SEARCH RESULTS
Showing search results for "داخل"
Ghazal MATCHES FOR "داخل"
Ghazal
jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagtaa hai
shahr kaa shahr hu.aa daaKHil-e-zindaa.n jaanaa.n
Ahmad Faraz
Ghazal
vo kha.Daa hai ek baab-e-ilm kii dahliiz par
mai.n ye kahtaa huu.n use is KHauf me.n daaKHil na ho
Muneer Niyazi
Ghazal
tumhaare shahiido.n me.n daaKHil hu.e hai.n
gul-o-laala-o-arGavaa.n kaise kaise
Haidar Ali Aatish
Ghazal
dasht se duur bhii kyaa rang dikhaataa hai junuu.n
dekhnaa hai to kisii shahr me.n daaKHil ho jaa.o
Irfan Siddiqi
Ghazal
Saqi Faruqi
Ghazal
sab shaa.iraa.n KHariida-e-darbaar ho ga.e
ye vaaqi.a to daaKHil-e-diivaan chaahiye
Irfan Siddiqi
Ghazal
Arpit Sharma Arpit
Ghazal
daa.ere ba.Dhte ga.e parkaar kaa mu.nh khul gayaa
vo bhii daaKHil ho gayaa ab sarhad-e-rusvaa.ii me.n
Iqbal Sajid
Ghazal
Iqbal Sajid
Ghazal
chalo is marhale par hii ko.ii tadbiir kar dekho
vagarna shahr me.n paanii to daaKHil hone vaalaa hai
Zafar Iqbal
Ghazal
ye kis vahshat-zada lamhe me.n daaKHil ho ga.e hai.n
ham apne aap ke madd-e-muqaabil ho ga.e hai.n
Aziz Nabeel
Ghazal
Irshad Khan Sikandar
Ghazal
dil pe vo vaqt bhii kis darja giraa.n hotaa hai
zabt jab daaKHil-e-fariyaad-o-fuGaa.n hotaa hai
Amir Usmani
Ghazal
din nahii.n raat nahii.n sub.h nahii.n shaam nahii.n
vaqt milne kaa magar daaKHil-e-ayyaam nahii.n
Meer Taqi Meer
Ghazal
azal se daaKHil-e-fard-e-shumaar ham bhii hai.n
tumhaare chaahne vaalo.n me.n yaar ham bhii hai.n
Aagha Akbarabadi
Ghazal
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
Ghazal
shor barpaa hai ki nikle ho talaash-e-Gam me.n
maKHzan-e-Gam hai miraa dil yahii.n daaKHil ho jaa.o