Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar's Photo'

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

1909 - 1992 | Delhi, India

Sher of Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

2.6K
Favorite

SORT BY

pareshāñ the tirī mahfil se bāhar

pashemāñ haiñ tirī mahfil meñ aa kar

pareshan the teri mahfil se bahar

pasheman hain teri mahfil mein aa kar

muskurānā kabhī na raas aayā

har hañsī ek vārdāt banī

muskurana kabhi na ras aaya

har hansi ek wardat bani

kisī ik-ādh mai-kash se ḳhatā kuchh ho ga.ī hogī

magar kyuuñ mai-kade mai-kada bad-nām hai saaqī

kisi ik-adh mai-kash se KHata kuchh ho gai hogi

magar kyun mai-kade ka mai-kada bad-nam hai saqi

ġham-e-sūd-o-ziyāñ se be-niyāzāna nikaltā hai

baḌī farzāngī se terā dīvāna nikaltā hai

gham-e-sud-o-ziyan se be-niyazana nikalta hai

baDi farzangi se tera diwana nikalta hai

zindagī maut ban ga.ī hotī jaan se ham guzar ga.e hote

itne ishrat-zada haiñ ham ki agar ġham na hotā to mar ga.e hote

zindagi maut ban gai hoti jaan se hum guzar gae hote

itne ishrat-zada hain hum ki agar gham na hota to mar gae hote

aa.eñ haiñ samjhāne log

haiñ kitne dīvāne log

people come to counsel me

how silly, crazy can they be

aaen hain samjhane log

hain kitne diwane log

people come to counsel me

how silly, crazy can they be

uThā surāhī ye shīsha vo jaam le saaqī

phir is ke baad ḳhudā bhī naam le saaqī

uTha surahi ye shisha wo jam le saqi

phir is ke baad KHuda ka bhi nam le saqi

phir is ke baad hameñ tishnagī rahe na rahe

kuchh aur der muravvat se kaam le saaqī

phir is ke baad hamein tishnagi rahe na rahe

kuchh aur der murawwat se kaam le saqi

ishq o mohabbat kyā hote haiñ kyā samjhā.ūñ vaa.iz ko

bhaiñs ke aage biin bajānā mere bas baat nahīñ

ishq o mohabbat kya hote hain kya samjhaun waiz ko

bhains ke aage bin bajaana mere bas ki baat nahin

marnā to lāzim hai ik din bhar ke ab to luuñ

marne se pahle mar jaanā mere bas baat nahīñ

marna to lazim hai ek din ji bhar ke ab ji to lun

marne se pahle mar jaana mere bas ki baat nahin

saaqī mai sāġhar paimāna mere bas baat nahīñ

sirf inhī se dil bahlānā mere bas baat nahīñ

saqi mai saghar paimana mere bas ki baat nahin

sirf inhi se dil bahlana mere bas ki baat nahin

ham un ke sitam ko bhī karam jaan rahe haiñ

aur vo haiñ ki is par bhī burā maan rahe haiñ

hum un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain

aur wo hain ki is par bhi bura man rahe hain

justujū un dar-e-ġhair pe le aa.ī hai

ab ḳhudā jaane kahāñ tak mirī rusvā.ī hai

TRANSLATION

Her pursuit has brought me to the doorstep of my enemy,

God only knows how far is the spread of my ignominy.

Sagar Akbarabadi

justuju un ki dar-e-ghair pe le aai hai

ab KHuda jaane kahan tak meri ruswai hai

TRANSLATION

Her pursuit has brought me to the doorstep of my enemy,

God only knows how far is the spread of my ignominy.

Sagar Akbarabadi

in shoḳh hasīnoñ nirālī hai adā bhī

but ho ke samajhte haiñ ki jaise haiñ ḳhudā bhī

in shoKH hasinon ki nirali hai ada bhi

but ho ke samajhte hain ki jaise hain KHuda bhi

mire savāl-e-visāl par tum nazar jhukā kar khaḌe hue ho

tumhīñ batāo ye baat kyā hai savāl puurā javāb aadhā

mere sawal-e-visal par tum nazar jhuka kar khaDe hue ho

tumhin batao ye baat kya hai sawal pura jawab aadha

abhī vo kamsin ubhar rahā hai abhī hai us par shabāb aadhā

abhī jigar meñ ḳhalish hai aadhī abhī hai mujh par itaab aadhā

abhi wo kamsin ubhar raha hai abhi hai us par shabab aadha

abhi jigar mein KHalish hai aadhi abhi hai mujh par itab aadha

shoḳhī shabāb husn tabassum hayā ke saath

dil le liyā hai aap ne kis kis adā ke saath

shoKHi shabab husn tabassum haya ke sath

dil le liya hai aap ne kis kis ada ke sath

har lamha māñgte haiñ duā dīd-e-yār

yād-e-butāñ bhī dil meñ hai yād-e-ḳhudā ke saath

har lamha mangte hain dua did-e-yar ki

yaad-e-butan bhi dil mein hai yaad-e-KHuda ke sath

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now