aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1968 | Gujrat, Pakistan
akelā aa rahā hai yā unheñ bhī saath laatā hai
zarā pūchho ḳhabar to lo december kyā batātā hai
akela aa raha hai ya unhen bhi sath lata hai
zara puchho KHabar to lo december kya batata hai
irāde garche lahroñ ke baḌe sadmāt vaale haiñ
ye dariyā ko batā denā ki ham gujrāt vaale haiñ
irade garche lahron ke baDe sadmat wale hain
ye dariya ko bata dena ki hum gujraat wale hain
itnī zamīñ hī chāhiye bas mujh ko gaañv meñ
jā kar paḌā rahūñ maiñ jahāñ maañ ke paañv meñ
itni zamin hi chahiye bas mujh ko ganw mein
ja kar paDa rahun main jahan man ke panw mein
maiñ adh-marā gulāb sar-e-shāḳh-e-nīm-jāñ
hāthoñ se tū ne mujh ko sañvārā to maiñ gayā
main adh-mara gulab sar-e-shaKH-e-nim-jaan
hathon se tu ne mujh ko sanwara to main gaya
sub.h-e-nau ke vāste bekār huuñ
maiñ guzishta roz kā aḳhbār huuñ
subh-e-nau ke waste bekar hun
main guzishta roz ka aKHbar hun
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books