SEARCH RESULTS
Showing search results for "kuuze"
Ghazal MATCHES FOR "kuuze"
Ghazal
dariyaa band kiyaa hai kuuze me.n 'tahziib'
ik chaabii se saare taale khole hai.n
Tahzeeb Hafi
Ghazal
ek kuuze ke tasavvur se ju.De ham dono.n
naqsh detaa hu.aa tuu chaak ghumaataa hu.aa mai.n
Ammar Iqbal
Ghazal
kuuze banaane vaale ko ujlat ajiib thii
puure nahii.n banaa.e the saare banaa.e the
Shahid Zaki
Ghazal
mere alfaaz na kar paa.e ma.aanii ko asiir
kitne dariyaa.o.n ko ik kuuze me.n bhar de ko.ii
Tanveer Samani
Ghazal
sher me.n saath ravaanii ke ma.aanii bhii to bhar
ai 'sadaa' qaid tuu kuuze me.n samundar kar de
Sada Ambalvi
Ghazal
gulo.n se buu-e-shikast uTh rahii hai naGmagaro
yahii.n kahii.n ko.ii kuuze banaane vaalaa thaa
Idris Babar
Ghazal
miTTii to saamne kaa havaala hai aur bas
kuuze me.n jitne rang hai.n dariyaa ke dam se hai.n
Iftikhar Arif
Ghazal
band ho jaataa hai kuuze me.n kabhii dariyaa bhii
aur kabhii qatra samundar me.n badal jaataa hai
Faryad Aazar
Ghazal
kyaa un ko Dubo.e kisii dariyaa kii ravaanii
ye shahr to kuuze ke samundar nikal aa.e
Abbas Tabish
Ghazal
miTTii ke kuuze aur in me.n saa.ns kii lau
rab rakkhe ye bartan bharne vaale log
Daniyal Tareer
Ghazal
milaa jo kuuze ko aa.ncho.n me.n tap ke ra.ng-e-sabaat
vo pahle sholagi-e-kuuzaa-gar se aayaa thaa
Mahshar Badayuni
Ghazal
ahd-e-'Gaalib' se ziyaada hai mire ahd kaa karb
ab to kuuze me.n samundar bhii nahii.n aane kaa
Zafar Gorakhpuri
Ghazal
kar rahe the apnii apnii daastaane.n sab raqam
ek jogii ne to kuuze me.n samundar likh diyaa