SEARCH RESULTS
Showing search results for ".uzvs"
Ghazal MATCHES FOR ".uzvs"
Ghazal
fikr-e-naala me.n goyaa halqa huu.n ze-sar-taa-paa
uzv uzv juu.n zanjiir yak-dil-e-sadaa paayaa
Mirza Ghalib
Ghazal
saraab huu.n ki badan kii yahii shahaadat hai
har ek uzv me.n bahtaa hai ret kaa dariyaa
Fahmida Riaz
Ghazal
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Ghazal
ye uzv uzv miraa pyaas se sulagtaa hai
mujhe lahuu kii zaruurat hai tishnagii ke liye
Ibrat Machlishahri
Ghazal
ho saamnaa agar to KHajil ho nigaah-e-barq
dekhii hai.n uzv uzv me.n vo achpalaahaTe.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
mai.n ek ja.ng KHud apne KHilaaf la.Dtaa hu.aa
tamaam azv-e-badan mujh se ghaat karte hu.e
Khurshid Talab
Ghazal
mash.huur chaman me.n tirii gul pairahanii hai
qurbaa.n tire har uzv pe naazuk-badanii hai
Meer Taqi Meer
Ghazal
Qadr Bilgrami
Ghazal
ik dastaKHat se ho ga.ii.n taqsiim sarhade.n
ik dastaKHat se uzv-e-vatan le liyaa gayaa
Lucky farooqi Hasrat
Ghazal
dilbarii kaa jab hu.aa us sarv-qaamat ko KHayaal
uzv uzv apnaa vahii.n misl-e-sanobar dil hu.aa
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
sab uzv-e-badan sham-e-sifat bah ga.e gal kar
is sozish-e-dil ne mujhe sailaab banaayaa
Imdad Ali Bahr
Ghazal
mai pii jo chaahe aatish-e-dozaKH se tuu najaat
jaltaa nahii.n vo uzv jo tar ho sharaab me.n
Qayem Chaandpuri
Ghazal
kahte hai.n sab dekh kar betaab meraa uzv uzv
aadmii ab tak nahii.n dekhaa kahii.n siimaab kaa
Muneer Shikohabadi
Ghazal
dekhaa jo tanaasub tire a.azaa-e-badan kaa
har uzv ko gul KHud tujhe gulzaar kahaa hai
Maaz Aiz
Ghazal
kushta-e-teG-e-judaa.ii huu.n yaqii.n hai mujh ko
uzv se uzv qayaamat me.n judaa paidaa ho
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
charaaG kartaa huu.n apnaa har ek azv-e-badan
taras gayaa huu.n Gam-e-laa-zavaal dekhne ko
Krishna Kumar Toor
Ghazal
yahii har uzv se aatii hai sadaa furqat me.n
vaqt ye vo hai judaa bhaa.ii se bhaa.ii ho jaa.e