SEARCH RESULTS
Showing search results for "gustaaKHii"
Ghazal MATCHES FOR "gustaaKHii"
Ghazal
KHud ishq kii gustaaKHii sab tujh ko sikhaa degii
ai husn-e-hayaa-parvar shoKHii bhii sharaarat bhii
Hasrat Mohani
Ghazal
Dagh Dehlvi
Ghazal
hai.n aaj kyuu.n zaliil ki kal tak na thii pasand
gustaaKHi-e-farishta hamaarii janaab me.n
Mirza Ghalib
Ghazal
dard ke mushtaaq gustaaKHii to hai lekin mu.aaf
ab du.aa andesha ye hai kaargar ho jaa.egii
Meeraji
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
gustaaKHii-e-visaal hai mashshaata-e-niyaaz
ya.anii du.aa ba-juz KHam-e-zulf-e-dotaa na maa.ng
Mirza Ghalib
Ghazal
vaqt-e-imdaad hai ai himmat-e-gustaaKHi-e-shauq
shauq-a.ngez hai.n un ke lab-e-KHandaa.n kyaa kyaa
Akhtar Shirani
Ghazal
ramzii.n hai.n mohabbat kii gustaaKHii o bebaakii
har shauq nahii.n gustaaKH har jazb nahii.n bebaak
Allama Iqbal
Ghazal
jab karam ruKHsat-e-bebaakii-o-gustaaKHii de
ko.ii taqsiir ba-juz KHajlat-e-taqsiir nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
KHalvat me.n bhii ravaa nahii.n gustaaKHi-e-nigaah
parde pa.De hu.e abhii sharm-o-hayaa ke hai.n
Ismail Merathi
Ghazal
havas gustaaKHii-e-aa.iina takliif-e-nazar-baazii
ba-jeb-e-aarzuu pinhaa.n hai haasil dilrubaa.ii kaa
Mirza Ghalib
Ghazal
merii gustaaKHii na yaad aa.e ilaahii hargiz
un ko bekal na kare fikr-e-kamar aaj kii raat
Nasim Maysori
Ghazal
gustaaKHi-e-baaraa.n se vo pairaahan-e-pur-nam
bhiige hu.e jalvo.n se sharaare nikal aa.e
Nushur Wahidi
Ghazal
Guncha ha.nstaa hai tire aage jo gustaaKHii se
chaTKHanaa mu.nh pe vahii.n baad-e-sahar detii hai
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
mujhii se shikva-e-gustaaKHi-e-nazar kyuu.n hai
tumhe.n to saaraa zamaana hii dekhtaa hogaa
Asad Bhopali
Ghazal
kitnaa gustaaKHii se khii.nchaa hai tujhe aaGosh me.n
mai.n gale kaa haar huu.n tere gale ke haar kaa
Anwar Dehlvi
Ghazal
ko.ii gustaaKHii to kii hai naav ne girdaab se
varna yuu.n saahil pe ko.ii Gam-zada hotaa nahii.n
Ibn-e-Mufti
Ghazal
vasl me.n kaisaa adab ai jaan gustaaKHii mu.aaf
aaj lenaa hai mujhe tum se evaz bedaad kaa
Jaleel Manikpuri
Ghazal
bahaar me.n na.ii suujhii hai un ko gustaaKHii
uruus-e-baaG kaa ghuu.ngat uThaa.e baiThe hai.n
Agha Hajju Sharaf
Ghazal
vo kare.n zulm aur tum lab par na laa.o
varna gustaaKHii hai un kii shaan me.n