Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Faraz's Photo'

Ahmad Faraz

1931 - 2008 | Islamabad, Pakistan

Widely celebrated and sung Urdu poet. Rose to iconic stature through his seductively romantic and anti-establishment poetry

Widely celebrated and sung Urdu poet. Rose to iconic stature through his seductively romantic and anti-establishment poetry

Sher of Ahmad Faraz

310.9K
Favorite

SORT BY

saa.e haiñ agar ham to ho kyuuñ ham se gurezāñ

dīvār agar haiñ to girā kyuuñ nahīñ dete

sae hain agar hum to ho kyun hum se gurezan

diwar agar hain to gira kyun nahin dete

saaqī ye ḳhamoshī bhī to kuchh ġhaur-talab hai

saaqī tire mai-ḳhvār baḌī der se chup haiñ

saqi ye KHamoshi bhi to kuchh ghaur-talab hai

saqi tere mai-KHwar baDi der se chup hain

vo apne zo.am meñ thā be-ḳhabar rahā mujh se

use ḳhabar nahīñ maiñ nahīñ rahā us

wo apne zoam mein tha be-KHabar raha mujh se

use KHabar hi nahin main nahin raha us ka

ho duur is tarah ki tirā ġham judā na ho

paas aa to yuuñ ki jaise kabhī milā na ho

ho dur is tarah ki tera gham juda na ho

pas aa to yun ki jaise kabhi tu mila na ho

na mire zaḳhm khile haiñ na tirā rañg-e-hinā

mausam aa.e nahīñ ab ke gulāboñ vaale

na mere zaKHm khile hain na tera rang-e-hina

mausam aae hi nahin ab ke gulabon wale

agar tumhārī anā hai savāl to phir

chalo maiñ haath baḌhātā huuñ dostī ke liye

agar tumhaari ana hi ka hai sawal to phir

chalo main hath baDhata hun dosti ke liye

huā hai tujh se bichhaḌne ke ba.ad ye ma.alūm

ki nahīñ thā tire saath ek duniyā thī

hua hai tujh se bichhaDne ke baad ye malum

ki tu nahin tha tere sath ek duniya thi

chārāgar ne bahr-e-taskīñ rakh diyā hai dil pe haath

mehrbāñ hai vo magar nā-āshnā-e-zaḳhm hai

chaaragar ne bahr-e-taskin rakh diya hai dil pe hath

mehrban hai wo magar na-ashna-e-zaKHm hai

kisī ko ghar se nikalte mil ga.ī manzil

koī hamārī tarah umr bhar safar meñ rahā

kisi ko ghar se nikalte hi mil gai manzil

koi hamari tarah umr bhar safar mein raha

havā-e-zulm sochtī hai kis bhañvar meñ aa ga.ī

vo ik diyā bujhā to saiñkaḌoñ diye jalā gayā

hawa-e-zulm sochti hai kis bhanwar mein aa gai

wo ek diya bujha to sainkaDon diye jala gaya

ta.ana-e-nashsha na do sab ko ki kuchh soḳhta-jāñ

shiddat-e-tishna-labī se bhī bahak jaate haiñ

tana-e-nashsha na do sab ko ki kuchh soKHta-jaan

shiddat-e-tishna-labi se bhi bahak jate hain

na shab o roz badle haiñ na haal achchhā hai

kis barhaman ne kahā thā ki ye saal achchhā hai

na shab o roz hi badle hain na haal achchha hai

kis barhaman ne kaha tha ki ye sal achchha hai

us kyā hai tum na sahī to chāhne vaale aur bahut

tark-e-mohabbat karne vaalo tum tanhā rah jāoge

us ka kya hai tum na sahi to chahne wale aur bahut

tark-e-mohabbat karne walo tum tanha rah jaoge

TuuTā to huuñ magar abhī bikhrā nahīñ 'farāz'

mere badan pe jaise shikastoñ jaal ho

TuTa to hun magar abhi bikhra nahin 'faraaz'

mere badan pe jaise shikaston ka jal ho

jab bhī zamīr-o-zarf saudā ho dosto

qaa.em raho husain ke inkār tarah

jab bhi zamir-o-zarf ka sauda ho dosto

qaem raho husain ke inkar ki tarah

is intihā-e-qurb ne dhuñdlā diyā tujhe

kuchh duur ho ki dekh sukūñ terā bāñkpan

is intiha-e-qurb ne dhundla diya tujhe

kuchh dur ho ki dekh sukun tera bankpan

kisī bevafā ḳhātir ye junūñ 'farāz' kab tak

jo tumheñ bhulā chukā hai use tum bhī bhuul jaao

kisi bewafa ki KHatir ye junun 'faraaz' kab tak

jo tumhein bhula chuka hai use tum bhi bhul jao

kuchh is tarah se guzārī hai zindagī jaise

tamām umr kisī dūsre ke ghar meñ rahā

kuchh is tarah se guzari hai zindagi jaise

tamam umr kisi dusre ke ghar mein raha

ye shahr mere liye ajnabī na thā lekin

tumhāre saath badaltī ga.iiñ fazā.eñ bhī

ye shahr mere liye ajnabi na tha lekin

tumhaare sath badalti gain fazaen bhi

is ahd-e-zulm meñ maiñ bhī sharīk huuñ jaise

mirā sukūt mujhe saḳht mujrimāna lagā

is ahd-e-zulm mein main bhi sharik hun jaise

mera sukut mujhe saKHt mujrimana laga

maiñ bhī palkoñ pe sajā lūñgā lahū būñdeñ

tum bhī pā-basta-e-zanjīr-e-hinā ho jaanā

main bhi palkon pe saja lunga lahu ki bunden

tum bhi pa-basta-e-zanjir-e-hina ho jaana

zindagī se yahī gila hai mujhe

bahut der se milā hai mujhe

zindagi se yahi gila hai mujhe

tu bahut der se mila hai mujhe

ham-safar chāhiye hujūm nahīñ

ik musāfir bhī qāfila hai mujhe

ham-safar chahiye hujum nahin

ek musafir bhi qafila hai mujhe

mohabbat se koī chaal to chal

haar jaane hausla hai mujhe

tu mohabbat se koi chaal to chal

haar jaane ka hausla hai mujhe

jo ġhazal aaj tire hijr meñ likkhī hai vo kal

kyā ḳhabar ahl-e-mohabbat tarāna ban jaa.e

jo ghazal aaj tere hijr mein likkhi hai wo kal

kya KHabar ahl-e-mohabbat ka tarana ban jae

is se baḌh kar koī in.ām-e-hunar kyā hai 'farāz'

apne ahd meñ ek shaḳhs fasāna ban jaa.e

is se baDh kar koi inam-e-hunar kya hai 'faraaz'

apne hi ahd mein ek shaKHs fasana ban jae

dekho ye kisī aur āñkheñ haiñ ki merī

dekhūñ ye kisī aur chehra hai ki tum ho

dekho ye kisi aur ki aankhen hain ki meri

dekhun ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho

jis samt bhī dekhūñ nazar aatā hai ki tum ho

ai jān-e-jahāñ ye koī tum hai ki tum ho

jis samt bhi dekhun nazar aata hai ki tum ho

ai jaan-e-jahan ye koi tum sa hai ki tum ho

juz tire koī bhī din raat na jaane mere

kahāñ hai magar ai dost purāne mere

juz tere koi bhi din raat na jaane mere

tu kahan hai magar ai dost purane mere

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

aaj ek aur baras bit gaya us ke baghair

jis ke hote hue hote the zamane mere

kaun tāqoñ pe rahā kaun sar-e-rāhguzar

shahr ke saare charāġhoñ ko havā jāntī hai

kaun taqon pe raha kaun sar-e-rahguzar

shahr ke sare charaghon ko hawa jaanti hai

hujūm aisā ki rāheñ nazar nahīñ ātīñ

nasīb aisā ki ab tak to qāfila na huā

hujum aisa ki rahen nazar nahin aatin

nasib aisa ki ab tak to qafila na hua

is zindagī meñ itnī farāġhat kise nasīb

itnā na yaad aa ki tujhe bhuul jaa.eñ ham

is zindagi mein itni faraghat kise nasib

itna na yaad aa ki tujhe bhul jaen hum

itnī dil-zada to na thī ai shab-e-firāq

aa tere rāste meñ sitāre luTā.eñ ham

tu itni dil-zada to na thi ai shab-e-firaq

aa tere raste mein sitare luTaen hum

ab aur kyā kisī se marāsim baḌhā.eñ ham

ye bhī bahut hai tujh ko agar bhuul jaa.eñ ham

ab aur kya kisi se marasim baDhaen hum

ye bhi bahut hai tujh ko agar bhul jaen hum

dil ko tirī chāhat pe bharosa bhī bahut hai

aur tujh se bichhaḌ jaane Dar bhī nahīñ jaatā

dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai

aur tujh se bichhaD jaane ka Dar bhi nahin jata

na tujh ko maat huī hai na mujh ko maat huī

so ab ke donoñ chāleñ badal ke dekhte haiñ

na tujh ko mat hui hai na mujh ko mat hui

so ab ke donon hi chaalen badal ke dekhte hain

judā.iyāñ to muqaddar haiñ phir bhī jān-e-safar

kuchh aur duur zarā saath chal ke dekhte haiñ

judaiyan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar

kuchh aur dur zara sath chal ke dekhte hain

abhī kuchh aur karishme ġhazal ke dekhte haiñ

'farāz' ab zarā lahja badal ke dekhte haiñ

abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain

'faraaz' ab zara lahja badal ke dekhte hain

bahut dinoñ se nahīñ hai kuchh us ḳhair ḳhabar

chalo 'farāz' ko ai yaar chal ke dekhte haiñ

bahut dinon se nahin hai kuchh us ki KHair KHabar

chalo 'faraaz' ko ai yar chal ke dekhte hain

sāmne hai to phir kyuuñ yaqīñ nahīñ aatā

ye baar baar jo āñkhoñ ko mal ke dekhte haiñ

tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata

ye bar bar jo aankhon ko mal ke dekhte hain

zindagī phailī huī thī shām-e-hijrāñ tarah

kis ko itnā hausla thā kaun kar dekhtā

zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah

kis ko itna hausla tha kaun ji kar dekhta

ab zamīñ par koī gautam na mohammad na masīh

āsmānoñ se na.e log utāre jaa.eñ

ab zamin par koi gautam na mohammad na masih

aasmanon se nae log utare jaen

ye dil dard to umroñ rog hai pyāre

so jaa.e bhī to pahr do pahr ko jaatā hai

ye dil ka dard to umron ka rog hai pyare

so jae bhi to pahr do pahr ko jata hai

guftugū achchhī lagī zauq-e-nazar achchhā lagā

muddatoñ ke baad koī ham-safar achchhā lagā

guftugu achchhi lagi zauq-e-nazar achchha laga

muddaton ke baad koi ham-safar achchha laga

har tarah be-sar-o-sāmāniyoñ ke bāvajūd

aaj vo aayā to mujh ko apnā ghar achchhā lagā

har tarah ki be-sar-o-samaniyon ke bawajud

aaj wo aaya to mujh ko apna ghar achchha laga

dil dukh jaanā to dil mas.ala hai par hameñ

us hañs denā hamāre haal par achchhā lagā

dil ka dukh jaana to dil ka masala hai par hamein

us ka hans dena hamare haal par achchha laga

'mīr' ke mānind aksar ziist kartā thā 'farāz'

thā to vo dīvāna shā.ir magar achchhā lagā

'mir' ke manind aksar zist karta tha 'faraaz'

tha to wo diwana sa shair magar achchha laga

is qadar musalsal thiiñ shiddateñ judā.ī

aaj pahlī baar us se maiñ ne bevafā.ī

is qadar musalsal thin shiddaten judai ki

aaj pahli bar us se main ne bewafai ki

kabhī 'farāz' se aa kar milo jo vaqt mile

ye shaḳhs ḳhuub hai ash.ār ke alāva bhī

kabhi 'faraaz' se aa kar milo jo waqt mile

ye shaKHs KHub hai ashaar ke alawa bhi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now