Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Deepak Agrawal's Photo'

Deepak Agrawal

1981 | Madhya Pradesh, India

Deepak Agrawal

Sher-o-Shayari 7

dekh le mujh ko añdhere meñ nazar aatā huuñ maiñ

chīḳhne vaale tire andar sannāTā huuñ maiñ

dekh le mujh ko andhere mein nazar aata hun main

chiKHne wale tere andar ka sannaTa hun main

  • Share this

maidān meñ akelā nihatthā khaḌā thā maiñ

dushman ko merī nekiyāñ lashkar dikhā.ī diiñ

maidan mein akela nihattha khaDa tha main

dushman ko meri nekiyan lashkar dikhai din

  • Share this

mire saath koī to ho jise maiñ ye kah sakūñ

maiñ kise kahūñ mujhe chhoḌ de mire haal par

mere sath koi to ho jise main ye kah sakun

main kise kahun mujhe chhoD de mere haal par

  • Share this

yahāñ darvāze dastak de rahe haiñ

havā ne khel ulTā kar diyā hai

yahan darwaze dastak de rahe hain

hawa ne khel ulTa kar diya hai

  • Share this

yuuñ kināre se mohabbat na kiyā kar ham se

is se behtar hai mohabbat se kinārā kar le

yun kinare se mohabbat na kiya kar hum se

is se behtar hai mohabbat se kinara kar le

  • Share this

Ghazal 20

BOOKS 1

 

Recitation

Speak Now