chhoḌ aayā thā mez par chaa.e
ye judā.ī kā isti.ārā thā
chhoD aaya tha mez par chae
ye judai ka istiara tha
aaj phir chaa.e banāte hue vo yaad aayā
aaj phir chaa.e meñ pattī nahīñ Daalī maiñ ne
aaj phir chae banate hue wo yaad aaya
aaj phir chae mein patti nahin Dali main ne
sher jaisā bhī ho is shahr meñ paḌh sakte ho
chaa.e jaisī bhī ho āsām meñ bik jaatī hai
sher jaisa bhi ho is shahr mein paDh sakte ho
chae jaisi bhi ho aasam mein bik jati hai
terī ten.shan meñ piinā bhuul ga.ī
chaa.e to sāmne rakhī huī thī
teri tenshan mein pina bhul gai
chae to samne rakhi hui thi
ek chaa.e kyā jaan detī maiñ
shukriya aise kah rahā thā vo
ek chae kya jaan deti main
shukriya aise kah raha tha wo
cup meñ garmī dikhā rahī thī bahut
chaa.e saucer meñ Daal dī maiñ ne
cup mein garmi dikha rahi thi bahut
chae saucer mein Dal di main ne
tere haath kī chaa.e to pī thī
dil kā ranj to dil meñ rahā thā
tere hath ki chae to pi thi
dil ka ranj to dil mein raha tha
maiñ us kī chaa.e kī pyālī thī lekin
use piine kī jur.at hī nahīñ thī
main us ki chae ki pyali thi lekin
use pine ki jurat hi nahin thi
chaa.e piinā to ik bahāna thā
aarzū dil kī tarjumānī thī
chae pina to ek bahana tha
aarzu dil ki tarjumani thi
nahīñ hai ghar meñ tirī yaad ke alāva kuchh
to kis ke sāmne chaa.e banā ke rakhtī huuñ
nahin hai ghar mein teri yaad ke alawa kuchh
to kis ke samne chae bana ke rakhti hun
phir kahīñ baiTh ke pī jaa.e ikaTThe chaa.e
phir koī shaam kā pal saath guzārā jaa.e
phir kahin baiTh ke pi jae ikaTThe chae
phir koi sham ka pal sath guzara jae
shaam kī chaa.e un ke saath piyūñ
dil kī hasrat bahut purānī hai
sham ki chae un ke sath piyun
dil ki hasrat bahut purani hai
chaa.e ke talḳh ghūñT se uThtā huā ġhubār
vo intizār-e-shām vo manzar kahāñ gayā
chae ke talKH ghunT se uThta hua ghubar
wo intizar-e-sham wo manzar kahan gaya
chaa.e kī barakat se ḳhālī haiñ
der meñ aksar uThne vaale
chae ki barakat se KHali hain
der mein aksar uThne wale
chaa.e ke cup meñ ublī
aḳhbāroñ keī surḳhī dhuup
chae ke cup mein ubli
aKHbaron kei surKHi dhup
maiñ ne chaa.e jo pesh kī thī use
ik takalluf meñ paḌ gayā thā vo
main ne chae jo pesh ki thi use
ek takalluf mein paD gaya tha wo
shab Dhalī uThne lage hotel se log
chaa.e kā ye daur is ke naam par
shab Dhali uThne lage hotel se log
chae ka ye daur is ke nam par
thoḌī der meñ train nikalne vaalī hai
sun thoḌī hī der meñ chaa.e aatī hai
thoDi der mein train nikalne wali hai
sun thoDi hi der mein chae aati hai
shā.erī chaa.e tirī yaad chamakte jugnū
bas yahī chaar talab roz mirī shaam ke haiñ
shaeri chae teri yaad chamakte jugnu
bas yahi chaar talab roz meri sham ke hain
ham jahāñ chaa.e piine jaate the
kyā vahāñ ab bhī aayā karte the
hum jahan chae pine jate the
kya wahan ab bhi aaya karte the
chaa.e mere haath se girne vaalī thī
us ne is andāz se ghūrā tauba hai
chae mere hath se girne wali thi
us ne is andaz se ghura tauba hai
garm chaa.e pī hai terī yaad kī
tishna-lab huuñ sharbat-e-dīdār kā
garm chae pi hai teri yaad ki
tishna-lab hun sharbat-e-didar ka
sāmne rakh ke chaa.e kī pyālī
chuskī chuskī tirī kamī chakkhī
samne rakh ke chae ki pyali
chuski chuski teri kami chakkhi
shaam kī chaa.e kā va.ada vo udhar bhuul ga.e
ham idhar sub.h se tayyār hue baiThe haiñ
sham ki chae ka wada wo udhar bhul gae
hum idhar subh se tayyar hue baiThe hain
chaa.e meñ us ke pistāñ the
merā badan paanī meñ thā
chae mein us ke pistan the
mera badan pani mein tha
aisī chaa.e kabhī na pī maiñ ne
sach batā tū ne is meñ kyā Daalā
aisi chae kabhi na pi main ne
sach bata tu ne is mein kya Dala
roz ham chaa.e saath piite the
baat aage kabhī baḌhī hī nahīñ
roz hum chae sath pite the
baat aage kabhi baDhi hi nahin