aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1998 | Aligarh, India
jise ek par ek dhokā milā ho
vo kaise kisī par bharosa karegā
jise ek par ek dhoka mila ho
wo kaise kisi par bharosa karega
dekh leñ aap bhī raunaqeñ ḳhuld kī
shaiḳh jī aaj chaliye chaleñ mai-kade
dekh len aap bhi raunaqen KHuld ki
shaiKH ji aaj chaliye chalen mai-kade
dekhe hai un kī zulf ko har roz aa.ina
'ahras' siyāh-baḳht ko ye bhī nahīñ nasīb
dekhe hai un ki zulf ko har roz aaina
'ahras' siyah-baKHt ko ye bhi nahin nasib
'ishq kī intihā meñ ye jaanā
saarī mushkil hī ibtidā kī hai
'ishq ki intiha mein ye jaana
sari mushkil hi ibtida ki hai
maiñ ne ik baar mohabbat se na dekhā us ko
jis ne har baar mohabbat se mujhe dekhā hai
main ne ek bar mohabbat se na dekha us ko
jis ne har bar mohabbat se mujhe dekha hai
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books