join rekhta family!
Ghazal 61
Sher 71
ek aañsū ne Duboyā mujh ko un kī bazm meñ
buuñd bhar paanī se saarī aabrū paanī huī
a single tear caused my fall in her company
just a drop of water drowned my dignity
ek aansu ne Duboya mujh ko un ki bazm mein
bund bhar pani se sari aabru pani hui
a single tear caused my fall in her company
just a drop of water drowned my dignity
-
Share this
- Translation
-
Tag : Aansoo
tum bhuul kar bhī yaad nahīñ karte ho kabhī
ham to tumhārī yaad meñ sab kuchh bhulā chuke
tum bhul kar bhi yaad nahin karte ho kabhi
hum to tumhaari yaad mein sab kuchh bhula chuke
-
Tag : Yaad
ab to ghabrā ke ye kahte haiñ ki mar jā.eñge
mar ke bhī chain na paayā to kidhar jā.eñge
being agitated I express the hope to die, although
in death, if solace is not found, then where shall I go?
ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge
mar ke bhi chain na paya to kidhar jaenge
being agitated I express the hope to die, although
in death, if solace is not found, then where shall I go?
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
ai 'zauq' takalluf meñ hai taklīf sarāsar
ārām meñ hai vo jo takalluf nahīñ kartā
save trouble, in formality, zauq nothing else can be
at ease he then remains he who, eschews formality
ai 'zauq' takalluf mein hai taklif sarasar
aaram mein hai wo jo takalluf nahin karta
save trouble, in formality, zauq nothing else can be
at ease he then remains he who, eschews formality
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
zāhid sharāb piine se kāfir huā maiñ kyuuñ
kyā DeḌh chullū paanī meñ īmān bah gayā
zahid sharab pine se kafir hua main kyun
kya DeDh chullu pani mein iman bah gaya
-
Share this
- See Ghazal
-
Tag : Sharab
Qita 4
BOOKS 55
Image shayari 16
tuu bhalaa hai to buraa ho nahii.n saktaa ai 'zauq' hai buraa vo hii ki jo tujh ko buraa jaantaa hai aur agar tuu hii buraa hai to vo sach kahtaa hai kyuu.n buraa kahne se tuu us ke buraa maantaa hai
Videos 16
Audios 14
laa.ii hayaat aa.e qazaa le chalii chale
aate hii tuu ne ghar ke phir jaane kii sunaa.ii
ab to ghabraa ke ye kahte hai.n ki mar jaa.e.nge
RELATED Poets
-
Bahadur Shah Zafar Contemporary
-
Meer Anees Contemporary
-
Shad Lakhnavi Contemporary
-
Shefta Mustafa Khan Contemporary
-
Momin Khan Momin Contemporary
-
Mirza Salaamat Ali Dabeer Contemporary
-
Zaheer Dehlvi Disciple
-
Mohammad Husain Azad Disciple
-
Taashshuq Lakhnavi Contemporary
-
Mufti Sadruddin Aazurda Contemporary