aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "yakka"
hall me.n chamkii.n aa ke yakaa-yakzarrii.n thii poshaak jhkaa-jhakmahv thaa un kaa auj-e-samaa takcharKH pe zohra un kii thii gaahak
merii aa.nkho.n se vo suukhaa hu.aa Dhaa.ncha nahii.n girtaajism hii jism to thaa, ruuh kahaa.n thii us me.nko.Dh thaa us ko tap-e-diq thaa? na jaane kyaa thaa?yaa bu.Dhaapaa hii thaa shaayad...pisliyaa.n suukhe hu.e kekaro.n ke shaaKHche jaiserath pe jaate hu.e dekhaa thaachaTaano.n se udhar...apnii laaThii pe gire pe.D kii maanind kha.Daa thaa
shaahid-e-bazm-e-suKHan naazuura-e-ma.anii-taraazai KHudaa-e-reKHta paiGambar-e-soz-o-gudaazyuusuf-e-mulk-e-ma.aanii piir-e-kan.aan-e-suKHanhai tirii har bait ahl-e-dard ko bait-ul-huzanai shahiid-e-jalva-e-maanii faqiir-e-be-niyaazis tarah kis ne kahii hai daastaan-e-soz-o-saazhai adab urdu kaa naazaa.n jis pe vo hai terii zaatsar-zamiin-e-sher par ai chashma-e-aab-e-hayaattafta-dil aashufta-sar aatish-navaa be-KHeshtanaah terii siina-soz aur naala teraa dil-shikanKHatm tujh par ho gayaa lutf-e-bayaan-e-aashiqiimarhabaa ai vaaqif-e-raaz-e-nihaan-e-aashiqiisar-zamiin-e-sher ka.aba aur tuu is kaa KHaliilshaaKH-e-tuubaa-e-suKHan par hamnavaa-e-jibra.iiljosh-e-istiGnaa tiraa tere liye vaj.h-e-nashaatshaan-e-KHuddaarii tirii aa.iina-daar-e-ehtiyaatbazm se guzraa kamaal-e-faqr dikhlaataa hu.aataaj-e-shaahii paa-e-istiGnaa se Thukraataa hu.aathaa dimaaG-o-dil me.n sahbaa-e-qanaat kaa suruurthii javaab-e-satvat-e-shaahii tirii tab-e-Gayuurmauja-e-bahr-e-qanaat terii abruu kii shikantaKHt-e-shaahii par hasiir-e-faqr teraa KHanda-zanthaa ye jauhar terii fitrii shaa.irii ke rutba-daa.nizzat-e-fan thii tirii naazuk-mizaajii me.n nihaa.nmultafit kartaa tujhe kyaa aGniyaa kaa karr-o-farrthaa tirii rag rag me.n durvesho.n kii sohbat kaa asardil tiraa zaKHmo.n se bazm-e-aashiqii me.n chuur haijis suKHan ko dekhiye ristaa hu.aa naasuur haibazm-gaah-e-husn me.n ik partav-e-faiz-e-jamaalsaid-gaah-e-ishq me.n hai ek said-e-KHasta-haaldekhnaa ho gar tujhe dekhe tire afkaar me.nhai tirii tasviir tere KHuu.n-chakaa.n ash.aar me.nsair ke qaabil hai dil sad-paara us naKHchiir kaajis ke har Tuk.De me.n ho paivast paikaa.n tiir kaaaasmaan-e-sher par chamke hai.n sayyaare bahutapnii apnii raushnii dikhlaa ga.e taare bahutahd-e-gul hai aur vahii ra.ngiinii-e-gulzaar haiKHaak-e-hind ab tak agar dekho tajallii-zaar haiaur bhii hai.n ma.arke me.n shahsavaar-e-yakka-taazaur bhii hai.n mai-kade me.n saaqiyaan-e-dil-navaazhai.n to paimaane vahii lekin vo mai miltii nahii.nnaGma-sanjo.n me.n kisii se terii lai miltii nahii.nsaahibaan-e-zauq ke siino.n me.n thii jis kii khaTaktairte hai.n dil me.n vo sar-tez nashtar aaj takkaarvaan-e-rafta ko thaa terii yaktaa.ii pe naazasr-e-maujuuda ne bhii maanaa hai teraa imtiyaazho ga.e hai.n aaj tujh ko ek sau baa.iis saalto nahii.n zinda hai duniyaa me.n magar teraa kamaalhaq hai ham par yaad kar ke tujh ko ronaa chaahiyemaatam apnii naa-shanaasii kaa bhii honaa chaahiyeDhuu.nDte hai.n qabr kaa bhii ab nishaa.n miltaa nahii.nai zamii.n tujh me.n hamaaraa aasmaa.n miltaa nahii.n
vo lamha guzraa ki sehr TuuTaayakaa-yak ehsaas-e-umr jaagaahar ek chehra KHud apnii aa.nkho.n me.n aa.iina ho gayaa ho jaisetilism-e-sim-sim se jis KHazaane kaa dar khulaa thaa
bicycle bus motor laariihar ik shai kii kare savaariiyakkaa reh.Daa bambuu kaaThvaah miyaa.n miTThuu tere ThaaTh
tez havaa se baate.n kartiidau.Dtii aur farraaTe bhartiimotor aa.ii KHaak u.Daatiipuu.n puu.n kartii shor machaatiichaal me.n tezii aisii balaa kiidekh ke mat kaT jaa.e havaa kiikaisii der kahaa.n kii sustiipal me.n aa.ii aur ga.ii bhiiraat ko aa.e din ko aa.echalne se na kabhii ghabraa.eaglii seat pe baiThaa shofarsaahab baiThe kuud ke andarshofar ne bho.npuu ko bajaayaaphir do ik purzo.n ko hilaayaachaabii pherii jaldii jaldiidhak dhak kartii motor chal diimai.n batlaa.uu.n motor kyaa haichaltaa phirtaa ik kamraa haius ke paa.nv raba.D ke pahiyechalne me.n bas aa.ndhii kahiyekal kaa gho.Daa is me.n jutaa haipurza purza KHuub banaa haipaanii aur petrol pilaa.ochaahe jahaa.n is ko le jaa.ois ke sivaa kuchh aur na khaa.edaane ghaas ke paas na jaa.ebahlii yakka bagghii Tum Tumtezii me.n hai.n is se sab kamkyaa kahnaa teraa kaarii-garKHuub banaa.ii tuu ne motor
yakaa-yak u.Dte u.Dteajnabii ma.asuum suurat ik parindabalcony me.n rakhe pinjre ke paas aa karmirii mainaa se sargoshii ke lahje me.nlagaa kahnesunaa tum nebidesii dosto.n ne tum ko ye paiGaam bhejaa haihame.n tum se mohabbat hai
tamaam log ibtidaa me.nek duusre ke saamnehujuum me.n dikhaa.ii dene vaale kuchh nishaa.nmahz ajnabiiphir yakaa-yak mo.ajaza tuluu kaaaur ek ruu-e-aaftaabbaadalo.n ke paar se nikal ke ruu-ba-ruuKHiraam-e-nuur kuu-ba-kuu
raat kaa qaafila tezii se guzar jaataa hainaqsh-e-paa jis ke sar-e-raah jagmagaate themiTte jaate hai.n misl-e-harf-e-Galat aasmaa.n ke saf.he semai.n ik darmaa.nda raah-rau kii tarahun kii raaho.n me.n bichhaa.e hu.e palko.n ke ka.nvalkab se baiThaa huu.n mai.nyakkaa tanhaahar ik aavaaz pe dil meraa dha.Dak uThtaa haijab sabaa chaltii hai KHushbuu ko jilau me.n le karun kii mahkii hu.ii zulfo.n kaa KHayaal aataa hainazar uThaa ke jo dekhaa toduur duur talakun kaa saaya pas-e-diivaar bhii aayaa na nazarufuq ke paar se uThtaa hai mash.alo.n kaa dhu.aa.nqaafila ho gayaa aasuuda-e-manzil shaayadchaa.nd kii sham.a bujhiidil kaa diyaa bujh saa gayaaaur vo sub.h kaa taaraamirii aashaa kii tarah Duub gayaaab yahaa.n ko.ii nahii.n ko.ii nahii.n aaye.gaa
aaj is tarah se gaa.o ki sitaare naache.nhasrate.n dil me.n jo so.ii hai.n yakaa-yak jaage.naur jab nii.nd se bojhal ho.n tumhaarii aa.nkhe.nle ke a.ng.Daa.ii ye kahnaa ki bas ab so jaa.o
kuchh ishq kiyaa kuchh kaam kiyaavo log bahut KHush-qismat thejo ishq ko kaam samajhte theyaa kaam se aashiqii karte theham jiite-jii masruuf rahekuchh ishq kiyaa kuchh kaam kiyaakaam ishq ke aa.De aataa rahaaaur ishq se kaam ulajhtaa rahaaphir aaKHir ta.ng aa kar ham nedono.n ko adhuuraa chho.D diyaa
ham dekhe.ngelaazim hai ki ham bhii dekhe.ngevo din ki jis kaa va.ada haijo lauh-e-azal me.n likhkhaa haijab zulm-o-sitam ke koh-e-giraa.nruu.ii kii tarah u.D jaa.e.ngeham mahkuumo.n ke paa.nv-talejab dhartii dha.D-dha.D dha.Dkegiiaur ahl-e-hakam ke sar-uupar
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii haipar nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii haiqudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtii haiKHaak se uThtii hai garduu.n pe guzar rakhtii haiishq thaa fitnagar o sarkash o chaalaak miraaaasmaa.n chiir gayaa naala-e-bebaak miraapiir-e-garduu.n ne kahaa sun ke kahii.n hai ko.iibole sayyaare sar-e-arsh-e-barii.n hai ko.iichaa.nd kahtaa thaa nahii.n ahl-e-zamii.n hai ko.iikahkashaa.n kahtii thii poshiida yahii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaa.n samjhaamujh ko jannat se nikaalaa hu.aa insaa.n samjhaathii farishto.n ko bhii hairat ki ye aavaaz hai kyaaarsh vaalo.n pe bhii khultaa nahii.n ye raaz hai kyaataa-sar-e-arsh bhii insaa.n kii tag-o-taaz hai kyaaaa ga.ii KHaak kii chuTkii ko bhii parvaaz hai kyaaGaafil aadaab se sukkaan-e-zamii.n kaise hai.nshoKH o gustaaKH ye pastii ke makii.n kaise hai.nis qadar shoKH ki allaah se bhii barham haithaa jo masjuud-e-malaa.ik ye vahii aadam haiaalim-e-kaif hai daanaa-e-rumuuz-e-kam haihaa.n magar ijz ke asraar se naa-mahram hainaaz hai taaqat-e-guftaar pe insaano.n kobaat karne kaa saliiqa nahii.n naa-daano.n koaa.ii aavaaz Gam-a.ngez hai afsaana tiraaashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraaaasmaa.n-giir hu.aa naara-e-mastaana tiraakis qadar shoKH-zabaa.n hai dil-e-diivaana tiraashukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se tuu neham-suKHan kar diyaa bando.n ko KHudaa se tuu neham to maa.il-ba-karam hai.n ko.ii saa.il hii nahii.nraah dikhlaa.e.n kise rah-rav-e-manzil hii nahii.ntarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.njis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.nko.ii qaabil ho to ham shaan-e-ka.ii dete hai.nDhuu.nDne vaalo.n ko duniyaa bhii na.ii dete hai.nhaath be-zor hai.n ilhaad se dil KHuugar hai.nummatii baa.is-e-rusvaa.i-e-paiGambar hai.nbut-shikan uTh ga.e baaqii jo rahe but-gar hai.nthaa braahiim pidar aur pisar aazar hai.nbaada-aashaam na.e baada nayaa KHum bhii na.eharam-e-kaaba nayaa but bhii na.e tum bhii na.evo bhii din the ki yahii maaya-e-raanaa.ii thaanaazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ii thaajo musalmaan thaa allaah kaa saudaa.ii thaakabhii mahbuub tumhaaraa yahii harjaa.ii thaakisii yakjaa.ii se ab ahd-e-Gulaamii kar lomillat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamii kar lokis qadar tum pe giraa.n sub.h kii bedaarii haiham se kab pyaar hai haa.n nii.nd tumhe.n pyaarii haitab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaa.n bhaarii haitumhii.n kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haiqaum maz.hab se hai maz.hab jo nahii.n tum bhii nahii.njazb-e-baaham jo nahii.n mahfil-e-anjum bhii nahii.njin ko aataa nahii.n duniyaa me.n ko.ii fan tum honahii.n jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum hobijliyaa.n jis me.n ho.n aasuuda vo KHirman tum hobech khaate hai.n jo aslaaf ke madfan tum hoho niko naam jo qabro.n kii tijaarat kar kekyaa na bechoge jo mil jaa.e.n sanam patthar kesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa kis nemere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa kis nemere qur.aan ko siino.n se lagaayaa kis nethe to aabaa vo tumhaare hii magar tum kyaa hohaath par haath dhare muntazir-e-fardaa hokyaa kahaa bahr-e-musalmaa.n hai faqat vaada-e-huurshikva bejaa bhii kare ko.ii to laazim hai shu.uuradl hai faatir-e-hastii kaa azal se dastuurmuslim aa.ii.n hu.aa kaafir to mile huur o qusuurtum me.n huuro.n kaa ko.ii chaahne vaalaa hii nahii.njalva-e-tuur to maujuud hai muusaa hii nahii.nmanfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhii ekek hii sab kaa nabii diin bhii iimaan bhii ekharam-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ekkuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ekfirqa-bandii hai kahii.n aur kahii.n zaate.n hai.nkyaa zamaane me.n panapne kii yahii baate.n hai.nkaun hai taarik-e-aa.iin-e-rasuul-e-muKHtaarmaslahat vaqt kii hai kis ke amal kaa me.aarkis kii aa.nkho.n me.n samaayaa hai shi.aar-e-aGyaarho ga.ii kis kii nigah tarz-e-salaf se be-zaarqalb me.n soz nahii.n ruuh me.n ehsaas nahii.nkuchh bhii paiGaam-e-mohammad kaa tumhe.n paas nahii.njaa ke hote hai.n masaajid me.n saf-aaraa to Gariibzahmat-e-roza jo karte hai.n gavaaraa to Gariibnaam letaa hai agar ko.ii hamaaraa to Gariibparda rakhtaa hai agar ko.ii tumhaaraa to Gariibumaraa nashsha-e-daulat me.n hai.n Gaafil ham sezinda hai millat-e-baizaa Gorabaa ke dam sevaa.iz-e-qaum kii vo puKHta-KHayaalii na rahiibarq-e-tab.ii na rahii shola-maqaalii na rahiirah ga.ii rasm-e-azaa.n ruuh-e-bilaalii na rahiifalsafa rah gayaa talqiin-e-Gazaalii na rahiimasjide.n marsiyaa.n-KHvaa.n hai.n ki namaazii na raheyaanii vo sahib-e-ausaaf-e-hijaazii na raheshor hai ho ga.e duniyaa se musalmaa.n naabuudham ye kahte hai.n ki the bhii kahii.n muslim maujuudvaz.a me.n tum ho nasaaraa to tamaddun me.n hunuudye musalmaa.n hai.n jinhe.n dekh ke sharmaa.e.n yahuudyuu.n to sayyad bhii ho mirzaa bhii ho afGaan bhii hotum sabhii kuchh ho bataa.o to musalmaan bhii hodam-e-taqriir thii muslim kii sadaaqat bebaakadl us kaa thaa qavii laus-e-maraa.aat se paakshajar-e-fitrat-e-muslim thaa hayaa se namnaakthaa shujaa.at me.n vo ik hasti-e-fauq-ul-idraakKHud-gudaazii nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buudKHaalii-az-KHesh shudan suurat-e-miinaa-yash buudhar musalmaa.n rag-e-baatil ke liye nashtar thaaus ke aa.iina-e-hastii me.n amal jauhar thaajo bharosaa thaa use quvvat-e-baazuu par thaahai tumhe.n maut kaa Dar us ko KHudaa kaa Dar thaabaap kaa ilm na beTe ko agar azbar hophir pisar qaabil-e-miiraas-e-pidar kyuu.nkar hohar ko.ii mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanii haitum musalmaa.n ho ye andaaz-e-musalmaanii haihaidarii faqr hai ne daulat-e-usmaanii haitum ko aslaaf se kyaa nisbat-e-ruuhaanii haivo zamaane me.n mu.azziz the musalmaa.n ho karaur tum KHvaar hu.e taarik-e-qur.aa.n ho kartum ho aapas me.n Gazabnaak vo aapas me.n rahiimtum KHataa-kaar o KHataa-bii.n vo KHataa-posh o kariimchaahte sab hai.n ki ho.n auj-e-surayyaa pe muqiimpahle vaisaa ko.ii paidaa to kare qalb-e-saliimtaKHt-e-faGfuur bhii un kaa thaa sariir-e-ka.e bhiiyuu.n hii baate.n hai.n ki tum me.n vo hamiyat hai bhiiKHud-kushii sheva tumhaaraa vo Gayuur o KHuddaartum uKHuvvat se gurezaa.n vo uKHuvvat pe nisaartum ho guftaar saraapaa vo saraapaa kirdaartum taraste ho kalii ko vo gulistaa.n ba-kanaarab talak yaad hai qaumo.n ko hikaayat un kiinaqsh hai safha-e-hastii pe sadaaqat un kiimisl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhii hu.ebut-e-hindii kii mohabbat me.n birhman bhii hu.eshauq-e-parvaaz me.n mahjuur-e-nasheman bhii hu.ebe-amal the hii javaa.n diin se bad-zan bhii hu.ein ko tahziib ne har band se aazaad kiyaalaa ke ka.abe se sanam-KHaane me.n aabaad kiyaaqais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na raheshahr kii khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahevo to diivaana hai bastii me.n rahe yaa na raheye zaruurii hai hijaab-e-ruKH-e-lailaa na rahegila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na hoishq aazaad hai kyuu.n husn bhii aazaad na hoahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman haiaiman is se ko.ii sahraa na ko.ii gulshan haiis na.ii aag kaa aqvaam-e-kuhan ii.ndhan haimillat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairaahan haiaaj bhii ho jo braahiim kaa iimaa.n paidaaaag kar saktii hai andaaz-e-gulistaa.n paidaadekh kar ra.ng-e-chaman ho na pareshaa.n maaliiKaukab-e-Guncha se shaaKHe.n hai.n chamakne vaaliiKHas o KHaashaak se hotaa hai gulistaa.n KHaaliiGul-bar-andaaz hai KHuun-e-shohdaa kii laaliira.ng garduu.n kaa zaraa dekh to unnaabii haiye nikalte hu.e suuraj kii ufuq-taabii haiummate.n gulshan-e-hastii me.n samar-chiida bhii hai.naur mahruum-e-samar bhii hai.n KHizaa.n-diida bhii hai.nsaik.Do.n naKHl hai.n kaahiida bhii baaliida bhii hai.nsaik.Do.n batn-e-chaman me.n abhii poshiida bhii hai.nnaKHl-e-islaam namuuna hai birau-mandii kaaphal hai ye saik.Do.n sadiyo.n kii chaman-bandii kaapaak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaa.n teraatuu vo yuusuf hai ki har misr hai kan.aa.n teraaqaafila ho na sakegaa kabhii viiraa.n teraaGair yak-baa.ng-e-daraa kuchh nahii.n saamaa.n teraanaKHl-e-shama astii o dar shola do-resha-e-tuuaaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-tuutuu na miT jaa.egaa iiraan ke miT jaane senashsha-e-mai ko ta'alluq nahii.n paimaane sehai ayaa.n yurish-e-taataar ke afsaane sepaasbaa.n mil ga.e ka.abe ko sanam-KHaane sekashti-e-haq kaa zamaane me.n sahaaraa tuu haiasr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa tuu haihai jo ha.ngaama bapaa yurish-e-bulGaarii kaaGaafilo.n ke liye paiGaam hai bedaarii kaatuu samajhtaa hai ye saamaa.n hai dil-aazaarii kaaimtihaa.n hai tire iisaar kaa KHuddaarii kaakyuu.n hiraasaa.n hai sahiil-e-faras-e-aadaa senuur-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa sechashm-e-aqvaam se maKHfii hai haqiiqat teriihai abhii mahfil-e-hastii ko zaruurat teriizinda rakhtii hai zamaane ko haraarat teriikaukab-e-qismat-e-imkaa.n hai KHilaafat teriivaqt-e-fursat hai kahaa.n kaam abhii baaqii hainuur-e-tauhiid kaa itmaam abhii baaqii haimisl-e-buu qaid hai Gunche me.n pareshaa.n ho jaaraKHt-bar-dosh havaa-e-chamanistaa.n ho jaahai tunak-maaya tuu zarre se bayaabaa.n ho jaanaGma-e-mauj hai ha.ngaama-e-tuufaa.n ho jaaquvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar dedahr me.n ism-e-mohammad se ujaalaa kar deho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhii na hochaman-e-dahr me.n kaliyo.n kaa tabassum bhii na hoye na saaqii ho to phir mai bhii na ho KHum bhii na hobazm-e-tauhiid bhii duniyaa me.n na ho tum bhii na hoKHema-e-aflaak kaa istaada isii naam se hainabz-e-hastii tapish-aamaada isii naam se haidasht me.n daaman-e-kohsaar me.n maidaan me.n haibahr me.n mauj kii aaGosh me.n tuufaan me.n haichiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan me.n haiaur poshiida musalmaan ke iimaan me.n haichashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekherif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhemardum-e-chashm-e-zamii.n yaanii vo kaalii duniyaavo tumhaare shohdaa paalne vaalii duniyaagarmii-e-mehr kii parvarda hilaalii duniyaaishq vaale jise kahte hai.n bilaalii duniyaatapish-andoz hai is naam se paare kii tarahGota-zan nuur me.n hai aa.nkh ke taare kii tarahaql hai terii sipar ishq hai shamshiir tiriimire darvesh KHilaafat hai jahaa.ngiir tiriimaa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbiir tiriituu musalmaa.n ho to taqdiir hai tadbiir tiriikii mohammad se vafaa tuu ne to ham tere hai.nye jahaa.n chiiz hai kyaa lauh-o-qalam tere hai.n
jab saavan baadal chhaa.e ho.njab phaagun phuul khilaa.e ho.njab chandaa ruup luTaataa hojab suuraj dhuup nahaataa hoyaa shaam ne bastii gherii ho
har ik jism ghaayal har ik ruuh pyaasiinigaaho.n me.n uljhan dilo.n me.n udaasiiye duniyaa hai yaa 'aalam-e-bad-havaasiiye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai
le ke ik cha.ngez ke haatho.n se KHanjar to.D duu.ntaaj par us ke damaktaa hai jo patthar to.D duu.nko.ii to.De yaa na to.De mai.n hii ba.Dh kar to.D duu.nai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n
us ne kahaasunahd nibhaane kii KHaatir mat aanaaahd nibhaane vaale aksarmajbuurii yaa mahjuurii kii thakan se lauTaa karte hai.ntum jaa.oaur dariyaa dariyaa pyaas bujhaa.ojin aa.nkho.n me.n Duubojis dil me.n utromerii talab aavaaz na degiilekin jab merii chaahataur mirii KHvaahish kii lauitnii tez aur itniiuu.nchii ho jaa.ejab dil ro detab lauT aanaa
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rabkyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa hoshorish se bhaagtaa huu.n dil Dhuu.nDtaa hai meraaaisaa sukuut jis par taqriir bhii fidaa homartaa huu.n KHaamushii par ye aarzuu hai meriidaaman me.n koh ke ik chhoTaa saa jho.npa.Daa hoaazaad fikr se huu.n uzlat me.n din guzaaruu.nduniyaa ke Gam kaa dil se kaa.nTaa nikal gayaa holazzat sarod kii ho chi.Diyo.n ke chahchaho.n me.nchashme kii shorisho.n me.n baajaa saa baj rahaa hogul kii kalii chaTak kar paiGaam de kisii kaasaaGar zaraa saa goyaa mujh ko jahaa.n-numaa hoho haath kaa sirhaanaa sabze kaa ho bichhaunaasharmaa.e jis se jalvat KHalvat me.n vo adaa homaanuus is qadar ho suurat se merii bulbulnanhe se dil me.n us ke khaTkaa na kuchh miraa hosaf baa.ndhe dono.n jaanib buuTe hare hare ho.nnaddii kaa saaf paanii tasviir le rahaa hoho dil-fareb aisaa kohsaar kaa nazaarapaanii bhii mauj ban kar uTh uTh ke dekhtaa hoaaGosh me.n zamii.n kii soyaa hu.aa ho sabzaphir phir ke jhaa.Diyo.n me.n paanii chamak rahaa hopaanii ko chhuu rahii ho jhuk jhuk ke gul kii Tahniijaise hasiin ko.ii aa.iina dekhtaa homeh.ndii lagaa.e suuraj jab shaam kii dulhan kosurKHii liye sunahrii har phuul kii qabaa horaato.n ko chalne vaale rah jaa.e.n thak ke jis damummiid un kii meraa TuuTaa hu.aa diyaa hobijlii chamak ke un ko kuTiyaa mirii dikhaa dejab aasmaa.n pe har suu baadal ghiraa hu.aa hopichhle pahr kii koyal vo sub.h kii mo.azzinmai.n us kaa ham-navaa huu.n vo merii ham-navaa hokaano.n pe ho na mere dair o haram kaa ehsaa.nrauzan hii jho.npa.Dii kaa mujh ko sahar-numaa hophuulo.n ko aa.e jis dam shabnam vazuu karaaneronaa miraa vazuu ho naala mirii du.aa hois KHaamushii me.n jaa.e.n itne buland naaletaaro.n ke qaafile ko merii sadaa diraa hohar dardmand dil ko ronaa miraa rulaa debehosh jo pa.De hai.n shaayad unhe.n jagaa de
uTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheqalb-e-maahaul me.n larzaa.n sharar-e-ja.ng hai.n aajhausle vaqt ke aur ziist ke yak-ra.ng hai.n aajaabgiino.n me.n tapaa.n valvala-e-sa.ng hai.n aajhusn aur ishq ham-aavaaz o ham-aaha.ng hai.n aajjis me.n jaltaa huu.n usii aag me.n jalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetere qadmo.n me.n hai firdaus-e-tamaddun kii bahaarterii nazro.n pe hai tahziib o taraqqii kaa madaarterii aaGosh hai gahvaara-e-nafs-o-kirdaartaa-ba-kai gird tire vahm o ta.ayyun kaa hisaarkau.nd kar majlis-e-KHalvat se nikalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetuu ki be-jaan khilauno.n se bahal jaatii haitaptii saa.nso.n kii haraarat se pighal jaatii haipaa.nv jis raah me.n rakhtii hai phisal jaatii haiban ke siimaab har ik zarf me.n Dhal jaatii haiziist ke aahanii saa.nche me.n bhii Dhalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhezindagii jehd me.n hai sabr ke qaabuu me.n nahii.nnabz-e-hastii kaa lahuu kaa.npte aa.nsuu me.n nahii.nu.Dne khulne me.n hai nik.hat KHam-e-gesuu me.n nahii.njannat ik aur hai jo mard ke pahluu me.n nahii.nus kii aazaad ravish par bhii machalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhegoshe goshe me.n sulagtii hai chitaa tere liyefarz kaa bhes badaltii hai qazaa tere liyeqahr hai terii har ik narm adaa tere liyezahr hii zahr hai duniyaa kii havaa tere liyerut badal Daal agar phuulnaa phalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheqadr ab tak tirii taariiKH ne jaanii hii nahii.ntujh me.n sho.ale bhii hai.n bas ashk-fishaanii hii nahii.ntuu haqiiqat bhii hai dilchasp kahaanii hii nahii.nterii hastii bhii hai ik chiiz javaanii hii nahii.napnii taariiKH kaa unvaan badalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheto.D kar rasm kaa but band-e-qadaamat se nikalzof-e-ishrat se nikal vahm-e-nazaakat se nikalnafs ke khii.nche hu.e halqa-e-azmat se nikalqaid ban jaa.e mohabbat to mohabbat se nikalraah kaa KHaar hii kyaa gul bhii kuchalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheto.D ye azm-shikan daGdaGa-e-pand bhii to.Dterii KHaatir hai jo zanjiir vo saugand bhii to.Dtauq ye bhii hai zamurrad kaa guluu-band bhii to.Dto.D paimaana-e-mardaan-e-KHirad-mand bhii to.Dban ke tuufaan chhalaknaa hai ubalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetuu falaatuun o arastuu hai tuu zahraa parvii.ntere qabze me.n hai garduu.n tirii Thokar me.n zamii.nhaa.n uThaa jald uThaa paa-e-muqaddar se jabii.nmai.n bhii rukne kaa nahii.n vaqt bhii rukne kaa nahii.nla.Dkha.Daa.egii kahaa.n tak ki sambhalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhe
nasha cha.Dhne lagaa hai aur cha.Dhnaa chaahiye bhii thaaabas kaa nirKH to is vaqt ba.Dhnaa chaahiye bhii thaaajab be-maajraa be-taur be-zaaraana haalat haivajuud ik vahm hai aur vahm hii shaayad haqiiqat haiGaraz jo haal thaa vo nafs ke baazaar hii kaa thaahai ''ze'' baazaar me.n to darmiyaa.n 'zaryuun' me.n avvalto ye ibraafaniiqii khelte harfo.n se the har palto ye 'zaryuun' jo hai kyaa ye aflaatuun hai ko.iiamaa.n 'zaryuun' hai 'zaryuun' vo ma.ajuun kyuu.n hotaahai.n ma.ajuune.n mufiid ''arvaah'' ko ma.ajuun yuu.n hotaasuno tafriiq kaise ho bhalaa ashKHaas o ashyaa me.nbahut janjaal hai.n par ho yahaa.n to ''yaa'' me.n aur ''yaa'' me.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books