujh ko sahar-numaa hophuulo.n ko aa.e jis dam shabnam vazuu karaaneronaa miraa vazuu ho naala mirii du.aa hois KHaamushii me.n jaa.e.n itne buland naaletaaro.n ke qaafile ko merii sadaa diraa hohar dardmand dil ko ronaa miraa rulaa debehosh jo pa.De hai.n shaayad unhe.n jagaa de
daliil-e-sub.h-e-raushan hai sitaaro.n kii tunuk-taabiiufuq se aaftaab ubhraa gayaa daur-e-giraa.n-KHvaabiiuruuq-murda-e-mashriq me.n KHuun-e-zindagii dau.Daasamajh sakte nahii.n is raaz ko siinaa o faaraabiimusalmaa.n ko musalmaa.n kar diyaa tuufaan-e-maGrib netalaatum-haa-e-dariyaa hii se hai gauhar kii sairaabiiataa momin ko phir dargaah-e-haq se hone vaalaa haishikoh-e-turkamaanii zehn hindii nutq aaraabiiasar kuchh KHvaab kaa Guncho.n me.n baaqii hai tuu ai bulbulnavaa-raa talKH-tarmii zan chuu zauq-e-naGma kam-yaabiita.Dap sehn-e-chaman me.n aashiyaa.n me.n shaaKH-saaro.n me.njudaa paare se ho saktii nahii.n taqdiir-e-siimaabiivo chashm-e-paak hai.n kyuu.n ziinat-e-bar-gustavaa.n dekhenazar aatii hai jis ko mard-e-Gaazii kii jigar-taabiizamiir-e-laala me.n raushan charaaG-e-aarzuu kar dechaman ke zarre zarre ko shahiid-e-justujuu kar desarishk-e-chashm-e-muslim me.n hai naisaa.n kaa asar paidaaKHaliilullaah ke dariyaa me.n ho.nge phir guhar paidaakitaab-e-millat-e-baizaa kii phir shiiraaza-bandii haiye shaaKH-e-haashmii karne ko hai phir barg-o-bar paidaarabuud aa.n turk shiiraazii dil-e-tabrez-o-kaabul raasabaa kartii hai buu-e-gul se apnaa ham-safar paidaaagar usmaaniyo.n par koh-e-Gam TuuTaa to kyaa Gam haiki KHuun-e-sad-hazaar-anjum se hotii hai sahar paidaajahaa.nbaanii se hai dushvaar-tar kaar-e-jahaa.n-biiniijigar KHuu.n ho to chashm-e-dil me.n hotii hai nazar paidaahazaaro.n saal nargis apnii be-nuurii pe rotii haiba.Dii mushkil se hotaa hai chaman me.n diida-var paidaanavaa-pairaa ho ai bulbul ki ho tere tarannum sekabuutar ke tan-e-naazuk me.n shaahii.n kaa jigar paidaatire siine me.n hai poshiida raaz-e-zindagii kah demusalmaa.n se hadiis-e-soz-o-saaz-e-zindagii kah deKHudaa-e-lam-yazal kaa dast-e-qudrat tuu zabaa.n tuu haiyaqii.n paidaa kar ai Gaafil ki maGluub-e-gumaa.n tuu haipare hai charKH-e-niilii-faam se manzil musalmaa.n kiisitaare jis kii gard-e-raah ho.n vo kaarvaa.n to haimakaa.n faanii makii.n faanii azal teraa abad teraaKHudaa kaa aaKHirii paiGaam hai tuu jaavedaa.n tuu haiHinaa-band-e-uruus-e-laala hai KHuun-e-jigar teraatirii nisbat baraahiimii hai memaar-e-jahaa.n tuu haitirii fitrat amii.n hai mumkinaat-e-zindagaanii kiijahaa.n ke jauhar-e-muzmar kaa goyaa imtihaa.n to haijahaan-e-aab-o-gil se aalam-e-jaaved kii KHaatirnubuvvat saath jis ko le ga.ii vo armuGaa.n tuu haiye nukta sarguzisht-e-millat-e-baizaa se hai paidaaki aqvaam-e-zamiin-e-asia kaa paasbaa.n tuu haisabaq phir pa.Dh sadaaqat kaa adaalat kaa shujaa.at kaaliyaa jaa.egaa tujh se kaam duniyaa kii imaamat kaayahii maqsuud-e-fitrat hai yahii ramz-e-musalmaaniiuKHuvvat kii jahaa.ngiirii mohabbat kii faraavaaniibutaan-e-ra.ng-o-KHuu.n ko to.D kar millat me.n gum ho jaana tuuraanii rahe baaqii na iiraanii na afGaaniimiyaan-e-shaaKH-saaraa.n sohbat-e-murG-e-chaman kab taktire baazuu me.n hai parvaaz-e-shaahiin-e-qahastaaniigumaa.n-aabaad hastii me.n yaqii.n mard-e-musalmaa.n kaabayaabaa.n kii shab-e-taariik me.n qindiil-e-rohbaaniimiTaayaa qaisar o kisraa ke istibdaad ko jis nevo kyaa thaa zor-e-haidar faqr-e-buu-zar sidq-e-salmaaniihu.e ahraar-e-millat jaada-paimaa kis tajammul setamaashaa.ii shigaaf-e-dar se hai.n sadiyo.n ke zindaaniisabaat-e-zindagii iimaan-e-mohkam se hai duniyaa me.nki almaanii se bhii paa.enda-tar niklaa hai tuuraaniijab is a.ngaara-e-KHaakii me.n hotaa hai yaqii.n paidaato kar letaa hai ye baal-o-par-e-ruuh-ul-amii.n paidaaGulaamii me.n na kaam aatii hai.n shamshiire.n na tadbiire.njo ho zauq-e-yaqii.n paidaa to kaT jaatii hai.n zanjiire.nko.ii andaaza kar saktaa hai us ke zor-e-baazuu kaanigaah-e-mard-e-momin se badal jaatii hai.n taqdiire.nvilaayat paadshaahii ilm-e-ashiyaa kii jahaa.ngiiriiye sab kyaa hai.n faqat ik nukta-e-iimaa.n kii tafsiire.nbaraahiimii nazar paidaa magar mushkil se hotii haihavas chhup chhup ke siino.n me.n banaa letii hai tasviire.ntamiiz-e-bandaa-o-aaqaa fasaad-e-aadmiyat haihazar ai chiira-dastaa.n saKHt hai.n fitrat kii ta.aziire.nhaqiiqat ek hai har shai kii KHaakii ho ki nuurii holahuu KHurshiid kaa Tapke agar zarre kaa dil chiire.nyaqii.n mohkam amal paiham mohabbat faatah-e-aalamjihaad-e-zindagaanii me.n hai.n ye mardo.n kii shamshiire.nche baayad mard raa tab-e-buland mashrab-e-naabedil-e-garme nigaah-e-paak-biine jaan-e-betaabeuqaabii shaan se jhapTe the jo be-baal-o-par niklesitaare shaam ke KHuun-e-shafaq me.n Duub kar niklehu.e madfuun-e-dariyaa zer-e-dariyaa tairne vaaletamaa.nche mauj ke khaate the jo ban kar guhar nikleGubaar-e-rahguzar hai.n kiimiyaa par naaz thaa jin kojabiine.n KHaak par rakhte the jo iksiir-gar niklehamaaraa narm-rau qaasid payaam-e-zindagii laayaaKHabar detii thii.n jin ko bijliyaa.n vo be-KHabar nikleharam rusvaa hu.aa piir-e-haram kii kam-nigaahii sejavaanaan-e-tataarii kis qadar saahab-nazar niklezamii.n se nuuryaan-e-aasmaa.n-parvaaz kahte theye KHaakii zinda-tar paa.enda-tar taabinda-tar niklejahaa.n me.n ahl-e-iimaa.n suurat-e-KHurshiid jiite hai.nidhar Duube udhar nikle udhar Duube idhar nikleyaqii.n afraad kaa sarmaaya-e-taamiir-e-millat haiyahii quvvat hai jo suurat-gar-e-taqdiir-e-millat haituu raaz-e-kun-fakaa.n hai apnii aa.nkho.n par ayaa.n ho jaaKHudii kaa raaz-daa.n ho jaa KHudaa kaa tarjumaa.n ho jaahavas ne kar diyaa hai Tuk.De Tuk.De nau-e-insaa.n kouKHuvvat kaa bayaa.n ho jaa mohabbat kii zabaa.n ho jaaye hindii vo KHuraasaanii ye afGaanii vo tuuraaniituu ai sharminda-e-saahil uchhal kar be-karaa.n ho jaaGubaar-aaluuda-e-ra.ng-o-nasab hai.n baal-o-par teretuu ai murG-e-haram u.Dne se pahle par-fishaa.n ho jaaKHudii me.n Duub jaa Gaafil ye sirr-e-zindagaanii hainikal kar halqa-e-shaam-o-sahar se jaavedaa.n ho jaamasaaf-e-zindagii me.n siirat-e-faulaad paidaa karshabistaan-e-mohabbat me.n hariir o parniyaa.n ho jaaguzar jaa ban ke sail-e-tund-rau koh o bayaabaa.n segulistaa.n raah me.n aa.e to juu-e-naGma-KHvaa.n ho jaatire ilm o mohabbat kii nahii.n hai intihaa ko.iinahii.n hai tujh se ba.Dh kar saaz-e-fitrat me.n navaa ko.iiabhii tak aadmii said-e-zabuun-e-shahryaarii haiqayaamat hai ki insaa.n nau-e-insaa.n kaa shikaarii hainazar ko KHiira kartii hai chamak tahziib-e-haazir kiiye sannaa.ii magar jhuuTe niguu.n kii reza-kaarii haivo hikmat naaz thaa jis par KHirad-mandaan-e-maGrib kohavas ke panja-e-KHuunii.n me.n teG-e-kaar-zaarii haitadabbur kii fusuu.n-kaarii se mohkam ho nahii.n saktaajahaa.n me.n jis tamaddun kii binaa sarmaaya-daarii haiamal se zindagii bantii hai jannat bhii jahannam bhiiye KHaakii apnii fitrat me.n na nuurii hai na naarii haiKHarosh-aamoz bulbul ho girah Gunche kii vaa kar deki tuu is gulsitaa.n ke vaaste baad-e-bahaarii haiphir uTThii asia ke dil se chi.ngaarii mohabbat kiizamii.n jaulaa.n-gah-e-atlas qabaayaan-e-tataarii haibayaa paidaa KHariidaa raast jaan-e-naa-tavaan-e-raapas az muddat guzaar uftaad barmaa kaarvaane raabayaa saaqii navaa-e-murG-zaar az shaaKH-saar aamadbahaar aamad nigaar aamad nigaar aamad qaraar aamadkashiid abr-e-bahaarii KHema andar vaadii o sahraasadaa-e-aabshaaraa.n az faraaz-e-koh-saar aamadsarat gardam toham qaanuun peshii.n saaz dah saaqiiki KHail-e-naGma-pardaazaa.n qataar andar qataar aamadkanaar az zaahidaa.n bar-giir o bebaakaana saaGar-kashpas az muddat azii.n shaaKH-e-kuhan baa.ng-e-hazaar aamadba-mushtaaqaa.n hadiis-e-KHvaajaa-e-badro hunain aavartasarruf-haa-e-pinhaanash ba-chashm-e-aashkaar aamaddigar shaaKH-e-KHaliil az KHuun-e-maa namnaak mii gardadba-baazaar-e-mohabbat naqd-e-maa kaamil ayyaar aamadsar-e-KHaak-e-shahiire barg-haa-e-laala mii paashamki KHuunash baa-nihaal-e-millat-e-maa saazgaar aamadbayaa taa-gul baa-afmaishaaniim o mai dar saaGar andaazemfalak raa saqf ba-shagaafem o tarh-e-diigar andaazem
tumhe.n udaas saa paataa huu.n mai.n ka.ii din sena jaane kaun se sadme uThaa rahii ho tumvo shoKHiyaa.n vo tabassum vo qahqahe na rahehar ek chiiz ko hasrat se dekhtii ho tumchhupaa chhupaa ke KHamoshii me.n apnii bechainiiKHud apne raaz kii tash.hiir ban ga.ii ho tummerii umiid agar miT ga.ii to miTne doumiid kyaa hai bas ik pesh-o-pas hai kuchh bhii nahii.nmirii hayaat kii Gamgiiniyo.n kaa Gam na karoGam-e-hayaat Gam-e-yak-nafas hai kuchh bhii nahii.ntum apne husn kii ra.anaa.iyo.n pe rahm karovafaa fareb hai tuul-e-havas hai kuchh bhii nahii.nmujhe tumhaare taGaaful se kyuu.n shikaayat homirii fanaa mire ehsaas kaa taqaazaa haimai.n jaantaa huu.n ki duniyaa kaa KHauf hai tum komujhe KHabar hai ye duniyaa ajiib duniyaa haiyahaa.n hayaat ke parde me.n maut paltii haishikast-e-saaz kii aavaaz ruuh-e-naGma haimujhe tumhaarii judaa.ii kaa ko.ii ranj nahii.nmire KHayaal kii duniyaa me.n mere paas ho tumye tum ne Thiik kahaa hai tumhe.n milaa na karuu.nmagar mujhe ye bataa do ki kyuu.n udaas ho tumKHafaa na honaa mirii jur.at-e-taKHaatub partumhe.n KHabar hai mirii zindagii kii aas ho tummiraa to kuchh bhii nahii.n hai mai.n ro ke jii luu.ngaamagar KHudaa ke liye tum asiir-e-Gam na rahohu.aa hii kyaa jo zamaane ne tum ko chhiin liyaayahaa.n pe kaun hu.aa hai kisii kaa socho tomujhe qasam hai mirii dukh-bharii javaanii kiimai.n KHush huu.n merii mohabbat ke phuul Thukraa domai.n apnii ruuh kii har ik KHushii miTaa luu.ngaamagar tumhaarii masarrat miTaa nahii.n saktaamai.n KHud ko maut ke haatho.n me.n sau.np saktaa huu.nmagar ye baar-e-masaa.ib uThaa nahii.n saktaatumhaare Gam ke sivaa aur bhii to Gam hai.n mujhenajaat jin se mai.n ik lahza paa nahii.n saktaaye uu.nche uu.nche makaano.n kii Dev.Dhiyo.n ke talehar ek gaam pe bhuuke bhikaariyo.n kii sadaahar ek ghar me.n hai aflaas aur bhuuk kaa shorhar ek samt ye insaaniyat kii aah-o-bukaaye kaar-KHaano.n me.n lohe kaa shor-o-Gul jis me.nhai dafn laakho.n Gariibo.n kii ruuh kaa naGmaye shaah-raaho.n pe ra.ngiin saa.Diyo.n kii jhalakye jho.npa.Do.n me.n Gariibo.n ke be-kafan laasheye maal-road pe caro.n kii rel-pel kaa shorye pTriyo.n pe Gariibo.n ke zard-ruu bachchegalii galii me.n ye bikte hu.e javaa.n chehrehusain aa.ankho.n me.n afsurdagii sii chhaa.ii hu.iiye ja.ng aur ye mere vatan ke shoKH javaa.nKHariidii jaatii hai.n uThtii javaaniyaa.n jin kiiye baat baat pe qaanuun o zaabte kii giraftye zillate.n ye Gulaamii ye daur-e-majbuuriiye Gam bahut hai.n mirii zindagii miTaane koudaas rah ke mire dil ko aur ranj na do
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books