join rekhta family!
Image shayari 1
dhiire dhiire Dhalte suuraj kaa safar meraa bhii hai shaam batlaatii hai mujh ko ek ghar meraa bhii hai jis nadii kaa tuu kinaara hai usii kaa mai.n bhii huu.n tere hisse me.n jo hai vo hii bha.nvar meraa bhii hai ek pagDanDii chalii ja.ngal me.n bas ye soch kar dasht ke us paar shaayad ek ghar meraa bhii hai phuuTte hii ek ankur ne daraKHto.n se kahaa aasmaa.n ik chaahiye mujh ko ki sar meraa bhii hai aaj bedaarii mujhe shab bhar ye samjhaatii rahii ik zaraa saa haq tumhaare KHvaabo.n par meraa bhii hai mere ashko.n me.n chhupii thii svaatii kii ik buu.nd bhii is samundar me.n kahii.n par ik guhar meraa bhii hai shaaKH par shab kii lage is chaa.nd me.n hai dhuup jo vo mirii aa.ankho.n kii hai so vo samar meraa bhii hai tuu jahaa.n par KHaak u.Daane jaa rahaa hai ai junuu.n haa.n unhii.n viiraaniyo.n me.n ik kha.nDar meraa bhii hai jaan jaate hai.n pataa 'aatish' dhu.e.n se sab miraa sochtaa rahtaa huu.n kyaa ko.ii mafar meraa bhii hai