Sher on Chai
Tea is more than just
a drink — it's a feeling, a moment, a companion. In this section, we've curated couplets that capture the warmth, nostalgia, and quiet joy that often brews with a cup of tea. Whether it's solitude in the rain, laughter in a gathering, or memories steeped in silence, these selected couplets celebrate the poetic soul of every sip. A perfect blend for tea lovers and poetry enthusiasts alike.
ik haath meñ mere chaa.e kā cup ik haath meñ mere haath tirā
hāthoñ ko talab hai hāthoñ kī aur dil ko talab hai saath tirā
ek hath mein mere chae ka cup ek hath mein mere hath tera
hathon ko talab hai hathon ki aur dil ko talab hai sath tera
chhoḌ aayā thā mez par chaa.e
ye judā.ī kā isti.ārā thā
chhoD aaya tha mez par chae
ye judai ka istiara tha
aaj phir chaa.e banāte hue vo yaad aayā
aaj phir chaa.e meñ pattī nahīñ Daalī maiñ ne
aaj phir chae banate hue wo yaad aaya
aaj phir chae mein patti nahin Dali main ne
sher jaisā bhī ho is shahr meñ paḌh sakte ho
chaa.e jaisī bhī ho āsām meñ bik jaatī hai
sher jaisa bhi ho is shahr mein paDh sakte ho
chae jaisi bhi ho aasam mein bik jati hai
chaa.e kī pyālī meñ niilī tablet gholī
sahme sahme hāthoñ ne ik kitāb phir kholī
chae ki pyali mein nili tablet gholi
sahme sahme hathon ne ek kitab phir kholi
ThanDī chaa.e kī pyālī pī ke
raat kī pyaas bujhā.ī hai
ThanDi chae ki pyali pi ke
raat ki pyas bujhai hai
tere haath kī chaa.e to pī thī
dil kā ranj to dil meñ rahā thā
tere hath ki chae to pi thi
dil ka ranj to dil mein raha tha
nahīñ hai ghar meñ tirī yaad ke alāva kuchh
to kis ke sāmne chaa.e banā ke rakhtī huuñ
nahin hai ghar mein teri yaad ke alawa kuchh
to kis ke samne chae bana ke rakhti hun
shaam kī chaa.e un ke saath piyūñ
dil kī hasrat bahut purānī hai
sham ki chae un ke sath piyun
dil ki hasrat bahut purani hai
saste meñ un ko bhūlnā achchhā lagā hai aaj
chaa.e kā ek ghūñT bhī kaafī rahā hai aaj
saste mein un ko bhulna achchha laga hai aaj
chae ka ek ghunT bhi kafi raha hai aaj
chaa.e kī barakat se ḳhālī haiñ
der meñ aksar uThne vaale
chae ki barakat se KHali hain
der mein aksar uThne wale
aap aḳhbār dekhiye tab tak
maiñ abhī chaa.e le kar aatī huuñ
aap aKHbar dekhiye tab tak
main abhi chae le kar aati hun
hañs paḌī shaam kī udaas fazā
is tarah chaa.e kī pyālī hañsī
hans paDi sham ki udas faza
is tarah chae ki pyali hansi
aa tire sang zarā peñg baḌhā.ī jaa.e
zindagī baiTh tujhe chaa.e pilā.ī jaa.e
aa tere sang zara peng baDhai jae
zindagi baiTh tujhe chae pilai jae
maiñ us kī chaa.e kī pyālī thī lekin
use piine kī jur.at hī nahīñ thī
main us ki chae ki pyali thi lekin
use pine ki jurat hi nahin thi
ham jahāñ chaa.e piine jaate the
kyā vahāñ ab bhī aayā karte the
hum jahan chae pine jate the
kya wahan ab bhi aaya karte the
sāmne rakh ke chaa.e kī pyālī
chuskī chuskī tirī kamī chakkhī
samne rakh ke chae ki pyali
chuski chuski teri kami chakkhi
maiñ ne pūchhā hai ki chaa.e ke liye vaqt koī
hañs ke bolī hai ishāre se ghaḌī Thiik nahīñ
main ne puchha hai ki chae ke liye waqt koi
hans ke boli hai ishaare se ghaDi Thik nahin
aisī chaa.e kabhī na pī maiñ ne
sach batā tū ne is meñ kyā Daalā
aisi chae kabhi na pi main ne
sach bata tu ne is mein kya Dala
terī ten.shan meñ piinā bhuul ga.ī
chaa.e to sāmne rakhī huī thī
teri tenshan mein pina bhul gai
chae to samne rakhi hui thi
thoḌī der meñ train nikalne vaalī hai
sun thoḌī hī der meñ chaa.e aatī hai
thoDi der mein train nikalne wali hai
sun thoDi hi der mein chae aati hai
chaa.e meñ mat milā.iye shakar ki hai zarar-risāñ
shāmil miThās vāste apnā luaab kījiye
chae mein mat milaiye shakar ki hai zarar-risan
shamil miThas waste apna luab kijiye
aa mere saath baiTh mire saath chaa.e pī
aa mere saath mere dalā.il pe baat kar
aa mere sath baiTh mere sath chae pi
aa mere sath mere dalail pe baat kar
phir chaa.e meñ biscuit kī tarah bhūkī sī ye shaam
khā jā.egī sūraj ko samundar meñ Dubā kar
phir chae mein biscuit ki tarah bhuki si ye sham
kha jaegi suraj ko samundar mein Duba kar
us kā ḳhayāl dil meñ ghaḌī do ghaḌī rahe
phir is ke baa'd mez pe chaa.e paḌī rahe
us ka KHayal dil mein ghaDi do ghaDi rahe
phir is ke ba'd mez pe chae paDi rahe
vo chaa.e pī rahā thā kisī dūsre ke saath
mujh par nigāh paḌte hī kuchh jheñp sā gayā
wo chae pi raha tha kisi dusre ke sath
mujh par nigah paDte hi kuchh jhenp sa gaya
ek chaa.e kyā jaan detī maiñ
shukriya aise kah rahā thā vo
ek chae kya jaan deti main
shukriya aise kah raha tha wo
kabhī to baiTh ke yāroñ ke saath chaa.e pī
kabhī to baiTh ke fursat se din guzārā kar
kabhi to baiTh ke yaron ke sath chae pi
kabhi to baiTh ke fursat se din guzara kar
cup meñ garmī dikhā rahī thī bahut
chaa.e saucer meñ Daal dī maiñ ne
cup mein garmi dikha rahi thi bahut
chae saucer mein Dal di main ne
roz ham chaa.e saath piite the
baat aage kabhī baḌhī hī nahīñ
roz hum chae sath pite the
baat aage kabhi baDhi hi nahin
dhyān ik biite milan ke dvaar
lab chaa.e kī pyālī par
dhyan ek bite milan ke dwar
lab chae ki pyali par
shā.erī chaa.e tirī yaad chamakte jugnū
bas yahī chaar talab roz mirī shaam ke haiñ
shaeri chae teri yaad chamakte jugnu
bas yahi chaar talab roz meri sham ke hain
chaa.e ke ek cup kā yahī hai muāvza
yāroñ ko ahd-e-rafta ke qisse sunā.iye
chae ke ek cup ka yahi hai muawza
yaron ko ahd-e-rafta ke qisse sunaiye
chaa.e ke cup meñ ublī
aḳhbāroñ keī surḳhī dhuup
chae ke cup mein ubli
aKHbaron kei surKHi dhup
maiñ ne chaa.e jo pesh kī thī use
ik takalluf meñ paḌ gayā thā vo
main ne chae jo pesh ki thi use
ek takalluf mein paD gaya tha wo
shab Dhalī uThne lage hotel se log
chaa.e kā ye daur is ke naam par
shab Dhali uThne lage hotel se log
chae ka ye daur is ke nam par
garm mausam meñ garm chaa.e bhī
bad-mizājoñ kā pyaar lagtī hai
garm mausam mein garm chae bhi
bad-mizajon ka pyar lagti hai
chaa.e piinā to ik bahāna thā
aarzū dil kī tarjumānī thī
chae pina to ek bahana tha
aarzu dil ki tarjumani thi
chaa.e ke talḳh ghūñT se uThtā huā ġhubār
vo intizār-e-shām vo manzar kahāñ gayā
chae ke talKH ghunT se uThta hua ghubar
wo intizar-e-sham wo manzar kahan gaya
phir kahīñ baiTh ke pī jaa.e ikaTThe chaa.e
phir koī shaam kā pal saath guzārā jaa.e
phir kahin baiTh ke pi jae ikaTThe chae
phir koi sham ka pal sath guzara jae
chaa.e meñ us ke pistāñ the
merā badan paanī meñ thā
chae mein us ke pistan the
mera badan pani mein tha
bhaap uḌ-uḌ ke merī chaa.e se
us kā paikar banātī rahtī hai
bhap uD-uD ke meri chae se
us ka paikar banati rahti hai
lo chaa.e meñ bhī chaa.e kī pattī nahīñ Daalī
tum ko to mohabbat ke sivā kuchh nahīñ aatā
lo chae mein bhi chae ki patti nahin Dali
tum ko to mohabbat ke siwa kuchh nahin aata
shaam kī chaa.e kā va.ada vo udhar bhuul ga.e
ham idhar sub.h se tayyār hue baiThe haiñ
sham ki chae ka wada wo udhar bhul gae
hum idhar subh se tayyar hue baiThe hain
naam merā yaad karke chuskiyoñ ke biich meñ
kyā huī hai chaa.e ke cup meñ tire halchal kabhī
nam mera yaad karke chuskiyon ke bich mein
kya hui hai chae ke cup mein tere halchal kabhi
chaa.e mere haath se girne vaalī thī
us ne is andāz se ghūrā tauba hai
chae mere hath se girne wali thi
us ne is andaz se ghura tauba hai
garm chaa.e pī hai terī yaad kī
tishna-lab huuñ sharbat-e-dīdār kā
garm chae pi hai teri yaad ki
tishna-lab hun sharbat-e-didar ka
haiñ dastaras meñ abhī bhī 'tāhir' uThā ke ab is ko pī bhī Daalo
mushāhidoñ meñ hī ho ga.ī gar ye ThanDī chaa.e to kyā karoge
hain dastaras mein abhi bhi 'tahir' uTha ke ab is ko pi bhi Dalo
mushahidon mein hi ho gai gar ye ThanDi chae to kya karoge