Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Euphonic Amit's Photo'

Euphonic Amit

1984 | Delhi, India

Euphonic Amit

Ghazal 8

Sher-o-Shayari 10

phuul khilte haiñ to lagtā hai tire hoñToñ ne

muskurāhaT ko baḌe naaz se āzād kiyā

phul khilte hain to lagta hai tere honTon ne

muskurahaT ko baDe naz se aazad kiya

  • Share this

aap ne jis ko farishte diyā thā darja

us insānoñ fitrat hai to hairat kyā hai

aap ne jis ko farishte ka diya tha darja

us ki insanon si fitrat hai to hairat kya hai

  • Share this

'ajab ehsās hai ki jab use dekhūñ

mujhe pahlī mohabbat yaad aatī hai

'ajab ehsas hai ki jab use dekhun

mujhe pahli mohabbat yaad aati hai

  • Share this

jo haqīqat se ḳhauf khāne lage

ḳhvāb aise maiñ dekhtā nahīñ

jo haqiqat se KHauf khane lage

KHwab aise main dekhta hi nahin

  • Share this

nāche hai mohabbat ye sur taal pe ḳhud

dil ko ye hunar yaar sikhāyā nahīñ jaatā

nache hai mohabbat ki ye sur tal pe KHud hi

dil ko ye hunar yar sikhaya nahin jata

  • Share this

More Poets From "Delhi"

Recitation

Speak Now