SEARCH RESULTS
Showing search results for "gor-e-Gariibaa.n"
Ghazal MATCHES FOR "gor-e-Gariibaa.n"
Ghazal
Mohammad Abbas Safiir
Ghazal
do damo.n se hai faqat gor-e-Gariibaa.n aabaad
tum hamesha raho ai hasrat-o-armaa.n aabaad
Taashshuq Lakhnavi
Ghazal
ai rah-ravaan-e-gor-e-Gariibaa.n KHamosh ho
so.e hai.n sone vaale shab-e-Gam guzaar ke
Saghar Khayyami
Ghazal
khii.nch laa.egii kabhii to kashish-e-ishq unhe.n
guzar un kaa bhii suu-e-gor-e-gariibaa.n hogaa
Abdul Majeed Khwaja Shaida
Ghazal
qadam sa.nbhaal ke rakh paa.emaal ho na ko.ii
zamiin-e-gor-e-Gariibaa.n hai farsh-e-KHvaab nahii.n
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
Ghazal
haa.n ai zamiin-e-gor-e-Gariibaa.n javaab de
kyo.n mujh se ruuTh kar mire pyaare chale ga.e
Syed Aabid Ali Aabid
Ghazal
chupke se aaj vo bhii tah-e-KHaak so ga.e
jin ko KHayaal-e-gor-e-Gariibaa.n na thaa kabhii
Sarfaraz Bazmi
Ghazal
Afqar Mohani
Ghazal
Akbar Allahabadi
Ghazal
KHaak apnii KHaak-e-kuucha-e-jaanaa.n me.n jaa milii
ehsaanmand-e-gor-e-Gariibaa.n nahii.n hai.n ham
Abr Ahsani Gunnauri
Ghazal
le aayaa kaun gor-e-Gariibaa.n me.n khii.nch kar
koso.n abhii mai.n manzil-e-maqsad se duur thaa
Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi
Ghazal
chal suu-e-gor-e-gariibaa.n ai hariis-e-maal-o-zar
dekh kitnii aarzuu.e.n nazr-e-madfan ho ga.ii.n
Auj lakhnavi
Ghazal
bekasii gor-e-Gariibaa.n kii na puuchh
uf hai kaTtii aaKHirii manzil udaas
Muztar Muzaffarpuri
Ghazal
dekhuu.n jo kabhii aa.o suu-e-gor-e-gariibaa.n
jii uThte hai.n murde dam-e-raftaar kahaa.n tak
Sayad Humayun Mirza Haqeer
Ghazal
raat-din hai merii turbat par hasiino.n kaa hujuum
dekhne kii chiiz hai gor-e-Gariibaa.n aaj-kal
Riyaz Khairabadi
Ghazal
tum aa ke kyaa mutabassim hu.e lahad par mirii
charaaG-e-gor-e-Gariibaa.n jalaa diyaa tum ne
Jameela Khatoon Tasneem
Ghazal
bahaar-e-gor-e-Gariibaa.n na kyo.n lahad ho mirii
ki jam.a kii hai zamaane kii bekasii mai.n ne
Afqar Mohani
Ghazal
parvaana-vaar go ki jalaayaa hai ishq ne
lekin charaaG-e-gor-e-Gariibaa.n se duur huu.n